Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Mein Aksar Sochtee Hoon~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

    Asalamoalaikum

    Ye tehreer mein ne bohat pehly likhee thi ...aur aaj kuch purani cheezein parhte waqt mere nazron se guzree to socha ke mein yahan share kardon .........:rose

    Bardasth kejiye :rose
    ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



    Mein aksar sochtee hoon ke insaan ki zindagee mein kitney morh aatey hein .....kitney marhaley ......kitnee aazmaishein ....kabhi kabhi lagta hai ki ye aazmaishein kabhi kam nahin hongee aur kabhi lagta hai ke ager ye aazmaishein na hoti to hum yahaan na hotey .......waqt kabhi kabhi maseeya ban jaata hai aur kabhi kabhi azaab ............palak jhapakte to kabhi yun minton mein sarf hojata hai ke pata nahin chalta ke kahan khogaya hamarey hathon se ....ke hum sochtey hee rehjatey hein ke hamare paas ager kuch aur waqt hota to...... aur kabhi to yun lagta hai ke jassey waqt ruk sa gaya ho ....tehrey huwey pani ki tarha tham sa gaya ho usmein sirf aapka aks dikhaaee deta ho aur kuch nahin... jasey us ne qaid kar rakho ho aur aap nikal nahin sakte uss ke hisaar se ...apko apni ahat ke ilaava kuch aur sunaee nahin deta ..kyun ke aap akeley hein ..ek hujoom ke beech jo ke agey barh raha hai apni manzil ki taraf ...aap ko wahin uss hisaar mein akela chorkar ..........uss ghari waqt azaab lagta hai.... ek ek pal .. ek ek sec ...guzarna mushkil hojata hai .......aur waqt ki taptee dhoop mein aap jaltey rahtey hein........aur iss tapish ke garmee se mazboot se mazboot tar insaan bhi pighal kar moum ho jaata hai........
    ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
    jinke pairon ne bandhaa ho safar unke
    faasle kahan ghat'te hein musafaton ke mosam mein
    If Allah brings you to it, He will bring you through it.

    Happy moments, praise Allah.
    Difficult moments, seek Allah.
    Quiet moments, worship Allah.
    Painful moments, trust Allah.
    Every moment, thank Allah.




  • #2
    Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

    bohat khooB aur bohat sach :)
    Daad wasool Kejye :)
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

      Bohat achi tehreer likhi hai :)

      Comment


      • #4
        Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

        Originally posted by Yaaram View Post
        bohat khooB aur bohat sach :)
        Daad wasool Kejye :)
        Shukriya bohat bohat :):rose
        If Allah brings you to it, He will bring you through it.

        Happy moments, praise Allah.
        Difficult moments, seek Allah.
        Quiet moments, worship Allah.
        Painful moments, trust Allah.
        Every moment, thank Allah.



        Comment


        • #5
          Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

          Originally posted by jums View Post
          Bohat achi tehreer likhi hai :)

          bohat bohat shukriya :rose
          If Allah brings you to it, He will bring you through it.

          Happy moments, praise Allah.
          Difficult moments, seek Allah.
          Quiet moments, worship Allah.
          Painful moments, trust Allah.
          Every moment, thank Allah.



          Comment


          • #6
            Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

            very nice and very true...........................Thnks for shariNg dear siso

            Comment


            • #7
              Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

              Bery Bery nice jee ............ Acha likha hai .......... aur likhti rahiye ga kyoon ke aap ke pass khyalat aur alfaz ki koyi kami nahi hai ........ Ah0o0
              :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose

              Comment


              • #8
                Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

                ........aur iss tapish ke garmee se mazboot se mazboot tar insaan bhi pighal kar moum ho jaata hai........



                ho sakta hai --aur kabhi yun bhi hota hai key kuch log aeysey "waqt" aur aeysi azmaish sey guzar ker hi mazboot ho jatey hein ....kya khayal hai?

                btw nice thoughts :thmbup:
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

                  Originally posted by Khalil View Post
                  very nice and very true...........................Thnks for shariNg dear siso
                  bohat bohat shukriya chote bro
                  khush raho sada Ameen:rose
                  If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                  Happy moments, praise Allah.
                  Difficult moments, seek Allah.
                  Quiet moments, worship Allah.
                  Painful moments, trust Allah.
                  Every moment, thank Allah.



                  Comment


                  • #10
                    Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

                    Originally posted by F-A-L-A-K View Post
                    Bery Bery nice jee ............ Acha likha hai .......... aur likhti rahiye ga kyoon ke aap ke pass khyalat aur alfaz ki koyi kami nahi hai ........ Ah0o0

                    ji bohat bohat shukriya F-A-L-A-K ji bery bery much :lpop:
                    kami ji koi nahin beshak :rose aur aisee daad dein gey to zaroor likhongee INSHALLAH
                    If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                    Happy moments, praise Allah.
                    Difficult moments, seek Allah.
                    Quiet moments, worship Allah.
                    Painful moments, trust Allah.
                    Every moment, thank Allah.



                    Comment


                    • #11
                      Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

                      Originally posted by barg.e.gul View Post


                      ho sakta hai --aur kabhi yun bhi hota hai key kuch log aeysey "waqt" aur aeysi azmaish sey guzar ker hi mazboot ho jatey hein ....kya khayal hai?

                      btw nice thoughts :thmbup:

                      sab se pehly to Asalamoalaikum :)
                      kia baat hai ......kitna pyara nick hai janab aapka :rose

                      bilkul janab aisa bhi hota hai lekin jis waqt insaan uss dor se guzar raha hota hai na to usko ye sabh nahin lagta ....lekin baad mein jakar ye maloom hota hai ye zahr hota hai uske upar ke ager ye us par na beeth jatee to vo usko us cheez ki experience na hoti ....vo kehte hein na ke a person gains experience with time and becomes stronger ......and it can be vice versa it all depends on which way that person takes it :rose

                      and btw thankyou:blush:
                      If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                      Happy moments, praise Allah.
                      Difficult moments, seek Allah.
                      Quiet moments, worship Allah.
                      Painful moments, trust Allah.
                      Every moment, thank Allah.



                      Comment


                      • #12
                        Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

                        Originally posted by NaQsh View Post
                        sab se pehly to Asalamoalaikum :)
                        kia baat hai ......kitna pyara nick hai janab aapka :rose
                        ws wr
                        n thanks :$


                        bilkul janab aisa bhi hota hai lekin jis waqt insaan uss dor se guzar raha hota hai na to usko ye sabh nahin lagta ....lekin baad mein jakar ye maloom hota hai ye zahr hota hai uske upar ke ager ye us par na beeth jatee to vo usko us cheez ki experience na hoti ....vo kehte hein na ke a person gains experience with time and becomes stronger ......and it can be vice versa it all depends on which way that person takes it :rose

                        and btw thankyou:blush:
                        exactly
                        zindagi mey kabhi kabhi mushkil time aatey rehna chahiye ....insaan aeysey "time" sey bohot kuch seekhta hai


                        likhti raho aur khush raho :thmbup:


                        and btw you welcome :P
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

                          exactly
                          zindagi mey kabhi kabhi mushkil time aatey rehna chahiye ....insaan aeysey "time" sey bohot kuch seekhta hai


                          likhti raho aur khush raho :thmbup:


                          and btw you welcome :P[/quote]


                          tum bhi khush raho and thanks again:rose
                          If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                          Happy moments, praise Allah.
                          Difficult moments, seek Allah.
                          Quiet moments, worship Allah.
                          Painful moments, trust Allah.
                          Every moment, thank Allah.



                          Comment


                          • #14
                            Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

                            hmmmm achha sochti hain :p
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~Mein Aksar Sochtee Hoon~

                              Sochoun per ekhtiyar hay na waqt per ....tabhi zindgee ka jab yeh allam ho keh....rahat-ein tu hoon,...magar ehsaas na ho....wasal tu ho magar chah na ho tu...sab kuch ...haich lagta hay ....Waqt kisi bay lagam ghoray ki maanind ...bhagta chala jaata hay aur hum oss say bandhay howay...oss k peehchay peehcay ,...ghisat-tay chalay jaatay hein ....kuch dikahi nahi dayta...keh kiya ho raha hay ..kyun ho raaha hay ...kuch lamahy zukhmi karay hein kuch moasam...magar ..waqt....nahi thamta....

                              anyway aap ki share karda soach buhat khoobsoorat hay ! thanx for sharing
                              Last edited by Gul; 4 December 2006, 00:14.

                              Comment

                              Working...
                              X