kamray kay derodewar main koi khas tabdeli nahi hoi.is kamray main
abhi bhi do bed hain.almari apni jagah pay hay or her khana waysay hi
kapron say bhera hy.chori satnd per taqrebn her rung ki chorian majod
hain.jo kisi na kisi taqreb per baray payar say bary man say kapron
kay sath mila kay khredi gain thin.kitabon wali almari main matric say
M.A tak ki tamam kitabain majod hain.kahin main rungon ka ziker hay
to kisi main angrazi adab ka.to koi kitab business ki jama tafriq
kerti nazer ati hay.sabhi kutch to apni jagah pay majod hay.phir ey
khamoshi kyuon?haan shaed ab bed pay wo 3 nafos nahi hain jub raat kay
kisi paher hansi ki awaz layhaf say bahir jhankti to dosray kamray say
awaz ati ''shor nahi kero''agercha thori dayr kay leay hansi ki awaz
na band ho jati mager thori dayr bad hi phir teen qahqhay raat ki
khamoshi ko tortay hoy dosray kamray tak phonch jatay or awaz ati
'main aaon uth kay ya awaz band hoi hay'qahqhay to shaed band ho
jatay mager layhaf kay nechay say khuser phser ki awaz musalsul ati.
or aglay din nashtay pa baba ka la lecture bhi kay sub ki raat hoti
hay or in ki subah.almari pay ab koi lerta nhi hay eak wo waqt tha jub
almari bhi apnay kan band ker layti hogi humari leraion pay.tum nain
myray kapray nahi laynay kherab ho jain gay.acha phir tum nin mayray
kpry kyuon pahny thay.acha theak hay jao nida mayray kapron ko hath
na lagna. theak hay tum bhi na lagna.ey tha lerai k anjam.ager kamray
main ey tha hal to bahir bhi tha 1 tofan,mama ki awaz dhamki ban kay
kitchen say beramand hoti.ager aaj tum tenon nain ey pratha khtem na
kia to main tumhary baba ko shikayt lagon gi.to kabhi awaz ati theak
hy kul say ey bhi nahi milay ga.zerorat hi kia hy khanay kijub ey 1
bhi bacha dayna hay.mager tub ey awazain sunai nahi dayti thin.kuonkay
jaldi thi school college bhagnay ki.or phir wapis aa ker wo hi lerai
jhagray mayray kapray,mayri joti,mayri jewlary,mayri kitabin,mayra pen
,mager raat ko wo hi hansi,wo hi khamoshi or wo hi awaz.ager 1 kamray
main hum lertay thay to dosray main kertay thay ey kamal,bhai papeta
lain hain,bhai kaysa hota hay?khao khao baray mazay ka hota hay,bhai
ey to kerwa hay.acha?nahi nahi khao khon saf hota hay,ey kerwa hay
nahi khaya jata,main jo kah raha hon khao,fida mand hota hay hum
tenoon buray buray moun bana kay kha gay.mager jub kisi nain kaha kay
papeta kerwa nahi hota to bus lernay wali thin 3 awazain eak sath
buland hoin.bhaiiiiiiiiiiiiiii or sath main 3 takion kay sath istakbal
bhi.mager raat kay 12 bajay bhai kay lay hoay phekay kherbozay bhi
methay lagtay.jub bhai kahtay khao khao paysay lagay hoay hain.to hum
hunstay hunstay phekay kherbozon per cheni daal kay kha jatay.ager
lernay main thay hum mhir to 1 dosray kay maslon min bhi thay hzer.
api aap ker do na,api aap baba say kaho na.bus itna kahna tha or saray
maslay hul.jub hum bhi chotay thay or maslay bhi chotay thay.mger
humaysha baray lagtay thay.bachpan ki 1 ey hi to eak khas baat hoti
hay.jub choti say choti khoshi bhi bari lagti hay or chota sa dard
bhi pahar dikhai dayta tha.inhi leraion,sherarton main waqt guzernay
ka pata hi nahi chala,or eak eak ker kay waqt-rukhsat aa gia.bachpan
main jub lertay thay to baba kahtay thay itni dor shadi keron ga kay
eak dosray ki shakel daykhnay ko terso gay.maan baap kay moun say
nikli baat youn pori hogi socha na tha.eak pakistan kay mashriq gai to
dosri magrib or pechay rah gain humari leraian.bachpan main suna tha
nay rishtay poranay rishton ko qurbani mangtay hain.ab samjh aya aysa
kyuon kahtay hain.nay rihtay banay to poranay rishtay melon ki musafat
pay chalay gay.ama aba nain rukhsat kin apni baytian,jin ki awazon
say gonjta tha ey gher,jin kay qahqhay bantay thay ronaq ka sabab.or
main nain rukhsat kin apni bahnain jo mayra bachpan,mayri guria or
mayri yadain thin.agercha wo mujh say dor hain.mager phir bhi mayray
sath hain.mayray sath waly bed pay,chori stand min pari chorion min,
almari main paray kapron main or haan mayri plate min pery perathay
main mayray sth hain.
neha ahmad

Comment