Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi - Your Challenge

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Zindagi - Your Challenge

    Assalam O Alaikum

    Sorry Main thora late ho gya...kuch thora masroof tha

    so main bhi is chalange main shamil hona chahta hoon dhaikthay hian main kahan tak aik kamyab insan hoon yeh aap logon nay btana hai...:)


    So let us Start



    Q. 1- Meri Zindagey ki Kamyabian

    Waisay tu main nay koee khas teer nahien maray...laikin phir bhi...mere khyal main ham jis mahol main rahte hain aur khas ker hamaray muashray main jo buriyan paee jati hain (aap log meri baat samjh Rahay ho na) main un sab main say apna bachao ker lia hai aur yahi meri sab say bari kamyabi hai...us k Ilawa apnay father ki kuch zimadariyan bantnay k qabil ho gya hoon..yeh bhi aik kamyabi hai...aur isi taRHA KI KUCH AUR...

    Q. 2- Zindagey Main Aham Tareen

    Meri Zindagey aham Tareen mera Deen...Mera Mulk..mere Maan Baap...Mere Bahan Bhaee aur kuch nahien:)

    Q. 3- Kis Wajha say Meri Qadar ki jaey

    I-Kafi Mushlil sawal hai..waisay tu insan chahta hai k us ki her baat ki qadar ki jaey....tu main chahta hoon k meri qadar mere achay اعمال hoon

    Q-4 Agli Nasal k Liey kia chorna Chahtay Hain

    Main apni agli Nasal k Dil Main Apnay Pakistan k liey itni mohabat bhar daina chata hooon k agar koee is ki taraf maili aankh say daikhay bhi tu wo is ki aankhain nikal ker us ki hathaili per rakh dain...aur apas main itihad rkhain bas yahi sabaq daina chata hoon...pata nahien ab kamyab hota hoon ya nahien


    Q-5 Waldain ki Naseehat


    Jab school main perhta tha tu bas yahi kahtay thay her waqt kabhi perh bhi lia kero....:)
    Ab jab mulk say bahir aa gya hoon tu bas yahi kahtay hain k apna khyal rakha kero khaya piya kero...jab wapis aaow tu mota ho ker aana hahahahahaha

    Khair aik Baat jo main pahlay bhi aik thread main Likh chuka hoon

    meri Mom kahti hain beta Agar tumhain kabhi bhi koee bhi mushkil ho,koee dukh koee takleef ho tu us say bachnay k liey apnay aap ko khush rakho chahay zabrdasti hi sahi aur apnay friends k saath mil ker khoob hala gula kero
    is doran tumhari takleef khatam nahien ho jaey gee...laikin is ki shidat main kami ho jaey gee...


    Q. 6-Mujhay Kia Bahtar kerna hai

    Waisay tu mere khyal main zindagey achi chal rahi hai...bas 2 cheezain hain...jin per main chahnay k bawajood qaboo nahien ker pa raha

    No.1 main bhot paisa zaya kerta hoon...aap fazool kharch bhi kah saktay hain
    kiun k month k last week hamisha udhar per chalta hai hahahahah

    No.2 Aap sab logon ko bhot buri lagay gee...laikin mujh main jo burai hai so hai
    aap logon ko is liey bta raha hoon k shyad aap main say kisi ki baat main man jaooon heheheheh Im smoker (Ganda Bacha) bas is say jaan churana chata hoon laikin pata nahien kiun...main khud nahien janta


    Q. 7- Mere Khwab

    Mera Aik Khwab jo k meree zindagey ka sab say aham hissa tha wo tu toot gya...ab us k baad yahi khwab hai k mera bhaee apni taleem jald az jald mukamal ker lay aur apni practical life main kamyabi say dakhil ho jaey

    Q. 8- Mera Naara

    Paiwasta rah shajar say umeed e bahar Rakh
    Chad Yaar Miti Paa
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: Zindagi - Your Challenge

      ASALM_O_ALIKUM,:salam:


      app sab k baray main jaan kar bohat acha laga.........:)
      umeed hy bohat kuch seekhein gay...

      :insha: bohat jaldi hum bhe shirkat karein gay...:D

      Comment


      • #33
        Re: Zindagi - Your Challenge

        Originally posted by Masood View Post
        Khud ko badalna sach mein bohat hi mushkil kaam hai Fari aur yes yeh bohat badi kamyabi hoti hai keh insaan khud ko badal sakey. Jo insaan khud ko badal sakta hai, wohi asal kamyab insaan hota hai. Lekin main yeh janena chahoon ga keh aap ney khud ko badalney key liye kya kiya hai? aur kitna mushkil amar tha yeh???
        ya maat hi poucho tu acha ha uncle bara kuch bardsht karna parta ha:(


        Excellent - yeh sach mein aik aisi khoobi hai jiski wajah sey aap ki qadar honi chahiyey. Mujhey siraf yeh btaein keh aap kaisey yeh zahir karti ho keh aap jo samney ho wohi ander sey ho??
        Awal tu koi bura kahay tu ma us kay liya dil ma koi baat nahi rakhti yahi souchti hon kah insaan ha kuch bhi kar sakta ha:donno: .....kah sakta ha:tauba
        aur agar koi bohat hi bura karay meray sath tu uss ko isss tareqay se uski burai beyan karti hon kah woh bura nahi manay:pagal:


        Baat yeh nahin keh aap ney kuchh kiya hai - baat yeh hai keh aap agli nasal key liye kya chhorr ker jana chahti hain ya uskey honey ki khawahish rakhti hai jo aap ko muyassar nahin - aik secure environment? aasani sey job mil jana? saaf suthra mahol? kuchh bhi...
        saafsuthra ..peaceful mahool jahan koi larai na ho

        Rishtey nibhaney nahin aatey :) yeh to sach mein aik challenge hai Fari. To aap kaisey rishtey nibhaein gi? Waisey yeh merey aaindah aaney waley lectures mein sey aik tha - keh rishtey kitney aham hotey hain.
        :lpop: aur mujhay lagta ha ya aik challenge hi rahay ga Uncle:tauba
        Mushkil sey bohat log bohat jald haar maan jatey hain, yeh bhi aik challenge hai - to tum ney kya socha hai is barey mein, kaisey apney aap ko sakht bnao gi? Some good challenges there :)
        :donno: ammi kahti ha waqt sab kuch sikha data ha........so waiting for that time


        Kya aik kaamyab study aap ka khawab nahin? Kya aik achhi life aap ki umeed nahin? Khawab woh dekhney chahiyey jo realistically possible hon. Jo aap ki dastras mein hon. Umeed bhi wohi paalni chahiye jis per aap poorey utar saktey hon.

        Aik kamyab study mera khawab nahi ha uncle:na: ...kesmat kesmat ki baat hoti ha .........koi log kamyab ho kar bhi achi zindagi nahi guzartay aur kuch nakamyab ho kar bhi achi zindagi guzar rahay hotay hai.....so ma asi ummid nahi rakhti kiun kah ya tu pehlay se llikha ha har aik ki kismat ma ......mai kuch zayda hi realistic hon shaid uncle :tauba

        Comment


        • #34
          Re: Zindagi - Your Challenge

          Q. 1- Meri Zindagey ki Kamyabian

          meri jo thori si education hy wo..
          main ny apni mehnat say apny gusay per kaboo pa liya hy...:lpop:
          apny khilaaf...aur apni soch say different batoon ko..bardash krny ki himaat-o-hosala bhe develop kiya hy..
          apni aana'a ko kam say kam ker diya hy...bcoz..mera ye khayal hy k..".hum apni aanaa ki waja say kai bar dheer saray achay kam nhi kar paty"..:na:

          khud say juray rishty kafi had tak nibhati hoon

          aur meri kamyaabi ye hy k....main jasa image chahti thi...wasa image family waloon per dalny main kamyaab ho gai hoon....:wk

          main ny observation say bohat kuch acha adopt kiya....jo k loog bohat deer say seekhty hain..:)
          main khud ko her haal main pur-sakoon rekhny ki koshish karti hun.



          Q. 2- Zindagey Main Aham Tareen

          mery parents,mery bhai...aur meri sisoo:hug:
          meri sab friends, mujhy say juraa her shakhs.

          aur sab insan:blush:


          >Q. 3- Kis Wajha say Meri Qadar ki jaey

          aj tak jitny loog mujhy janty hain..sab ny he qadar ki meri...dont know why:donno:
          jahan tak main sochti hun....
          main sincere hun sab k sath.
          main ander bahir say aik jasi hun...doogla pan nhi..:na:
          mera art jiski waja say chahti hun k meri qadar ki jaiy..


          Q-4 Agli Nasal k Liey kia chorna Chahtay Hain
          hmmm
          well

          sirf apna na sochien..balky..khud say juray her rishty ko ahmiyaat dein.
          ajj jo boey ga...katy ga kal..so be careful
          never loose heart


          Q-5 Waldain ki Naseehat

          perhoo gi to he kuch kar paoo gi..:a stick:
          time per soya karoo..time per utha karoo..:tauba :tauba
          safai ka khayal rekha karoo..:hehe:




          Q. 6-Mujhay Kia Bahtar kerna hai


          mujhy time ko achy tareeky say use karna hy...
          filhal bus ye he hy jo change karna chahti hun...aur to asa kuch nazar nhi arha ..jo change karna chahoon khud main..:lpop:


          Q. 7- Mere Khwab

          well
          main khawaab bhe sirf wohe dekhti hun..jin ka mujhy lagta hy ye puray ho sakty hain..:)
          ALLAH ka lakh lakh shukar hy...k aj tak jo khawaab dekhay...puray howay.:alhamd:
          bin khahish he sab kuch mila..

          well...khahishien ye hain.
          achi studies
          kabhi bhe kisi ko zarorat paree..to usky kam aoon.
          is kabil hona chahti hun k..future main problems ka samna kar sakoon.
          achi life..full of love..peace..respect...having my love ones around me.


          Q. 8- Mera Naara


          asa koi specific nhi hy

          well
          jo kismat main ho ga..wo mil kar rahy ga.:lpop:
          i seek revenge....(just for fun):D


          ..................................................

          Comment


          • #35
            Re: Zindagi - Your Challenge

            Originally posted by aquari View Post
            Shorow Allah k naam sey jo bara mehrban nihayat rehm kerney wala hai





            Meri zindagi ki kamyabiyaa
            Allah ka karm hia meri zindagi bauht soo sey achi hain..apney sey nechey waloo ko dekhoo tu jitna bhi shukar ada karo kum hai

            1.Academic lehaz sey tu itni kamyabi nahi milli jittni chahi thi mager Is waqt ek acha professional career haii,logo k darmain izzat ki nigah sey dekhi jati hoo yey mujey apni sub sey bari kamyabi lagti haii .
            2.Ek tub apney app ko kamyab samjhti hoo jub apni family ki koi chooti ya bari khuwahish koo poora kerti hoo un k chehry ki khushi mujhey apni kamyabi lagti hai.

            4.Main ek achi cook bhi hoo or gherailo bhi I think yeh bh ek chooti si hi sahii mager mujhey meri kamyabi lagti haii

            Or meri kamyabiyoo ka sara credit jata hai merey parents ko ..job or apni personality ka credi tmerey father or gherloo life my MOM
            Yeh sach mein aik bohat badi kamyabi hai keh aap apni family key liyey aik kamyab waseela hain - very nice. Aur mujhey tumahra "aik achhi cook" hona bhi aik kamyabi lagta hai, although mostly galz are good cook magar agar doosrey log aap ka khana khaney key baad bhi theek rehtey hain to yes u r a good cook :kr: :kr: :kr: (just kidding)

            Originally posted by aquari View Post
            Iss wajah sey meri qadr ki jayee
            Bilkul yeh aap ki values hain, yeh aap ki ana hai - ana ka yeh roop har insaan mein hona chahiyey aur is point ka asal maqsad hi yehi hai keh apney ander jo apni khoobiyan hain, unki respect karwaii jaey - kyun keh afterall har insaan apney taein aik aham insaan hai jiski qadar honi chahiyey... nice values

            Originally posted by aquari View Post
            Yeh mujhey BehterKerna haii
            Bus koshish hai k apney is giley ko totally khatum ker k 100% QANAT Pasand hojaoo ,abhi I think 70% hoo mazeed30% hona haii or apney app ko sabar delana haii.
            Jab insaan Allah sey kuchh maangey aur Allah Tala us cheez ko na dein to samajh lena chahiyey keh shayid isi mein behtari thi. Kuchh paaney key liye kuchh karna bhi parrta hai - haath per haath dharey beth jaein aur duaoun per duaein kartey jaein to aisi duaein qabool nahin hotin.
            Aik baat yaad rakhein "kuchh paaney" key liye apni zaat ki nafi karna aik sangeen ghalti hai Aquari! Kabhi kuchh paaney key liye apney aap ki nafi nahin karni chahiyey - jo chot lagti hai woh bohat azziyat deti hai - yeh mera zati tajarbah bhi hai. Apney aap ko doosron key liye compromise ki had tak badalna achha hota hai, apni zaat ki nafi nahin karni chahiyey.


            Originally posted by aquari View Post
            Meri umeedain Merey khuwab Umeedoo k chiragh tu bauht jalayee mager zamaney or taqdeer ki hawa ney bujha diyaa phir bhi zinda haii kyunk jub tak sans hai ummed bhi baqi hia.

            Filwaqt jis dagr per zindagi chal rahi haii 2 cheezaibn khuwab ki hasiyat rakhti haii ya yu keh lain jis ko poorey kerney ki arzoo bhi hai or koshish bhi

            Haqeeqat pasandana khawab:thmbup:
            Last edited by Masood; 30 March 2007, 15:42.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #36
              Re: Zindagi - Your Challenge

              Yeh sach mein aik bohat badi kamyabi hai keh aap apni family key liyey aik kamyab waseela hain - very nice. Aur mujhey tumahra "aik achhi cook" hona bhi aik kamyabi lagta hai, although mostly galz are good cook magar agar doosrey log aap ka khana khaney key baad bhi theek rehtey hain to yes u r a good cook (just kidding)
              Allah ka karam, hai abb tak merey haath ka khana khaney k bad loog thek hi rahey hain,:eye:
              Meri family main sub mujh per fakhr kertey hain :alhamd: k main un kliya mehnat kerti hoo For e.g Meri Sister jis ka abhi University main 1st semester hai apney frnds k samney barey fakhr sey meraa zikr kerti haii k meri elder sister job kerti hai itni mehnat kerti hain etc etc..or jub us ney un sub sey mujhey milwaya or bad main un sub k merey barey main commants suney tu woh bauht khush thii k Allah ney ussey mujh jaisi behn di haii ..bus yehi meri kamyabiyaa hain.....


              Bilkul yeh aap ki values hain, yeh aap ki ana hai - ana ka yeh roop har insaan mein hona chahiyey aur is point ka asal maqsad hi yehi hai keh apney ander jo apni khoobiyan hain, unki respect karwaii jaey - kyun keh afterall har insaan apney taein aik aham insaan hai jiski qadar honi chahiyey... nice values
              Anaa jub tak jayez raheyy self respect kehlati haii or achi bhi lagti hia or jub yeh had sey tajawooz ker jayee tu zidd ya hatdharmi ban jati haii or kahi na kahii kisi ka dill totney ka sabab banti haii......bus mujhey zid pasand nahi ager ek had tak mujhey kisi k samney jayez jhukna paraha hai or is sey samney wala khush horaha haii tu mujhey us k qadmoo main rehney main koi qabahat nahi bus woh shaks bhi meri is ata'at ka ghalat use na karain...

              Jab insaan Allah sey kuchh maangey aur Allah Tala us cheez ko na dein to samajh lena chahiyey keh shayid isi mein behtari thi. Kuchh paaney key liye kuchh karna bhi parrta hai - haath per haath dharey beth jaein aur duaoun per duaein kartey jaein to aisi duaein qabool nahin hotin.
              Aik baat yaad rakhein "kuchh paaney" key liye apni zaat ki nafi karna aik sangeen ghalti hai Aquari! Kabhi kuchh paaney key liye apney aap ki nafi nahin karni chahiyey - jo chot lagti hai woh bohat azziyat deti hai - yeh mera zati tajarbah bhi hai. Apney aap ko doosron key liye compromise ki had tak badalna achha hota hai, apni zaat ki nafi nahin karni chahiyey.
              Haa yeh maslihat ka lafz hi tu humain tasali detaa haii k kahi na kahii koi behtri hogi or her bar main yehi apney app ko samjhaa ker phir aney waley din k saath zindagi ka samna kerti hoo.."No Pain No Gain"kuch paney k liya kuch tu khoona parta hai zaat ki nafii mumkin bhi nahi ,humari base ,humari khalsat or kuch khass adatain humari nahi badaltii hai ,bus hum kuch apney shab-o-rooz main kisi k liya tabdeeliya ley atey hian jisey kisi ko khushi milti haii for e.g mujheykhamosh rehna pasand hai laikin ager merey bolney sey kisi ko khushi milti haii tu yeh koi nafi tu na hoi apni zaat ki.bus thora flex hona chaheya apni zaat main compromise ki had tak...thek kaha app ney mera bhi zati tajurba yehi reh chuka haii k kisi ko paney ki khatir apni zaat ko nafi nahi kerni chaheyaa bari aziyat nak choot lagti hai bus kuch baatain apnaney main koi harj nahi .

              Haqeeqat pasandana khawab
              Achey bhi yehi lagtey hain ...:)

              Comment


              • #37
                Re: Zindagi - Your Challenge

                Buhat achay janab :D

                Comment

                Working...
                X