Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Meri Aik Tehreer

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Meri Aik Tehreer

    PEHLA AUR AAKHIRI SAJDA


    Raat ki is tareeki main aaj wo apni sochon main bohat dor nikal aaya tha..Kya kiya tha us ney aaj tak...? Kahan gunwa aaya wo apni zindagi...? Apni umar k 35 saal zaya karney ka usey ahsas kyun na huwa kabhi...? Is andheri raat main aaj usey ye ahsas kis ney bakhsha tha...? Kyun aaj wo apni zindagi ka jaiza ley raha tha...?

    Kal EID thi aur EID ki ye raat uske ahsasat k ahsasat ki raat thi...har saal ye Eid aati hai magar kal aaney wali Eid sey usey khouf mehsos horaha tha...Wo janta tha k apni aaj tak guzarney wali zindagi main us ney kabhi koi neki nahi ki thi...


    Wo to un logon main sey tha jo pyar k naam par faraib kartey hain..Apno ko dhoka detey waqt unka dil aik lamhey ko bhi nahi kanpta...Kisi ki izzat karna goya apney nafs ki beizzati samajhtey hain isiliye apney "MAA" "BAAP" ko bhi paon ki joti sey ziyada ahmiyat nahi detey..


    Wohi "MAA,BAAP" jinho ney apne iklotey betey par apni zindagi bhar ki kamai vaar di thi aur usi betey ney unhey jeetey jee maar dala tha...


    Aaj ki raat khouf sey uska dil kanp raha tha...Usey apne Waldain ki yaad aarahi thi...Wahi Waldain jo us sey bohat dor jaa chukey they...Kya reh gaya tha aaj uske paas...???Wohi "Khouf" aur "Tanhai" jis sey wo zindagi bhar bhagta aaya tha magar zindagi ke paintisveen(35veen) saal ki is raat ney usey khoob Tanhai aur Khouf bakhsha tha magar wo faryad karta bhi to kis sey...???

    Jis PAK PARWARDIGAAR ney usey is jahan main bheja tha usey to is badqismat ney kabhi boley sey bhi yaad nahi kiya tha ..to phir kyun kar wo US Parwardigar sey reham ki umeed rakhta...???

    Magar such to yahi hai k aaj usey apney gunahon ka ahsas horaha tha aur ye ahsas dilaney wali bhi Wohi "PAK" Hasti thi jo apney bandon sey aik pal k liye bhi ghafil nahi hoti...Aanson tawatur sey uske Rukhsaron pey beh rahey they...wo bohat sharminda tha khod sey,Apney Maa Baap sey aur Apney RUb sey jiskey samney usey apna hisab dena tha...

    Subha hotey hi wo naha dhoo kar EId Gaah ki janib chal para...Aaj wo apni zindagi main pehli baar apney Rub k samney sar basujood honey jaa raha tha intehai nidamat k sath..Magar apni zindagi k is Pehley Sajdey main jakr wo uthna bhool gaya tha.Kitna sukoon tha is sajdey main jis se aaj tak us ney khod ko mehrom rakha..Aanson they jo rukney ka naam nahi ley rahey they yahan tak k uska "Pehla Sajda" uski zinagi ka "Akhiri Sajda" ban gaya.

    Shayad wo itna sharminda tha k usey kisi bhi qeemat par uthna gawara na tha.
    Aaj apney Rub k samney sajdey main hi wo apni jaan dey betha magar marney k bad uske chehrey pa jo itminan tha wo shayad hi kisi ko naseeb huwa ho.


    Haan US PAK HASTI ney apney usi gunha'ngar bandey k naseeb main "JANNAT" likh di thi.

    "BEY SHAK ALLAH APNEY BANDON PAR BOHAT MEHERBAAN HAI"

  • #2
    Re: Meri Aik Tehreer

    Assalaam-O-Alaikum

    Bohat khoob janab, bohat hi khoobsurat aur sabaq amooz tehreer hay aap ki.... bohat hi hasaas mozo ko kitnay achay alfaazon main aap nay paish kia hay jissay paRh kar zindagi main bohat kuch seekhnay ka mouqa mila...

    Dil say agar TOUBA ki jayay tou ALLAH SWT zaroor qubool kartay hain aur yehi pegham aap nay dia hay........ apni nadaamat, apnay gunahoon ki maafi uss nay apnay RAB say chahi aur mera RAB kitna GHAFOOR-O-RAHEEM hay kay uss kay dil say nikalnay waali sachi sada ko sunn kar uss ki BAKHSISH-O-MAGHFIRAT kardi....

    Likthay rahyeh aap ki khoobsurat tehreer say aap kay khoobusrat dil ki akaasi hoti hay, khush rahyeh

    FI Amaan ALLAH
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Meri Aik Tehreer

      Originally posted by Cute Ruba View Post
      PEHLA AUR AAKHIRI SAJDA


      Raat ki is tareeki main aaj wo apni sochon main bohat dor nikal aaya tha..Kya kiya tha us ney aaj tak...? Kahan gunwa aaya wo apni zindagi...? Apni umar k 35 saal zaya karney ka usey ahsas kyun na huwa kabhi...? Is andheri raat main aaj usey ye ahsas kis ney bakhsha tha...? Kyun aaj wo apni zindagi ka jaiza ley raha tha...?

      Kal EID thi aur EID ki ye raat uske ahsasat k ahsasat ki raat thi...har saal ye Eid aati hai magar kal aaney wali Eid sey usey khouf mehsos horaha tha...Wo janta tha k apni aaj tak guzarney wali zindagi main us ney kabhi koi neki nahi ki thi...


      Wo to un logon main sey tha jo pyar k naam par faraib kartey hain..Apno ko dhoka detey waqt unka dil aik lamhey ko bhi nahi kanpta...Kisi ki izzat karna goya apney nafs ki beizzati samajhtey hain isiliye apney "MAA" "BAAP" ko bhi paon ki joti sey ziyada ahmiyat nahi detey..


      Wohi "MAA,BAAP" jinho ney apne iklotey betey par apni zindagi bhar ki kamai vaar di thi aur usi betey ney unhey jeetey jee maar dala tha...


      Aaj ki raat khouf sey uska dil kanp raha tha...Usey apne Waldain ki yaad aarahi thi...Wahi Waldain jo us sey bohat dor jaa chukey they...Kya reh gaya tha aaj uske paas...???Wohi "Khouf" aur "Tanhai" jis sey wo zindagi bhar bhagta aaya tha magar zindagi ke paintisveen(35veen) saal ki is raat ney usey khoob Tanhai aur Khouf bakhsha tha magar wo faryad karta bhi to kis sey...???

      Jis PAK PARWARDIGAAR ney usey is jahan main bheja tha usey to is badqismat ney kabhi boley sey bhi yaad nahi kiya tha ..to phir kyun kar wo US Parwardigar sey reham ki umeed rakhta...???

      Magar such to yahi hai k aaj usey apney gunahon ka ahsas horaha tha aur ye ahsas dilaney wali bhi Wohi "PAK" Hasti thi jo apney bandon sey aik pal k liye bhi ghafil nahi hoti...Aanson tawatur sey uske Rukhsaron pey beh rahey they...wo bohat sharminda tha khod sey,Apney Maa Baap sey aur Apney RUb sey jiskey samney usey apna hisab dena tha...

      Subha hotey hi wo naha dhoo kar EId Gaah ki janib chal para...Aaj wo apni zindagi main pehli baar apney Rub k samney sar basujood honey jaa raha tha intehai nidamat k sath..Magar apni zindagi k is Pehley Sajdey main jakr wo uthna bhool gaya tha.Kitna sukoon tha is sajdey main jis se aaj tak us ney khod ko mehrom rakha..Aanson they jo rukney ka naam nahi ley rahey they yahan tak k uska "Pehla Sajda" uski zinagi ka "Akhiri Sajda" ban gaya.

      Shayad wo itna sharminda tha k usey kisi bhi qeemat par uthna gawara na tha.
      Aaj apney Rub k samney sajdey main hi wo apni jaan dey betha magar marney k bad uske chehrey pa jo itminan tha wo shayad hi kisi ko naseeb huwa ho.


      Haan US PAK HASTI ney apney usi gunha'ngar bandey k naseeb main "JANNAT" likh di thi.

      "BEY SHAK ALLAH APNEY BANDON PAR BOHAT MEHERBAAN HAI"
      1st of all I warmly Welcome to Pegham at ur service

      @ Topic

      Bohut he Khoob shandar

      Bohut ache alfaaz ka chunaoo kia hai :)

      Thanks for sharing with us

      Comment


      • #4
        Re: Meri Aik Tehreer

        Wellcome to Pegham Janab
        behad khubsurat lafzo k chunao se aap ne ye pur asar tehreer share ki hai
        khushi wa gham k mille julle jazbo k sath aap ne jan dal di mukhtasir se kalam me
        Bohot Umda Share karti Rahiye Apne Anmol Qalm se Ubharne wale Lafzo ko
        Keep sharing
        Khush Rahey

        Comment


        • #5
          Re: Meri Aik Tehreer

          Beautiful sharing buth he achi tehreer hai aap key....

          alfaz ka istaml buth he khoobsoorati sey kia gaia hai

          :clap::clap::clap:
          :clap::clap:
          :clap:

          I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

          Comment


          • #6
            Re: Meri Aik Tehreer

            Originally posted by thefire1 View Post
            Assalaam-O-Alaikum

            Bohat khoob janab, bohat hi khoobsurat aur sabaq amooz tehreer hay aap ki.... bohat hi hasaas mozo ko kitnay achay alfaazon main aap nay paish kia hay jissay paRh kar zindagi main bohat kuch seekhnay ka mouqa mila...

            Dil say agar TOUBA ki jayay tou ALLAH SWT zaroor qubool kartay hain aur yehi pegham aap nay dia hay........ apni nadaamat, apnay gunahoon ki maafi uss nay apnay RAB say
            chahi aur mera RAB kitna GHAFOOR-O-RAHEEM hay kay uss kay dil say nikalnay waali sachi sada ko sunn kar uss ki BAKHSISH-O-MAGHFIRAT kardi....

            Likthay rahyeh aap ki khoobsurat tehreer say aap kay khoobusrat dil ki akaasi hoti hay, khush rahyeh

            FI Amaan ALLAH
            thanks alot...
            itni khobsuriti sey ap ne reply kiya hai k dil khosh hoaya...
            waqai is tarah k repliez parh kar mazeed likhney ko dil chahta hai...
            thans alot
            khosh rahiye....:):)

            Comment


            • #7
              Re: Meri Aik Tehreer

              Originally posted by kutkutariyaan View Post
              1st of all I warmly Welcome to Pegham at ur service

              @ Topic

              Bohut he Khoob shandar

              Bohut ache alfaaz ka chunaoo kia hai :)

              Thanks for sharing with us
              thank you so much....
              bohat khosh rahiye....:)

              Comment


              • #8
                Re: Meri Aik Tehreer

                Originally posted by azeems View Post
                Wellcome to Pegham Janab
                behad khubsurat lafzo k chunao se aap ne ye pur asar tehreer share ki hai
                khushi wa gham k mille julle jazbo k sath aap ne jan dal di mukhtasir se kalam me
                Bohot Umda Share karti Rahiye Apne Anmol Qalm se Ubharne wale Lafzo ko
                Keep sharing
                Khush Rahey
                bohat bohat shukriya apka....

                INSHALLAH share kari rahongi

                bohat khosh rahiye....:):)

                Comment


                • #9
                  Re: Meri Aik Tehreer

                  Originally posted by Tanha Hassan View Post
                  Beautiful sharing buth he achi tehreer hai aap key....

                  alfaz ka istaml buth he khoobsoorati sey kia gaia hai

                  :clap::clap::clap:
                  :clap::clap:
                  :clap:

                  thank you so much hasan bhai...
                  khosh rahiye....:):)

                  Comment


                  • #10
                    Re: Meri Aik Tehreer

                    Aap ne buhat khubsurti se hqeqat byan ki hey beshak allh apney bandoon per buhat mehrban hey baat sirf samjhney or ahsas ki hey jisko ahsas ho giya wo dunia se begana ho gaya.
                    khubsurat andaz e tehreer.
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Meri Aik Tehreer

                      Originally posted by syed sohail akhter View Post
                      Aap ne buhat khubsurti se hqeqat byan ki hey beshak allh apney bandoon per buhat mehrban hey baat sirf samjhney or ahsas ki hey jisko ahsas ho giya wo dunia se begana ho gaya.
                      khubsurat andaz e tehreer.
                      bohat shukriya bhai....
                      khosh rahiye....:)

                      Comment

                      Working...
                      X