Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mah July ka mauzoo--Khawab!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Wa alaikum salam Rida
    Khawaab marty nhi....................
    boht khoobsoorat tehreer hay
    boht achhi lagi
    aur likhnay k liay boht shukriya Dear...boht khushi hui
    khush rahiay aur yunhee likhti rahiay

    Comment


    • #17

      Comment


      • #18
        Originally posted by zmufti View Post
        bloo saheba
        Khawab ke mozoo per likhi gayyii tahareer maiN sab se pehlay aap ke khawabnagar ki sair kii
        markazi khayal go keh achoota nahiN magar phir bhee fresh lagta hai kyoNk har insaan ke kuch khawab hote heN
        aur khawab uski khawahishaat ya phir mehroomioN ke aayina daar hote heN
        aap ne aik global mozoo chuna hai i ke liye shaabaash!!

        ab kuch week points ki taraf aate heN

        meray khayal meN pehlay aap ko haqeeqi duniya kii abtari ka naqsha khainchna chahiye thaa
        phir us se apni bezaaari ka zikr karna chahiye thaa
        aur phir haqeeqat se farar ke liye khawab nagar kii raah leni chahiye thii
        yaani paraghraphs ko aage peechay karne se tehreer ke impact meN izaafa ho sakta hai
        aik aur baat yeh keh is meN kuch adjectives ki kami hai ya youN kahiye keh khawab nagar ki manzar nigaari ko kuch adjectives ke istemaal se mazeed khoobsurat banaya ja sakta hai
        (agar aap inpage file saath attach kartiiN tomeN kuch radobadal kar deti )
        khush rahiye
        aur likhti rahiye
        zmufti
        bohot shukrya zmuft sis!

        aik aur sab sey barhi khami jo mujhey lagta hia key mujhey theek kerni chahiye wo ye hai key mey tehreer likhney key baad ussey dobara reading nahi deyti hun....aik hi flow mey likhney key baad ussey as it is yahaN daal deyti hun :embarasse

        Ainda khayal rakhun gi inshAllah.....aur iss tehreer ko bhi theek ker key wapas post kar dun gi inshAllAh

        Aap key time ka bohot shukrya, khush rahien sada!:rose
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #19

          Comment


          • #20
            Originally posted by zmufti View Post
            Aquari Saheba
            ab aap ki tehreer per chand baatieN likhti hooN
            aap ka pehla para graph buhat achcha hai, aur jo message aap ne is tehreer ke zareeay diyya vo bhee achcha hai daad qabool kijye

            maiN sirf is message meN kuch amendment karna chahti hooN
            khawab dekhna buhat achchii aur positive aadaat hai
            insaani taareekh aise waaqeaat se bhari paRi hai jab kissi insan ne namumkin ko mumkin banaya
            is liye khawab tabahkun nahiN hote na hi yeh kissi zindagi ka nuqsaan karte heN
            albata koi shakhs sirf khawab hi dekhta rahe aur is kii taabeer paane ke liye koi amli qadam na uThaaye aur naakaami ki surat meN depression meN chala jaaye to qasoor us ki kamhimmati ka ho ga

            mazeed aik baat is baar lagta hai aap ne tehreer jaldi meN post kar dii
            teesray paragraph meN kuch typing mistakes reh gayyii heN edit kar lijye

            keep dreaming and keep writing
            take care
            zmufti
            Sub sey pehely tu typing mistakes k lya ma'azrat..:blush: ji bilkul mainey bhi post krney k baad dekhaa...or :insha:edit kr dongi:thmbup:
            Dad k lyaa dhair shuakriya..
            ha bilkul yehi baat mainey bhi keheny ki koshish ki hai k khuwab dekhnaa ghalat nahi bus kis had tak dekhian jayain or kitna un ka asr zindagi main parney dya jayee yeh tayyin krnaa humara kaam hai .
            bilkul baja farmaya app ney k sirf khuwab dekhney sey kaam nahi chalta amli qadm bhi uthana parta haii :)
            app ney na sirf waqt nikala bulk thori bauht isleha bhi kii us k lya bauht shukriyaa:phool:

            Comment


            • #21
              Attached Files

              Comment


              • #22
                nice to see ur entry Hamzad..:phool:
                haa khuwab dekhnaa zaroor bus main hian pr tabeer apney ikhtiyar main nahi..!

                Comment


                • #23

                  Comment


                  • #24
                    Originally posted by zmufti View Post
                    Sumera saheba
                    sab se pehlay to yeh kahoN gi maiN aap ki "creative ability" ki mutaraf hooN
                    aap meN buhat salahiat hai bas kahiN kahiN nok palak sanwarne ki zaroorat nazar aati hai
                    majmooii tor par aap ki tehreer buhat pasand aayii daad qabool kijye(perhaps the best one so far this month)
                    aap ki tehreer ka unwaan hai "khawaboN se dar lagta hai"

                    aap ka pehla jumla hai"vo meri jhooli meN sapne bhar raha hai.........."
                    lafz jhooli ki munacibat ya to dua mangne se hai ya kissi qisam ki anayat ya bheek
                    to is jumle ko aap youN kar lijye "vo mujhe spne dikha raha hai..../vo mujh se kehta hai in aankhoN meN kaajal na lagaya karo mere sapnoN ke rang bhar lo....../ya aap ki marzi ka koi aur jumla
                    tehreer meN aik jagah aap likhti heN " is(haqeeqi) duniya meN aane ke baad apni duniya meN lautna kitna mushkil ho gaya hai...........
                    ab is ke aage aap ko youN likhna chahiye " magar meri apni basaii hui haseeN khawaboN ki duniya har dam mujhe waapis bulaatii hai maiN us ki taraf khinchi chali jaati hooN magar mere qadam saath naiN dete...........
                    aur aakhri baat aap ne jo sher aakhir meN likha hai vo aap ke apne diye hue unwaan se mutabiqat nahiN rakhta is meN munacib raddo badal kar lijye

                    regards
                    zmufti
                    Shukran zmufti sis.
                    sab say pehlay to yeh k aap hamari tehreerien parhti hien aur apnay qeemti wqt mien say hamaaray liay wqt nikaalti hien is k liay shukriya.Allah pak apko jazaa day.
                    tehreer pasand karnay k laiy shukriya aur aaap jaysay teachers ka saath raha to insha Allah yeh kamzooriyaan bhi door ho jaien gien.
                    ap k doono jumlay mujhay pasand aay..mien inhien tehreer mien add kar loon gi.
                    aur shair to waqai unwaan say mutabiqat nhi rakhta.
                    infact shair likhnay ko boht dil chaha aur koi munasib mila bhi nhi to..........mien issay hata doon gi....aur aainda khayaal rakhoon gi k aysi galti nah hoo.
                    ik baar phir aapka boht shukriya.:rose
                    Du'az
                    sumera

                    Comment


                    • #25

                      Comment


                      • #26
                        Originally posted by *Rida* View Post
                        Assalam-0-Alaikom:rose
                        my entry :blush:


                        [ATTACH]39021[/ATTACH]
                        buhat khoob

                        Rida jee
                        lagta nahiN keh yeh aap ki pehli koshish hai
                        ya phir youN kahiye ke is se pehlay maiN ne aap ki koi tehreer nahiN paRhi
                        aap ne jis mozoo ka intkhaab kiyya hai usse achchii tarah nibhane meN kaamyaab rahi heN mubarikbaad qabool kijye
                        aur aayinda bhee likhti rahiye
                        sirf yeh koshish kijye "markazi khayal" aisa na ho jo filmi sa (ya musta'ar liyya hua ) lage.
                        khush rahiye
                        zmufti

                        Comment


                        • #27
                          buht shukriyya Zarqa sis
                          mm...is tarah kahani ki surat mein ....main nay pehli mertaba hi likha hai ...aap ko pasand aaya buht shukriyaaa......
                          aap ki naseehat hum nay zehen nasheen kar li hai ....
                          ALLAH TALAA aap ko khush rakhay:rose
                          Last edited by *Rida*; 29 July 2007, 18:54.
                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment


                          • #28
                            Originally posted by zmufti View Post
                            SamRazi saheba
                            aap se pehli baar hamkalam ho rahi hooN
                            aap ki tehreer per aik qaari ki haciat se tabsara karoN gi (aap ki taraf se ijazat ko "for granted" samajhte hue)

                            aap ki tehreer se lagta hai keh aap mucbat soch ki haamil heN aur insaan ko khawaboN ki taabeer ke liye masroof-e-amal dekhna chahti heN. is mucbat soch ko qalamband karne ke liye mubarikbaad qabool kijye.

                            aap ki tehreer ka "opening paraghaph" apki tehreer ke markazi paighaam se inharaaf kar raha hai

                            mere khayal meN aap khawaboN ko insaani zindagi meN amal ki asaas qaraar dena chahti heN
                            to aap ko kuch you likhna chahiye " khawab kyaa hai? aik ghair iraadi fa'el jis meN ham khayali manazar, jazbaat ya aarzoo'uN ko dil ki aankh se dekhte heN
                            in meN kuch ko ham faramosh bhee kar dete heN aur kuch hamari zindagi ka maqsad ban jate heN"

                            aap ka doosra paragraph bilkul theek hai
                            teesra paragraph meN jumloN ko youN hona chaiye " mere nazdeek khawab dekhna waqt ka Ziyaa nahiN balk aise muhrak heN jo hamieN zindagi meN aage baRhne ka hosla dete heN ...............(and so on)"

                            aap ka ikhtatamia buhat achcha hai is ke liye daad

                            khush rahiye aur likhti rahiye
                            zmufti

                            Jee sahi kaha bilkul, hum pehli martaba hi humkalam huwey hain ........ magar yaqeen kijiyeh buhut acha laga aap ke comments parh ker ..... and appreciate your advise ........ aainda in baton per goar kerun gi ........ buhut shukriya :)
                            sigpic

                            Comment


                            • #29

                              Comment


                              • #30
                                Originally posted by zmufti View Post
                                Hamzad saheb/saheba
                                aap se bhee pehli baar hamkalaam ho rahi hooN
                                aap ki tehreer buhat pasand aayii (daad qabool kijye)
                                khawab jaise mozoo ke liye jis andaaz-e-bayaN ki zaroorat thee vo aap ne ikhtiaar kiyya
                                magar itni mukhtacir tehreer thee keh aik tishnagi ka ehsaas reh gaya
                                I assume that you are a young person like most of the pg members. I wonder why you people are so pessimist.

                                Aisa kabhi nahiN hota keh kissi ka koi bhee khawab pura na ho
                                Khawab dekhna aur us ki ta'abeer paane ke liye tadbeer aur phir koshish yeh sab hamaare bas meN hai.
                                aap ki aayindah nigaarishaat ka intzaar rahe ga
                                Khush rahiye aur likhti rahiye
                                zmufti
                                zmufti meri aik choti si kawish ap ko pasand aei shukria:)or waqt ki kami ki waja se zeada na likh pai isi leay ap ko tishnagi mehsus hui is ke leay mazrat:)
                                or khwabon ki tabeer tadbeer ya koshish se nahi hoti ye sab qismat se hoti he or khawab to bas khawab hi hote hen serf dekhne ke leay....ap bhi khush rahey:)

                                Comment

                                Working...
                                X