Akbar Hameedi ki kitab "Titlee key ta'akub mey " sey ...
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
kami
Collapse
X
-
Re: kami
:masha Buhut sabaq aamoz baat kahi gayi hai is mein. Wese dekha jayeh to khuda ne her insan main kami rakh per bhi ous kuch hikmat rakhi hai, magar yeh insan ki naqis aqal hai ke ousey sirf ek kami nazar aati jo chahyeh kitni hi mamouli kiu na ho aur jo naymatein khuda ne di hain wo nazar nahi aati.sigpic
-
Re: kami
Originally posted by Saima Shaheen:masha Buhut sabaq aamoz baat kahi gayi hai is mein. Wese dekha jayeh to khuda ne her insan main kami rakh per bhi ous kuch hikmat rakhi hai, magar yeh insan ki naqis aqal hai ke ousey sirf ek kami nazar aati jo chahyeh kitni hi mamouli kiu na ho aur jo naymatein khuda ne di hain wo nazar nahi aati.
haqeeqat ye hai key agar hum Allah T'ala ki di hui naimton ko shumaar karein to hamara "khaamyon" ki taraf deyhaan jaye ga hi nahi :)
kyoon key naimtein hum shumaar hi nahi ker saktey ...
isi liye to kehtey hein key hamesha apney sey neechey deykhna chahiye inshAllah" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: kami
Aap dono ney drust farmaya hai. Aur hota bhi aisa hai keh insaan apni ya kisi ki aik mamooli si kami ko uskey liye saza-o-jaza ka muqaam qrar dey deta hai. Aisa aksar dekhney mein aata hai keh khaas kar hamarey muashrey mein shakal-o-surat, jismani kamiyon ko zaroor us insaan ki qaza bnaa diya jata hai.
Gul thanks sis bohat pyara iqtibaas hai.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: kami
Originally posted by MasoodAap dono ney drust farmaya hai. Aur hota bhi aisa hai keh insaan apni ya kisi ki aik mamooli si kami ko uskey liye saza-o-jaza ka muqaam qrar dey deta hai. Aisa aksar dekhney mein aata hai keh khaas kar hamarey muashrey mein shakal-o-surat, jismani kamiyon ko zaroor us insaan ki qaza bnaa diya jata hai.
Gul thanks sis bohat pyara iqtibaas hai.
logon ki to parwa hi nahi kerni chahiye, ye zindagi jo hum jeetey hein wo sirf Allah key liye hai aur Allah T'ala hamarey dilon ko deykhta hai zahir ko nahi :-)
khush rahein inshAllah" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: kami
Originally posted by rehmanzabardast.... nice sharing
wese kahtay hain karachi mein her teesra shaks depression mein hota hai.... iss ka matlab kay her teesra shaks zaheen hai.... mujhe tu pata ab laga.....
wah karachi mey zahaanat itni waafir miqdaar mey maujid hai :lol
Allah sey du'a hai key wo ziada zahaanaat ka saboot dein (depression sey nikalney key liye) :thmbup:" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Comment
-
Re: kami
aik choti se baat main kahoon
aap ne bilkul sahi kaha berg e gul
lakin Allah tala ne kise hikmat ki waja se ager sab main koi na koi kami rakhe hai to kaheen na kaheen aik khoobi bhi rakhi hai jis ko hum bhool jate hain
or some time wo khoobi sab kamiyon ko door ker deti hai jaise keh aik kami sab khoobyon ke khatam ker deti hai
Comment
-
Re: kami
khoub jee
Agar Allah Pak sab ko mukkamal bana daytay tu Zindagi ka mAqsad koi nahi hona tha.na kisi nay US ki ibadat karni thi aor na Ita_tat....
JAb kuch kami ka ihsas hota hai tu Baysakhta Ham Allah ko pukartay hain..aor yahi sara RAAZ hai.Hamain Khabar hai K ham Hain churag Akhir shab~~~HamaraY Baad Andaihra nahi Ujala Hai ~~~
Comment
Comment