Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

--------Dulhan-----

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • --------Dulhan-----

    Asslam-o-Alikum WR WB

    shaminyo ki gunjh mery kano say guzar kar rahi hy ........ aj wo sapna jis ko aksar

    raat kay karwato main dekha karti thi .....us ki haqeeqat saaf nazar arhi hy....sakhiyo ky hatho

    sajna sawarna acha lag rha hy .....jo nakbat ,jo jor zindagee ny dekhy thy aj un ko suljhny ky

    liya kisi ny mery sath qadam barhnay ka ahad karna hy....yahi dhun her lamhy mery dil ky gosho

    main janam lyti ja rahi hy .....surkh poshak , jhumkay , bindiya aur ya payal .........mery tan ko

    ajj apni zaroort samjh rahy hy .....hatho ki hina is baat ki gawahi dey rahi hy ky aaj mery khubo

    ko haqeeqat ka rang mil rha hy , her taraf ghama ghami is baat ki gawahi dey rahi hy kay janat

    aaj mery der per dastak dey ny ko baykraar hy , her taraf halacahl machi hui hy her taraf sey

    geet aaj mery liya apnay alfazo ka haq ada kr rhy hy .....

    pr haal sey pahly aik mazi bhi hy ........wo mazi jis ko roposh nhi kya jasakta hy ,wo mazi jis

    ny mery zindagee ko aik arsay tak muntashir kr rakha hy.....wo ghum jo lail-o-nhar mery dil main

    aik kanty ki maninind chubta rha us say bhi ankh macholi nhi khili jati....phuser phuser rony ki awaz

    bhi in shamino main asar rakhti nazr ati hy .....ya bhi aik sacahi hay jis ko nazar anadz krna mery

    liya mumkin hi nhi ....yahi haal , ya geet , yahi poshak yahi log aaj sey pahly bhi meri hi zindagee

    ka hisa thy ........yahi khushya barso pahly bhi mery hi anagan main nechawar hui thi .....isi trha in

    hatho ko hina ny chuma tha , isi trha kangan ny meri kaliyo ko apni zeenat banaya tha aur isi poshak

    ny mery jism ko chuna tha ..........kya ya phir sey mazi ki aahat hy ya meri manzil ki shurat....?

    Nahi!....ya buri aahat nhi hy .......ya to meri zindagee ka aj naik shughan hy , ya kangan,payal , jhumkay

    aaj ya sab mery saath hy , aaj hina ka rang kacha nhi hy .... ya mazi ki dastak nhi haal ka sangeet hy , zindagee

    ki aaj pahli serhi mey ny kisi ky hatho ko tham kar charhni hy .....mery Maa ki ankho main ya ansoo dukh ky nhi

    khushi ka paygham liya bathy hy , bhano ka payra aj mujh per nichawar ho ga , sakhiyo ky geet aaj mery liya

    hi alfazo ka phool jhaar rhy hy ........Haan! ya zindagee ki shurat hy , jina ki ahat hy aur mahfooz hatho ki talab hy.

    Ajj ky baat her geet , her khushi , her aik ki dua mery qadmo ko chumay gi .......aaj main kisi ki izzat aur kisi ki

    chaat banu gi ..........ya sach hay pagli! ajj main sirf usi ki umar bhar ky liya Dulhan ban jaw gi ....Sirf uski zindagee

    ki Dulhan.

    FeamanAllah
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

  • #2
    Re: --------Dulhan-----

    bheegi palkain :) welcome :)

    bauhat hi achi tehreer likhi hai aap nahi khushi kai halkai sai darr kai rangoon mein saji hui :)

    khush rahiiyai aur likhti rahiyai :)

    Comment

    • #3
      Re: --------Dulhan-----

      hmmm har dulhan ke ehsasat kitne miltey hain....bahut acha likha aap ne:)

      Comment

      • #4
        Re: --------Dulhan-----

        Originally posted by muskaan
        bheegi palkain :) welcome :)

        bauhat hi achi tehreer likhi hai aap nahi khushi kai halkai sai darr kai rangoon mein saji hui :)

        khush rahiiyai aur likhti rahiyai :)

        Assalm-o-Alikum WR WB

        Shukrya

        FeamanAllah
        Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
        Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

        Comment

        • #5
          Re: --------Dulhan-----

          Originally posted by Ambreen
          hmmm har dulhan ke ehsasat kitne miltey hain....bahut acha likha aap ne:)
          Asslam-o-ALikum WR WB

          Shukrya

          FeamanAllah
          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

          Comment

          • #6
            Re: --------Dulhan-----

            eeey mashaallah.,akhir har ladki ka khawaab hai yeh jo aap ne itne pyare lafzoun mei is shair mei likha......it was nice......... har ladki ka armaan har ladki ki zaroorat .... akhir hum ladkioun ki life mei zindegi eik neye mor leti hai,.....neya ghar neye rishte ney adatein....ney mulaqatein.....neya muashra ney family.......sub kuch hi aisa jaise neye bedaish hui ho.......it was nice......liked it very much

            Comment

            • #7
              Re: --------Dulhan-----

              Originally posted by Bheegi-Palkain

              Ajj ky baat her geet , her khushi , her aik ki dua mery qadmo ko chumay gi .......aaj main kisi ki izzat aur kisi ki

              chaat banu gi ..........ya sach hay pagli! ajj main sirf usi ki umar bhar ky liya Dulhan ban jaw gi ....Sirf uski zindagee

              ki Dulhan.
              Bheegi palkain bohat hi khoobsurat tehreer likhi hai...... and itney pyare lafzon mein likhi hai.. Very NiCe :rose
              :rose

              Comment

              • #8
                Re: --------Dulhan-----

                good one :thmbup:
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #9
                  Re: --------Dulhan-----

                  bOhat he Zabaredast bheegi palkain:rose
                  bhaot acha likha hai aap nay..:)

                  Comment

                  • #10
                    Re: --------Dulhan-----

                    Originally posted by aik_lerki
                    bOhat he Zabaredast bheegi palkain:rose
                    bhaot acha likha hai aap nay..:)
                    Assalam-o-Alikum wrw b

                    thx
                    femanAllah
                    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                    Comment

                    • #11
                      Re: --------Dulhan-----

                      Originally posted by Mehak
                      Bheegi palkain bohat hi khoobsurat tehreer likhi hai...... and itney pyare lafzon mein likhi hai.. Very NiCe :rose
                      Asslam-o-Alikumw rw b

                      thx

                      FeaamnAllah
                      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                      Comment

                      • #12
                        Re: --------Dulhan-----

                        Originally posted by SaPpHiRe
                        eeey mashaallah.,akhir har ladki ka khawaab hai yeh jo aap ne itne pyare lafzoun mei is shair mei likha......it was nice......... har ladki ka armaan har ladki ki zaroorat .... akhir hum ladkioun ki life mei zindegi eik neye mor leti hai,.....neya ghar neye rishte ney adatein....ney mulaqatein.....neya muashra ney family.......sub kuch hi aisa jaise neye bedaish hui ho.......it was nice......liked it very much
                        Asslam-o-Alikum wrw b

                        itni tareef ka haqdar nhi , bhot izat bakhs di ,, thx

                        FeaamnAllah
                        Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                        Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                        Comment

                        • #13
                          Re: --------Dulhan-----

                          pr haal sey pahly aik mazi bhi hy ........wo mazi jis ko roposh nhi kya jasakta hy ,wo mazi jis

                          ny mery zindagee ko aik arsay tak muntashir kr rakha hy.....wo ghum jo lail-o-nhar mery dil main

                          aik kanty ki maninind chubta rha us say bhi ankh macholi nhi khili jati....phuser phuser rony ki awaz

                          bhi in shamino main asar rakhti nazr ati hy .....ya bhi aik sacahi hay jis ko nazar anadz krna mery

                          liya mumkin hi nhi ....yahi haal , ya geet , yahi poshak yahi log aaj sey pahly bhi meri hi zindagee

                          ka hisa thy ........yahi khushya barso pahly bhi mery hi anagan main nechawar hui thi .....isi trha in

                          hatho ko hina ny chuma tha , isi trha kangan ny meri kaliyo ko apni zeenat banaya tha aur isi poshak

                          ny mery jism ko chuna tha ..........kya ya phir sey mazi ki aahat hy ya meri manzil ki shurat....?

                          Nahi!....ya buri aahat nhi hy .......ya to meri zindagee ka aj naik shughan hy , ya kangan,payal , jhumkay

                          aaj ya sab mery saath hy , aaj hina ka rang kacha nhi hy .... ya mazi ki dastak nhi haal ka sangeet hy , zindagee

                          BP aap ki sari thareer ki trah yeh bhi nihayet hi achi hey, mugar iss tehreer ne mujhey thora sa uljha diya hey, aap ne mazi ka thorra sa ziker kiya hey aur phir haal mein pohnch gaye hein, mujhey yeh kahani kuch adhoori see ya shayed kuch chupaati hui see lagi...........meray khyal se mazi mein jo kuch hua uss ki aik zarasee jhalak zaroor honi chahiye thi.

                          Comment

                          • #14
                            Re: --------Dulhan-----

                            Originally posted by Muskan

                            Asslam-o_Alikum WR WB

                            aap ny sahi kha ! pata nhi is ko likhty hui ...... main likh nhi payi . mujhy pata hy is main bhot kuch kami hy .... per is ko mhaz is liya post ki . ky alfazo ka aika pna roop hy .. per dil ko is main sey kuch lag jay to wo ahmiyat rakhat hy .....

                            FeaamNAllah
                            Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                            Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                            Comment

                            • #15
                              Re: --------Dulhan-----

                              Nice:)

                              kia dulhaa ke ehsaasat bhi aise hote hain???
                              kia wo bhi apni tamam umer sirrf iik hi lerki ke naam kerna chahta hai hamesha ke liye?:)

                              Comment

                              Working...
                              X