Aik meyrey na honey sey.....
Zindagi ki itni ziada masroofiat mey pata nahi ye khayal kyun, kab aur kaisey zeyhan mey aya key agar aaj meyra Nata is dunya sey khatam ho jaye to kya ho ga? Aik lamhey ko mujhey aeysa laga key saari kainaat tham gai ho---jheel ka paani bhi----parindoN ki chah-hat bhi----Hawa bhi---lehlahaatey kheyt bhi----Mehaktey phool bhi---aur chaltey huye log bhi----aur waqt bhi-----leykin agley hi lamhey mey Haqeeqat mey thi----shayad ye sirf meyra khayal tha key aeysa kuch ho jaye ga agar kabhi is dunya sey meyra Rishta toot jaye!
leykin aeysa kuch bhi nahi ho ga---Jheel ka paani shayad kabhi kuch dino key liye meyra muntazir ho, iss ki lehRein shayad thora shaur karein---mujhey PukarEin----ParindoN ki chah-chahat shayad us din thori si unchi ho---unhein bhi shayad inteyzaar ho ga key mey unhein SUnu aur SarahuN---hawa aur Mehaktey huye phool bhi shayad thori deyr ko udass hoN---shayad is liye key ab un sey mehzooz honey wala bohot door ja chuka hai-----aur jeetey jaagtey log!!!! ho sakta hai jin logoN key sath Qadam mila ker mey aaj chalti hun un ko thora farQ perhey magar bohot mumkin hai key unhein aur Log mil jayein jo un key raastoN key humsafar hoN----
haan shayad kuch sec. key liye sahih ye Kainat ruk jaye magar phir her cheez apney Mamool per aa jaye gi ---------Aik meyrey na honey sey itna koi itna farq to nahi perhta !!!!!!!

Comment