Watan ki Muhabbat mey!
Hamara watan, hamein un azeem logon ki qurbaniyon key badolat mila jinhon ney iss zameen ko hasil kerney key liye apna aap tak qurban ker diya-
In logon ney watan ko hasil kerney key liye mehnat ki aur hum aaj in logon ki "Mehnat" ko zaya kerney key liye mehnat ker rahey hein---
In ki her kavish islam key farogh key liye thi aur aaj hamara her qadm hamein islam sey door ker raha hai---
In key dil Musalmano ko aik jaga ikhata kerney key liye kaam kertey they aur hamarey dilon mey barhney wali nafratein hamein roz aik naya firqa bakshti hein---
wo log "musalman aik jism ki manind hein" ka darss deytey they aur aaj hum "jaaney do yaar! " wali baat kertey hein---
wo log bhi watan sey muhabbat ka dawa kertey they aur aaj hum bhi watan sey muhabbat ka dawa kertey hein---leykin shayad hum sirf apni zaban sey dawa kertey hein aur hamara dil yahan hamara sath nahi deyta??---------leykin kam az kam hum mey aur un logon mey aik baat to mushtarik hai---zaban sey kahi hui baat ko dil ki awaz bana na koi ziada waqt nahi leyta----bas is per thora sa kaam kerney ki deyr hai--- inshALlah
ye "Pauda" un logon ney apney khoon sey lagaya tha --- hum ney issey murjhaaney nahi deyna hai balkey is ki heyfazat kerni hai aur issey aik tanawar drakht bana na hai--- inshAllah
Iqbal ney bohot khoob kaha hai
ye matti nam ho to barhi zerkheyz hai saaqi
Comment