Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kahan Sey Shuru Karoon

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kahan Sey Shuru Karoon

    Aik purani tehreer hai magar shayid yeh har dor ki zaroorat hai. Aaj Pegham per pehli baar share kar raha hoon. Zara talkh hai. Aur talkh likhna hi mujhey aata hai - kya karoon Ghalib kehtey hain "chhoot'ti nahin hai kaafi munh ko lagi hui" Ab talkh likhna meri ragoon mein baith geya hai to kya karoon? Bardasht kar lijiye ga :) :rose
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Kahan Sey Shuru Karoon

    Doosra Hissah - agar aap ney pehla hi parh kar chhor nahin diya to :)
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Kahan Sey Shuru Karoon

      "Mey shuru bhi Allah key naam sey karun ga aur khatam bhi Allah key naam per karun ga"

      Allah karey key hum ye kaam shuru bhi ker dien--InshAllah,
      aap ney ye sab soch bohot payyari tehreer likhi hai, jab mey ney ye sab socha tha to ussey aik bohot choti nazm ki surat mey likha tha-ye kafi pehley ki baat hai
      aur nazm kuch yun hai

      Aik Hasti
      dur kaheen
      phir bhi
      paas hamarey rehti hai

      jo her pal sath
      rehney ka
      yaqeena deylati rehti hai

      najaaney kyoon
      phir bhi hum
      khud sey hi
      door ka raasta chuntey hein
      aur
      paas rehna bhi chahtey hein
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Kahan Sey Shuru Karoon

        bahot achi si kuch sochnay pe majboor karti hui tahreer

        Comment


        • #5
          Re: Kahan Sey Shuru Karoon

          "Mey shuru bhi Allah key naam sey karun ga aur khatam bhi Allah key naam per karun ga"

          Allah karey key hum ye kaam shuru bhi ker dien--InshAllah,
          aap ney ye sab soch bohot payyari tehreer likhi hai, jab mey ney ye sab socha tha to ussey aik bohot choti nazm ki surat mey likha tha-ye kafi pehley ki baat hai
          aur nazm kuch yun hai

          Aik Hasti
          dur kaheen
          phir bhi
          paas hamarey rehti hai

          jo her pal sath
          rehney ka
          yaqeena deylati rehti hai

          najaaney kyoon
          phir bhi hum
          khud sey hi
          door ka raasta chuntey hein
          aur
          paas rehna bhi chahtey hein
          bahot achi nazm hai barg.e.gul...share karnay ke liye shukria

          Comment


          • #6
            Re: Kahan Sey Shuru Karoon

            Assalam O Alikum

            Janab-e-maan, Masoood sahib ..... Aap ney aik intehai hassas aur hamarey Eeeman k Pehley juzz ki kamzoori per baat ki.... aur Haliya waqeh ki taraf nazar karwai.... laga k nahi abhi kuch loog hein.... jo burey ko bura aur ghalat ko ghalat kehney ki jisaarat rakhtey hein.... laga k haan abhi logo mein bedaari ki ramaq baqi hey.... warna mojoda nasal aur uskey rujhaan tu yehi ishara karrahey hein k ham bunyadi assas ko bhi mozoh e behas bana liya hey ... wo batein jin per hamarey Eeeman ki Emaarat khari hey usko hi nishana bana liya hey .... is baat ki nishan dahi karrahey hein k hamari mojoda nasal apney mazhaab se kitni dosri per hey.... Har cheez mein LOGIC ikhtiyaar karna... means k Aaya k Naozobillah Allah Pak mojood bhi hein ya nahi...? Sawal hi ayesa hey jisko aik Muslim se kiyeh janey ki tawaqqa nahi.... yeh tu yehi zahir karta hey k ya tu Deeni tarbiyat se yaksar doori rahi hey just aik muslim gharaney mein paida huney ki wajha se MUSALMAAN kehlaney lagey hein.... ya phir purani nasal ney nayi nasal ko just label diya hey MUSALMAAN huney ka.... aaj kitney loog hein jinko 6 kalmey porey yaad hein...??? mein ney 3 dafa ahbaab ki mehfil mein yeh sawaal kiya aur intehai sharmindagi rahi key 40% k ilawah...... khair hamarey YAQEEN ki kamzoori ney ham ko Allah ki wahdaniyaat per ungli uthaney ka bais banaya hey.... ab deekhna yeh hey k guzishta qomoon key ahwaal jaantey huey bhi hamarey AAJ k nojawaan .. firqah wariyat ko faroogh deetey rahein gey ... ya ham mein se hi pukhta aqauid waley afraaad .... is nasal ko rasta dikhaney ki koshish rakhein gey ......

            Allah pak ney caha tu wo hamein bhi in kamo mein sawaab kamaney ka shouq deingey..... behar kaif Allah aap ko jazah e kahir se nawazein... aur ham aur hamarey bhayoon ko Sahi ISLAAM se roshanaas karwain...... :insha:

            Comment


            • #7
              Re: Kahan Sey Shuru Karoon

              AOA,



              Hairat hoyi ye daikh kar k bahis hai k Allah jale shan har jaga mojood hai k nain agar kisi nain iss pe mazeed daryaaft kia to main un ki khidmat main Quraan aur Hadees se baat karoon ga farzi baat nain kion k emaan ki pokhtagi ki baat hai aur yahan firqa bandi kion aur kab tak karain ge ye loog yahan sirf apna aik shair arz khidmat karta hoon.

              mosa ki tara deed ki intaha b nain

              wo nazar jo nain to khuda b nain.


              Sohail Abbasi.
              Apna haq ada karo.

              Comment


              • #8
                Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                Allah sabhi jagah moujood hai, Allah ek ek zarrey mein moujood hain, lekin aaj kal waqai insaan itna gumraah ho gaya hai ke unhen poll karana pad raha hai (tauba isteghfar)
                Jo log gumraah ho rahe hain yaqinan unhen unki gumraahi ki saza zaroor milegi. Aur dekha jaye to haqeeqat mein hamein Allah swt ki muhabbat apne dil mein bedar karni hogi, phir na kisi beit ki zaroorat hogi, na fatwe ki.

                Allah hame gumraah honey se bachaye.

                Masood,
                Aap ne sach likha hai, isme talkhi kahan hai.
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #9
                  Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                  hmmmmm Allah hamaray Undar hai :)



                  buhat acha likha hai Masood aap nay :rose


                  khush rahyeah :)
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                    bohat acha likha aap ne or bohat sacha

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                      bauhat hi achi tehreer likhi hai aap nai masood :)


                      khush rahiyai :)

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                        bohat achi tehreer...:rose

                        khush rahieay...:)
                        Main nay soch liyeah hai
                        Mujhay Pathar ban kar rehna hai !!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                          poori tehreer hi bohat achi hey parh kar acha laga bohat

                          magar iss bat ney dil ko jhanjhoor dala key "Aye bhatkey hoye musalman tu MOOSA to ban...phir dekh main kesey terey samney aata hoon"




                          Comment


                          • #14
                            Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                            bohat sach likha hai Masood bhai aur meri dua hai ke Allah un forums ke Administrations ko aqal de jo is qasam ki polling ki ijaazat derahay hai....

                            Comment


                            • #15
                              Re: Kahan Sey Shuru Karoon

                              Originally posted by barg.e.gul
                              nazm kuch yun hai

                              Aik Hasti
                              dur kaheen
                              phir bhi
                              paas hamarey rehti hai

                              jo her pal sath
                              rehney ka
                              yaqeena deylati rehti hai

                              najaaney kyoon
                              phir bhi hum
                              khud sey hi
                              door ka raasta chuntey hein
                              aur
                              paas rehna bhi chahtey hein
                              Gul yehi to hamari problem hai keh ham kehtey hain kartey nahin hain. Aap ki nazam bohat pyari hai weldone


                              Originally posted by khwaab
                              kuch sochnay pe majboor karti hui tahreer
                              to kya socha hai aap ney? :)
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X