Asslam-o-Alikum WR WB
shaminyo ki gunjh mery kano say guzar kar rahi hy ........ aj wo sapna jis ko aksar
raat kay karwato main dekha karti thi .....us ki haqeeqat saaf nazar arhi hy....sakhiyo ky hatho
sajna sawarna acha lag rha hy .....jo nakbat ,jo jor zindagee ny dekhy thy aj un ko suljhny ky
liya kisi ny mery sath qadam barhnay ka ahad karna hy....yahi dhun her lamhy mery dil ky gosho
main janam lyti ja rahi hy .....surkh poshak , jhumkay , bindiya aur ya payal .........mery tan ko
ajj apni zaroort samjh rahy hy .....hatho ki hina is baat ki gawahi dey rahi hy ky aaj mery khubo
ko haqeeqat ka rang mil rha hy , her taraf ghama ghami is baat ki gawahi dey rahi hy kay janat
aaj mery der per dastak dey ny ko baykraar hy , her taraf halacahl machi hui hy her taraf sey
geet aaj mery liya apnay alfazo ka haq ada kr rhy hy .....
pr haal sey pahly aik mazi bhi hy ........wo mazi jis ko roposh nhi kya jasakta hy ,wo mazi jis
ny mery zindagee ko aik arsay tak muntashir kr rakha hy.....wo ghum jo lail-o-nhar mery dil main
aik kanty ki maninind chubta rha us say bhi ankh macholi nhi khili jati....phuser phuser rony ki awaz
bhi in shamino main asar rakhti nazr ati hy .....ya bhi aik sacahi hay jis ko nazar anadz krna mery
liya mumkin hi nhi ....yahi haal , ya geet , yahi poshak yahi log aaj sey pahly bhi meri hi zindagee
ka hisa thy ........yahi khushya barso pahly bhi mery hi anagan main nechawar hui thi .....isi trha in
hatho ko hina ny chuma tha , isi trha kangan ny meri kaliyo ko apni zeenat banaya tha aur isi poshak
ny mery jism ko chuna tha ..........kya ya phir sey mazi ki aahat hy ya meri manzil ki shurat....?
Nahi!....ya buri aahat nhi hy .......ya to meri zindagee ka aj naik shughan hy , ya kangan,payal , jhumkay
aaj ya sab mery saath hy , aaj hina ka rang kacha nhi hy .... ya mazi ki dastak nhi haal ka sangeet hy , zindagee
ki aaj pahli serhi mey ny kisi ky hatho ko tham kar charhni hy .....mery Maa ki ankho main ya ansoo dukh ky nhi
khushi ka paygham liya bathy hy , bhano ka payra aj mujh per nichawar ho ga , sakhiyo ky geet aaj mery liya
hi alfazo ka phool jhaar rhy hy ........Haan! ya zindagee ki shurat hy , jina ki ahat hy aur mahfooz hatho ki talab hy.
Ajj ky baat her geet , her khushi , her aik ki dua mery qadmo ko chumay gi .......aaj main kisi ki izzat aur kisi ki
chaat banu gi ..........ya sach hay pagli! ajj main sirf usi ki umar bhar ky liya Dulhan ban jaw gi ....Sirf uski zindagee
ki Dulhan.
FeamanAllah

Comment