Assalaam o alekum,
abhi humaare pass urdu inpage dastyaab nahin isliye iss tehreer ko urdu mien naa pesh kerte huve roman urdu mien post ker rahe hain umeed hai dost ehbaab isse pasnd fermaayien gey khush rahien
Wo perdaah kahaan gayaa
Perde ke mutalliq perhtey huve jab main quran shareef mien mukhtalif muqaamaat se guzraa to mujhe yeh ehsaas huaa ke Allaah taalaa hum per kitnaa merhabaan hai , yeh ussi kaa karam hai ke uss nien saaf safaayi ke mutalliq quran mien zikr fermaaa ker humien zindagi guzaarnien kaa sahi tareeqaa bataayaa uss fermaan ko humaare islaf wa buzurgoon nien khoob samjhaa khoob tafseeel se humare saaamnien pesh kiyaa ke Allaaah tabaq taalaa kitnaa meharbaan wa kareem hai , lekin afsoos sad afsoos daur e haazir kaa jaayezaa lenien per pataa chaltaa hai ke humaari khwaateen is baat se kitni ghaafil hain , aur bepardagi ke sath khule aam sarkoon per ghoomti hain huee nazer ati hain , yehaan tak ke college jaanien waali larkiyaan to maghribi libaas mien college jaati nazer aati hain aur yeh samajhti hain ke yehi taaleem yaaftaa hoonien ki nishaani hai, main yeh nahin kehtaa ke aurat taaleem haasil naa karein balke yeh to musarrat ki baat hai ke puraanien zamaanien ki banisbat maujoodeh daur mien taaleem niswaan ko bahoot ehmiyat di jaa rahi hai, aur islaam nein bhi auratoon ko taaleem hansil kernien ki ijaazat di hai, lekin isskaa ghalat faayedaa naa uthaayien, main khwaateen se mukhatib hun kyaa hazrat aayesha rz nien taaleem haansil nahin ki thi?? Kyaa fatima rz nien taaleem haansil nahin ki thi ?? ager kisi masle mien shaq o shubhaa hootaa to sahaabaa karaam hazrat ayesha rz ki khidmat mien haazir ho ker deryaaft kerte aur phir hazrat aayesha rz uss masle kaa hull bataati thin,
Akser muslim samaaj ki khwaateen ko islaami masle ke mutalliq kuch nahin maaloom hootaa lekin isske bar khilaaf muslim samaj mien yeh hootaa huaa nazer aataa hai ke maan baap khushi se phoole nahin samaate ki humaari larki ek college mien perhti hai yaa humaari larki falaan university mien zer e taaleem hai , aur perde kaa ehtimaam kiye baghair apni larkiyoon ko ghar se baahir nikalnien ki aazaadi de detey hain iss ke ilaawaah muslim mazheb se talluq rekhnien wali auratien bari shaan se her tareh ke kaam kerti huee nazer ati hain,
Aaj muslim muashre ki auratien baghal mien matching bag , matching chappal, haath mien mobile liye huve bari shaan se chalti hain , ager unse poochaa jaaye to akser khwaateen kehti hain ke kyaa karein majboori hai kyaa hazrat fatima rz ko majbooriyaan na thin ?? kyaa unke gharelu haalaat khastaa na they?? Lekin iske baawajood unhoonien kabhi bhi perdeh daari se munh nahin moora ghar mien chakki peeste peeste unke haathoon mien gatte per jaate they kunve se paani khiench khiench ker laanien mien haath wa kamar dard ke maare phatey jaatey they lekin kabhi bhi maujudaa duar ki muslim khwaateen ki tareh be perdagi ikhtiyaar na ki , meri maanoon aur behnoon hazrat fatima rz kaa qaul sun ker dars haansil kijiye ke dam rukhsati yeh vasiyat fermaati hai ke "mere janaaze ko raat ke waqt nikaaalnaa taa ke kisi ghair mehrim ki nazer mere janaaze per naa pare " meri tamaam islaami maan behnoon se guzarish hai ke who apnien islaaf ki zindagi ko namoonien ke taur per saamnien rakhien aur apnien aapko iss mien dhaalien ki kooshish karien, afsoos isske barr aqs aaj muslim samaaj se talluq rekhnien waali larkiyaan to apnien aapko "KASHISH"ke roop mien dhaalti hain aur her maan yehi chaahti hai ke meri bahu "TULSI"ke jaisi ho, kitni sharm ki baat hai ke ek muslim mazheb se talluq rakhte huve bhi hum ghairoon ki sohbat ikhtiyaar kernien se zarrah baraber bhi nahin katraate aap nien bhi kabhi soochaa hai ke ghair muslim bhi kabhi humaaraa(musalmaanoon kaa)tareeqaa kaar apnaate hain?? Kyaa kabhi who who humari tareh naqaab kaa ihtemaam kerti hain? Lekin ek muslamaan hai jo maghribi tehzeeb apnaanien mien fakhr mehsoos kertaa hai perde ke talluq se islaam mien se waeedien wa azab bhi muqarrir kiye gaye hain, ager hum iss per poori tareh amal peraa hotey hain to humaari duniyaan aur aakherat sanwar jaayegi aur Inshaah Allaah her jageh humien qaamyaabi se humkinaar kiyaa jaayegaa

Comment