Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

    kamray kay derodewar main koi khas tabdeli nahi hoi.is kamray main
    abhi bhi do bed hain.almari apni jagah pay hay or her khana waysay hi
    kapron say bhera hy.chori satnd per taqrebn her rung ki chorian majod
    hain.jo kisi na kisi taqreb per baray payar say bary man say kapron
    kay sath mila kay khredi gain thin.kitabon wali almari main matric say
    M.A tak ki tamam kitabain majod hain.kahin main rungon ka ziker hay
    to kisi main angrazi adab ka.to koi kitab business ki jama tafriq
    kerti nazer ati hay.sabhi kutch to apni jagah pay majod hay.phir ey
    khamoshi kyuon?haan shaed ab bed pay wo 3 nafos nahi hain jub raat kay
    kisi paher hansi ki awaz layhaf say bahir jhankti to dosray kamray say
    awaz ati ''shor nahi kero''agercha thori dayr kay leay hansi ki awaz
    na band ho jati mager thori dayr bad hi phir teen qahqhay raat ki
    khamoshi ko tortay hoy dosray kamray tak phonch jatay or awaz ati
    'main aaon uth kay ya awaz band hoi hay'qahqhay to shaed band ho
    jatay mager layhaf kay nechay say khuser phser ki awaz musalsul ati.
    or aglay din nashtay pa baba ka la lecture bhi kay sub ki raat hoti
    hay or in ki subah.almari pay ab koi lerta nhi hay eak wo waqt tha jub
    almari bhi apnay kan band ker layti hogi humari leraion pay.tum nain
    myray kapray nahi laynay kherab ho jain gay.acha phir tum nin mayray
    kpry kyuon pahny thay.acha theak hay jao nida mayray kapron ko hath
    na lagna. theak hay tum bhi na lagna.ey tha lerai k anjam.ager kamray
    main ey tha hal to bahir bhi tha 1 tofan,mama ki awaz dhamki ban kay
    kitchen say beramand hoti.ager aaj tum tenon nain ey pratha khtem na
    kia to main tumhary baba ko shikayt lagon gi.to kabhi awaz ati theak
    hy kul say ey bhi nahi milay ga.zerorat hi kia hy khanay kijub ey 1
    bhi bacha dayna hay.mager tub ey awazain sunai nahi dayti thin.kuonkay
    jaldi thi school college bhagnay ki.or phir wapis aa ker wo hi lerai
    jhagray mayray kapray,mayri joti,mayri jewlary,mayri kitabin,mayra pen
    ,mager raat ko wo hi hansi,wo hi khamoshi or wo hi awaz.ager 1 kamray
    main hum lertay thay to dosray main kertay thay ey kamal,bhai papeta
    lain hain,bhai kaysa hota hay?khao khao baray mazay ka hota hay,bhai
    ey to kerwa hay.acha?nahi nahi khao khon saf hota hay,ey kerwa hay
    nahi khaya jata,main jo kah raha hon khao,fida mand hota hay hum
    tenoon buray buray moun bana kay kha gay.mager jub kisi nain kaha kay
    papeta kerwa nahi hota to bus lernay wali thin 3 awazain eak sath
    buland hoin.bhaiiiiiiiiiiiiiii or sath main 3 takion kay sath istakbal
    bhi.mager raat kay 12 bajay bhai kay lay hoay phekay kherbozay bhi
    methay lagtay.jub bhai kahtay khao khao paysay lagay hoay hain.to hum
    hunstay hunstay phekay kherbozon per cheni daal kay kha jatay.ager
    lernay main thay hum mhir to 1 dosray kay maslon min bhi thay hzer.
    api aap ker do na,api aap baba say kaho na.bus itna kahna tha or saray
    maslay hul.jub hum bhi chotay thay or maslay bhi chotay thay.mger
    humaysha baray lagtay thay.bachpan ki 1 ey hi to eak khas baat hoti
    hay.jub choti say choti khoshi bhi bari lagti hay or chota sa dard
    bhi pahar dikhai dayta tha.inhi leraion,sherarton main waqt guzernay
    ka pata hi nahi chala,or eak eak ker kay waqt-rukhsat aa gia.bachpan
    main jub lertay thay to baba kahtay thay itni dor shadi keron ga kay
    eak dosray ki shakel daykhnay ko terso gay.maan baap kay moun say
    nikli baat youn pori hogi socha na tha.eak pakistan kay mashriq gai to
    dosri magrib or pechay rah gain humari leraian.bachpan main suna tha
    nay rishtay poranay rishton ko qurbani mangtay hain.ab samjh aya aysa
    kyuon kahtay hain.nay rihtay banay to poranay rishtay melon ki musafat
    pay chalay gay.ama aba nain rukhsat kin apni baytian,jin ki awazon
    say gonjta tha ey gher,jin kay qahqhay bantay thay ronaq ka sabab.or
    main nain rukhsat kin apni bahnain jo mayra bachpan,mayri guria or
    mayri yadain thin.agercha wo mujh say dor hain.mager phir bhi mayray
    sath hain.mayray sath waly bed pay,chori stand min pari chorion min,
    almari main paray kapron main or haan mayri plate min pery perathay
    main mayray sth hain.
    neha ahmad

  • #2
    Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

    buhat khoob
    yeh meethi aur piayari yaadeN share karne ke liye shukria
    khush rahiye
    dua hai keh aap sabhi behnoN meN agar meeloN ki musafat bhee ho to diloN ke faasle na baRhieN Aamin

    Comment


    • #3
      Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

      Assalaam-0-Alakom:rose

      Neha buht piyaara aur meetha andaaz aur tehreer bhi buht shaguftgi liye hoye hai.....refreshing.......mairi koi behn nahin hai....kabhi ehsaas hota hai hona chahiye thi...aur kabhi sochti hoon...shuker hai nahin hai...main akelay hi saara piyaaar lai looN gi....:hehe:
      any ways...likhti rehiye:phool:....waiting for more n more..
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

        Wow tum tu acha khasa likh laiti ho Bibi ....zabardast
        keep sharing
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

          Originally posted by neha_ahmad View Post
          kamray kay derodewar main koi khas tabdeli nahi hoi.is kamray main


          abhi bhi do bed hain.almari apni jagah pay hay or her khana waysay hi
          kapron say bhera hy.chori satnd per taqrebn her rung ki chorian majod
          hain.jo kisi na kisi taqreb per baray payar say bary man say kapron
          kay sath mila kay khredi gain thin.kitabon wali almari main matric say
          M.A tak ki tamam kitabain majod hain.kahin main rungon ka ziker hay
          to kisi main angrazi adab ka.to koi kitab business ki jama tafriq
          kerti nazer ati hay.sabhi kutch to apni jagah pay majod hay.phir ey
          khamoshi kyuon?haan shaed ab bed pay wo 3 nafos nahi hain jub raat kay
          kisi paher hansi ki awaz layhaf say bahir jhankti to dosray kamray say
          awaz ati ''shor nahi kero''agercha thori dayr kay leay hansi ki awaz
          na band ho jati mager thori dayr bad hi phir teen qahqhay raat ki
          khamoshi ko tortay hoy dosray kamray tak phonch jatay or awaz ati
          'main aaon uth kay ya awaz band hoi hay'qahqhay to shaed band ho
          jatay mager layhaf kay nechay say khuser phser ki awaz musalsul ati.
          or aglay din nashtay pa baba ka la lecture bhi kay sub ki raat hoti
          hay or in ki subah.almari pay ab koi lerta nhi hay eak wo waqt tha jub
          almari bhi apnay kan band ker layti hogi humari leraion pay.tum nain
          myray kapray nahi laynay kherab ho jain gay.acha phir tum nin mayray
          kpry kyuon pahny thay.acha theak hay jao nida mayray kapron ko hath
          na lagna. theak hay tum bhi na lagna.ey tha lerai k anjam.ager kamray
          main ey tha hal to bahir bhi tha 1 tofan,mama ki awaz dhamki ban kay
          kitchen say beramand hoti.ager aaj tum tenon nain ey pratha khtem na
          kia to main tumhary baba ko shikayt lagon gi.to kabhi awaz ati theak
          hy kul say ey bhi nahi milay ga.zerorat hi kia hy khanay kijub ey 1
          bhi bacha dayna hay.mager tub ey awazain sunai nahi dayti thin.kuonkay
          jaldi thi school college bhagnay ki.or phir wapis aa ker wo hi lerai
          jhagray mayray kapray,mayri joti,mayri jewlary,mayri kitabin,mayra pen
          ,mager raat ko wo hi hansi,wo hi khamoshi or wo hi awaz.ager 1 kamray
          main hum lertay thay to dosray main kertay thay ey kamal,bhai papeta
          lain hain,bhai kaysa hota hay?khao khao baray mazay ka hota hay,bhai
          ey to kerwa hay.acha?nahi nahi khao khon saf hota hay,ey kerwa hay
          nahi khaya jata,main jo kah raha hon khao,fida mand hota hay hum
          tenoon buray buray moun bana kay kha gay.mager jub kisi nain kaha kay
          papeta kerwa nahi hota to bus lernay wali thin 3 awazain eak sath
          buland hoin.bhaiiiiiiiiiiiiiii or sath main 3 takion kay sath istakbal
          bhi.mager raat kay 12 bajay bhai kay lay hoay phekay kherbozay bhi
          methay lagtay.jub bhai kahtay khao khao paysay lagay hoay hain.to hum
          hunstay hunstay phekay kherbozon per cheni daal kay kha jatay.ager
          lernay main thay hum mhir to 1 dosray kay maslon min bhi thay hzer.
          api aap ker do na,api aap baba say kaho na.bus itna kahna tha or saray
          maslay hul.jub hum bhi chotay thay or maslay bhi chotay thay.mger
          humaysha baray lagtay thay.bachpan ki 1 ey hi to eak khas baat hoti
          hay.jub choti say choti khoshi bhi bari lagti hay or chota sa dard
          bhi pahar dikhai dayta tha.inhi leraion,sherarton main waqt guzernay
          ka pata hi nahi chala,or eak eak ker kay waqt-rukhsat aa gia.bachpan
          main jub lertay thay to baba kahtay thay itni dor shadi keron ga kay
          eak dosray ki shakel daykhnay ko terso gay.maan baap kay moun say
          nikli baat youn pori hogi socha na tha.eak pakistan kay mashriq gai to
          dosri magrib or pechay rah gain humari leraian.bachpan main suna tha
          nay rishtay poranay rishton ko qurbani mangtay hain.ab samjh aya aysa
          kyuon kahtay hain.nay rihtay banay to poranay rishtay melon ki musafat
          pay chalay gay.ama aba nain rukhsat kin apni baytian,jin ki awazon
          say gonjta tha ey gher,jin kay qahqhay bantay thay ronaq ka sabab.or
          main nain rukhsat kin apni bahnain jo mayra bachpan,mayri guria or
          mayri yadain thin.agercha wo mujh say dor hain.mager phir bhi mayray
          sath hain.mayray sath waly bed pay,chori stand min pari chorion min,
          almari main paray kapron main or haan mayri plate min pery perathay
          main mayray sth hain.

          neha ahmad
          bohoth zabardusth and touchy realy,haan aik baath ka aj mujeh pata chala aur ilam may kaafi izaafa hua,aik murtabah aik lardki ney mujeh poochhah thah k nae rishtey puraaney rishton ki qurbaani maangti hain,tub mujeh bilkul bhi samajh may naa aaya laikin aap ki iss qaabil-i-fehem tehreer sey mujeh bohoth kuchh samajh may aagaya,very nice and touchy.
          waiting for more sharing with us and thanks again for sharing:rose
          Last edited by Mujahid Khan; 9 June 2007, 18:10.

          Comment


          • #6
            Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

            V nice neha:clap:
            bauht hi masoom sey jazbey likhey hain ap ney over all hr ek k gher yahi haal hota haii ..meri bhi sisters hai or merey gher bhi yahi haal hia pr woh sub chooti hia mujh seyy..or abhi tu kafi choti haiin :blush:.....pr jub kabhi un sey dur hoti hooon tu wwaqai un ki yehi sharatian yaad ati haiin yahi yaadain tu asasa hoti hian..likhti rahyea or khush rahyea

            Comment


            • #7
              Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

              bht hi acha hai neha............hum sisters b raat ko aise hi karti hain aur abu yahi kehte hai tum logon ki tu subha ho jati hai..........hehhehehhe...bht touchy tehreer hai.....waqi behan bhai jub dur hote hain tu bilkul acha nhn lagta.........keep sharing neha
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

                Buhat he piyary andaz main piyari see tehreer likhi hian aap hamisha khush raha karian

                Comment


                • #9
                  Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

                  bohat shukria aap sub ka jo aap nain mayri tahrer ko pasand kia.bus ey yadain hi to hain.jo tanhai main bhi bore nahi honay daytin.

                  Comment


                  • #10
                    Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

                    haahhhhhh:embarasse
                    bachpan ki yaadein......
                    bohat khoobsurat yadein share ki app ny hum say....:)
                    kai batein par kar hansi bhe bohat aai....:)


                    at the end......
                    mera bachpan bhee janay wala hy.....meri behn...door janay wali hy mujh say.....

                    but haqeeqat pasand bhe to hona hy na...k iss ky siwa aur kar bhe kya sakty hain....:embarasse

                    milain gay hum...is dunya..is basti..ya is ki hadoon say paar..:lpop:

                    Comment


                    • #11
                      Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

                      Neha sis... kuch din phely mein ni app ka ya thread read kia...per reply nahi de payee......coz jo app ni lekhaa hai buht haqeeqt lekha hai.... it made me cry.. ... or jo be pher rahi ti... mujy apni life nzar a rahi ti..wo hai 3 sisoo ...jo kabi aik sath howa karti thi... larai..mazak ...hansnaa.. aik dosri ki madad karna ... so on.. .. aj be meri 2 sis muj sy door hai... jo buht yaad a rahi hai...jab be apni bed room enter hoti hoo..onki picturz ...sharatien... yaad ati hai...buht rulati hai.... ha!! bed tu hai per khali sa hai... :(... khair yahi zindagi hai.... kal hum kaha kis ko pata.... :)...per tu woo donoo sweet aik sath hai...:pagal:

                      @ topic.... simply fabolus!!! buht khubsurat lekha hai.... isy taraha lekhti rahi..... or jaha be ap ki sisooz hai..khush rahien.. :dua
                      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                      :pr:

                      Comment


                      • #12
                        Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

                        Originally posted by miss sng View Post
                        [/left]

                        at the end......
                        mera bachpan bhee janay wala hy.....meri behn...door janay wali hy mujh say.....
                        arey dear.... app na roye.. plz:comfort:
                        bachpan tu har waqat sath rehta hai..... bachpan ki yadein tu humein jeeni ka hosila payda karti hai..... :phool:
                        sisoo tu hoti hai humari diloo mein...chahi kitni door na chali jaye.... :rose
                        be happy:rose

                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment


                        • #13
                          Re: mayra bachpan,mayri guria,mayri yadain

                          very nice Neha:thmbup: :rose :rose
                          tum nay bohat hi acha likh hay
                          waqye yeh perh kr to ankhoon main ansoo
                          aa hi jaty hain
                          u know k hum 4 sis hain aik ki to shadi ho gae
                          baqe hum teen hain or humara bhi yehi haal hay
                          aik dossey k bghair guzara nahi or humary waldain ki
                          bhi yehi baat hoti hay :comfort:
                          Allah hi jaany k hum log apny app ko kaisy snbhal pain geeen
                          mery father to mzaaq krty rehty hain k in teenoon ki
                          shadi aik hi ghr main kr daity hain sis hoti hi aise hain
                          jhaan sisters aisi hoti hain whaan bhai bhi apna moqaam
                          app hoty hain
                          i love my sis and brothers so much
                          or jo baat appny hasny ki ke hay na
                          woh to mujhy lagta hay k hr ghr main jhaan
                          sisters hoon ge yeh baat lazmi ho ge
                          humara bhi yehi haal hay
                          app ny bilkul haqeqat likhi hay yhaan pr
                          keep it up:phool:
                          b happy:rose

                          Comment

                          Working...
                          X