Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge
Collapse
X
-
Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge
Aray wah kis nay likha hay ya sab kuch AMzay ka hay
Comment
-
Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge
Assalaam o alekum
Masoood sahib aapki yeh tehreer perhte perhte aankhien num hoo gayin aapki tehreer mien kuch bhi likhaa gayaa hai usse perhtey waqt aisa mehsoos ho rahaa thaa ke yeh koee tehreer nahin balke ek suchi kahaani hai , mere pass to alfaaz hi nahin ke main aapkaa shukriyaa adaa karoon , kyoon ke aapnien jo kuch bhi likhaa hai woh ek kerwa such hai , hum insaan haqeeqat se bahoot dooor bhaagtey hain humien kisi ke gham ki perwaah nahin hum sirf khud ke liye jeetey hain khud aish o ishrat ki zindagi guzaarnien ke khwaahaan hain matlab parast hain hum , Allaah humien sahi raastey per chalnien ki taufeeq ataa karien ameen summa ameen khush rahien sada:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge
masood bhai
aap nay jo likha bar haq likha, sach likha jis say ikhtilaaf nahi kia ja sakta. aap ki tehreer aap kay takhayyal ki akkasi kerti hay .aap nay moaashiray ka mushaida jis bareek beeni say kia, zindigi ki oonch neech ko jis tareeqay mehsoos kia un sab waqeeat aor talkhioon ko alfazz mein proo ker hamaray samnay rakh dia jo keh bila shubaa daad kay mustahq hein..yehan is baat ka iqbal kerna hi parta hay keh aap nay jo likha theek likha lekin is say ziada aap kay andaz e bayaan ki rawangi, khubsoorti aur teekhay pan ko ko bhi tasleem kerna parta hay.yeh ik manjhay howay musannif ki nishani hay .umeed hay aap ki teraf say aur bhi buhut kuch parhnay ko milay ga.isay aap meri zati khawahish bhi samajh lejay .shukria.keh aap nay apna yeh pur fikr mazmoon ham say share keya.YOU CANNOT USE A LINK OF ANY FORUM IN YOU SIGGY - ADMIN
Comment
-
Re: Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge
aap nai bauhat hi achi tehreer likhi hia masood jis mein sachai bhi hai aur talkhi bhi :) hum loog wakai sirf aur sirf nazrain chura rahai hain apnai aap mien hamein aib nazar atai nahi aur hum sirf dosroon par ungliiyaan uthatai hain ye bhool jatai hain kai khud hum mein kitni kami hai khud hamara mashra kis kadar khokhla hai afsoos hota hai ye sab dekh kar sun kar jaan kar lekin hakeekat bhi yehi hia kai ab hamein sirf nazrain churana ata hai ...
Comment
Comment