Khizaan ka wahi mausam hai jo mujhe bachpan se hi pasand hai,bachpan main aksar jharte patton ko dekh ker main buhat khush hoti thi,phir un per chalna accha lagta tha,un patton ki awaaz ik ajeeb sa sakoon deti thi mere kanon ko...aj jab bachpan ka chotta sa safar khatam ker k main yahan tak pohanchi hon to parking main khari gari main beth ker khizaan k ise mausam ko buhat der tak dekhti rahi or buhat kuch yaad kerti rahi....
un yadon main khushian nahi udasi thi phir ehsas hoa k road per her gari kitni be-rukhi se chal rahi hai jese in garion mai bethe sab hi log bus apni zaat se hi taulluq rakhte hain,kise dosre ka inhe koi ehsas nahi...koi kitna bhi chakna choor ho log usk tukre samait'ne nahi ate.
khizaan k ye patte gir jate hain...bachpan mai main sochti thi k is shadeed serdi mai jab patte bhi girr jate hain to kiya in darakhton ko serdi nahi lagti?phir main kafi der tak darakhton ki ammi or abbu k bare mai sochti thi k wo apne bachon ko serdi se kese bachate hain?
Ab sochon ne kuch pukhtagi pakri to main insaan k bare mai sochti hon jis k dil per sara saal khizaan ka mausam chaya rehta hai or wo serdi mai her lamha kamp'ta rehta hai....
(31st dec,2005)
Barish!

Comment