iss titli ko mey bohot poor rang ban'ana chahti thi, meyra khayal hai key aap ko iss key rang kuch unsual lag rahey hein? mey ney hi baat ka aghaz kiya.
meyrey sawal pey unhoN ney meyri taraf deykha aur ab bhi un key chehrey pey wahi aik makhsoos smile thi. "nahi, iss key rang unusual sahih magar bohot khoobsurat heiN, aur in rangoN aur iss titli key peechey jo kahani chupi hai wo mey jan'na chahun gi"
matti?
sirf matti hi to hoti hai jiss ko ye bila shuba apna keh sakti hein, aik aurat ki sirf Qabr apni hoti hai...........
Qab'r?
haan qab'r, mey chahti hun uss tasweer mey aap issey zaroor noma'yaN kareiN..... aik aurat ki apni koi shanakht, apna koi ghar nahi hota hai, pehley wo baap key ghar mey rehti hai phir shauhar key aur phir apney beytey key .... aik aurat ki sirf Qab'r apni hoti hai..............
pata nahi in khatoon ney kab apni baat ki aur wo kab wahan sey gayeiN, kab barish shuru hui mujhey ilm bhi na ho saka..... aur na jaaney kab un khatoon ki bateiN suntey mey ney apna hath bohot sakhti sey tasweer mey bani rang barangi titli pey rakha tha.............. shayad mey iss ko iss ki haqeeqat bataney sey dar gai thi ......
Comment