Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

    karwa sach
    pata naeen hmm kab tak is per ankeen band rahkeen gay
    :(
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

    Comment

    • #17
      Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

      Originally posted by khurram_shaikh
      yeh tehreer perhte perhte aankhien num hoo gayin
      Yeh meri murad to nahin thi keh apney pyarey doston ko udaas kar doon, magar kya karoon? Main afsanvi duniya mein nahin rah sakta, jhooti moothi ghair-haqeeqi duniya ka jo takhayyul hamari pak-bharat ki filmon sey milta hai, woh paish nahin karna chahta - main haqaeeq ko samney rakh kar likhney ki koshish karta hoon - aur us mein mujhey apney dil ka khoon jalana parta hai - jo phir merey pyaron ki aankhon ko nam kar deta hai....

      Originally posted by khurram_shaikh
      hum insaan haqeeqat se bahoot dooor bhaagtey hain humien kisi ke gham ki perwaah nahin hum sirf khud ke liye jeetey
      :maan: yehi to tmaam masaael ki jarr hai keh hamein ney doosron sey muhabbat karna, khaloos rakhna chhor diya hai. Hamein apney aap key siwa kuchh nazar nahin aata, aur phir isi nafsa nafsi mein ham ney bohat kuchh kho diya hai

      Originally posted by Sagheer
      Zabrdast!
      Sagheer bhai aap ko tehreer achhi lagi iska shukriyah ada karoon ga, waqiye yeh tehreer merey dil ki aawaz hai, bohat roya tha dil jab yeh likhi thi... aur dil ki baat ka asar waqiye hota hai

      Originally posted by saarbaan
      aap nay moaashiray ka mushaida jis bareek beeni say kia, zindigi ki oonch neech ko jis tareeqay mehsoos kia un sab waqeeat aor talkhioon ko alfazz mein proo ker hamaray samnay rakh dia jo keh bila shubaa daad kay mustahq hein..yehan is baat ka iqbal kerna hi parta hay keh aap nay jo likha theek likha lekin is say ziada aap kay andaz e bayaan ki rawangi, khubsoorti aur teekhay pan ko ko bhi tasleem kerna parta hay.yeh ik manjhay howay musannif ki nishani hay
      mehsoos yeh hota hai keh hamarey moashrey ki buniyaad DARD peh rakhi gaee hai. Ya phir issey dard-aashna kar diya geya hai. Jahan kushiyaan dhoondney sey milti hai aur dukh na chahtey huwey bhi miltey hain.....

      Originally posted by Ambreen
      muashrey ka intehai bhayanak pehlo ujager kiya hai aap ne apni tehrer ke zarye ...
      ..... ab aaiye in dukhoon ka baant lein :)

      Originally posted by muskaan
      aap nai bauhat hi achi tehreer likhi hia masood jis mein sachai bhi hai aur talkhi bhi hum loog wakai sirf aur sirf nazrain chura rahai hain apnai aap mien hamein aib nazar atai nahi aur hum sirf dosroon par ungliiyaan uthatai hain ye bhool jatai hain kai khud hum mein kitni kami hai khud hamara mashra kis kadar khokhla hai afsoos hota hai ye sab dekh kar sun kar jaan kar lekin hakeekat bhi yehi hia kai ab hamein sirf nazrain churana ata hai ...
      Muskaan hamara bohat khokhla hai, is mein qadam qadam peh ghair-insaani salook rawa rakhey huwey bheriye miltey hain, jo apney sey kamtar ko khaa janey key liye bechain hain... iska tadaruk karna ho ga, warna baat bohat biggar jaey gi

      Originally posted by SiyaH BakhT
      Ahan Buhat Umadah.....
      Shukriyah Janab aap ko pasand aai :)
      Originally posted by khan
      Bohat khoob likha hai aap nain kalam ko bohat ache tareke se istamal kia hai aap ki tahreer parR k bohat maza aya.
      Bohat shukriyah Khan, qalam nahin keyboard :tang:

      Originally posted by shy
      is dunia me to har cheez hi kharidi or bechi jati he,nice tehreer

      Haan shy is duniya mein har cheez baichi aur khareedi jati hai, eeman sey ziyada badi amanat kuchh nahin, to eeman bhi baicha jata hai

      Originally posted by Saima Shaheen
      Dil bhar aaya perh ker , buhut Dil ko cho lene wala article hai. Halat ki takhiyon ko buhut achey aur mutasir andaz bayan kiya hai.
      Bohat shukriyah aap ko tehreer pasand aai, kuchh tehreerein siraf alfaaz ka majmooa hi nahin hoti woh dil ko chhoo jati hain, mujhey khushi hai keh aap ko meri tehreer aisi mehsoos hui :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #18
        Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

        Originally posted by filbahere
        karwa sach
        pata naeen hmm kab tak is per ankeen band rahkeen gay
        :(

        Abhi sadiyaan lagein gi Filba, abhi sadiyaan lagein gi! Abhi bohat sey dil jalein ge, tabhi jaa kar roshni ho gi, magar roshni HO GI ZAROOR !!! Keep the faith :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #19
          Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

          Really fabulous...........
          yahii hai ik buhat bariii sachai....jise humiiiin maan leena chahiyeee.....orr iss sacchai kaa samna kuuch is taraah kernaa chahiye kee hum iss sachai ko ACCHAI mai badal dain

          Thx a lot 4 sharing such a real n nice stuff among us

          Comment

          • #20
            Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

            Ta Ji aap ka yeh mazmoon mairay pasandeeda mazameen main shaamil hay is mazmoon ko jitni baar parhti hun soch kay naey zaawiye saamnay aatay hain.aap nay Qalam thaamnay ka sahi maaino main haq ada kiya hay.kaashhhhhh aap kay Qalam kay likhay huway aik aik lafz say yeh talkh aur dukh bhari sachaiyan mitaai bhi ja saktee'n. aap ka Qalam jis tarha jihaad main masroof hay us ki dil say qadar karti hun. aap kay qalaam ki kaat talwaar say kahin teiz hay.:masha
            :roseENIGMA:rose

            Comment

            • #21
              Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

              Originally posted by Me Here
              Really fabulous...........
              yahii hai ik buhat bariii sachai....jise humiiiin maan leena chahiyeee.....orr iss sacchai kaa samna kuuch is taraah kernaa chahiye kee hum iss sachai ko ACCHAI mai badal dain

              Thx a lot 4 sharing such a real n nice stuff among us
              Sachaee ka chehra dekhana itna mushkil nahin jitna ussey tasleem karna mushkil hota hai - agar ham issey tasleem ker key behtaree karney ki koshish karein to na'janey kahan sey kahan pohanch jaein
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #22
                Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                Originally posted by hayaa_n
                Ta Ji aap ka yeh mazmoon mairay pasandeeda mazameen main shaamil hay is mazmoon ko jitni baar parhti hun soch kay naey zaawiye saamnay aatay hain.aap nay Qalam thaamnay ka sahi maaino main haq ada kiya hay.kaashhhhhh aap kay Qalam kay likhay huway aik aik lafz say yeh talkh aur dukh bhari sachaiyan mitaai bhi ja saktee'n. aap ka Qalam jis tarha jihaad main masroof hay us ki dil say qadar karti hun. aap kay qalaam ki kaat talwaar say kahin teiz hay.:masha
                Hosla afzaee ka shukriyah :)
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #23
                  Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                  accha likha hai aap ne Masood bhai...:clap:
                  waqai your the best:thmbup: ...aur kya kahein aap ki tu sub hi tareef karte rehte hain..:alhamd: ......this mazmoon is realy very touchi ....kuch jagahon per aankhon mein be ikhtiyaar aansoo aa jate hain ...Hats off to you...:salam:
                  lakeen ab aap bataye aap ummid ko kya farokht kareinge...kuch aisa jo uske saath zindagi bher rahe...
                  hum ne zimadari aap per daali...
                  yahan aik kharidar aap se poach raha hai ke aap kya farokhat kareinge..Is kharidar ki koi demand nahi..zamana daikha nahi,acche bure se anjaan...tu "kahiye ji aap kya kya farokht kareinge..."

                  Comment

                  • #24
                    Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                    Originally posted by ummid

                    Pazeerai ka bohat bohat shukriyan Ummid :)

                    Agar aap ney mujhey sodagar aur khud ko khareedar bana liya hai to phir main kaisey btaa sakta hoon keh main ney aap ko kya bechna hai? Khareedna to aap ney hai, lehaza yeh bhi aap hi btaein aap ney kya khareedna hai, agar merey paas woh huwa, aur bechney key qabil huwa to bech doon ga :)
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #25
                      Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                      Originally posted by Masood

                      farq tu wahi hai na dear Masood bhai:) ..ke ab ki baar kharidar, sudager se poach raha hai ke aap kya farokht karienge....
                      ab aap bataiye aap ke passs kya kya hai????

                      Comment

                      • #26
                        Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                        Originally posted by ummid
                        farq tu wahi hai na dear Masood bhai:) ..ke ab ki baar kharidar, sudager se poach raha hai ke aap kya farokht karienge....
                        ab aap bataiye aap ke passs kya kya hai????
                        agar aap behan ban ker aao gi to merey paas duaoun key siwa kuchh nahin, magar duaein bechi nahin jati - kam az kam aik bhai ki.

                        Agar aap aik khareedar ban ker aao gi to yeh woh sodagar hai jiskey paas bechney ko hai to bohat kuchh magar jiski koi qeemat nahin - na wafaoun ki, na jafaoun ki, na khaloos ki, na pyar ki, na aetbar ki, achaee ki - yeh sab cheezein duniya key saamney heech hain - inki koi qeemat nahi rahi :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #27
                          Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                          great artical masoood bhai dukhi dilon k taar ko chair diya aap ny
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment

                          • #28
                            Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                            :masha :rose .. behtareen
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment

                            • #29
                              Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                              wah bhi kia likha hai zabar10 likhtay waqt bara mainay rakhta hai k alfaz sahi istemal kiya gay hon aur mughay yeh kam bara mushkil lagta hai agar kabhi likhte hon to phir thore der main jab dobhara parhte hon to ajeb maloom hota hai jaysay alfaz idher udher bhag rahay hain aur woh likha howa kuch ka kuch ban jata hai
                              magar ap sab kitna sara aur kitnay achay alfaz main likh daytay hain MashAllah

                              Comment

                              • #30
                                Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge

                                Originally posted by <<Muqadas>>
                                wah bhi kia likha hai zabar10 likhtay waqt bara mainay rakhta hai k alfaz sahi istemal kiya gay hon aur mughay yeh kam bara mushkil lagta hai agar kabhi likhte hon to phir thore der main jab dobhara parhte hon to ajeb maloom hota hai jaysay alfaz idher udher bhag rahay hain aur woh likha howa kuch ka kuch ban jata hai
                                magar ap sab kitna sara aur kitnay achay alfaz main likh daytay hain MashAllah
                                Mera aap ko aik mashwra hai keh likhney ki mashaq kabhi mat chhorein, jo likhein woh DIL sey likhein aur tehreer wohi hoti hai jo dil sey likhi jaey - agar aap is soch key tehat likhein gey keh alfaaz achhey hon, mushkil ho, tarakeeb saheeh hon to aap woh kuchh biyaan nahin kar saktey jo aap dekhtey hain - jo dekhein ussey dil ki zuban mein biyaan karein aur dil jo kehta hai woh aqal nahin samajh sakti :)
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X