Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Entiha..........

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Entiha..........

    Originally posted by Khalil View Post
    maksad...........aik mehboob jo huta hay bus os kee zuban sy jo bee kalma nikla hu wo hurf e akhar huta hay aur pher muhabat karny wala os per amal kerta hay sochta nahi k akher kia huga ...
    ager ap ko samaj na aye to main ap ko Hazrat Musa alyslam aur
    Mehmood aur ayaz ka wakia suna doon to ap ko samaj ajay gee
    let me clear dear
    mien aapka point of view samajh gai hoon
    ap nay mohabbat k us muqaam ko point out kiya hay jahan mien(apna aap) khatam ho jaati hay..hamara sab kuch mehboob say shuru ho kar mehboob par khatam ho jaata hay......uski khushi hamari khushi uska gam hamara gam...uski baat harf-e-aakhir.....right..?
    magar mujhy is k izhaar k tareeqay par etraaz hay
    mehboob ki baat haf-e-aakhir magar agar mehboob kufr karny ko kahay to us muqaam par kya kiya jaay...?
    let me assume k larkay nay khud kushi kar li us k baad larki kya karay gi
    shayad woh bhi khud kushi kar lay...mehboob nay meray liay jaan day di to mien jii kar kya karoon ji......result...khasaara
    woh shaadi nhi karay gi saari umr tanhaai mien aur takleefoon mien guzaar day gi...result..............
    woh kisi aur say shaadi kar lay gi..khushi say ya dukh say.......result.........
    aur ap kuchh bhi keh loo mien to us larkay ki moot ko khud kushi hee kahoon gi.....mohabbat andhi nhi hooti...insaan andha ho jaata hay...aur nah hee mohabbat galat raastay ki taraf rehnumaai karti hay....

    ji aap waqiya bhi suna deejiay...hamari maloomaat mien izaafa ho jaay ga

    Comment


    • #17
      Re: Entiha..........

      Originally posted by Khalil View Post
      aur jo looag kisi kee yaad main rozana marty hian jo k ap kee shaid poetry main bee hay kia wo haram nahi?

      Kia Hazrat Abrahim alyslam ko nahi pata tha k wo jal jain gy aag main dalny sy?
      unhien pata tha magar yeh bhi to daykhoo k hukm kis ka tha....maalik ka
      aur woh to ishq-e-haqeeqi tha.
      aur maalik k hukm ka inkaar matlab k uski zaat ka inkaar
      iblees nay bhi to bus yeh hee kiya tha...inkaar kiya tha....
      jab jeena marna hee us k hukm k taabee hay to phir khoof kaysa

      magar dear ishq-e-haqeeqi aur ishq-e-majaazi mien boht farq hay...thats wqt i think.

      Comment


      • #18
        Re: Entiha..........

        Originally posted by Khalil View Post
        :tauba
        abi tak aap logon ko pata hee nahi k hakeeke aur majazi ishak aik hee chez ka naam hay.......................think it dear,
        jitni meri sooch ki wusat jasakti haii us k mutabiq haa aik hi cheez k 2 naam bhi hai or 2alg alg baatain hain.apni apni sooch ka daira hai jahan tak phela lain......:)

        Comment


        • #19
          Re: Entiha..........

          Originally posted by sensible View Post
          yaar khalil bhaai aik tho aap bohoth jaldi naaraaz ho jaatey hain,yaqeen maaniye merey kehney ka matlub bilkul woh nahi jo aap samajh rahai hain.:khi:
          ary brother nahi balky bilkul nahi aisa hay k main naraz hu jaon....
          aur jo ap samjain hian shaid wo main be nahi kehta hun

          Comment


          • #20
            Re: Entiha..........

            ]let me clear dear
            mien aapka point of view samajh gai hoon
            ap nay mohabbat k us muqaam ko point out kiya hay jahan mien(apna aap) khatam ho jaati hay..hamara sab kuch mehboob say shuru ho kar mehboob par khatam ho jaata hay......uski khushi hamari khushi uska gam hamara gam...uski baat harf-e-aakhir.....right..?
            Bilkul ap theek samji hian...:thmbup:
            magar mujhy is k izhaar k tareeqay par etraaz hay
            mehboob ki baat haf-e-aakhir magar agar mehboob kufr karny ko kahay to us muqaam par kya kiya jaay...?
            yeh aik aisa makam hay jehan per muhabat en sab chezon sy bala tar hay kufar to koi mahani hee nahi rakhta...aur yeh soch tab change huti hain jab ap apny aap ko sab sy pehly aik insaan ban ker sochain...asal main aisi batian jab hum aik muslim bann ker sochty hian to hamary ander aik darr sa paida hu jata hay k shaid yeh kufar hu.. lakin aisa kuch nahi hay

            let me assume k larkay nay khud kushi kar li us k baad larki kya karay gi
            shayad woh bhi khud kushi kar lay...mehboob nay meray liay jaan day di to mien jii kar kya karoon ji......result...khasaara
            woh shaadi nhi karay gi saari umr tanhaai mien aur takleefoon mien guzaar day gi...result..............woh kisi aur say shaadi kar lay gi..khushi say ya dukh say.......result.........
            oho shadi ka kia tahalak kia hay es main ap to pher maada parsati main agi hian muhabat to aik rooh ka milna hay jismoo ka nahi//


            aur ap kuchh bhi keh loo mien to us larkay ki moot ko khud kushi hee kahoon gi.....mohabbat andhi nhi hooti...insaan andha ho jaata hay...aur nah hee mohabbat galat raastay ki taraf rehnumaai karti hay....
            gee bilkul ap jo marzi samjoo i like it. apna view huna chayee. mohabat bee andi nahi huti sab kuch maloom huta hay k yeh huna hay lakin karna mushkal hu jata hay aur muhabat krny waly kar jaty hain


            ji aap waqiya bhi suna deejiay...hamari maloomaat mien izaafa ho jaay ga
            chalin wo pher kabi abi time nishta

            Comment


            • #21
              Re: Entiha..........

              Originally posted by sumera View Post
              unhien pata tha magar yeh bhi to daykhoo k hukm kis ka tha....maalik ka
              aur woh to ishq-e-haqeeqi tha.
              aur maalik k hukm ka inkaar matlab k uski zaat ka inkaar
              iblees nay bhi to bus yeh hee kiya tha...inkaar kiya tha....
              jab jeena marna hee us k hukm k taabee hay to phir khoof kaysa

              magar dear ishq-e-haqeeqi aur ishq-e-majaazi mien boht farq hay...thats wqt i think.
              ary ary yehi to dekho naa aur yehi main kehna chahta hun k hukam aik mehboob ka thaaaa..........
              ishq-e-haqeeqi aur ishq-e-majaazi mien boht farq kuch bee nahi....
              aur jab aap ko ishak kee samaj ajay gee to es baat ka jawab bee mil jay ga k koi farak nahi
              ishak majazi hee asal main hakeeki eshak hay
              balky dono aik hee chez hian

              Comment


              • #22
                Re: Entiha..........

                Originally posted by aquari View Post
                jitni meri sooch ki wusat jasakti haii us k mutabiq haa aik hi cheez k 2 naam bhi hai or 2alg alg baatain hain.apni apni sooch ka daira hai jahan tak phela lain......:)
                Kash ap loag samj jao eshak ko...........

                Comment


                • #23
                  Re: Entiha..........

                  :rose
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #24
                    Re: Entiha..........

                    Originally posted by Khalil View Post
                    Kash ap loag samj jao eshak ko...........
                    humarey samjhney sey kya hota haii..koi hoo bhi aisa Us Zaat k siwaa jo ishq k qabil hoo :blush:

                    Comment


                    • #25
                      Re: Entiha..........

                      Originally posted by Aabgina View Post
                      :rose
                      wa alikum salam

                      Comment


                      • #26
                        Re: Entiha..........

                        Originally posted by aquari View Post
                        humarey samjhney sey kya hota haii..koi hoo bhi aisa Us Zaat k siwaa jo ishq k qabil hoo :blush:
                        Khuda key bandy to hain hazaroon pherty hian banoo main mary mary
                        main os ka banda banon ga jiss ko khuda key bandoon sy piyar huga..

                        Insaan sy eshak ALLAh sy hee eshak hay

                        Comment


                        • #27
                          Re: Entiha..........

                          Love Only Allah And Prophet Muhammad S.a.w
                          Yehi Ishq Hai
                          :welcome: :welcome: www.jandanwala.com:welcome::welcome:

                          Comment


                          • #28
                            Re: Entiha..........

                            Originally posted by notorious gujjar View Post
                            Love Only Allah And Prophet Muhammad S.a.w
                            Yehi Ishq Hai
                            yes u are totaly right......:rose

                            Comment


                            • #29
                              Re: Entiha..........

                              Originally posted by Khalil View Post
                              Khuda key bandy to hain hazaroon pherty hian banoo main mary mary
                              main os ka banda banon ga jiss ko khuda key bandoon sy piyar huga..

                              Insaan sy eshak ALLAh sy hee eshak hay
                              yeh kis nay kaha hai??????????
                              sigpic

                              Comment


                              • #30
                                Re: Entiha..........

                                [quote=Khalil;425478]Bilkul ap theek samji hian...:thmbup:
                                yeh aik aisa makam hay jehan per muhabat en sab chezon sy bala tar hay kufar to koi mahani hee nahi rakhta...aur yeh soch tab change huti hain jab ap apny aap ko sab sy pehly aik insaan ban ker sochain...asal main aisi batian jab hum aik muslim bann ker sochty hian to hamary ander aik darr sa paida hu jata hay k shaid yeh kufar hu..lakin aisa kuch nahi hay

                                hum muslim hien to yaqeenan aysay andaaz mien hee sochien gay aur aap ishq ko kitna samajhty ya jaanty ho mien nhi jaanti magar ......ap kufr k baaray mien aysi baat kar rahay ho to hayrat ho rahi hay..aap nay jo baat ki woh koi chooti baat nhi hy....kiun k kufr to har haal mien kufr hee hay.

                                oho shadi ka kia tahalak kia hay es main ap to pher maada parsati main agi hian muhabat to aik rooh ka milna hay jismoo ka nahi//
                                aap nay shayad meri saari baat par goor nhi kiya,...sirf ik jumlay ko point out kiya hay...agar saari baat parho aur samjhoo to matlab yaqeenan kuch aur niklay ga...

                                gee bilkul ap jo marzi samjoo i like it. apna view huna chayee. mohabat bee andi nahi huti sab kuch maloom huta hay k yeh huna hay lakin karna mushkal hu jata hay aur muhabat krny waly kar jaty hain


                                haan ji...mohabbat karnay ka bhi sab ka apna apna andaaz hay ik woh hay jo aap nay bataya aur ik woh hay jo mien ap ko batati hoon:)




                                larky ny wahaan bhi nhi soocha tha...yahan bhi nhi soocha....but result is different.........yahan us nay mehboob ko khushi di hay ...k mohabbat mien mehboob ki khushi hee sab kuchh hay.....
                                aur mien aysi hee mohabbat par yaqeen rakhti hoon jahan aap sab kuchh khoo kar bhi mehboob ki khushi paa layty hoo....

                                Comment

                                Working...
                                X