October ka maheena Ramzan-ul-Mubarak ka maheena hai. Is maheeney ki nisbat sey ham ney jo tasweer muntakhib ki hai, uska unwaan hai RAMAZAN. Aap sey guzarish hai keh Ramzan key hawaley sey mazameen likh kar post kijiye... :rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Tasweer Kahani - October 2005
Collapse
X
-
Re: Tasweer Kahani - October 2005
MashaAllah Saima aap ney aik bohat hi nafees andaaz mein Ramzan-ul-Mubarak ki fazeelaton ko biyaan kiya hai. Waqiye mein is maheeney ki fazeelat ko biyaan karney key liye bohat sey alfaaz darkar hon ge - bohat aala :)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Tasweer Kahani - October 2005
Originally posted by MasoodMashaAllah Saima aap ney aik bohat hi nafees andaaz mein Ramzan-ul-Mubarak ki fazeelaton ko biyaan kiya hai. Waqiye mein is maheeney ki fazeelat ko biyaan karney key liye bohat sey alfaaz darkar hon ge - bohat aala :)
magar baqi logo ne kiu nahi likha ab tak :(sigpic
Comment
-
Re: Tasweer Kahani - October 2005
good saima :thmbup:
main bhi likhoun gee :insha:
aap loog zara is kay rules to bataye kay kis taraha mazmoon likha jaye kitna lamba hoo waghera waghera ...:rose
Comment
-
Re: Tasweer Kahani - October 2005
Masood, Komal, Hassan, Rabi aur Aanchal buhut shukriya :ff:
Komal aap ki sharing ka intezar hai, Aanchal mujhe khudh yeh rules nahi pata they ........ magar pehley akser aisi chizon main participate kiya kertithi aur likhti thi, is liyeh ous andazey se likh diya :)sigpic
Comment
-
Re: Tasweer Kahani - October 2005
MashAllah saima bohot acha likha :thmbup:
mey ney apney mazmoon ko inpage kerna hai ... mushkil marhala ...
Originally posted by Aanchal
aap loog zara is kay rules to bataye kay kis taraha mazmoon likha jaye kitna lamba hoo waghera waghera ...:rose
Ramdan ka maheena hai isi liye rule bhi bohot asaan sa rakha hai :D" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Tasweer Kahani - October 2005
Originally posted by barg.e.gulMashAllah saima bohot acha likha :thmbup:
mey ney apney mazmoon ko inpage kerna hai ... mushkil marhala ...
500 to 1000 words :P
Ramdan ka maheena hai isi liye rule bhi bohot asaan sa rakha hai :D
Comment
-
Re: Tasweer Kahani - October 2005
:rose
jald hi inpage pay likh kay post karoun ge :rose
Allha tala ka karorr baar ehsaan hai kay us nay humaye roozay jesi azeem nemat say nawaza...is ki har gharri rehmat hai ....is maheenay main ajr-o-sawaab bhi buhat barh jata hai..is main Nafal ka sawaab faraz kay barabar or Faraz ka sawaab 70 guna zaida kar dia jata hai...jo koi Ramzaan al mubarak main aik baar "Subhaan Allha" kahey , usay utna sawaab millaye ga jitna ghair ramzaan main aik laakh baar SubhaanAllha kehnay pay milta hai..
Rozadaroun kay leye darya ki machliyan bhi aftaar tak dua-e-maghfarat karti rehti hain ...Ramzaan ka maheena Allha ka maheena hai is main Allha hi kay kaam hotay hain or Allha hi is maheenay ki ebadat ki jaza dayta hai ..
Hazoor(p.b.u.h) nay farmaya ... " agar bandoun ko maloom hota ramzaan kia hai to mere ummat tamanna karti kay kaash! poora saal ramzaan hi hoo"
Is mahaney main moman ka rizak barha dia jata hai .jo is main rozadaaro ko rooza aftaar karey us kay ghunahoun kay leye maghfarat hai...us ki gardan aag say azaad kar di jaye gee...Razmaan main jo maar jaye us say sawalat-e-qabar bhi nahi hotay...Ramzan main Iblees ko qaid kar dia jata hai or Dozakhkay darwazaye bhi band kar deye jatay hain...
Ramzaan main kahanay peenay ka bhi hissab nahi hota ...AFtaar or sehar kay waqat jo bhi dua mangi jaye woh qabool hoti hai...is ka har lamha ebadat hai ...ramzaan kay mahany key leye sara saal Janat ko sajaya jata hai ...
is mah koi neeki nahi choorni chaye ...na janay Allhako koon si neeki pasand a jaye ..or koi chotay say chutay ghuna bhi nahi karna chaye na janay kis ghuna par Allha tala naraaz hoo jaye ..or us ka dadarnaak azaab gheer lay...
Ramzaan main youn to sara manahena hi ebadat ka sawaab milta hai lekan is main aik raat aisai bhi ati hai jis main ebadat ka sawaab kai guna zaida hota hai ....Allha Tala ham sab ko rooza reakhnay or neek kaam karnay ki toufeeq ata farmaye (ameen)
Comment
Comment