PEHLA AUR AAKHIRI SAJDA
Raat ki is tareeki main aaj wo apni sochon main bohat dor nikal aaya tha..Kya kiya tha us ney aaj tak...? Kahan gunwa aaya wo apni zindagi...? Apni umar k 35 saal zaya karney ka usey ahsas kyun na huwa kabhi...? Is andheri raat main aaj usey ye ahsas kis ney bakhsha tha...? Kyun aaj wo apni zindagi ka jaiza ley raha tha...?
Kal EID thi aur EID ki ye raat uske ahsasat k ahsasat ki raat thi...har saal ye Eid aati hai magar kal aaney wali Eid sey usey khouf mehsos horaha tha...Wo janta tha k apni aaj tak guzarney wali zindagi main us ney kabhi koi neki nahi ki thi...
Wo to un logon main sey tha jo pyar k naam par faraib kartey hain..Apno ko dhoka detey waqt unka dil aik lamhey ko bhi nahi kanpta...Kisi ki izzat karna goya apney nafs ki beizzati samajhtey hain isiliye apney "MAA" "BAAP" ko bhi paon ki joti sey ziyada ahmiyat nahi detey..
Wohi "MAA,BAAP" jinho ney apne iklotey betey par apni zindagi bhar ki kamai vaar di thi aur usi betey ney unhey jeetey jee maar dala tha...
Aaj ki raat khouf sey uska dil kanp raha tha...Usey apne Waldain ki yaad aarahi thi...Wahi Waldain jo us sey bohat dor jaa chukey they...Kya reh gaya tha aaj uske paas...???Wohi "Khouf" aur "Tanhai" jis sey wo zindagi bhar bhagta aaya tha magar zindagi ke paintisveen(35veen) saal ki is raat ney usey khoob Tanhai aur Khouf bakhsha tha magar wo faryad karta bhi to kis sey...???
Jis PAK PARWARDIGAAR ney usey is jahan main bheja tha usey to is badqismat ney kabhi boley sey bhi yaad nahi kiya tha ..to phir kyun kar wo US Parwardigar sey reham ki umeed rakhta...???
Magar such to yahi hai k aaj usey apney gunahon ka ahsas horaha tha aur ye ahsas dilaney wali bhi Wohi "PAK" Hasti thi jo apney bandon sey aik pal k liye bhi ghafil nahi hoti...Aanson tawatur sey uske Rukhsaron pey beh rahey they...wo bohat sharminda tha khod sey,Apney Maa Baap sey aur Apney RUb sey jiskey samney usey apna hisab dena tha...
Subha hotey hi wo naha dhoo kar EId Gaah ki janib chal para...Aaj wo apni zindagi main pehli baar apney Rub k samney sar basujood honey jaa raha tha intehai nidamat k sath..Magar apni zindagi k is Pehley Sajdey main jakr wo uthna bhool gaya tha.Kitna sukoon tha is sajdey main jis se aaj tak us ney khod ko mehrom rakha..Aanson they jo rukney ka naam nahi ley rahey they yahan tak k uska "Pehla Sajda" uski zinagi ka "Akhiri Sajda" ban gaya.
Shayad wo itna sharminda tha k usey kisi bhi qeemat par uthna gawara na tha.
Aaj apney Rub k samney sajdey main hi wo apni jaan dey betha magar marney k bad uske chehrey pa jo itminan tha wo shayad hi kisi ko naseeb huwa ho.
Haan US PAK HASTI ney apney usi gunha'ngar bandey k naseeb main "JANNAT" likh di thi.
"BEY SHAK ALLAH APNEY BANDON PAR BOHAT MEHERBAAN HAI"

Comment