Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yadon Key Dareechon Sey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Yadon Key Dareechon Sey

    Apni yadein ham sey sey share kijiye. Bohat si achhi achhi batein hoti hai jo insaan doosron sey share kijiye :)
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Yadon Key Dareechon Sey

    Salam,







    Aur bachpan ki yadon ka to kya kehna , buhut pyari aur masoom yadain hoti hain.:blush:








    Abhi yeh perhiyeh, mei baad mei apney bachpan ki kuch masoom sharartian bhi share kero gi :D
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Yadon Key Dareechon Sey

      ..... to aap bhi thin :zuban:


      Originally posted by Saima Shaheen
      Ous waqt yahan koi aisa hospital nahi tha, jis mei koi buhut mahir doctors ho.
      Haan ji suna hai aaj sey 100 saal pehley yehi halaat thi :khi:

      Originally posted by Saima Shaheen
      wo peetey mei ne vomit ki aur be-hosh ho gayi
      Kya doctor ko khud maloom tha usney kon si dawa dena thi aur kon si dey di :cc:

      Originally posted by Saima Shaheen
      ager kuch ho gaya to mei zimedari nahi laita.
      haan ji hamarey haan doctors key liye kisi ki jaan bchaney ki nisbat apni fiker ziyada hai

      Originally posted by Saima Shaheen
      Itni raat ko to sare doctor clinics band ker k ja chukey they aur koi nahi tha.
      Doctory bhi to aik profession hai wahan, 8-18 office khultey hain, paisey poorey ho jaen to clinic band kar diye jatey hain keh uskey baad insaan mar bhi jaey to kya parwa

      Originally posted by Saima Shaheen
      oun ke moun per ek hi bat thi ager is bachi ne raat guzar li to samjho yeh bach gayi
      .... jitney munh utni batein

      Originally posted by Saima Shaheen
      kon kon se baba ke pass
      ,,, aik to yeh babey nahin chhot'tey hamarey smaaj mein :hathora

      :eek: .... aur aap logon ney is peh yaqin kar liya :tauba

      Originally posted by Saima Shaheen
      chala k mere dil mei jo valve hai, wo theik se khoon pump nahi ker raha
      ...oh ab to koi aisa maslaa nahin??? aur woh babey ka saya kahan geya :eye:

      Originally posted by Saima Shaheen
      Mama zada himat wali thi
      warna leney key deney parr saktey they - bohat achha kiya aap ki mama ney

      Originally posted by Saima Shaheen
      Mujhe wo manzar aaj bhi yaad aata hai
      ... aur ham Pegham peh aisey hi khoobsurat lamhaat ko "recall" karna chahtey hain - takeh parhney aur likhney waley dono ko achha lagey :rose

      Is Khoobsurat waqiye ko share karney ka bohat bohat shukriyah - mazeed ka intizar rahey ga :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Yadon Key Dareechon Sey

        Originally posted by Masood
        ..... to aap bhi thin :zuban:
        Kiu mujhe nahi hona chahiyeh tha kya

        Originally posted by Masood
        Haan ji suna hai aaj sey 100 saal pehley yehi halaat thi :khi:
        G nahi kuch 20 saal pehley ki baat hai

        Originally posted by Masood
        Kya doctor ko khud maloom tha usney kon si dawa dena thi aur kon si dey di
        Originally posted by Masood
        :cc:
        Kya pata, waha ke doctors bhi to Nem-hakeem khatray-e-jaan waley hain na :donno:

        Originally posted by Masood
        haan ji hamarey haan doctors key liye kisi ki jaan bchaney ki nisbat apni fiker ziyada hai


        Sahi kaha

        Originally posted by Masood
        Doctory bhi to aik profession hai wahan, 8-18 office khultey hain, paisey poorey ho jaen to clinic band kar diye jatey hain keh uskey baad insaan mar bhi jaey to kya parwa


        Magar yeh sahi baat to nahi, ager mujh jesi masoom bachi ko kuch ho jata to :blush:

        Originally posted by Masood
        .... jitney munh utni batein
        Originally posted by Masood
        Aur waha k log kertey hi kya hain

        Originally posted by Masood
        ,,, aik to yeh babey nahin chhot'tey hamarey smaaj mein
        Originally posted by Masood
        :hathora
        :D

        Originally posted by Masood
        :eek: .... aur aap logon ney is peh yaqin kar liya :tauba
        Mei ne nahi, mere papa ne..... kiu k ous waqt oun ki samajh mei kuch nahi aa raha tha :(

        Originally posted by Masood
        ...oh ab to koi aisa maslaa nahin??? aur woh babey ka saya kahan geya
        Originally posted by Masood
        :eye:
        Choo ho gayeh :lol

        Originally posted by Masood
        warna leney key deney parr saktey they - bohat achha kiya aap ki mama ney
        :) sahi kaha .

        Originally posted by Masood
        ... aur ham Pegham peh aisey hi khoobsurat lamhaat ko "recall" karna chahtey hain - takeh parhney aur likhney waley dono ko achha lagey
        Originally posted by Masood
        :rose

        Is Khoobsurat waqiye ko share karney ka bohat bohat shukriyah - mazeed ka intizar rahey ga :)
        Inshallah next mei apne bachpan ki kuch sahartein share keroo gi
        sigpic

        Comment


        • #5
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Yadon Key Dareechon Sey


            Pata nahi , ho sakt ahai tab doctors aisey ho'n. Magar mujhe waha ke docs pagal lagtey ahin. Yahan qatar mei if you have temp they'll give you anti-biotics, but in pak when I had temp... he gave me 4 injections
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Yadon Key Dareechon Sey

              Ab mei aap sab ko ek masoom si shararat batati hoon, asal mei main ne shararat ki nahi, mei shararat kerti nahi, main masoom ho ....wo to bas ho jati hai



              Huwa kuch youn, k mere mamoo ki shadi thi aur hum pakistan mei they , shadi ke dino mei meri nani ke ghar mei buhut sarey mehmaan aayeh they aur wahi tehrey they.... mei shayed 6 saal ki thi...aur ous din mujhe bukhar tha ...Raat ho chuki thi, mere papa mere sath they ... mujhe dawa pee ker sona tha...magar mujeh soney k liyeh takiya nahi mil raha tha.
              kiu k kafi mehman they aur shayed takiyeh kam ho gayeh ho'n, mere papa mere liyeh takiya dhoond'ney gayeh magar khali hath wapis aayeh ounhein nahi mila. Mei ne socha mei khudh dhoond laiti hoon, mei kamrey se bahir gayi mujhe samney charpayi per ek takiya nazar aaya, wo aadaha charpayi per tha aadha charpayi se nichey aa raha tha. Mei ne kaha yeh to neechey girr jayeh ga mei wo takiya lai gayi aur ja ker papa se kaah mujhe bahir mila hai, kher mei dawayi kha ker so gayi aur subah outhi to sab log, mera matlab hai mere papa kuch uncles k sath baithey they. Mei waha gayi to ek uncle jo molvi type they mujhe kaha baita yaha aao mei gayi to mujhe poocha tabiyat kaisi hai aur phir mujhe Goadh mei bitha liya. Mei chup chap baithi sab ki batain sunti rahi. oun uncle ki gardan mei dard tha, shayed wo raat ko theikh se so nahi payeh. Papa ne poocha kya huwa to ounhon ne kaha "Yaar pata nahi raat ko koi bacha mere sar ke neehcey se takiya khench ker lai gaya". Yeh sun'na tha aur mei oun ki goad se outer ker bhag ker mama ke pass chali gayi. Main ne kisi ko nahi bataya, aur wo uncle bhi nahi jantey they k wo bacha nahi bachi thi, kiu k ounhon ne mujhe dekha hi nahi tha, is liyeh k jab ounhon ne dekhney ki koshish ki ho gi k kis ne takiya khencha tab main to dosri taraf mou ker k takiya outhayeh ja rahi thi.:eye:
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Yadon Key Dareechon Sey

                Originally posted by Saima Shaheen
                Pata nahi , ho sakt ahai tab doctors aisey ho'n. Magar mujhe waha ke docs pagal lagtey ahin. Yahan qatar mei if you have temp they'll give you anti-biotics, but in pak when I had temp... he gave me 4 injections
                :lol injections...
                haan ye to maanti hun kuch doc. akser aeysa kertey hein leykin her jagey nahi hota hai ....Pakistani doctors bohot zaberdast doctors hotey hein :thmbup:

                Ab deykho na her bukhar per anti-biotics bhi nahi deyni chahiyein :)
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: Yadon Key Dareechon Sey

                  Saima ki shrarton sey aik chhota sa waqeya yaad aaya:

                  Main abhi Pakistan mein hi rehta tha, koi 6-7 saal ki umer ho gi. Merey dada hazoor abhi ta-hayat they, magar mazoor ho chukey they aur charpaee peh hi hotey they. Magar unkey dam sey gali ki ronaq huwa karti thi... Aik din ham bachey gali mein khail rahey they keh aik cycle wala door sey aata huwa nazar aaya. Mujhey shrarat soojhi keh issey giraya jaey :devilsmil . Jab woh qareeb aaya to main achanak useky cycle key qareeb aa geya, woh mujhey bachana chahta tha magar na bacha paya aur uskey cycle ka aik shade merey sar mein jaa laga itna khoon nikla keh bas......

                  Dada jan ko khabar hui to us cycle waley ki khoob maramat ki, magar woh btata rah geya keh qasoor mera nahin tha :donno: . Khair ji ham logon ney, yani main, mera chacha-zad aur mera aik dost huwa karta tha us waqt, ham teeno ki dosti achhi thi, ham ney socha us cycle waley ko phir tang karein ge :maan: .

                  Phir aik din woh hamein dobara cycle peh aata nazar aaya, jis rastey sey usney guzarna tha usmein ham ney meekhein daba deen :devilsmil :devilsmil jab woh wahan sey guzra to cycle puncture :lol :lol
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: Yadon Key Dareechon Sey

                    Originally posted by Saima Shaheen
                    Ab mei aap sab ko ek masoom si shararat batati hoon, asal mei main ne shararat ki nahi, mei shararat kerti nahi, main masoom ho ....wo to bas ho jati hai
                    :lol
                    shukriya saima ...sharartein kerti rahein aur hamarey sath bhi share kerti rahein
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Yadon Key Dareechon Sey

                      Originally posted by Masood
                      Saima ki shrarton sey aik chhota sa waqeya yaad aaya:

                      Main abhi Pakistan mein hi rehta tha, koi 6-7 saal ki umer ho gi. Merey dada hazoor abhi ta-hayat they, magar mazoor ho chukey they aur charpaee peh hi hotey they. Magar unkey dam sey gali ki ronaq huwa karti thi... Aik din ham bachey gali mein khail rahey they keh aik cycle wala door sey aata huwa nazar aaya. Mujhey shrarat soojhi keh issey giraya jaey :devilsmil . Jab woh qareeb aaya to main achanak useky cycle key qareeb aa geya, woh mujhey bachana chahta tha magar na bacha paya aur uskey cycle ka aik shade merey sar mein jaa laga itna khoon nikla keh bas......

                      Dada jan ko khabar hui to us cycle waley ki khoob maramat ki, magar woh btata rah geya keh qasoor mera nahin tha :donno: . Khair ji ham logon ney, yani main, mera chacha-zad aur mera aik dost huwa karta tha us waqt, ham teeno ki dosti achhi thi, ham ney socha us cycle waley ko phir tang karein ge :maan: .

                      Phir aik din woh hamein dobara cycle peh aata nazar aaya, jis rastey sey usney guzarna tha usmein ham ney meekhein daba deen :devilsmil :devilsmil jab woh wahan sey guzra to cycle puncture :lol :lol

                      :lol ... Buri baat hai Masood...jaan boojh ker kisi ko tang nahi kertey.... :lol
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Yadon Key Dareechon Sey

                        Originally posted by barg.e.gul

                        shukriya saima ...sharartein kerti rahein aur hamarey sath bhi share kerti rahein

                        Nahi na mei to shararat nahi kerti ..... wo to ho jati hai

                        Ab mei bachpan ki ek aur baat share kerti hoon,

                        Hum pak mei they... meri umer ho gi koi 9 saal... humarey papa humein zoo lai ker gayeh.... buhut se janwar dekhey sher bhi...buhut gurata tha ..... Ghoomtey ghoomtey hum log ek jaga pohanchey jahan ek shaks ek hathi (elephant) ke sath tha, kafi log ous hathi k sath aur kuch bachey ous ke ouper baith ker tasveerian banwa rahey they..... mei ne nahi banwahi kiu k mujhe janwaro se darr lagta hai .....
                        Khair mere papa aur behan bhai kharey hathi ko dekhtey rahey ounho ne snaps bhi banwayi... mei bore honey lagi.... apna rukh morr ker dosri taraf dekhney lagi... rigth to left .. poorey zoo per nazar dorayi .... abhi khari hi thi mujhe apney kandhey per kisi chiz ka wazan mehsoos huwa .. mei ne soch papa hai, kandhey per hath is liyeh rakha ho ga k mei kahi idher oudher na chali jao..... chand second baad ousi chiz ne mujhe mere gaal per choowa.... main ek dam ghabra gayi kiu k ager papa ne hi mere gaal ko choowa to papa k hath per itne lambey lambey baal kahan se aayeh .........
                        Mei zara murri to ............ Hathi ........... haan wahi bara motta wala hathi mere samney khara tha, aur jo chiz mere kandhey per thi woh kisi ka hath nahi hathi ki soond thi jis ne mere gaal ko chuwa bhi .... mei ghabra ker cheenkhi aur papa ke peechey chup gayi ........

                        aas paas ke sab log aur mere papa bhi hansney lagey .....


                        lo batao bhala is mei hansney ki kya baat thi....... hathi ko kisi ne kuch nahi kaha k ek masoom bachi ko dara diya :embarasse
                        Last edited by 'SamRazi'; 11 July 2005, 07:55.
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: Yadon Key Dareechon Sey

                          Originally posted by Saima Shaheen
                          Ab mei aap sab ko ek masoom si shararat batati hoon, asal mei main ne shararat ki nahi, mei shararat kerti nahi, main masoom ho ....wo to bas ho jati hai :D



                          Huwa kuch youn, k mere mamoo ki shadi thi aur hum pakistan mei they , shadi ke dino mei meri nani ke ghar mei buhut sarey mehmaan aayeh they aur wahi tehrey they.... mei shayed 6 saal ki thi...aur ous din mujhe bukhar tha ...Raat ho chuki thi, mere papa mere sath they ... mujhe dawa pee ker sona tha...magar mujeh soney k liyeh takiya nahi mil raha tha.
                          kiu k kafi mehman they aur shayed takiyeh kam ho gayeh ho'n, mere papa mere liyeh takiya dhoond'ney gayeh magar khali hath wapis aayeh ounhein nahi mila. Mei ne socha mei khudh dhoond laiti hoon, mei kamrey se bahir gayi mujhe samney charpayi per ek takiya nazar aaya, wo aadaha charpayi per tha aadha charpayi se nichey aa raha tha. Mei ne kaha yeh to neechey girr jayeh ga mei wo takiya lai gayi aur ja ker papa se kaah mujhe bahir mila hai, kher mei dawayi kha ker so gayi aur subah outhi to sab log, mera matlab hai mere papa kuch uncles k sath baithey they. Mei waha gayi to ek uncle jo molvi type they mujhe kaha baita yaha aao mei gayi to mujhe poocha tabiyat kaisi hai aur phir mujhe Goadh mei bitha liya. Mei chup chap baithi sab ki batain sunti rahi. oun uncle ki gardan mei dard tha, shayed wo raat ko theikh se so nahi payeh. Papa ne poocha kya huwa to ounhon ne kaha "Yaar pata nahi raat ko koi bacha mere sar ke neehcey se takiya khench ker lai gaya". Yeh sun'na tha aur mei oun ki goad se outer ker bhag ker mama ke pass chali gayi. Main ne kisi ko nahi bataya, aur wo uncle bhi nahi jantey they k wo bacha nahi bachi thi, kiu k ounhon ne mujhe dekha hi nahi tha, is liyeh k jab ounhon ne dekhney ki koshish ki ho gi k kis ne takiya khencha tab main to dosri taraf mou ker k takiya outhayeh ja rahi thi.:eye:
                          :lol
                          bohat achey uncle they jinhon ney serf dekhney ki koshish hi ki pakar kar takiya cheen nahi lia .




                          Comment


                          • #14
                            Re: Yadon Key Dareechon Sey

                            Originally posted by Masood
                            Saima ki shrarton sey aik chhota sa waqeya yaad aaya:

                            Main abhi Pakistan mein hi rehta tha, koi 6-7 saal ki umer ho gi. Merey dada hazoor abhi ta-hayat they, magar mazoor ho chukey they aur charpaee peh hi hotey they. Magar unkey dam sey gali ki ronaq huwa karti thi... Aik din ham bachey gali mein khail rahey they keh aik cycle wala door sey aata huwa nazar aaya. Mujhey shrarat soojhi keh issey giraya jaey :devilsmil . Jab woh qareeb aaya to main achanak useky cycle key qareeb aa geya, woh mujhey bachana chahta tha magar na bacha paya aur uskey cycle ka aik shade merey sar mein jaa laga itna khoon nikla keh bas......

                            Dada jan ko khabar hui to us cycle waley ki khoob maramat ki, magar woh btata rah geya keh qasoor mera nahin tha :donno: . Khair ji ham logon ney, yani main, mera chacha-zad aur mera aik dost huwa karta tha us waqt, ham teeno ki dosti achhi thi, ham ney socha us cycle waley ko phir tang karein ge :maan: .

                            Phir aik din woh hamein dobara cycle peh aata nazar aaya, jis rastey sey usney guzarna tha usmein ham ney meekhein daba deen :devilsmil :devilsmil jab woh wahan sey guzra to cycle puncture :lol :lol
                            :lol
                            isko kehtey hain haath dho k kisi k peechey par jana...us bey charey ney to apna rasta hi badal dala hoga .




                            Comment


                            • #15
                              Re: Yadon Key Dareechon Sey

                              Originally posted by Saima Shaheen
                              Nahi na mei to shararat nahi kerti ..... wo to ho jati hai :embarasse

                              Ab mei bachpan ki ek aur baat share kerti hoon,

                              Hum pak mei they... meri umer ho gi koi 9 saal... humarey papa humein zoo lai ker gayeh.... buhut se janwar dekhey sher bhi...buhut gurata tha :eek2: ..... Ghoomtey ghoomtey hum log ek jaga pohanchey jahan ek shaks ek hathi (elephant) ke sath tha, kafi log ous hathi k sath aur kuch bachey ous ke ouper baith ker tasveerian banwa rahey they..... mei ne nahi banwahi kiu k mujhe janwaro se darr lagta hai .....
                              Khair mere papa aur behan bhai kharey hathi ko dekhtey rahey ounho ne snaps bhi banwayi... mei bore honey lagi.... apna rukh morr ker dosri taraf dekhney lagi... rigth to left .. poorey zoo per nazar dorayi .... abhi khari hi thi mujhe apney kandhey per kisi chiz ka wazan mehsoos huwa .. mei ne soch papa hai, kandhey per hath is liyeh rakha ho ga k mei kahi idher oudher na chali jao..... chand second baad ousi chiz ne mujhe mere gaal per choowa.... main ek dam ghabra gayi kiu k ager papa ne hi mere gaal ko choowa to papa k hath per itne lambey lambey baal kahan se aayeh .........
                              Mei zara murri to :eek:............ Hathi ........... haan wahi bara motta wala hathi mere samney khara tha, aur jo chiz mere kandhey per thi woh kisi ka hath nahi hathi ki soond thi jis ne mere gaal ko chuwa bhi .... mei ghabra ker cheenkhi aur :bhago: papa ke peechey chup gayi ........

                              aas paas ke sab log aur mere papa bhi hansney lagey .....


                              lo batao bhala is mei hansney ki kya baat thi....... hathi ko kisi ne kuch nahi kaha k ek masoom bachi ko dara diya :embarasse
                              :lol haathi ko bhi massoom si bachi pey pyar aa gya hoga :p




                              Comment

                              Working...
                              X