Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kahan Sey Shuru Karoon

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Kahan Sey Shuru Karoon

    Massod aap ne aik intehaai nazuk maslay per qalam uthaya hey, Musalaman aaj kiyun kamzor hein? kiyun muntashir hein? kiyun zulm o jaber ka shikar hein, issi liye k aaj k musalman k aqayed kumzor hein, arakeen e islam k sirf nam yad hein amel nam ki koi cheez baqi nhi rhi hey. Apnay imaan ko drust kernay k bjaye hum aik doosray k aqayed per ungli uthatay hein k aisa nhi to aisa kiyun hey. Jo log yeh pollings karwa rhay hein k Allah zameenon mein hey ya AAsmanon mein hey unn ko jaan lena chahiye k wo apnay hathon se apnay liye tabahi ka saman peda ker rhay hein, aisay log khud bhi gumrah hein aur doosron ko bhi shaitani jaal mein phunsanay ki koshish ker rhay hein. Roz e jaza Allah yeh nhi poochay ga k tu ne mujhye kahan kahan dekha ya kahan kahan meri mojoodgi ka ehsaas kiya wo yeh poochay k kon kon se naik aamal kiye k jin ki tujhey jaza di jaye! Tub aisay log kia jwab dein gay?
    Allah Taala hum sub ko apnay imaan ko mazboot aur apnay aamal ko drust kernay ki taufiq ata farmaye. Ameen
    Aur masood Allah aap ko jazaye khair ata farmaye, Ameen

    Comment


    • #17
      Re: Kahan Sey Shuru Karoon

      JAB tak mullaon ko sudhara nahin jae ga musalmaan isi tarha taqseem hota rahe ga...aaj kal jis qader musalmaan dunya ke koney koney mein ruswa ho raha hai woh inhi namnehad mullaon ki wajha se hai jab tak musalmanon ko suchi qayadat nahin miljaati humen in halaat ka samna kertey rehna pare ga..

      Comment


      • #18
        Re: Kahan Sey Shuru Karoon

        ajj kaa musalmaan waqai buhat bhattak saa gaya hai....
        Allah hum sab koo hidayat ka raasta dikhaye Ameen...

        again ik acchi or sabaq amoooz tehreer ke liye buhat sa shukeraaa:masha

        Comment


        • #19
          Re: Kahan Sey Shuru Karoon

          Assalam.o.aleikum
          Aap ki yeh tehreer parh k dil kaanpa to zaroor laikin is k positive nataaij hi rahay is liye k aap ki yeh tehreer bhi sadaaqat par mabni hay aur sachchai apna positve hi asar zaahir karti hay.
          Quran-e-Majeed main baar baar zikr kiya gaya hay k Allah tumhain daikh raha hay...Allah har jagha mowjud hay...aur is baat ka zikr baar baar dohraya gaya hay.to phir woh kownsa tabqa hay? ya kownsay aisay loge hain? jin ko aisa sawaal apnay mind main laanay k ilaawa khulay aam doosron kay zaihno'n ko bhi gumraahi ki raah par daalnay k liye poochnay ki jurrat aur himmat hui.....jab kay Allah taala nay yeh bhi farmaya kay jis baat ka tujhay ilm nahi us ki khowj main is tarha na ja...is baat ka faisla bhi Allah ki zaat hi karsakti hay k woh apnay aap ko musalman kaihnay k mustahiq hain? jab k musalman ka matlab hi Allah ka farman bardaar aur us k saamnay sir jhukanay waala hay....to phir yeh himmat kaisi? kis tarha khud ko musalman kaihtay huway yeh sawaal kaisa?
          ham loge Allah kay bataey huway raaston ki bajaey apni marzi ki rahon par chaltay huway bhi yeh tawaqoh rakhtay hain kay Allah hamain har har naimat say nawazay maslan aik Hadees-e-Qudsi main hay kay "Main(ALLAH)nay 5 cheezain 5 makhsoos jaghon par rakhi hain aur loge un ko doosri jagha dhoondtay hain ! to phir woh kiyun kar mailain?

          1)Main nay izzat farman'bardaari main rakhi hay aur loge us ko Baadshahon kay darwazon par dhoondtay hain..bhala kiyun kar paein gay?

          2)Ilm.o.Hikmat main nay bhook main rakhi hay aur loge us ko Aseeri main talaash kartay hain!phir kiyun kar haasil hogi?

          3)Raahat.o.Araam ko Main nay Bahisht main rakha hay aur loge us ki duniya main justuju kartay hain ! phir kis tarha haath main aaey gi?

          4)Tonagri ko main nay Qanaa'at main rakha hay aur loge us ko dowlat main talaash kartay hain phir kiyun kar milay gi?

          5)Apni Khushnudi main nay Mukhalfat-e-Nafs main rakhi hay aur loge us ko Mufaqat-e-Nafs main chahtay hain phir kiyun kar paein gay?

          Inhi 5 baaton par ghowr kar liya jaey to hamain sahi raasta mil sakta hay.warna to Quran-e-Majeed ka aik aik harf hamaray liye Mashal-e-Raah hay...aur phir is tarha baihaknay ki koi wajha baaqi nahi raihti.Yeh Khudaai Aafaat bhi hamaray aisay hi aamalon ka nateeja hain aur yeh silsila Hazrat Adam Alayhissalaam say lay kar ab tak yun hi chalta aa'raha hay.jis ki takeed baar baar Quran-e-Majeed main mowjood hay.

          Allah ham sab ko usi raastay par chalnay ki towfeeq ata farmaey jis ki taleem Quran-e-Majeed main di gaai hay.Aameen
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #20
            Re: Kahan Sey Shuru Karoon

            Jawabaat per tafseel sey reply karoon ga magar kuchh waqt baad :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #21
              Re: Kahan Sey Shuru Karoon

              huma az oust (sub kuch usi ALLAH se hai)......

              bauaht hi khoob Masood bhai:thmbup: ........as usual:) ....
              khush rahiye........:phool:

              Comment


              • #22
                Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                aslamo alykum masood bhai main ny aap ki ye tehreer dekhi aur itni zabardast tehreer dekh kar mujhy itni khush hui k bayan se bahir hy aur meri mayosi jo bazahir is qoom ki halat dekh kar mujh par tai ho gai thi yakayak intihai khusgawar hayart main badal gai k abhi ALLAh k khuch aysy bandy zaroor hain jo k us k dee n ki tarap rakhty hain aur sath sath deen ka feham bhi rakhty hain . meri ALLAH se dua hy ..khuda kary zoory bazo aur ziyada
                aur wo aap k qalam ko apni azmatoon par qurban hony ki saadaton se behramand farmay...
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment


                • #23
                  Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                  aap ny to wohi bataian likh dee jo main khudh sochta hun
                  ..

                  Comment


                  • #24
                    Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                    Originally posted by Khalil
                    aap ny to wohi bataian likh dee jo main khudh sochta hun
                    ..
                    to tum merey bhai nahin ho kya?
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #25
                      Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                      Originally posted by Masood
                      to tum merey bhai nahin ho kya?
                      Hun

                      Comment


                      • #26
                        Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                        Allahmuaaf karay jee bas or kuch nahi
                        Guftgu karnay ko to bo hat kuch hai lakinkarun ga to baat bohat lambi ho jayaaghi
                        or sab un POL karwaanay walonko chor kar mujhay pakar lo gay
                        LAkin KHUDA har jagah mojud hai or bhi bohat kuch hai
                        Khair Allah hamay Aashik ban nay ki tofeek karay
                        bcoz hamray 1 buzurg sab jaantay hain jee hamaraymean jo unhay maantay hain BABA BULL-e-SHAH kahtay hain k
                        [Imaan slaamat har koi mangay tay ishq slaamat koi hu]

                        Allah khair rakhay
                        Inna olia ALlahi a haufun alahim walahum yah zanun

                        Comment


                        • #27
                          Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                          Jinna rawaan tay Ishq pohnchayaa Imaan nun habr na kai hu
                          Inna olia ALlahi a haufun alahim walahum yah zanun

                          Comment


                          • #28
                            Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                            kia bat keh rahay hain app asa kis nay kaha astagferullah
                            ham jantay hain Allah pak har jagha mojod hain
                            hamara eman hai aur jiska Allah pay eman na ho wohi ase bat karta hai aur asay log bhi jo gunahon main bure tarhan ghir chukay hotay hain wohi apni soch ase bana laytay hain k ham chahin kuch bhi karain Allah hamain nahi dekh rahay
                            nahi balkay Allah taala nay dheel day de hai shayed asay log khuli fiza main is bat ka ehsas nahi kar pa rahay

                            Comment


                            • #29
                              Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                              Originally posted by <<Muqadas>>
                              kia bat keh rahay hain app asa kis nay kaha astagferullah
                              ham jantay hain Allah pak har jagha mojod hain
                              hamara eman hai aur jiska Allah pay eman na ho wohi ase bat karta hai aur asay log bhi jo gunahon main bure tarhan ghir chukay hotay hain wohi apni soch ase bana laytay hain k ham chahin kuch bhi karain Allah hamain nahi dekh rahay
                              nahi balkay Allah taala nay dheel day de hai shayed asay log khuli fiza main is bat ka ehsas nahi kar pa rahay
                              Ham musalmano mein 72 firqey ban chukey hain, ab na'janey kitney mazeed banein gey. Woh firqey bhi mojoood hain jo Hadees ka inkaar kartey hain aur Hadees ko nahin mantey - aisa hi aik firqah hai jo Allah Tala ko siraf aasmano mein manta hai aur duniya mein nahin.... aur unkey paas kuchh muhiddasson ki hadeesein iska saboot hain - jo keh merey nazdeek zaeef hain....
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #30
                                Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                                Aslaam-o-alikum janab
                                All
                                JAnab MASOOD or other brother and sis
                                JEe sab say pehlay to firkayn 73 banayn gayn jin mainsay sacha wohi jo azal say hain mean RASUL pak say started hai
                                OR 72 firkay jo janaab MASOOD sahib nay kaha ban chukay hain

                                Janaab can u explain me kahaan hain yah firkay Bcoz i think abhi tak itnay zayada nahi ban
                                OR agar banayn gayn bhi to 73 say zayaada nahi ho saktay
                                ok intizaar rahay gaa aap k jawaab ka

                                Ghanj bahsh-e- faiz-e-alam Mazhar-e- nur-e- khuda
                                Na kisaara piray kamil Kamilaara rah numa
                                Inna olia ALlahi a haufun alahim walahum yah zanun

                                Comment

                                Working...
                                X