Apni yadein ham sey sey share kijiye. Bohat si achhi achhi batein hoti hai jo insaan doosron sey share kijiye :)
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Yadon Key Dareechon Sey
Collapse
X
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
..... to aap bhi thin :zuban:
Originally posted by Saima ShaheenOus waqt yahan koi aisa hospital nahi tha, jis mei koi buhut mahir doctors ho.
Originally posted by Saima Shaheenwo peetey mei ne vomit ki aur be-hosh ho gayi
Originally posted by Saima Shaheenager kuch ho gaya to mei zimedari nahi laita.
Originally posted by Saima ShaheenItni raat ko to sare doctor clinics band ker k ja chukey they aur koi nahi tha.
Originally posted by Saima Shaheenoun ke moun per ek hi bat thi ager is bachi ne raat guzar li to samjho yeh bach gayi
Originally posted by Saima Shaheenkon kon se baba ke pass
:eek: .... aur aap logon ney is peh yaqin kar liya :tauba
Originally posted by Saima Shaheenchala k mere dil mei jo valve hai, wo theik se khoon pump nahi ker raha
Originally posted by Saima ShaheenMama zada himat wali thi
Originally posted by Saima ShaheenMujhe wo manzar aaj bhi yaad aata hai
Is Khoobsurat waqiye ko share karney ka bohat bohat shukriyah - mazeed ka intizar rahey ga :)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Originally posted by Masood..... to aap bhi thin :zuban:
Originally posted by MasoodHaan ji suna hai aaj sey 100 saal pehley yehi halaat thi :khi:
Originally posted by MasoodKya doctor ko khud maloom tha usney kon si dawa dena thi aur kon si dey diOriginally posted by Masood:cc:
Originally posted by Masoodhaan ji hamarey haan doctors key liye kisi ki jaan bchaney ki nisbat apni fiker ziyada hai
Sahi kaha
Originally posted by MasoodDoctory bhi to aik profession hai wahan, 8-18 office khultey hain, paisey poorey ho jaen to clinic band kar diye jatey hain keh uskey baad insaan mar bhi jaey to kya parwa
Magar yeh sahi baat to nahi, ager mujh jesi masoom bachi ko kuch ho jata to :blush:
Originally posted by Masood.... jitney munh utni bateinOriginally posted by Masood
Originally posted by Masood,,, aik to yeh babey nahin chhot'tey hamarey smaaj meinOriginally posted by Masood:hathora
Originally posted by Masood:eek: .... aur aap logon ney is peh yaqin kar liya :tauba
Originally posted by Masood...oh ab to koi aisa maslaa nahin??? aur woh babey ka saya kahan geyaOriginally posted by Masood:eye:
Originally posted by Masoodwarna leney key deney parr saktey they - bohat achha kiya aap ki mama ney
Originally posted by Masood... aur ham Pegham peh aisey hi khoobsurat lamhaat ko "recall" karna chahtey hain - takeh parhney aur likhney waley dono ko achha lageyOriginally posted by Masood:rose
Is Khoobsurat waqiye ko share karney ka bohat bohat shukriyah - mazeed ka intizar rahey ga :)sigpic
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Pata nahi , ho sakt ahai tab doctors aisey ho'n. Magar mujhe waha ke docs pagal lagtey ahin. Yahan qatar mei if you have temp they'll give you anti-biotics, but in pak when I had temp... he gave me 4 injectionssigpic
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Ab mei aap sab ko ek masoom si shararat batati hoon, asal mei main ne shararat ki nahi, mei shararat kerti nahi, main masoom ho ....wo to bas ho jati hai
Huwa kuch youn, k mere mamoo ki shadi thi aur hum pakistan mei they , shadi ke dino mei meri nani ke ghar mei buhut sarey mehmaan aayeh they aur wahi tehrey they.... mei shayed 6 saal ki thi...aur ous din mujhe bukhar tha ...Raat ho chuki thi, mere papa mere sath they ... mujhe dawa pee ker sona tha...magar mujeh soney k liyeh takiya nahi mil raha tha.
kiu k kafi mehman they aur shayed takiyeh kam ho gayeh ho'n, mere papa mere liyeh takiya dhoond'ney gayeh magar khali hath wapis aayeh ounhein nahi mila. Mei ne socha mei khudh dhoond laiti hoon, mei kamrey se bahir gayi mujhe samney charpayi per ek takiya nazar aaya, wo aadaha charpayi per tha aadha charpayi se nichey aa raha tha. Mei ne kaha yeh to neechey girr jayeh ga mei wo takiya lai gayi aur ja ker papa se kaah mujhe bahir mila hai, kher mei dawayi kha ker so gayi aur subah outhi to sab log, mera matlab hai mere papa kuch uncles k sath baithey they. Mei waha gayi to ek uncle jo molvi type they mujhe kaha baita yaha aao mei gayi to mujhe poocha tabiyat kaisi hai aur phir mujhe Goadh mei bitha liya. Mei chup chap baithi sab ki batain sunti rahi. oun uncle ki gardan mei dard tha, shayed wo raat ko theikh se so nahi payeh. Papa ne poocha kya huwa to ounhon ne kaha "Yaar pata nahi raat ko koi bacha mere sar ke neehcey se takiya khench ker lai gaya". Yeh sun'na tha aur mei oun ki goad se outer ker bhag ker mama ke pass chali gayi. Main ne kisi ko nahi bataya, aur wo uncle bhi nahi jantey they k wo bacha nahi bachi thi, kiu k ounhon ne mujhe dekha hi nahi tha, is liyeh k jab ounhon ne dekhney ki koshish ki ho gi k kis ne takiya khencha tab main to dosri taraf mou ker k takiya outhayeh ja rahi thi.:eye:sigpic
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Originally posted by Saima ShaheenPata nahi , ho sakt ahai tab doctors aisey ho'n. Magar mujhe waha ke docs pagal lagtey ahin. Yahan qatar mei if you have temp they'll give you anti-biotics, but in pak when I had temp... he gave me 4 injections
haan ye to maanti hun kuch doc. akser aeysa kertey hein leykin her jagey nahi hota hai ....Pakistani doctors bohot zaberdast doctors hotey hein :thmbup:
Ab deykho na her bukhar per anti-biotics bhi nahi deyni chahiyein :)" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Saima ki shrarton sey aik chhota sa waqeya yaad aaya:
Main abhi Pakistan mein hi rehta tha, koi 6-7 saal ki umer ho gi. Merey dada hazoor abhi ta-hayat they, magar mazoor ho chukey they aur charpaee peh hi hotey they. Magar unkey dam sey gali ki ronaq huwa karti thi... Aik din ham bachey gali mein khail rahey they keh aik cycle wala door sey aata huwa nazar aaya. Mujhey shrarat soojhi keh issey giraya jaey :devilsmil . Jab woh qareeb aaya to main achanak useky cycle key qareeb aa geya, woh mujhey bachana chahta tha magar na bacha paya aur uskey cycle ka aik shade merey sar mein jaa laga itna khoon nikla keh bas......
Dada jan ko khabar hui to us cycle waley ki khoob maramat ki, magar woh btata rah geya keh qasoor mera nahin tha :donno: . Khair ji ham logon ney, yani main, mera chacha-zad aur mera aik dost huwa karta tha us waqt, ham teeno ki dosti achhi thi, ham ney socha us cycle waley ko phir tang karein ge :maan: .
Phir aik din woh hamein dobara cycle peh aata nazar aaya, jis rastey sey usney guzarna tha usmein ham ney meekhein daba deen :devilsmil :devilsmil jab woh wahan sey guzra to cycle puncture :lol :loltumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Originally posted by Saima ShaheenAb mei aap sab ko ek masoom si shararat batati hoon, asal mei main ne shararat ki nahi, mei shararat kerti nahi, main masoom ho ....wo to bas ho jati hai
shukriya saima ...sharartein kerti rahein aur hamarey sath bhi share kerti rahein" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Originally posted by MasoodSaima ki shrarton sey aik chhota sa waqeya yaad aaya:
Main abhi Pakistan mein hi rehta tha, koi 6-7 saal ki umer ho gi. Merey dada hazoor abhi ta-hayat they, magar mazoor ho chukey they aur charpaee peh hi hotey they. Magar unkey dam sey gali ki ronaq huwa karti thi... Aik din ham bachey gali mein khail rahey they keh aik cycle wala door sey aata huwa nazar aaya. Mujhey shrarat soojhi keh issey giraya jaey :devilsmil . Jab woh qareeb aaya to main achanak useky cycle key qareeb aa geya, woh mujhey bachana chahta tha magar na bacha paya aur uskey cycle ka aik shade merey sar mein jaa laga itna khoon nikla keh bas......
Dada jan ko khabar hui to us cycle waley ki khoob maramat ki, magar woh btata rah geya keh qasoor mera nahin tha :donno: . Khair ji ham logon ney, yani main, mera chacha-zad aur mera aik dost huwa karta tha us waqt, ham teeno ki dosti achhi thi, ham ney socha us cycle waley ko phir tang karein ge :maan: .
Phir aik din woh hamein dobara cycle peh aata nazar aaya, jis rastey sey usney guzarna tha usmein ham ney meekhein daba deen :devilsmil :devilsmil jab woh wahan sey guzra to cycle puncture :lol :lol
:lol ... Buri baat hai Masood...jaan boojh ker kisi ko tang nahi kertey.... :lolsigpic
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Originally posted by barg.e.gul
shukriya saima ...sharartein kerti rahein aur hamarey sath bhi share kerti rahein
Nahi na mei to shararat nahi kerti ..... wo to ho jati hai
Ab mei bachpan ki ek aur baat share kerti hoon,
Hum pak mei they... meri umer ho gi koi 9 saal... humarey papa humein zoo lai ker gayeh.... buhut se janwar dekhey sher bhi...buhut gurata tha ..... Ghoomtey ghoomtey hum log ek jaga pohanchey jahan ek shaks ek hathi (elephant) ke sath tha, kafi log ous hathi k sath aur kuch bachey ous ke ouper baith ker tasveerian banwa rahey they..... mei ne nahi banwahi kiu k mujhe janwaro se darr lagta hai .....
Khair mere papa aur behan bhai kharey hathi ko dekhtey rahey ounho ne snaps bhi banwayi... mei bore honey lagi.... apna rukh morr ker dosri taraf dekhney lagi... rigth to left .. poorey zoo per nazar dorayi .... abhi khari hi thi mujhe apney kandhey per kisi chiz ka wazan mehsoos huwa .. mei ne soch papa hai, kandhey per hath is liyeh rakha ho ga k mei kahi idher oudher na chali jao..... chand second baad ousi chiz ne mujhe mere gaal per choowa.... main ek dam ghabra gayi kiu k ager papa ne hi mere gaal ko choowa to papa k hath per itne lambey lambey baal kahan se aayeh .........
Mei zara murri to ............ Hathi ........... haan wahi bara motta wala hathi mere samney khara tha, aur jo chiz mere kandhey per thi woh kisi ka hath nahi hathi ki soond thi jis ne mere gaal ko chuwa bhi .... mei ghabra ker cheenkhi aur papa ke peechey chup gayi ........
aas paas ke sab log aur mere papa bhi hansney lagey .....
lo batao bhala is mei hansney ki kya baat thi....... hathi ko kisi ne kuch nahi kaha k ek masoom bachi ko dara diya :embarasseLast edited by 'SamRazi'; 11 July 2005, 07:55.sigpic
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Originally posted by Saima ShaheenAb mei aap sab ko ek masoom si shararat batati hoon, asal mei main ne shararat ki nahi, mei shararat kerti nahi, main masoom ho ....wo to bas ho jati hai :D
Huwa kuch youn, k mere mamoo ki shadi thi aur hum pakistan mei they , shadi ke dino mei meri nani ke ghar mei buhut sarey mehmaan aayeh they aur wahi tehrey they.... mei shayed 6 saal ki thi...aur ous din mujhe bukhar tha ...Raat ho chuki thi, mere papa mere sath they ... mujhe dawa pee ker sona tha...magar mujeh soney k liyeh takiya nahi mil raha tha.
kiu k kafi mehman they aur shayed takiyeh kam ho gayeh ho'n, mere papa mere liyeh takiya dhoond'ney gayeh magar khali hath wapis aayeh ounhein nahi mila. Mei ne socha mei khudh dhoond laiti hoon, mei kamrey se bahir gayi mujhe samney charpayi per ek takiya nazar aaya, wo aadaha charpayi per tha aadha charpayi se nichey aa raha tha. Mei ne kaha yeh to neechey girr jayeh ga mei wo takiya lai gayi aur ja ker papa se kaah mujhe bahir mila hai, kher mei dawayi kha ker so gayi aur subah outhi to sab log, mera matlab hai mere papa kuch uncles k sath baithey they. Mei waha gayi to ek uncle jo molvi type they mujhe kaha baita yaha aao mei gayi to mujhe poocha tabiyat kaisi hai aur phir mujhe Goadh mei bitha liya. Mei chup chap baithi sab ki batain sunti rahi. oun uncle ki gardan mei dard tha, shayed wo raat ko theikh se so nahi payeh. Papa ne poocha kya huwa to ounhon ne kaha "Yaar pata nahi raat ko koi bacha mere sar ke neehcey se takiya khench ker lai gaya". Yeh sun'na tha aur mei oun ki goad se outer ker bhag ker mama ke pass chali gayi. Main ne kisi ko nahi bataya, aur wo uncle bhi nahi jantey they k wo bacha nahi bachi thi, kiu k ounhon ne mujhe dekha hi nahi tha, is liyeh k jab ounhon ne dekhney ki koshish ki ho gi k kis ne takiya khencha tab main to dosri taraf mou ker k takiya outhayeh ja rahi thi.:eye:
bohat achey uncle they jinhon ney serf dekhney ki koshish hi ki pakar kar takiya cheen nahi lia .
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Originally posted by MasoodSaima ki shrarton sey aik chhota sa waqeya yaad aaya:
Main abhi Pakistan mein hi rehta tha, koi 6-7 saal ki umer ho gi. Merey dada hazoor abhi ta-hayat they, magar mazoor ho chukey they aur charpaee peh hi hotey they. Magar unkey dam sey gali ki ronaq huwa karti thi... Aik din ham bachey gali mein khail rahey they keh aik cycle wala door sey aata huwa nazar aaya. Mujhey shrarat soojhi keh issey giraya jaey :devilsmil . Jab woh qareeb aaya to main achanak useky cycle key qareeb aa geya, woh mujhey bachana chahta tha magar na bacha paya aur uskey cycle ka aik shade merey sar mein jaa laga itna khoon nikla keh bas......
Dada jan ko khabar hui to us cycle waley ki khoob maramat ki, magar woh btata rah geya keh qasoor mera nahin tha :donno: . Khair ji ham logon ney, yani main, mera chacha-zad aur mera aik dost huwa karta tha us waqt, ham teeno ki dosti achhi thi, ham ney socha us cycle waley ko phir tang karein ge :maan: .
Phir aik din woh hamein dobara cycle peh aata nazar aaya, jis rastey sey usney guzarna tha usmein ham ney meekhein daba deen :devilsmil :devilsmil jab woh wahan sey guzra to cycle puncture :lol :lol
isko kehtey hain haath dho k kisi k peechey par jana...us bey charey ney to apna rasta hi badal dala hoga .
Comment
-
Re: Yadon Key Dareechon Sey
Originally posted by Saima ShaheenNahi na mei to shararat nahi kerti ..... wo to ho jati hai :embarasse
Ab mei bachpan ki ek aur baat share kerti hoon,
Hum pak mei they... meri umer ho gi koi 9 saal... humarey papa humein zoo lai ker gayeh.... buhut se janwar dekhey sher bhi...buhut gurata tha :eek2: ..... Ghoomtey ghoomtey hum log ek jaga pohanchey jahan ek shaks ek hathi (elephant) ke sath tha, kafi log ous hathi k sath aur kuch bachey ous ke ouper baith ker tasveerian banwa rahey they..... mei ne nahi banwahi kiu k mujhe janwaro se darr lagta hai .....
Khair mere papa aur behan bhai kharey hathi ko dekhtey rahey ounho ne snaps bhi banwayi... mei bore honey lagi.... apna rukh morr ker dosri taraf dekhney lagi... rigth to left .. poorey zoo per nazar dorayi .... abhi khari hi thi mujhe apney kandhey per kisi chiz ka wazan mehsoos huwa .. mei ne soch papa hai, kandhey per hath is liyeh rakha ho ga k mei kahi idher oudher na chali jao..... chand second baad ousi chiz ne mujhe mere gaal per choowa.... main ek dam ghabra gayi kiu k ager papa ne hi mere gaal ko choowa to papa k hath per itne lambey lambey baal kahan se aayeh .........
Mei zara murri to :eek:............ Hathi ........... haan wahi bara motta wala hathi mere samney khara tha, aur jo chiz mere kandhey per thi woh kisi ka hath nahi hathi ki soond thi jis ne mere gaal ko chuwa bhi .... mei ghabra ker cheenkhi aur :bhago: papa ke peechey chup gayi ........
aas paas ke sab log aur mere papa bhi hansney lagey .....
lo batao bhala is mei hansney ki kya baat thi....... hathi ko kisi ne kuch nahi kaha k ek masoom bachi ko dara diya :embarasse
Comment
Comment