Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

    :rose har mausam mein lamhoon ki ahat sai yehi awaaz ati hai tu har mausam mein jeeta hai har mausam mein jhalak nazar ati hai ho bahaar har su to teri muskurahat sai hai dikhti khizaan bhi rang apna ye tujhse udhaar chahti hai...koi bhi mausam jab ai tere hi rangoon mein hai chalakta kai har mausam har lamha tere waqaar mein nikhaar lata hai :rose

    har mausam aik naya rang aik nai pehchaan apnai sang lata hai kabhi beetai lamhoon ko yaad kar kar ye muskurai to yun lagta jaisai har soo bahaar ka raks ho kabhi lamhoon mein apna aap kho dai to yun lagta hai jaisai chaar so khizaan ka mausam ho..aaj yunhi bethai bethai yehi soch rahi thi kai kareeb sai aik awaaz ai..kisi ki siski ki awaz yun laga jaisai koi bauhat takleef mein hai idhar udhar nazar daurai usai dhoonda magar koi nazar nahi aya...mein samjhi mera weham hai...kuch hi lamhai beetai thai kai aik baar phir us nai pukara kaha "dekho mujhe yahan sai uthalo" ghabra kar neechai dekha to aik sookha patta mere hath kai paas para tha aur na janai kyon laga jaisai ye dard ye siski usi ki ho...usai utha kar dekha to maazi ki dhool us kai dard ki kahani saaf us kai chehrai par likhi thi..us ki ankhoon mein saaf us ka dard nazar ata tha..poocha us sai...

    "kaun ho tum kahan sai ai aur yun udas kyon ho "

    jawab aya " aik sookha patta hoon apni shaakh sai alag hogaya hoon ab kya udas bhi na hoon jis ko samjha tha apna ghar us sai bichar gaya hoon to kya ansoo bhi na bahaoon "

    mein nai poocha "kyon lagta hai tum bichar gai ho us sai alag hogai ho ghar sai door sahi tum lekin us ghar mein tumhara wajood aaj bhi zinda hai "

    jawab aya "zalim hain sab loog koi kisi ka nahi dekho tum mujhe mujhe sab nai tora hai "

    mein nai kaha us sai " kabhi tum nai kisi apnai ko kisi ko patai dekha hai..kabhi tum nai kisi apnai ko us kai sath dekha hai tum kehtai ho woh zalim hain to un ka socho jinhoon nai tumhein apna mana hai "

    us nai kaha " koi nahi mera apna jin ko apna samjha woh sab choor gai "

    mein nai kaha us sai " jo apnai hotai hain woh kabhi chor kar nahi jatai hamesha sang chaltai hain jo apnai hotai hain woh kabhi toor kar nahi jatai hamesha sang rehtai hain "

    woh kehta hai "matlabi hain sab jab tak mujh par bahaar thi sab mere sath thai jab khizaan ai mujhe kisi ki zaroorat pari to sab chor gai "

    mein nia kaha us sai "kya kabhi socha hai jo bahaar mein tumharai sath thai khizan mein tumhein chor gai to kya woh tumharai thai kabhi ..nahi woh tumharai nahi thai jo mausam badalnai par rang badal gai lekin haan woh tumharai hain jo aaj bhi is khizaan mein tumhari aik muskurahat ka intezar kartai hain..kabhi socha hai kai khizaan aur bahaar mein kya rishta hai..khizaan apna rang bahaar sai mangti hai aur bahaar anai par khizaan ka dukh door hota hai..jab ye mausam azmaish hain ek dujai ki to phir ye kyon nahi socha kai ye azmaish hai tumhari kai tum khizaan ko apna kar bahaar ko bhooltai ho kai nahi "

    us nai kuch nahi kaha sirf dekhta raha mein nai kaha us sai kai masuam bahaar ka ho yaan khizaan ka azmaish phir bhi daita hai kai mausam kai badalnai sai jeenai ki umang larnai ka hausla buland hota hai...tum ye socho kai ye mausam azmaish hai tumhari kya khizaan ko khud par chanai do gai yaan khizaan mein bhi bahaar ki umeed jaga kar chalo gai...woh kehta hai nahi hosakta mein nahi kaha sirf aik koshish karo thora muskura kar dekho khizaan mein bhi deep jalain gai "

    woh khamosh raha kuch na kaha lekin us ki ankhain bol rahi theen haan dard hai us kai dil mein bauhat dard hai khizaan ka dard hai usai jo bhi sab nai diya us ka dard hai lekin aik azam hai us mein kai woh is dard sai agai barhai ga...mein nai us pattai ko sambhal kar apnai paas rakha hai..mein chahti hoon kai usai sambhalnai ka aik mauka milai usai sochnai ka kuch waqt milai phir mein khud us pattai ko baharoon kai hawalai karoongi jo aaj bhi us ka intezar karti hain us shaakh kai hawalai karoongi jo us ka ashyaan hai :)

  • #2
    Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

    hmmmmmm :) samjh jay tu acha hai :)

    Muskaan :rose

    jeeti rahyeah khush rahyeah sada abad rahyeah :rose
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment

    • #3
      Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

      hmm ..!! ajeeb ho tum ik sookhey bejaan pa'ttey ko sambhaley ho behna ..!! tum bhi wasey hee kero usey toro moro phenko ..!! wo tumharey liaq nahi hey wo to bana hee tootney ko us ki to qismat main hee bikhar kar tukrey tukrey hona hey usey seeney sey lagaye usey haathon main chupaye kuch nahi honaey wala tum bhi wohi kero paon key neechey rakho is ko apney dono hathon sey toar do is ka an'g an'g isi liaq hey ye ..!! khair .. khoobsurat likha hamesha ki tarhan share kerney ka shukriya jeeti raho khush raho sada abad raho

      Comment

      • #4

        Bohat acha likha hay aapne muskaan
        Allah

        Comment

        • #5
          Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

          Originally posted by WorThless

          aisay nahin kahein [-( Us ko aap Sookha Patta kehtay hain mujhay tu wo Hara Patta lagta hai :x

          khush raha karein Paa ji :rose
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment

          • #6
            Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

            hmmm ap ka likhne ka andaz kisi se milta hai ..ya shayad ap wo he hian.ab pata nahi..mujhe shayad meri ghalat fehmi ho.anyways acha likha hia :)[B]

            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

            Comment

            • #7
              Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

              acha likha hai sister aap na ......lagta hai humarey members pathjard mein baith ker tehreren likhtey hain:)

              Comment

              • #8
                Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

                Originally posted by muskaan
                :rose har mausam mein lamhoon ki ahat sai yehi awaaz ati hai tu har mausam mein jeeta hai har mausam mein jhalak nazar ati hai ho bahaar har su to teri muskurahat sai hai dikhti khizaan bhi rang apna ye tujhse udhaar chahti hai...koi bhi mausam jab ai tere hi rangoon mein hai chalakta kai har mausam har lamha tere waqaar mein nikhaar lata hai :rose

                har mausam aik naya rang aik nai pehchaan apnai sang lata hai kabhi beetai lamhoon ko yaad kar kar ye muskurai to yun lagta jaisai har soo bahaar ka raks ho kabhi lamhoon mein apna aap kho dai to yun lagta hai jaisai chaar so khizaan ka mausam ho..aaj yunhi bethai bethai yehi soch rahi thi kai kareeb sai aik awaaz ai..kisi ki siski ki awaz yun laga jaisai koi bauhat takleef mein hai idhar udhar nazar daurai usai dhoonda magar koi nazar nahi aya...mein samjhi mera weham hai...kuch hi lamhai beetai thai kai aik baar phir us nai pukara kaha "dekho mujhe yahan sai uthalo" ghabra kar neechai dekha to aik sookha patta mere hath kai paas para tha aur na janai kyon laga jaisai ye dard ye siski usi ki ho...usai utha kar dekha to maazi ki dhool us kai dard ki kahani saaf us kai chehrai par likhi thi..us ki ankhoon mein saaf us ka dard nazar ata tha..poocha us sai...

                "kaun ho tum kahan sai ai aur yun udas kyon ho "

                jawab aya " aik sookha patta hoon apni shaakh sai alag hogaya hoon ab kya udas bhi na hoon jis ko samjha tha apna ghar us sai bichar gaya hoon to kya ansoo bhi na bahaoon "

                mein nai poocha "kyon lagta hai tum bichar gai ho us sai alag hogai ho ghar sai door sahi tum lekin us ghar mein tumhara wajood aaj bhi zinda hai "

                jawab aya "zalim hain sab loog koi kisi ka nahi dekho tum mujhe mujhe sab nai tora hai "

                mein nai kaha us sai " kabhi tum nai kisi apnai ko kisi ko patai dekha hai..kabhi tum nai kisi apnai ko us kai sath dekha hai tum kehtai ho woh zalim hain to un ka socho jinhoon nai tumhein apna mana hai "

                us nai kaha " koi nahi mera apna jin ko apna samjha woh sab choor gai "

                mein nai kaha us sai " jo apnai hotai hain woh kabhi chor kar nahi jatai hamesha sang chaltai hain jo apnai hotai hain woh kabhi toor kar nahi jatai hamesha sang rehtai hain "

                woh kehta hai "matlabi hain sab jab tak mujh par bahaar thi sab mere sath thai jab khizaan ai mujhe kisi ki zaroorat pari to sab chor gai "

                mein nia kaha us sai "kya kabhi socha hai jo bahaar mein tumharai sath thai khizan mein tumhein chor gai to kya woh tumharai thai kabhi ..nahi woh tumharai nahi thai jo mausam badalnai par rang badal gai lekin haan woh tumharai hain jo aaj bhi is khizaan mein tumhari aik muskurahat ka intezar kartai hain..kabhi socha hai kai khizaan aur bahaar mein kya rishta hai..khizaan apna rang bahaar sai mangti hai aur bahaar anai par khizaan ka dukh door hota hai..jab ye mausam azmaish hain ek dujai ki to phir ye kyon nahi socha kai ye azmaish hai tumhari kai tum khizaan ko apna kar bahaar ko bhooltai ho kai nahi "

                us nai kuch nahi kaha sirf dekhta raha mein nai kaha us sai kai masuam bahaar ka ho yaan khizaan ka azmaish phir bhi daita hai kai mausam kai badalnai sai jeenai ki umang larnai ka hausla buland hota hai...tum ye socho kai ye mausam azmaish hai tumhari kya khizaan ko khud par chanai do gai yaan khizaan mein bhi bahaar ki umeed jaga kar chalo gai...woh kehta hai nahi hosakta mein nahi kaha sirf aik koshish karo thora muskura kar dekho khizaan mein bhi deep jalain gai "

                woh khamosh raha kuch na kaha lekin us ki ankhain bol rahi theen haan dard hai us kai dil mein bauhat dard hai khizaan ka dard hai usai jo bhi sab nai diya us ka dard hai lekin aik azam hai us mein kai woh is dard sai agai barhai ga...mein nai us pattai ko sambhal kar apnai paas rakha hai..mein chahti hoon kai usai sambhalnai ka aik mauka milai usai sochnai ka kuch waqt milai phir mein khud us pattai ko baharoon kai hawalai karoongi jo aaj bhi us ka intezar karti hain us shaakh kai hawalai karoongi jo us ka ashyaan hai :)
                Yaar Bachey ye sookha patta jo hey na .... yeh ab pitey baghair nahi maney ga...suna hey na k loha lohey ko kaat'ta hey... ehi misaal use karni parye gi.... nalaiq sa hu gaya hey... jab deekho pitney wali harkatein.... :lol

                Is pattey ko koi PATNI la dey yeh bhi sukoon se beethey ... i know k yeh baad mein yeh bhi kisi dali k saharey apni dunya mein gummmm hu g\jaye ga... per yeh khushi yeh itminaan tu rahey ga na key chalo jahan rahey khush rahey...
                Aur sun ley bhai o Pattey ...:lol :lol /smoke2 aaj nai aana mein nai kahin... baas:bhago: bhaag jayonga deekh leena kahin.... bhaley baad mein deetey rehna meethi meethi loriyan :lol jo tum gatey rehtye hu ....:lol

                Vesey likha khooob ...:rose yeh patta tum se hi samhal sakta hey ....:) isko sambhalo aur balkey aik mustaqil bandobast kardo iska...koi Lali... OOhhhh sorry Dali wali deekh kar isko bhi baandh dalo yaar kab tak bahar ki umeed kiye beetha rahey ga bechara...:lol Ab tak tu agar khud darakht banta tu 100 saal ka hu chuka huta .... Phaal bhi buhat aatey isper .... nanhey nanhey :lol ..... khair Khush rahooo... aur yeh moun bana kar na betah karo sab k sab.... buhat achey ... yeh hu jana cahiyeh ... aur wohhh hu jaye ga....:) balkey aik DALI ka bandobast karo Kyesi Behnein hu sab ki sab nikammi:hathora

                Comment

                • #9
                  Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

                  Originally posted by WorThless
                  hmm ..!! ajeeb ho tum ik sookhey bejaan pa'ttey ko sambhaley ho behna ..!! tum bhi wasey hee kero usey toro moro phenko ..!! wo tumharey liaq nahi hey wo to bana hee tootney ko us ki to qismat main hee bikhar kar tukrey tukrey hona hey usey seeney sey lagaye usey haathon main chupaye kuch nahi honaey wala tum bhi wohi kero paon key neechey rakho is ko apney dono hathon sey toar do is ka an'g an'g isi liaq hey ye ..!! khair .. khoobsurat likha hamesha ki tarhan share kerney ka shukriya jeeti raho khush raho sada abad raho
                  Oye Pattey puttar....:hathora Mar khani hey.... shaam ko deekhna kya huta hey tera.... aur sunlo mein ney yeh fouj Dali deekhney key liye ikhatti karni shuro kardi hey... deekh leena ab kitni jaldi yeh Patta kisi dali per fil huta hey :lol yeh in Nikammi behno key hawaley kar tu diya hey deekho kya karti hein ab :cc:

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

                    Originally posted by Wasi
                    Yaar Bachey ye sookha patta jo hey na .... yeh ab pitey baghair nahi maney ga...suna hey na k loha lohey ko kaat'ta hey... ehi misaal use karni parye gi.... nalaiq sa hu gaya hey... jab deekho pitney wali harkatein.... :lol

                    Is pattey ko koi PATNI la dey yeh bhi sukoon se beethey ... i know k yeh baad mein yeh bhi kisi dali k saharey apni dunya mein gummmm hu g\jaye ga... per yeh khushi yeh itminaan tu rahey ga na key chalo jahan rahey khush rahey...
                    Aur sun ley bhai o Pattey ...:lol :lol /smoke2 aaj nai aana mein nai kahin... baas:bhago: bhaag jayonga deekh leena kahin.... bhaley baad mein deetey rehna meethi meethi loriyan :lol jo tum gatey rehtye hu ....:lol

                    Vesey likha khooob ...:rose yeh patta tum se hi samhal sakta hey ....:) isko sambhalo aur balkey aik mustaqil bandobast kardo iska...koi Lali... OOhhhh sorry Dali wali deekh kar isko bhi baandh dalo yaar kab tak bahar ki umeed kiye beetha rahey ga bechara...:lol Ab tak tu agar khud darakht banta tu 100 saal ka hu chuka huta .... Phaal bhi buhat aatey isper .... nanhey nanhey :lol ..... khair Khush rahooo... aur yeh moun bana kar na betah karo sab k sab.... buhat achey ... yeh hu jana cahiyeh ... aur wohhh hu jaye ga....:) balkey aik DALI ka bandobast karo Kyesi Behnein hu sab ki sab nikammi:hathora
                    Oye jaan meri loha kaun hey wo to batao pehley :lol :lol :lol :lol mujhey to shidat sey intazar hey key koi ho khair chad paraan sab kuj aaj shaam apni hey aur raat bohat choti hey ... lamhon ko qaid kerna hey aaj phir main ney ..!!! aur tera hona zaroori hey so sham main mulaqat hoti hey

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

                      Originally posted by Wasi
                      Oye Pattey puttar....:hathora Mar khani hey.... shaam ko deekhna kya huta hey tera.... aur sunlo mein ney yeh fouj Dali deekhney key liye ikhatti karni shuro kardi hey... deekh leena ab kitni jaldi yeh Patta kisi dali per fil huta hey :lol yeh in Nikammi behno key hawaley kar tu diya hey deekho kya karti hein ab :cc:
                      o jaan dey .... avain na pangey ker tujhey pata hey kuch nahi honaey wala

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

                        Dua hey khuda sey k wo iss pat'tey ko sada bahar hi rakhey :rose

                        muskan ji bohat khoob likha hey aap ney khush rahyie :rose

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

                          Originally posted by WorThless
                          Oye jaan meri loha kaun hey wo to batao pehley :lol :lol :lol :lol mujhey to shidat sey intazar hey key koi ho khair chad paraan sab kuj aaj shaam apni hey aur raat bohat choti hey ... lamhon ko qaid kerna hey aaj phir main ney ..!!! aur tera hona zaroori hey so sham main mulaqat hoti hey
                          :lol Terey liye tu pori Steel Mill Lagani parye gi .... Aur sunnnnn YAAR AAJ BUHAT KAAM HEY SAMJHA KAR.... mein ney kaha hey na Apney YAAR :lol ko ley jana .... mujhey maaf kar ... wo vela hey ... mein tujhey pata hey mein ney sona hi hey waha ja kar...:donno: tum logo ki apni tafreeh bhi kharab huti hey.... mein tu baas :rose :rose

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

                            Originally posted by WorThless
                            o jaan dey .... avain na pangey ker tujhey pata hey kuch nahi honaey wala
                            Beta Deekhna Ab key ....:lol maa ji key paas pohach jana hey mein ney aur pori qoum jama karleeni hey ...kis kis Dali ko reject karey ga....:tang: ..... pangey nahi ... kam az kam meri duty tu khatam hu gi janey wali....:lol :lol

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~*~ Har Mausam Mein Lamhoon Ki Ahat~*~

                              Originally posted by kanwal
                              Dua hey khuda sey k wo iss pat'tey ko sada bahar hi rakhey :rose

                              muskan ji bohat khoob likha hey aap ney khush rahyie :rose
                              Janaba Dua key saath DAWA ki zaroorat bhi huti hey ... aap ko maloom hu ga...Yeh mareez E Ishq hein shayad .... kuch karna hi parey ga inka....:lol kya khayal hey kis ki qismat phori jaye in se....:lol

                              Comment

                              Working...
                              X