Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi - Your Challenge

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Zindagi - Your Challenge

    Meri Zindagi ki Kamyabiyan

    Meri zindagi ki kamyabi ya ha kah main khud ma badlao lai hon jo kah meray liya bohat muskil tha.....:lpop:

    Zindagi ma ahham tareen

    Meray parents ki khushi :blush:

    Is waja se meri Qadar ki jaye

    :hhh: mai jasay samnay hoti hon wasay hi ander se hon khabi kesi kay liya bugaz nahi rakhti aur aj kal asay log bohat kam hotay hain:blush: .......so iss liya meri qadar ki jay

    Agli Nasl ka liye

    mai nahi samjhti kah maina asa kuch kiya ho jes se agli nasal ko koi faida ho ya unkay liya woh mashal-e-rah banay:donno:

    Meyrey waleydeyn hamesha kehtey hein

    Abu kahtay hain kah
    • Quran ba'kasrat parha karo.
    • namaz parho aur ALLAH per hamesha bharosa rakho.....
    • Insaano se ummid na rakho .....ALLAH se ummid rakho......
    aur ammi kahti hian:D
    • computer kay samnay zayda dair mat baitha karo ankhen khara ho jain gi
    • khana kha liya karo time per:tauba

    ya Mujhay behtar karna hai:

    Rishtay nibhana nahi atay mujhay.......so mujhay ya sikhna abhi baki ha
    Mai jald muskilo se har maan lati hon..is ko bhi thik karna ha:tauba
    Har waqt mazaq karti rahti hon:lpop: .......per mujhay lagta ha kuch serious bhi hona chaiya:zuban: (asa mujhay log kahtay hain so is per bhi kam karnay ki kosish karni ha)

    Maray khawaab/Umeedein

    ya bohat muskil sawal ha........ummid ma khud se rakh sakti ho kiun kah wohi mai pori kar sakti ho aur woh ya kah ma kes ka dil na dukhaon ..dosro se ummid rakhna meray nazdik bewaqofi ha .......aur khawab meray liya khawab(imagination) hotay hain jin ko ma ahmiyat nahi dati ....:donno:

    Maira Na'ra

    Haso khush raho muskurao ........

    Comment


    • #17
      Re: Zindagi - Your Challenge

      Originally posted by yellowsky View Post

      @ Ummid

      I would love to discuss each and every point with you ....seriously....
      sure sky ji....:rose

      Comment


      • #18
        Re: Zindagi - Your Challenge

        Originally posted by Masood View Post
        Aap sey guzarish hai keh issey sahih font mein post kijiye - shukriyah!
        mujy to theek nazer araya hay

        Comment


        • #19
          Re: Zindagi - Your Challenge

          Shorow Allah k naam sey jo bara mehrban nihayat rehm kerney wala hai

          Meri zindagi ki kamyabiyaa


          Zindagi main Eham tareen


          Iss wajah sey meri qadr ki jayee



          Agli nasl k liya


          Merey parents kehtey hian:


          Yeh mujhey BehterKerna haii

          Meri umeedain Merey khuwab


          Comment


          • #20
            Re: Zindagi - Your Challenge

            Originally posted by aquari View Post
            Shorow Allah k naam sey jo bara mehrban nihayat rehm kerney wala hai




            Merey kai takiya kalam haii jisey moqqa rmahal istemal kerti rehti hoo



            Very nice to knw all things abt u,

            Comment


            • #21
              Re: Zindagi - Your Challenge

              Originally posted by musaddaq View Post
              Very nice to knw all things abt u,
              Thank you

              Comment


              • #22
                Re: Zindagi - Your Challenge



                1) Zindagi ki kamyabian .


                2) Zindagi mei Eham tareen: -



                3- Qadar kis waja se ki jati hai :-



                4) Agli nasal ke liyeh :-

                Kya faida pichli naslein jo chor ker gayi hain hum ne kab apnaya jo koi humara hcora follow karey ga :lol

                5)Waldein ki naseehat : -

                Mum ki naseehatein aur dad ki alag alag hoti hai :lol




                Behter bananey ki ummid : -




                Khuwab :-







                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: Zindagi - Your Challenge

                  Originally posted by yellowsky View Post
                  Meyri Zindagi ki Kamyabi'yan
                  1. Aik aeysi beyti jo key apney Patents ka fakhr hai
                  2. Agar koi masla hai to us key solutions pey kaam karein na key problems pey......
                  3. pehley mey bohot indecisive thi leykin ab apni zindagi ka sab sey eham decision leyney key baad mey ney decisions leyna seekh liya hai ....:alhamd:
                  4. Studies ofcourse(my undergraduate degree in Mass com. )
                  decision-making is the most difficult aspect of ones life. Decision positive bhi hotey hain negative bhi. Zaroorat is amar ki hoti hai keh apney decisions ko positively dekha jaey, beshak un key asraat manfi hon. Manfi hain to aap kya kar saktey ho? Kuchh nahin, siraf un sey sabaq seekha jaa sakta hai keh where I did wrong. Jab aap yeh ghalti talash kar letey ho to bhi aik kamyaabi hoti hai. Aap ko apney kiyey huwey faislon per itminaan hai?

                  Originally posted by yellowsky View Post
                  Zindagi mey Eham tareen
                  1. Meyri family
                  2. Meyrey friends
                  3. aur aik aeysa environment jis mey...Mey independently survive ker sakun
                  4. aur Mey khud :D
                  Aisa environment.... myassar hai? defination kya hai aisey environment ki?

                  ... aur I like the point of picking yourself as the important for you. Ham aksar khud ko neglect kar key doosron key liye jeetey hain. Hamari apni koi zaat hai, koi shakhsiyat hai - remember khud ko encourage karo gey to log tumhein encouragement dein gey, khud ko neglect karo gey log tumhein neglect karein gey.

                  Originally posted by yellowsky View Post
                  Is waja sey meyri Qadr ki jaye

                  Mushkil sawal hai,
                  Mmm mey doosron key sath kafi tolerant hun aur mey chahun gi key log kam sey kam meyri issi quality ki bina per meyri qadr karein
                  Aap aik ghair-muslim country mein rehti hain. Is dor mein jahan Islam ko blame kiya jata hai, kya aap apni shanakhat as Muslim Girl key tor per karwana nahin chahein gi? aur aap apney doston mein yeh respect chahein gey ... hello I am a muslim girl jo apni limits mein rah ker aik khud'mukhtar larki hai - apney decision ley sakti hai, apni life ka decision bhi ussey Islam ney diya hai - what West doesn't know about....
                  Even though ham dono Europe mein hain, yahan per bhi aurat ko woh muqaam nahin diya jata jo uska haq hai, so in that being a gal is a reason itself to be respected for!

                  Originally posted by yellowsky View Post
                  ye Mujhey behtar kerna hai

                  Mujhey bohot kuch behtar kerna hai..... :D
                  1. Mey bohot ziada hassaass hun jo key mey nahi hona chahti
                  2. Meyrey kamrey mey hamesha aik bomb blast hua hota hai .......lol leykin ye sirf kamrey tak mehdood hai baki her jaga mey organised hun ALhumdulillah
                  3. Mey bilkul apni diet ka khayal nahi rakhti ....
                  ....
                  Hassas hona koi ghalt baat nahin, ehsaas rakhney sey hi aik kamyab life guzarti hai. Remember zindagi article mein likha hai keh ehsason key bghair zindagi pheeki hai. Ehsaas zindagi mein must hain. Haan over-react karna ghalat hai. Zaroorat is baat ki hai keh apney ehsaas sahih jagah per dikhaey jaein...

                  Yes you told me once keh aap key kamrey mein bomb phatta huwa hota hai. Aap ghaur karo to aap ko iskey bawajood apni cheezein mil jati hain keh nahin? agar haan to koi buraii nahin agar nahin to aap pehli fursat mein apni is aadat ko badalney ki koshish karein....

                  Originally posted by yellowsky View Post
                  Meyrey kh'aab/Umeedein
                  1. to be understood( its a khawahish key log mujhey samaj sakein)
                  2. meyri studies araam sey aur bohot achi si khatam ho jayein
                  3. Mey apni family key liye apney mulk key liye beyshak kam leykin zaroor kuch ker sakun inshAllah......
                  Yeh shikayat aksar logon ko hoti hai keh mujhey koi samajh nahin paya, apney aap ko samjhwaney key liye aap kya karein gi? Yeh khawab aisey to poora nahin ho jata keh koi samajh ley....
                  Last edited by Masood; 23 March 2007, 01:11.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #24
                    Re: Zindagi - Your Challenge

                    Originally posted by Masood
                    decision-making is the most difficult aspect of ones life. Decision positive bhi hotey hain negative bhi. Zaroorat is amar ki hoti hai keh apney decisions ko positively dekha jaey, beshak un key asraat manfi hon. Manfi hain to aap kya kar saktey ho? Kuchh nahin, siraf un sey sabaq seekha jaa sakta hai keh where I did wrong. Jab aap yeh ghalti talash kar letey ho to bhi aik kamyaabi hoti hai. Aap ko apney kiyey huwey faislon per itminaan hai?


                    Life is full of difficult decisions..no doubt.....aik do saal pehley tak meyrey saarey decisions meyrey barhey leytey they.......or mey itni un pey dependent thi key meyrey kya interests hein meyri apni kya choice hai ...ye tak mujhey nahi maloom tha.....magar mey iss mey bohot khush thi wo is liye key her cheez mujhey ready made mil jati thi ..mujhey khud sey kuch nahi sochna perhta tha....
                    magar phir aik dam sey hi ....un ka attitude hi change ho gaya , her baat mey " jo tumhein sahih lagta hai wo karo" .....wo bohot mushkil stage thi .....kafi time laga is pey kaam karney mey....kafi ultey decisions liye ..kafi time zaya hua.....aur ab theek hai Alhumdulillah

                    aur jis decision ki mey ney baat ki hai "zindagi ka sab sey barha faisla" ....yes Alhumdulillah mey mutma'in hun...

                    Aisa environment.... myassar hai? defination kya hai aisey environment ki?
                    Deinition?..."aik aeysa secure mahaul jahan Her cheez meyrey access mey ho", yahan yes ALhumduillah aeysa environment muyassar hai magar mey aagey kaam Pakistan mey kerna chahti hun ....us key liye ye meyri sab sey barhi zaroorat hai ....


                    Aap aik ghair-muslim country mein rehti hain. Is dor mein jahan Islam ko blame kiya jata hai, kya aap apni shanakhat as Muslim Girl key tor per karwana nahin chahein gi? aur aap apney doston mein yeh respect chahein gey ... hello I am a muslim girl jo apni limits mein rah ker aik khud'mukhtar larki hai - apney decision ley sakti hai, apni life ka decision bhi ussey Islam ney diya hai - what West doesn't know about....
                    Even though ham dono Europe mein hain, yahan per bhi aurat ko woh muqaam nahin diya jata jo uska haq hai, so in that being a gal is a reason itself to be respected for!
                    mey ney aap ka sawal naama 10 min. mey solve kiya tha ....:d....aur 5 min. meyrey is sawal pey lagey they ....

                    Shanakst aur Qadr mey farq nahi hai? ... meyrey khayal mey Qadr aap un logon sey karwana chahtey hein jo log aap key kareeb hein .... is key ilawa jo log aap key ird gird hein ...aap apni shanakst raktey huye jiyo no matter wat they think about you ....as Rullz says Sanu ki .... :D

                    ab meyrey friends....meyrey ziada Asian aur Arab friends hein ....jo gorey hein wo sirf wo log hein jo diff. cultures aur relegions ki respect kertey hien...so Alhumdulillah i feel comfortable.....

                    leykin ye haqeeqat hai key being a musilm girl apni identity rakhtey huye in ki society mey move kerna .....at times bohot mushkil hota hai ......thats true....


                    Hassas hona koi ghalt baat nahin, ehsaas rakhney sey hi aik kamyab life guzarti hai. Remember zindagi article mein likha hai keh ehsason key bghair zindagi pheeki hai. Ehsaas zindagi mein must hain. Haan over-react karna ghalat hai. Zaroorat is baat ki hai keh apney ehsaas sahih jagah per dikhaey jaein...
                    yes...aik achi cheeez ki ziad'dti ussey bura bana deyti hai......aur mey extra sensitive hun..jo key ghalt hai i know magar ..........

                    aap key khayal mey issey balance kaisey rakha ja sakta hai?

                    Yes you told me once keh aap key kamrey mein bomb phatta huwa hota hai. Aap ghaur karo to aap ko iskey bawajood apni cheezein mil jati hain keh nahin? agar haan to koi buraii nahin agar nahin to aap pehli fursat mein apni is aadat ko badalney ki koshish karein....
                    Mmm ....lol....right now i can see my things all around me....being a girl its embarassing....

                    meyri cheezein mujhey Ziada tar time mil jati hein leykin kabhi dhoondni bhi perhti hein....
                    meyra khayal hai mujhey is pey zaroor kaam kerna chahiye inshALlah

                    Yeh shikayat aksar logon ko hoti hai keh mujhey koi samajh nahin paya, apney aap ko samjhwaney key liye aap kya karein gi? Yeh khawab aisey to poora nahin ho jata keh koi samajh ley....


                    pata nahi......
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Zindagi - Your Challenge

                      @ Masood bro.

                      I would like to hold discussion with other members here, juz let me know if m allowed?
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #26
                        Re: Zindagi - Your Challenge

                        Originally posted by yellowsky View Post
                        @ Masood bro.

                        I would like to hold discussion with other members here, juz let me know if m allowed?
                        Pehley mujhey discuss kar leney dein phir aap kar lijiye ga...
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #27
                          Re: Zindagi - Your Challenge

                          Originally posted by ummid View Post
                          } Meri Zindagi ki kamyaabiyaan:
                          hmmm ham log kabhi kabhar kuchh ziyada hi mufakkar nahin ho jatey??? Zindagi ko mushkil bnaa letey hain. Zindagi mein jo hasil hota hai woh AAP ka hai - uskey peechey haath kisi ka bhi ho!! Duniya key har waldein apni aulad ko kamyab dekhna chahtey hain - har bachey key naseeb mein kamyabiyan nahin hoti. Aap ney jo hasil kiya hai yeh siraf aap key waldein ki wajah sey nahin hasil huwa, is mein aap ka bhi haath hai - zindagi ko ziyada philosphy mein nahin baha detey. Aik degree bhi aik kamyabi hai!!!

                          Originally posted by ummid View Post
                          } Is wajah se meri qader ki jaye :
                          Aik baar phir aik ghair-sanjeedah aur naqabil-e-qabool jawab! sorry!

                          Originally posted by ummid View Post
                          } Agli nasal ke liye:
                          Har nasal ka farz banta hai keh apni aaney wali nasal key liye kuchh chhorr ker jaey - aap ney baat ko samajhey bghair jawab diyey hain....

                          Originally posted by ummid View Post
                          } Yeh mujhe behter karna hai:
                          Betiyon key kuchh nakhrey uthaey jatey hain.


                          Okay in general Ummid main aap ko aik mashwraa doon ga, us per ghaur karna. Apni sochon ko itna mat uljhaa lo keh zindagi mushkil ho jaey. Har baat ko falsafiyana tor per biyaan karney sey aur sochney sey zindagi sach mein mushkil ho jati hai. Aap ney yahan jo batein ki hain, un mein bohat sari baatein aasan ho sakti hain - agar aap unhein aasan karna chaho. Meri feeling yeh hai keh aap apni zindagi ko mushkil kar rahi ho. Apney aap ko is uljhan sey nikalney ki koshish karo aur zindagi ko aasan bnaney ki koshish karo....
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #28
                            Re: Zindagi - Your Challenge

                            Originally posted by Khalil View Post
                            meri life to hay hee kamyab kiun k kisi chez ko hasal ker laina mery liy koi mahny nai rakhta balky os tak puhanchny main tag o do kerna hee sab kuch hay
                            yani? kuchh thos misaal dein keh kya hasil kiya hai aap ney jo paya nahin??



                            Originally posted by Khalil View Post
                            1 Zindgi
                            2 Insaan.
                            Zindagi bohat ahmiyat rakhti hai, to aap ney is zindagi ko guzarney key liye kya kiya hai? Insaan key liyey kya kartey hain?


                            Originally posted by Khalil View Post
                            keonky main aik insaan hun



                            soch ker baat karna aur dosry kee achi tarah listien kerna[
                            mumkin hai bohat achhi baat ho - magar yeh baat aap key font ki wajah sey zaya ho gaii hai - sorry!
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #29
                              Re: Zindagi - Your Challenge

                              Originally posted by fari View Post
                              Meri Zindagi ki Kamyabiyan

                              Meri zindagi ki kamyabi ya ha kah main khud ma badlao lai hon jo kah meray liya bohat muskil tha.....:lpop:
                              Khud ko badalna sach mein bohat hi mushkil kaam hai Fari aur yes yeh bohat badi kamyabi hoti hai keh insaan khud ko badal sakey. Jo insaan khud ko badal sakta hai, wohi asal kamyab insaan hota hai. Lekin main yeh janena chahoon ga keh aap ney khud ko badalney key liye kya kiya hai? aur kitna mushkil amar tha yeh???

                              Originally posted by fari View Post
                              Is waja se meri Qadar ki jaye

                              :hhh: mai jasay samnay hoti hon wasay hi ander se hon khabi kesi kay liya bugaz nahi rakhti aur aj kal asay log bohat kam hotay hain:blush: .......so iss liya meri qadar ki jay

                              Excellent - yeh sach mein aik aisi khoobi hai jiski wajah sey aap ki qadar honi chahiyey. Mujhey siraf yeh btaein keh aap kaisey yeh zahir karti ho keh aap jo samney ho wohi ander sey ho??

                              Originally posted by fari View Post
                              Agli Nasl ka liye

                              mai nahi samjhti kah maina asa kuch kiya ho jes se agli nasal ko koi faida ho ya unkay liya woh mashal-e-rah banay:donno:

                              Baat yeh nahin keh aap ney kuchh kiya hai - baat yeh hai keh aap agli nasal key liye kya chhorr ker jana chahti hain ya uskey honey ki khawahish rakhti hai jo aap ko muyassar nahin - aik secure environment? aasani sey job mil jana? saaf suthra mahol? kuchh bhi...

                              Originally posted by fari View Post
                              ya Mujhay behtar karna hai:

                              Rishtay nibhana nahi atay mujhay.......so mujhay ya sikhna abhi baki ha
                              Mai jald muskilo se har maan lati hon..is ko bhi thik karna ha:tauba
                              Har waqt mazaq karti rahti hon:lpop: .......per mujhay lagta ha kuch serious bhi hona chaiya:zuban: (asa mujhay log kahtay hain so is per bhi kam karnay ki kosish karni ha)
                              Rishtey nibhaney nahin aatey :) yeh to sach mein aik challenge hai Fari. To aap kaisey rishtey nibhaein gi? Waisey yeh merey aaindah aaney waley lectures mein sey aik tha - keh rishtey kitney aham hotey hain.

                              Mushkil sey bohat log bohat jald haar maan jatey hain, yeh bhi aik challenge hai - to tum ney kya socha hai is barey mein, kaisey apney aap ko sakht bnao gi? Some good challenges there :)



                              Originally posted by fari View Post
                              Maray khawaab/Umeedein
                              Originally posted by fari View Post

                              ya bohat muskil sawal ha........ummid ma khud se rakh sakti ho kiun kah wohi mai pori kar sakti ho aur woh ya kah ma kes ka dil na dukhaon ..dosro se ummid rakhna meray nazdik bewaqofi ha .......aur khawab meray liya khawab(imagination) hotay hain jin ko ma ahmiyat nahi dati ....:donno:
                              Kya aik kaamyab study aap ka khawab nahin? Kya aik achhi life aap ki umeed nahin? Khawab woh dekhney chahiyey jo realistically possible hon. Jo aap ki dastras mein hon. Umeed bhi wohi paalni chahiye jis per aap poorey utar saktey hon.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #30
                                Re: Zindagi - Your Challenge

                                Originally posted by Masood View Post
                                hmmm ham log kabhi kabhar kuchh ziyada hi mufakkar nahin ho jatey??? Zindagi ko mushkil bnaa letey hain. Zindagi mein jo hasil hota hai woh AAP ka hai - uskey peechey haath kisi ka bhi ho!! Duniya key har waldein apni aulad ko kamyab dekhna chahtey hain - har bachey key naseeb mein kamyabiyan nahin hoti. Aap ney jo hasil kiya hai yeh siraf aap key waldein ki wajah sey nahin hasil huwa, is mein aap ka bhi haath hai - zindagi ko ziyada philosphy mein nahin baha detey. Aik degree bhi aik kamyabi hai!!!



                                Originally posted by Masood View Post
                                Aik baar phir aik ghair-sanjeedah aur naqabil-e-qabool jawab! sorry!


                                Zindagi mein her cheez qabil e qabool hoti bhi nahi

                                Originally posted by Masood View Post
                                Har nasal ka farz banta hai keh apni aaney wali nasal key liye kuchh chhorr ker jaey - aap ney baat ko samajhey bghair jawab diyey hain....




                                Originally posted by Masood View Post
                                Betiyon key kuchh nakhrey uthaey jatey hain.






                                Originally posted by Masood View Post
                                Okay in general Ummid main aap ko aik mashwraa doon ga, us per ghaur karna. Apni sochon ko itna mat uljhaa lo keh zindagi mushkil ho jaey. Har baat ko falsafiyana tor per biyaan karney sey aur sochney sey zindagi sach mein mushkil ho jati hai. Aap ney yahan jo batein ki hain, un mein bohat sari baatein aasan ho sakti hain - agar aap unhein aasan karna chaho. Meri feeling yeh hai keh aap apni zindagi ko mushkil kar rahi ho. Apney aap ko is uljhan sey nikalney ki koshish karo aur zindagi ko aasan bnaney ki koshish karo....
                                OK in general masood bhai

                                Comment

                                Working...
                                X