Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Sabaq Amooz Baaten
Collapse
X
-
Re: Sabaq Amooz Baaten
Hazrat Shaikh Sa'adi (R.A) Farmatay hain:
"Main ne aik Bazurg se suna wo farma rahay thay k insaan jitna sargarm roozi haasil kernay k mashgalon main rehta hai ager utni tawajha se rozi denay walay ko yaad karay tu us ka martaba farishton se bhi buland ho jaye or rizaq k liyeh usay fikar hi na kerni paray Tu jin dino apni Maan k pehlao main madhosh,bebas-o-bekhaber tha khuda se uss waqt bhi teri jaan ko betalab nawaza. Samajhnay k liyeh tu itni baat kafi hai".
Comment
-
Re: Sabaq Amooz Baaten
Molana Romi (R.A) aik din bazar khareed-o-faroakht k liyeh Tashreef lay gaye. Aik dukan pe ja ker wo ruk gaye. Kia dekhtay hain aik Aurat Soada salaf lay rahi hai. Soada khareednay k baad us Aurat ne Raqam Ada kerna chahi tu Dukan dar ne kaha k,"Ishq main hisaab kitab kesa?. Paisay ki baaat choro or ghar jao".
Asal main yeh dono Aashiq or Ma'ashoq thay.
Molana Romi (R.A) us ki baat sun ker gash kha ker gir paray. Dukan dar sakht ghabra gaya. is doran wo Aurat wahan se chali gai. Khasi dair baad jab Molana Romi(RA) ko hosha aya tu Dukandar ne pocha," Molana sahab! aap kion behosh ho gaye??"
Molana Romi(RA) ne jawab dia,"Main is baat pe behosh hua k tum donomain ishq itna Qavi or mazboot hai k Aapas main koi hisab kitab nahi jab k Allah k saath mera ishq itna kamzoor hai k main Tasbeeh k daanay bhi gin gin ker girata hoon".
Comment
-
Re: Sabaq Amooz Baaten
Hazrat Ibraheem Bin Adham (R.A) aik raat Bait-ul-Muqadas main laitay thay. Or Masjid main aap tanha hi thay.Or koi na tha. Thora hisa raaat ka guzra tu Masjid ka Darwaza khula. Or aik Zaeef or Norani Shakhs 40 Hamrahiyon k saath Masjid main Dakhil hue. Or Mehrab k paas a ker sab ne Nafal Perhay. Or phir sab Mehrab ki taraf Pusht ker k Baith gaye. Aik shakhs un main se bola k,"Aaj koi aisa shakhs bhi is Masjid main hai jo hum main se nahi". wo zaeef shakhs muskuraye or farmaya, "k haan hai , or wo Abraheem Bin Adham(R.A) hai.jo 40 din se Ibadat main lutf nahi pata".Hazrat Ibraheem ne yeh baat suni tu aap Konay se uthay. Or us mard Zaeed ki khidmat main hazir ho ker kehnay lagay,"Aap ne sach farmaya, Mager yeh tu batayeh k is ki wajha kia hai? Wo farmanay lagay k,"k falan roz tu ne Basray main khajorain khareedi theen, un main aik khajoor kisi dosray ki gir pari thi. Tum ne samjha k tumhari hai, tum ne usay bhi utha lia or apni khajooron main mila lia. Bus is parai khajoor k tumharay Maal main mil janay se Tumhari Ibadat main jo maza tha jata raha. Hazrat Ibraheem yeh suntay hi basray ko rawana hue. Or us shakhs k paas jis ki wo khajoor thi puhnchay, or us se ma'afi chahi.
Comment
-
Re: Sabaq Amooz Baaten
Hazrat Usman Aljeeri(Rehmat-ul-Allah Alaih) Bazar main se guzar rahay thay k kisi Gustakh ne Raakh se bhara hua aik Tabbaq apne kothay se aap k sar per phaink dia.
Aap k Mureed is gustakhi per berham hue tu aap ne farmaya k, "yeh Gussay ka muqam nahi, Balke yeh tu muqam-e-shukar hai k jo shakhs is qabil tha k us k sar per Aag dali jaye , zra si raakh dal ker us ko keh dia gaya k badla ho gaya. So main tu shukar ker raha hoon k Allah ne Aag ki bijaye Raakh per Muamala khatam ker dia".
Comment
Comment