:rose har mausam mein lamhoon ki ahat sai yehi awaaz ati hai tu har mausam mein jeeta hai har mausam mein jhalak nazar ati hai ho bahaar har su to teri muskurahat sai hai dikhti khizaan bhi rang apna ye tujhse udhaar chahti hai...koi bhi mausam jab ai tere hi rangoon mein hai chalakta kai har mausam har lamha tere waqaar mein nikhaar lata hai :rose
har mausam aik naya rang aik nai pehchaan apnai sang lata hai kabhi beetai lamhoon ko yaad kar kar ye muskurai to yun lagta jaisai har soo bahaar ka raks ho kabhi lamhoon mein apna aap kho dai to yun lagta hai jaisai chaar so khizaan ka mausam ho..aaj yunhi bethai bethai yehi soch rahi thi kai kareeb sai aik awaaz ai..kisi ki siski ki awaz yun laga jaisai koi bauhat takleef mein hai idhar udhar nazar daurai usai dhoonda magar koi nazar nahi aya...mein samjhi mera weham hai...kuch hi lamhai beetai thai kai aik baar phir us nai pukara kaha "dekho mujhe yahan sai uthalo" ghabra kar neechai dekha to aik sookha patta mere hath kai paas para tha aur na janai kyon laga jaisai ye dard ye siski usi ki ho...usai utha kar dekha to maazi ki dhool us kai dard ki kahani saaf us kai chehrai par likhi thi..us ki ankhoon mein saaf us ka dard nazar ata tha..poocha us sai...
"kaun ho tum kahan sai ai aur yun udas kyon ho "
jawab aya " aik sookha patta hoon apni shaakh sai alag hogaya hoon ab kya udas bhi na hoon jis ko samjha tha apna ghar us sai bichar gaya hoon to kya ansoo bhi na bahaoon "
mein nai poocha "kyon lagta hai tum bichar gai ho us sai alag hogai ho ghar sai door sahi tum lekin us ghar mein tumhara wajood aaj bhi zinda hai "
jawab aya "zalim hain sab loog koi kisi ka nahi dekho tum mujhe mujhe sab nai tora hai "
mein nai kaha us sai " kabhi tum nai kisi apnai ko kisi ko patai dekha hai..kabhi tum nai kisi apnai ko us kai sath dekha hai tum kehtai ho woh zalim hain to un ka socho jinhoon nai tumhein apna mana hai "
us nai kaha " koi nahi mera apna jin ko apna samjha woh sab choor gai "
mein nai kaha us sai " jo apnai hotai hain woh kabhi chor kar nahi jatai hamesha sang chaltai hain jo apnai hotai hain woh kabhi toor kar nahi jatai hamesha sang rehtai hain "
woh kehta hai "matlabi hain sab jab tak mujh par bahaar thi sab mere sath thai jab khizaan ai mujhe kisi ki zaroorat pari to sab chor gai "
mein nia kaha us sai "kya kabhi socha hai jo bahaar mein tumharai sath thai khizan mein tumhein chor gai to kya woh tumharai thai kabhi ..nahi woh tumharai nahi thai jo mausam badalnai par rang badal gai lekin haan woh tumharai hain jo aaj bhi is khizaan mein tumhari aik muskurahat ka intezar kartai hain..kabhi socha hai kai khizaan aur bahaar mein kya rishta hai..khizaan apna rang bahaar sai mangti hai aur bahaar anai par khizaan ka dukh door hota hai..jab ye mausam azmaish hain ek dujai ki to phir ye kyon nahi socha kai ye azmaish hai tumhari kai tum khizaan ko apna kar bahaar ko bhooltai ho kai nahi "
us nai kuch nahi kaha sirf dekhta raha mein nai kaha us sai kai masuam bahaar ka ho yaan khizaan ka azmaish phir bhi daita hai kai mausam kai badalnai sai jeenai ki umang larnai ka hausla buland hota hai...tum ye socho kai ye mausam azmaish hai tumhari kya khizaan ko khud par chanai do gai yaan khizaan mein bhi bahaar ki umeed jaga kar chalo gai...woh kehta hai nahi hosakta mein nahi kaha sirf aik koshish karo thora muskura kar dekho khizaan mein bhi deep jalain gai "
woh khamosh raha kuch na kaha lekin us ki ankhain bol rahi theen haan dard hai us kai dil mein bauhat dard hai khizaan ka dard hai usai jo bhi sab nai diya us ka dard hai lekin aik azam hai us mein kai woh is dard sai agai barhai ga...mein nai us pattai ko sambhal kar apnai paas rakha hai..mein chahti hoon kai usai sambhalnai ka aik mauka milai usai sochnai ka kuch waqt milai phir mein khud us pattai ko baharoon kai hawalai karoongi jo aaj bhi us ka intezar karti hain us shaakh kai hawalai karoongi jo us ka ashyaan hai :)

Comment