Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Waqat........Dec 2005

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Waqat........Dec 2005

    bhot khoub haaya or Saima

    Saima tum kahe kahe kuch alfaz miss kargaye ho zara ghor se parho :p

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • #17
      Re: Waqat........Dec 2005

      NaaM Main bhi aik word miss hia

      Saim Shaheen

      jaldi main thi kiya :-?

      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • #18
        Re: Waqat........Dec 2005

        Thnx for notifying Naz jaldi jaldi mein type kiyan tha, aur spell mistake ho gayeh :tauba


        abhi correction ker di hai :embarasse
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: Waqat........Dec 2005

          hmmm...! Sahe hai :rose :eye:

          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • #20
            Re: Waqat........Dec 2005

            Originally posted by Saima Shaheen
            Me apney PC per nahi hoo in dino, werna Inpage main kerne ki koshish kerti. Me ne thori bongi mari hai parh lijiyeh ga

            ********************************** WAQT **********************************
            Waqt kehney ko ik chota sa lafz hai magar is ke kayee pehloo hain, yaan keh lain unginat roop hain.






            Magar dosri hi tarah yeh humari zindagi main sab se bara marham hai, gehrey se gehra zakhm waqt hi bharta hai.
            Kabhi yeh ek samandar ki tarah zindagi ka barey se bara raaz apney seeney main dafn ker leta hai aur kabhi ek toofan ki tarah aata hai aur humari sari khushian nigal jata hai.

            Issey youn bhi kaha ja sakta ahi ek waqt ek Aainey ki manind hai, hum jo kertey hain, chahyeh duniya ki nazron se bach jayeh magar yeh humesha humara roop humein dikha deta hai ........ hisab kitab main itna paka hai ke kabhi oudhar nahi rakhta, her kisi ko ki karnion ka anjam duniya main hi deta hai.


            Saima Shaheen
            Saima ji aap nay acha likha hay.likhti rahain umda likha hai .:)

            Comment


            • #21
              Re: Waqat........Dec 2005

              Originally posted by naz
              AsaLaMu ALaikum :rose

              Phele bar kisi Muqabley main hissa le rahe hon...jeetna ka shok nahi hia...bus aise he dil chaha ke shayad main bhi waqt per kuch likh sakti hon...So Likh deya :rose



              Baz oqat waqt or halat hamain aise rahon per le aatay hein..jahan hum chalna to nahi chahte...per chalna hamari majboori hota hai.. waqt beet jaata hai...Yaadein reh jate hain....hamesha se yehe hota aya hia...or najane kab tak aisa he hota rahe ga...waqt kabhi bhi kisi ke liye rukta he nahi hai...chalta he rehta hai...jaise koi pahya laga howa ho...aksur beeta howa kal...beete hue baatain...beete howa waqt..nazron ke samne chalne lagta hai...sochon main dobey hum in lamho ko apne andar tak mehsos karte hain...Kabhi aisa tha ke yeh sub pul hamare the...leken waqt ki dori ....sub kuch he juda juda kardete hai...apne buzargo se yehe sunte aye hain ke waqt ke sath chalna sekho...werna peche reh jao gai...ab najane hum waqt ke sath chal rahe hian ya nahi...yeh tu hamain apna mahasba karnay per he pata chale ga ke hum waqt ke sath chal rahe hian ya abhi bhi iss koshish main hain ke waqt hamare sath challay...!
              Khoob likha...:thmbup:

              Comment


              • #22
                Re: Waqat........Dec 2005

                cool sab ney bohot acha likha hai....
                mey ney to poori aik kahani likh di hai ...lol
                kya wo mey share ker sakti hun ....
                abhi to do din hein???
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #23
                  Re: Waqat........Dec 2005

                  aray jaldi karo na share...waqt guzar na jaye kahe

                  ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                  tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                  Comment


                  • #24
                    Re: Waqat........Dec 2005

                    Originally posted by barg.e.gul
                    cool sab ney bohot acha likha hai....
                    mey ney to poori aik kahani likh di hai ...lol
                    kya wo mey share ker sakti hun ....
                    abhi to do din hein???
                    tum abi tak sooch rahi hoo post karnay ka
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #25
                      Re: Waqat........Dec 2005

                      nahi...mey bas inpage kerney ka soch rahi thi :P
                      aur doosra ye key is baar im quite late....magar i'll inshAllah put it by tomorrow ...
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #26
                        Re: Waqat........Dec 2005

                        Aanchal bohat achha unwan diya hai - yeh lijiye meri kavish :)
                        Attached Files
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #27
                          Re: Waqat........Dec 2005

                          Mey pichley kai dino sey aik hi massley per soch raha tha.Bazahir sab kuch theek lag raha tha magar kaheen koi kami thi jis ko mey talash nahi ker sak raha tha

                          waqt guzar raha tha magar mujhey koi suragh nahi mil raha tha.saari raat teyhaltey huye guzar jaati aur meyri nazar musalsal ghari per hi rehti, aeysa lagta tha key merey aur waqt key darmayaan jang ho rahi hai----Pata nahi kyoon magar her guzartey pal key sath mujhey lag raha tha key agar mazeed deyr ho gai to bohot kuch ghalt ho jaye ga.Phir mey ney apney ird gird nazar daurai.sab kuch hi to theek tha.her koi khush tha---mujh sey---apni zindagi sey---phir bhi mujhey kuch adhoora lag raha tha----aur mey ab thakney laga tha---

                          kamrey mey bohot ziada ghutan honey lagi thi aur mujhey apney sath sath her cheez bhi thaki hui lag rahi thi-----mey ney khirki kholi to ander aati hui mausmé sarma ki yakh basta hawaein bhi is ghutan mey kuch kami na laa sakein----ab mey waqai pareyshan tha---ghari ney phir raat key teen baja diye they aur mey soch raha tha key agar aaj ye massla hal na hua to shayad subha na ho sakey gi---leykin massley ka ilm hota to iss key hal key baarey mey socha ja sakta tha---

                          mey issi kashmakash mey tha jab bohot kareeb sey awaz aayi

                          Pareyshan ho?

                          mey bohot heyrat zada tha key ye kaisi awaz hai leykin phir aik taweel guftugu ka sisila chal parha

                          haan...

                          waja?

                          yahi to nahi maloom...

                          kuch kho diya hai?

                          shayad...

                          kya?

                          wahi to talashna hai...

                          aik taweel khamoshi key baad aik sard Aaah! sunai di

                          "Tum ney logon key liye jeena shuru ker diya hai--aur apna "Aap" kaheen bhool gaye ho---tum apney "Aap" ko waqt na dey paye jis per us ka haq tha---"wo" tumhein pukarta raha aur tum logon key kaamon mey juttey rahey---tum ney apney "Aap" ko mukamal taur per faramosh ker diya hai--aaj "wo" khatam ho raha hai----"wo" tumhein bula bula ker ab thak gaya hai---"

                          Fajr ki azaan ki awaz ney mujhey chuanka diya aur mey heyran tha key kab, kahan, kaisey ----ye sab ho gaya----mey apney aap ko kaisey bhool gaya---

                          leykin phir aik khayal sey merey labon per muskurahat pheyl gai---mey ney apney Allah sey ma'afi maangni hai aur logon key liye jeetey huye kabhi apney aap ko peechey nahi chorna---iss sey pehley key waqt bhi meyra sath chor dey----mujhey ussey manana ho hai----


                          ---ab her kami poori ho gai thi aur aaj ki subha aik roshan subha thi----


                          Last edited by Z.; 31 December 2005, 03:50.
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #28
                            Re: Waqat........Dec 2005

                            wow zabardast:thmbup:
                            bohaaat he achaa likha hai sab nay.. :D:

                            Comment

                            Working...
                            X