Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tasweer Kahani - October 2005

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tasweer Kahani - October 2005

    October ka maheena Ramzan-ul-Mubarak ka maheena hai. Is maheeney ki nisbat sey ham ney jo tasweer muntakhib ki hai, uska unwaan hai RAMAZAN. Aap sey guzarish hai keh Ramzan key hawaley sey mazameen likh kar post kijiye... :rose
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Tasweer Kahani - October 2005

    :insha: Is per next week zaror share kero gi :)
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Tasweer Kahani - October 2005

      MashaAllah Saima aap ney aik bohat hi nafees andaaz mein Ramzan-ul-Mubarak ki fazeelaton ko biyaan kiya hai. Waqiye mein is maheeney ki fazeelat ko biyaan karney key liye bohat sey alfaaz darkar hon ge - bohat aala :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Tasweer Kahani - October 2005

        Originally posted by Masood
        MashaAllah Saima aap ney aik bohat hi nafees andaaz mein Ramzan-ul-Mubarak ki fazeelaton ko biyaan kiya hai. Waqiye mein is maheeney ki fazeelat ko biyaan karney key liye bohat sey alfaaz darkar hon ge - bohat aala :)
        Haan, me ne tasweer per nahi unwan per likha hai :d ......... tasweer to iftar ki thi, unwan "maah-e-ramzan" tha :D:


        magar baqi logo ne kiu nahi likha ab tak :(
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Tasweer Kahani - October 2005

          Nice Saima
          bohaat he zabardast tareeky sy ap nay likha hai ramzan ki fazelat aur barkat ky bary main ..:rose
          Mai InshAllah next week tak share kero ge :)

          Comment


          • #6
            Re: Tasweer Kahani - October 2005

            :jazak: Saima ap ne buhat omda aor khobsorat likha he. Ap ke alfaz apni zoban khud bol rahe hein - Allah ap ko buhat kamyab kare Ameen :)

            Comment


            • #7
              Re: Tasweer Kahani - October 2005

              bohat aacha likha samia app nay :)

              Comment


              • #8
                Re: Tasweer Kahani - October 2005

                good saima :thmbup:

                main bhi likhoun gee :insha:

                aap loog zara is kay rules to bataye kay kis taraha mazmoon likha jaye kitna lamba hoo waghera waghera ...:rose
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: Tasweer Kahani - October 2005

                  Masood, Komal, Hassan, Rabi aur Aanchal buhut shukriya :ff:

                  Komal aap ki sharing ka intezar hai, Aanchal mujhe khudh yeh rules nahi pata they ........ magar pehley akser aisi chizon main participate kiya kertithi aur likhti thi, is liyeh ous andazey se likh diya :)
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Tasweer Kahani - October 2005

                    Ma'shaAllah nehayat khubsorti se likha gaya hai yeh mazmoon

                    Comment


                    • #11
                      Re: Tasweer Kahani - October 2005

                      MashAllah saima bohot acha likha :thmbup:
                      mey ney apney mazmoon ko inpage kerna hai ... mushkil marhala ...
                      Originally posted by Aanchal

                      aap loog zara is kay rules to bataye kay kis taraha mazmoon likha jaye kitna lamba hoo waghera waghera ...:rose
                      500 to 1000 words :P
                      Ramdan ka maheena hai isi liye rule bhi bohot asaan sa rakha hai :D
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #12
                        Re: Tasweer Kahani - October 2005

                        Originally posted by barg.e.gul
                        MashAllah saima bohot acha likha :thmbup:
                        mey ney apney mazmoon ko inpage kerna hai ... mushkil marhala ...


                        500 to 1000 words :P
                        Ramdan ka maheena hai isi liye rule bhi bohot asaan sa rakha hai :D
                        abhi aisaye hi post kar daiti houn roman main .. pher ahesta ahesta inpage pay likhti rahoun gee :wk kahi aisa na hoo inpage pay likhtay likhtay Oct ka month hi guzar jaye :lol
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #13
                          Re: Tasweer Kahani - October 2005

                          :rose
                          jald hi inpage pay likh kay post karoun ge :rose


                          Allha tala ka karorr baar ehsaan hai kay us nay humaye roozay jesi azeem nemat say nawaza...is ki har gharri rehmat hai ....is maheenay main ajr-o-sawaab bhi buhat barh jata hai..is main Nafal ka sawaab faraz kay barabar or Faraz ka sawaab 70 guna zaida kar dia jata hai...jo koi Ramzaan al mubarak main aik baar "Subhaan Allha" kahey , usay utna sawaab millaye ga jitna ghair ramzaan main aik laakh baar SubhaanAllha kehnay pay milta hai..

                          Rozadaroun kay leye darya ki machliyan bhi aftaar tak dua-e-maghfarat karti rehti hain ...Ramzaan ka maheena Allha ka maheena hai is main Allha hi kay kaam hotay hain or Allha hi is maheenay ki ebadat ki jaza dayta hai ..
                          Hazoor(p.b.u.h) nay farmaya ... " agar bandoun ko maloom hota ramzaan kia hai to mere ummat tamanna karti kay kaash! poora saal ramzaan hi hoo"
                          Is mahaney main moman ka rizak barha dia jata hai .jo is main rozadaaro ko rooza aftaar karey us kay ghunahoun kay leye maghfarat hai...us ki gardan aag say azaad kar di jaye gee...Razmaan main jo maar jaye us say sawalat-e-qabar bhi nahi hotay...Ramzan main Iblees ko qaid kar dia jata hai or Dozakhkay darwazaye bhi band kar deye jatay hain...
                          Ramzaan main kahanay peenay ka bhi hissab nahi hota ...AFtaar or sehar kay waqat jo bhi dua mangi jaye woh qabool hoti hai...is ka har lamha ebadat hai ...ramzaan kay mahany key leye sara saal Janat ko sajaya jata hai ...
                          is mah koi neeki nahi choorni chaye ...na janay Allhako koon si neeki pasand a jaye ..or koi chotay say chutay ghuna bhi nahi karna chaye na janay kis ghuna par Allha tala naraaz hoo jaye ..or us ka dadarnaak azaab gheer lay...
                          Ramzaan main youn to sara manahena hi ebadat ka sawaab milta hai lekan is main aik raat aisai bhi ati hai jis main ebadat ka sawaab kai guna zaida hota hai ....Allha Tala ham sab ko rooza reakhnay or neek kaam karnay ki toufeeq ata farmaye (ameen)
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #14
                            Re: Tasweer Kahani - October 2005

                            lol Aanchal ....jab inpage per karo gi tabhi mey perhun gi ...abhi itni himmat nahi hai issey roman mey perhney ki :P
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #15
                              Re: Tasweer Kahani - October 2005

                              ^good girl..Aanchal mey ney kal hi perh liya tha ..is mey akhri hadees bohot payari hai (Y)
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...