Asalamoalaikum
Ye tehreer mein ne bohat pehly likhee thi ...aur aaj kuch purani cheezein parhte waqt mere nazron se guzree to socha ke mein yahan share kardon .........:rose
Bardasth kejiye :rose
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye tehreer mein ne bohat pehly likhee thi ...aur aaj kuch purani cheezein parhte waqt mere nazron se guzree to socha ke mein yahan share kardon .........:rose
Bardasth kejiye :rose
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mein aksar sochtee hoon ke insaan ki zindagee mein kitney morh aatey hein .....kitney marhaley ......kitnee aazmaishein ....kabhi kabhi lagta hai ki ye aazmaishein kabhi kam nahin hongee aur kabhi lagta hai ke ager ye aazmaishein na hoti to hum yahaan na hotey .......waqt kabhi kabhi maseeya ban jaata hai aur kabhi kabhi azaab ............palak jhapakte to kabhi yun minton mein sarf hojata hai ke pata nahin chalta ke kahan khogaya hamarey hathon se ....ke hum sochtey hee rehjatey hein ke hamare paas ager kuch aur waqt hota to...... aur kabhi to yun lagta hai ke jassey waqt ruk sa gaya ho ....tehrey huwey pani ki tarha tham sa gaya ho usmein sirf aapka aks dikhaaee deta ho aur kuch nahin... jasey us ne qaid kar rakho ho aur aap nikal nahin sakte uss ke hisaar se ...apko apni ahat ke ilaava kuch aur sunaee nahin deta ..kyun ke aap akeley hein ..ek hujoom ke beech jo ke agey barh raha hai apni manzil ki taraf ...aap ko wahin uss hisaar mein akela chorkar ..........uss ghari waqt azaab lagta hai.... ek ek pal .. ek ek sec ...guzarna mushkil hojata hai .......aur waqt ki taptee dhoop mein aap jaltey rahtey hein........aur iss tapish ke garmee se mazboot se mazboot tar insaan bhi pighal kar moum ho jaata hai........
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
jinke pairon ne bandhaa ho safar unke
faasle kahan ghat'te hein musafaton ke mosam mein
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
jinke pairon ne bandhaa ho safar unke
faasle kahan ghat'te hein musafaton ke mosam mein
Comment