Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kami

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kami

    Akbar Hameedi ki kitab "Titlee key ta'akub mey " sey ...
    Attached Files
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: kami

    :masha Buhut sabaq aamoz baat kahi gayi hai is mein. Wese dekha jayeh to khuda ne her insan main kami rakh per bhi ous kuch hikmat rakhi hai, magar yeh insan ki naqis aqal hai ke ousey sirf ek kami nazar aati jo chahyeh kitni hi mamouli kiu na ho aur jo naymatein khuda ne di hain wo nazar nahi aati.
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: kami

      Originally posted by Saima Shaheen
      :masha Buhut sabaq aamoz baat kahi gayi hai is mein. Wese dekha jayeh to khuda ne her insan main kami rakh per bhi ous kuch hikmat rakhi hai, magar yeh insan ki naqis aqal hai ke ousey sirf ek kami nazar aati jo chahyeh kitni hi mamouli kiu na ho aur jo naymatein khuda ne di hain wo nazar nahi aati.
      exactly,

      haqeeqat ye hai key agar hum Allah T'ala ki di hui naimton ko shumaar karein to hamara "khaamyon" ki taraf deyhaan jaye ga hi nahi :)
      kyoon key naimtein hum shumaar hi nahi ker saktey ...

      isi liye to kehtey hein key hamesha apney sey neechey deykhna chahiye inshAllah
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: kami

        Aap dono ney drust farmaya hai. Aur hota bhi aisa hai keh insaan apni ya kisi ki aik mamooli si kami ko uskey liye saza-o-jaza ka muqaam qrar dey deta hai. Aisa aksar dekhney mein aata hai keh khaas kar hamarey muashrey mein shakal-o-surat, jismani kamiyon ko zaroor us insaan ki qaza bnaa diya jata hai.

        Gul thanks sis bohat pyara iqtibaas hai.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: kami

          zabardast.... nice sharing
          wese kahtay hain karachi mein her teesra shaks depression mein hota hai.... iss ka matlab kay her teesra shaks zaheen hai.... mujhe tu pata ab laga.....
          :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

          Comment


          • #6
            Re: kami

            Originally posted by Masood
            Aap dono ney drust farmaya hai. Aur hota bhi aisa hai keh insaan apni ya kisi ki aik mamooli si kami ko uskey liye saza-o-jaza ka muqaam qrar dey deta hai. Aisa aksar dekhney mein aata hai keh khaas kar hamarey muashrey mein shakal-o-surat, jismani kamiyon ko zaroor us insaan ki qaza bnaa diya jata hai.

            Gul thanks sis bohat pyara iqtibaas hai.
            you welcome,

            logon ki to parwa hi nahi kerni chahiye, ye zindagi jo hum jeetey hein wo sirf Allah key liye hai aur Allah T'ala hamarey dilon ko deykhta hai zahir ko nahi :-)

            khush rahein inshAllah
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: kami

              Originally posted by rehman
              zabardast.... nice sharing
              wese kahtay hain karachi mein her teesra shaks depression mein hota hai.... iss ka matlab kay her teesra shaks zaheen hai.... mujhe tu pata ab laga.....
              shukran,

              wah karachi mey zahaanat itni waafir miqdaar mey maujid hai :lol
              Allah sey du'a hai key wo ziada zahaanaat ka saboot dein (depression sey nikalney key liye) :thmbup:
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #8
                Re: kami

                mukhtsar lekan buhat hi pur asar iqtabaas :thmbup:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: kami

                  Originally posted by Aanchal
                  mukhtsar lekan buhat hi pur asar iqtabaas :thmbup:
                  shukran larki :rose
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: kami

                    Assalaam-0-Alaikom:rose

                    nice one
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #11
                      Re: kami

                      Asslam-o-Alikum WR WB

                      Bhot umda !

                      FeaamnAllah
                      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                      Comment


                      • #12
                        Re: kami

                        aik choti se baat main kahoon
                        aap ne bilkul sahi kaha berg e gul

                        lakin Allah tala ne kise hikmat ki waja se ager sab main koi na koi kami rakhe hai to kaheen na kaheen aik khoobi bhi rakhi hai jis ko hum bhool jate hain
                        or some time wo khoobi sab kamiyon ko door ker deti hai jaise keh aik kami sab khoobyon ke khatam ker deti hai

                        Comment


                        • #13
                          Re: kami

                          Originally posted by barg.e.gul
                          Akbar Hameedi ki kitab "Titlee key ta'akub mey " sey ...
                          Kitne khoobsurat andaaz main ek aham baat samjha di writer ne. Itni achi post bheijne par maen Barg-e-Gul ka shukria ada karta hoon.

                          Comment


                          • #14
                            Re: kami

                            khoub jee
                            Agar Allah Pak sab ko mukkamal bana daytay tu Zindagi ka mAqsad koi nahi hona tha.na kisi nay US ki ibadat karni thi aor na Ita_tat....
                            JAb kuch kami ka ihsas hota hai tu Baysakhta Ham Allah ko pukartay hain..aor yahi sara RAAZ hai.
                            Hamain Khabar hai K ham Hain churag Akhir shab
                            ~~~HamaraY Baad Andaihra nahi Ujala Hai ~~~

                            Comment

                            Working...
                            X