Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

    Aik chotti see tehreer.....
    Attached Files

  • #2
    Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

    Muskan aik baat kabhi na bhooliye ga keh Allah Tala apney bandoon sey kabhi mayoos nahin hota. Agar hota hai to insaan hi mayoos hota hai. Aur yehi aik mayoosiyat hai jo na siraf ham Pakistaniyon mein dekhi jaa rahi hai balkey puri insaniyat is soch mein hai keh Allah ki rehmat zehmat kaisey ban gaee hai???? Iska siraf aik jawab hai merey nazdeek... Allah key har maslak key peechey koi na koi bhalaee hoti hai, koi na koi raaz posheedah hai jissey ham log nahin samajh saktey. Haan is waqt ham sab per aik tarha ka marg taari hai, ham sab is aafat ko tasleem nahin ker paa rahey, ham sab apni sari jama poonji jamaa bhi ker dein to woh masoom janein jo khoi jaa chuki hai, unka azala nahin ker saktey. Balkey ham ulta yehi sawaal kertey rahein ge keh inka kya qasoor tha??? Well. Qasoor ho ya na ho. Allah Tabarak-o-Tala ki lathi be'awaz hoti hai. Kisi ko koi ilam nahin keh yeh laathi kab aur kahan chaley gi. Koi qasoor'war ho key na ho. Lekin haq to yeh hai keh jinka qasoor nahin hota, woh muashrey key doosrey logon key liye sabaq ban jatey hain. Aur yehi woh sabaq to hai jo Allah ki zaat hamein azal sey apna itaab nazal farma ker dey rahi hai, magar ham mein kon hai jo Allah ki warning ko pakarta hai??? Tsunami ki qayamat guzri hi nahin thi hamarey mulk mein BASANT ko shayaan-e-shaan tareeqey sey manaya geya, croron ki sharab bechi gaee - qasoor kiska hai? Hamara na.
    Haan mujhey bhi dil ki gehraiyon sey dukh hai keh main ney nanney munney bachon key haath kattey huwey dekhey hain. Magar woh kya hai keh Allah Tala ney kis ko kitni zindagi deni hai, wohi janta hai, kis tarha ki maut deni hai wohi janta hai. Ham kon hotey hain Us ki hikmat mein bolney waley???
    Jo kaam usney hamarey supurd kiya hai, hamein ussey hi ehsan tareeqey sey poora karna seekhna ho ga, aur woh yeh hai keh hamein apney aap ko pehchan'na hai. Is hadisey sey aik baat khul ker samney aa gaee hai keh ham aik hain aur jab koi mushkil parrey gi to sab aik jaggah jama ho sakein gey aur merey khiyaal mein yehi is khizaan ka sab sey bada Pegham hai :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

      buhat achay andaaz say aap nay apnaay jazbaat ki akasi ki hai :thmbup: .....waqai main jo hova tarkeeh sadeoun isay yaad reakhye gee ......lekan umeed ki kiran abhi baki hai or is pay chal kay aik nai manzil ki taraf barhna hai :rose
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

        Masood aur Aanchal aap dono ka boht shukriya...........waqaee Allah k har kam mein hikmat hoti hey jis ka humein idrak nhi ho skta.......shayed Allah ta'ala ne hum ghaflat mein parray insanon ko jaganay k liye aik jhatka diya hey k MEIN hoon sub se barra, chahoon to tumein minton mein neest o nabood ker doon........mugar jo jani nuqsan hua uss per dil khoon k ansoo rota hey.....Allah hum sub ko sber day, ameen..........mein uss ki rehmat se mayoos nhi hoon mugar shikwah bhi to hum ussi Allah k ru baru ker sktay hein na! wohi hajet rawa hey hum sub ka, alem ki gharriyon mein bhi aur imtehan ki sakhtiyon mein bhi.
        Dua kerti hoon k wo khizaan ko humaray liye bahar ki amed bna day aur mazeed azmayeshon se bachaye. ameen

        Comment


        • #5
          Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

          her aany wala bacha es baat kee elamat hay k Allah abi insaan sy mayoos nahi hay....
          bakee Muskan aap kee tehreer pari really buhat hee achi direct dil ko lagi ....aap ny buhat hee acha likha hay ....
          KHuda khaliq hay malik hay...os k aagy to kisi kee nahi chalti...
          hum esy azab kahee ya koi azmaish ....
          lakin azab aisa nahi huta ...ager kisi koam per aata hay to poori kee poori Koam hee khatam hu jati hay jaisa k pichli koamian hui thi..
          hum yehan kuch nahi ker sakty hain siway likhny k aur Ansoo bahany key...
          dunia main rozana amwat huti hay kabi kaheen kabi kaheen wo b to khuda kee taraf sy hain ....hazaron bachy foat huty hain.....koi to paida hee foat huty hain un ka kia kasoor huta hay....jo bacha paida hee foat huta hay us sy konsi azmaish...
          han to main keh raha tha k her roz amwat huti hain keheen na kaheen
          lakin wo hee aik hee jaga ager akhthi hu jay to kia....
          yeh sab usi kee taraf sy hain hum ashraf ul makhlook hu ker b bey bus hain.
          .................................
          bakee mujy buhat hee khushi hui hain aap kee tehreer parr ker aap ka jazba bakele qadar hay...
          ALLAh aap kee dua kabool kerian ammen
          ager koi ghalt baat keh di to ALLAH muafee dy aur aap sy pehly hee mahzrat.
          khush rahyee

          Comment


          • #6
            Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

            Muskan Sis................ kya kahoon .......... Jin masoom logo'n bacho ne is main jaan ganwayi hai, oun ka koi kasoor tha ke nahi, hum nahi jantey. Khuda ne oun ki maut is tarah likhi thi, oun logo ko apne pas is tarah bulana tha, kiu .......... yeh sab ous ki marzi thi. Ab yeh hum per hai hum issey khudh ke liyeh ek sabaq samjhein yaan abhi bhi gaflat main rahein ...........Magar ek baat hai ke paak zaat jis ne humein paida kiya, hum per beshumar rehmatein nazil ki, wo kabhi bereham nahi ho sakta, wo apne bando se behad pyar kerta hai ounhien aziyat kabhi nahi dai sakta. Wo jinhein azmaish main dalta hai ousey himat bhi ataa kerta hai, jisey takleef main dalta hai badley main ous ke gunah bakhsh deta hai ......... yeh sab ous ki marzi per hai ........... humein shikwa kerne ka koi haq nahi hai ................ sirf itna yaqin rakhna chahiyeh ke wo jo jese kerta hai sab ke haq main wahi behter hota hai, kiu ke wo is kul kainat ka rab hai, jo wo janta hai humari naqis aqal kabhi nahi samajh sakti.
            Hum sirf yeh dua ker saktey hain ke jo takleef main hain oun ki takleef ko kam karey, ounhien sabar aur himat dai ......... Laikin yahan bas ek baat zaror kahoon gi ke Jab kabhi aisi koi aafat aati hai to humarey apne sarkerdah gunaho'n ka natija hai........ humarey liyeh her baat her maslahat ka hal khuda ne Quran main diya hai, ager hum ousey samjhein, ous per amal karein to humesha ker tarah ke gunah aur saza se abchein rahein .....

            Yahan mujhe Soora-Al-Asar zehan main aa gayi........ jahan Insan ko talqeen ki gayi hai ke waqt ous ke liyeh halakta hai, siwayeh oun logo ke jo haq per hon.

            Attached Files
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

              Muskan shuru mey meyrey zeyhan mey bhi bohot ajeeb sey khayalaat they kye ye kyooon ayesa hua samjh nahi aati thi key Allah sey du'a kis tarha ki jaye ..kya manga jaye kya kaha jaye...

              magar is key sath sath jab apney logon mey itni muhabbat deykhi jis tareeky unhon ney apney aap ko hazir kiya madad kerney key liye...ye to wo hein jo wahan Pakistan mey they aur jo Pakistan sey dur hein un ko jab deykha aur apney aap ko bhi key apney watan sey aur apney logon sey kitni muhabbat hai ...

              beyshak Allah T'ala key her kaam mey hamarey liye hi koi bhalai hoti hai jo baad mey hamein nazar bhi aati hai magar us time ham ulta shikwa hi ker beyth tey hein...

              aur phir Allah T'ala to apney bando sey itni zaida muhabbat kertey hein

              is sab key baad hamara kya kaam hai wo ye key hum seedhey raastey per laut jayein aur sirf aur sirf Allah T'ala hi sey ruju karein chahey hamein koi bhi masla ho...

              aur sath mey in logon key liye jitna bhi ho sakey du'a plus in ki madad karein

              Beyshak Allah T'ala bohot meharbaan hai
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #8
                Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

                Originally posted by KHL
                her aany wala bacha es baat kee elamat hay k Allah abi insaan sy mayoos nahi hay....
                bakee Muskan aap kee tehreer pari really buhat hee achi direct dil ko lagi ....aap ny buhat hee acha likha hay ....
                KHuda khaliq hay malik hay...os k aagy to kisi kee nahi chalti...
                hum esy azab kahee ya koi azmaish ....
                lakin azab aisa nahi huta ...ager kisi koam per aata hay to poori kee poori Koam hee khatam hu jati hay jaisa k pichli koamian hui thi..
                hum yehan kuch nahi ker sakty hain siway likhny k aur Ansoo bahany key...
                dunia main rozana amwat huti hay kabi kaheen kabi kaheen wo b to khuda kee taraf sy hain ....hazaron bachy foat huty hain.....koi to paida hee foat huty hain un ka kia kasoor huta hay....jo bacha paida hee foat huta hay us sy konsi azmaish...
                han to main keh raha tha k her roz amwat huti hain keheen na kaheen
                lakin wo hee aik hee jaga ager akhthi hu jay to kia....
                yeh sab usi kee taraf sy hain hum ashraf ul makhlook hu ker b bey bus hain.
                .................................
                bakee mujy buhat hee khushi hui hain aap kee tehreer parr ker aap ka jazba bakele qadar hay...
                ALLAh aap kee dua kabool kerian ammen
                ager koi ghalt baat keh di to ALLAH muafee dy aur aap sy pehly hee mahzrat.
                khush rahyee

                Khalil bhai aap ka shukriya, bass yeh sadma ahesta ahesta hi kum ho ga....aur aap ko mujh se mazrat kernay ki kia zaroorat pesh aa gai hey, meray bhai aap ne koi ghalat bat nhi ki hey.
                aap logon ki replies se mujhey boht himmat mili hey, aur zehn jo boht zayada muntashir ho gya tha ab sakoon mein hey. Bass yehi waqt hota hey jub insan, insan ka dukh banta hey aur kehtay hein na k dukh bantanay se kum aur khushiyan bantanay se zayada hoti hein. Allah Ta'ala ne ager yeh dukh dikhaya hey to mera iman hey k wo meray logon ko khushi bhi aisay hi dikhaye ga dil khol ker..inshaAllah!

                Comment


                • #9
                  Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

                  Originally posted by Saima Shaheen
                  Muskan Sis................ kya kahoon .......... Jin masoom logo'n bacho ne is main jaan ganwayi hai, oun ka koi kasoor tha ke nahi, hum nahi jantey. Khuda ne oun ki maut is tarah likhi thi, oun logo ko apne pas is tarah bulana tha, kiu .......... yeh sab ous ki marzi thi. Ab yeh hum per hai hum issey khudh ke liyeh ek sabaq samjhein yaan abhi bhi gaflat main rahein ...........Magar ek baat hai ke paak zaat jis ne humein paida kiya, hum per beshumar rehmatein nazil ki, wo kabhi bereham nahi ho sakta, wo apne bando se behad pyar kerta hai ounhien aziyat kabhi nahi dai sakta. Wo jinhein azmaish main dalta hai ousey himat bhi ataa kerta hai, jisey takleef main dalta hai badley main ous ke gunah bakhsh deta hai ......... yeh sab ous ki marzi per hai ........... humein shikwa kerne ka koi haq nahi hai ................ sirf itna yaqin rakhna chahiyeh ke wo jo jese kerta hai sab ke haq main wahi behter hota hai, kiu ke wo is kul kainat ka rab hai, jo wo janta hai humari naqis aqal kabhi nahi samajh sakti.
                  Hum sirf yeh dua ker saktey hain ke jo takleef main hain oun ki takleef ko kam karey, ounhien sabar aur himat dai ......... Laikin yahan bas ek baat zaror kahoon gi ke Jab kabhi aisi koi aafat aati hai to humarey apne sarkerdah gunaho'n ka natija hai........ humarey liyeh her baat her maslahat ka hal khuda ne Quran main diya hai, ager hum ousey samjhein, ous per amal karein to humesha ker tarah ke gunah aur saza se abchein rahein .....

                  Yahan mujhe Soora-Al-Asar zehan main aa gayi........ jahan Insan ko talqeen ki gayi hai ke waqt ous ke liyeh halakta hai, siwayeh oun logo ke jo haq per hon.
                  ji Saima aap ne bilkul baja farmaya k yeh waqt khud ko sambhal ker apnay behn bhaiyon k dukh ko btanay ka hey..........aap ki bat se 1005 ittefaq kerti hoon k yeh humaray kiye huye gunahon ka hi bojh tha jo zameen jhail nhi pai..........kal tilawat kertay huye tarjumay k kuch alfaz zehn men reh gaye jin ka mafhoom yeh tha k gunehgaron k sath wo log bhi tabah ker diye jatay hein jin ka koi qasoor nhi hota mugar unn ka qasoor yeh hota hey k wo gunah kernay walon k darmyan reh rahay hotay hein.(ager mein ne ghalat byan kia ho to allah Ta'ala mohaf karay).

                  Dua kerti hoon k Allah Ta'alah humein seedhay rastay per chalaye nah k unn logon k rastay per jo haq se bhatak gaye. ameen

                  Comment


                  • #10
                    Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

                    Originally posted by barg.e.gul
                    Muskan shuru mey meyrey zeyhan mey bhi bohot ajeeb sey khayalaat they kye ye kyooon ayesa hua samjh nahi aati thi key Allah sey du'a kis tarha ki jaye ..kya manga jaye kya kaha jaye...

                    magar is key sath sath jab apney logon mey itni muhabbat deykhi jis tareeky unhon ney apney aap ko hazir kiya madad kerney key liye...ye to wo hein jo wahan Pakistan mey they aur jo Pakistan sey dur hein un ko jab deykha aur apney aap ko bhi key apney watan sey aur apney logon sey kitni muhabbat hai ...

                    beyshak Allah T'ala key her kaam mey hamarey liye hi koi bhalai hoti hai jo baad mey hamein nazar bhi aati hai magar us time ham ulta shikwa hi ker beyth tey hein...

                    aur phir Allah T'ala to apney bando sey itni zaida muhabbat kertey hein

                    is sab key baad hamara kya kaam hai wo ye key hum seedhey raastey per laut jayein aur sirf aur sirf Allah T'ala hi sey ruju karein chahey hamein koi bhi masla ho...

                    aur sath mey in logon key liye jitna bhi ho sakey du'a plus in ki madad karein

                    Beyshak Allah T'ala bohot meharbaan hai

                    Gul beshakk iss sanehay ne jis trah sub humwatno ko ikatha ker k aik platform per la kharra kiya hey iss ki misal nhi milti, warna to har waqt inteshar rehta tha mulk mein........kabhi sunni shia ka jhaggrra, to kabhi sindhi pathan ka jhagrra..........ab Allah Ta'ala ne ehsas dilaya hey k hum sub aik hein aur insan hein aur har moamlay mein aik doosray k mohtaj hein.

                    Allah Ta'ala humari yakjehti aur aik doosray k liye muhabat ko humesha issi trah barqraar rakhay, ameen

                    Comment


                    • #11
                      Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

                      :rose Dear Muskan W/A
                      aap ki dil ko choo lene wali tahree padhi yaqeen janeN is waqt har aankh nam dil shikastah hai, magar qudrat ne jo kiya wo behtar kiya ye mera imaan hai main is bahas ka hissa naheen banna chahta ki kaun masoom tha aur kaon naheen bas itna kahoon ga ki ye wo imtihan hai jo na to pahli bar hai aur na akhri, 50 saal pahle bhi imtihan liya gaya aur qaum zafaryab hui is bar andaz mukhtalif thaa aur Allah ka shukr hai majmooi taur per qaum ne apni imanee hararat,milli akoowat,dard mandi,isaar,frakhdili ka jis deeni jazbh se izhar kiya hai dar-asal yahi maqood-e-Elahi tha, aur taqaz-e-waqt bhi,meri tamam tar duaayeN un naonehalan-e-qaum ke sath hain jo ab hamari aur aap sab ki zimmedariyon ka hissa hain aane wala waqt batayega ki hamne apni zimmedariyan kis had tak ada kiN aur agar hum nakam rahe to is tabahi ko jawaz bhi mil jayega,aayiye duaa karen Elahi hum sab ko is imtehan men hamesha ki tarah sukhuru kare,AAMEEN ....
                      aur un tamam khush bakht marhoomeen ki maghferat farmaye jinko ye maah-e-siyam mila AAMEEN.......Kash main un khush bakhton me se hota!!
                      in 2 ashaar ke sath ijazat deN..

                      khulte hain andheron men ujalon ke dareeche
                      aati hai sehar raat ki manzil se guzar key:rose
                      *********
                      Nasheman per nasheman is qadar taamir karta ja
                      ki bijli girte girte aap khud bezaar ho jaaye:dua

                      Comment


                      • #12
                        Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

                        Asslam-o-ALikum WRW B

                        kya karu ! tareef karu ky acha . likha hy to bhi takleef main khud jalu gi .... aur na karu tab bhi takleef hi ...

                        FeaamNAllah
                        Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                        Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                        Comment


                        • #13
                          Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

                          Originally posted by Bheegi-Palkain
                          Asslam-o-ALikum WRW B

                          kya karu ! tareef karu ky acha . likha hy to bhi takleef main khud jalu gi .... aur na karu tab bhi takleef hi ...

                          FeaamNAllah


                          yeh kia bat hui bhala?:shh: .......tareef zaroori nhi hey na.......per aap jalo gi kiyun?

                          Comment


                          • #14
                            Re: Yeh Kaisi Rutt Aai Hey?

                            Originally posted by riyaz
                            :rose Dear Muskan W/A
                            aap ki dil ko choo lene wali tahree padhi yaqeen janeN is waqt har aankh nam dil shikastah hai, magar qudrat ne jo kiya wo behtar kiya ye mera imaan hai main is bahas ka hissa naheen banna chahta ki kaun masoom tha aur kaon naheen bas itna kahoon ga ki ye wo imtihan hai jo na to pahli bar hai aur na akhri, 50 saal pahle bhi imtihan liya gaya aur qaum zafaryab hui is bar andaz mukhtalif thaa aur Allah ka shukr hai majmooi taur per qaum ne apni imanee hararat,milli akoowat,dard mandi,isaar,frakhdili ka jis deeni jazbh se izhar kiya hai dar-asal yahi maqood-e-Elahi tha, aur taqaz-e-waqt bhi,meri tamam tar duaayeN un naonehalan-e-qaum ke sath hain jo ab hamari aur aap sab ki zimmedariyon ka hissa hain aane wala waqt batayega ki hamne apni zimmedariyan kis had tak ada kiN aur agar hum nakam rahe to is tabahi ko jawaz bhi mil jayega,aayiye duaa karen Elahi hum sab ko is imtehan men hamesha ki tarah sukhuru kare,AAMEEN ....
                            aur un tamam khush bakht marhoomeen ki maghferat farmaye jinko ye maah-e-siyam mila AAMEEN.......Kash main un khush bakhton me se hota!!
                            in 2 ashaar ke sath ijazat deN..

                            khulte hain andheron men ujalon ke dareeche
                            aati hai sehar raat ki manzil se guzar key:rose
                            *********
                            Nasheman per nasheman is qadar taamir karta ja
                            ki bijli girte girte aap khud bezaar ho jaaye:dua


                            Riyaz Bhai aap ki har dua per sachay dil se AMeen keht hoon, Allah aap ki duaon ko ijab o qabooliyat se sharfyab farmaye. Ameen

                            Comment

                            Working...
                            X