Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Wo perdaah kahaan gayaa???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Wo perdaah kahaan gayaa???

    Assalaam o alekum,



    abhi humaare pass urdu inpage dastyaab nahin isliye iss tehreer ko urdu mien naa pesh kerte huve roman urdu mien post ker rahe hain umeed hai dost ehbaab isse pasnd fermaayien gey khush rahien
    Wo perdaah kahaan gayaa

    Perde ke mutalliq perhtey huve jab main quran shareef mien mukhtalif muqaamaat se guzraa to mujhe yeh ehsaas huaa ke Allaah taalaa hum per kitnaa merhabaan hai , yeh ussi kaa karam hai ke uss nien saaf safaayi ke mutalliq quran mien zikr fermaaa ker humien zindagi guzaarnien kaa sahi tareeqaa bataayaa uss fermaan ko humaare islaf wa buzurgoon nien khoob samjhaa khoob tafseeel se humare saaamnien pesh kiyaa ke Allaaah tabaq taalaa kitnaa meharbaan wa kareem hai , lekin afsoos sad afsoos daur e haazir kaa jaayezaa lenien per pataa chaltaa hai ke humaari khwaateen is baat se kitni ghaafil hain , aur bepardagi ke sath khule aam sarkoon per ghoomti hain huee nazer ati hain , yehaan tak ke college jaanien waali larkiyaan to maghribi libaas mien college jaati nazer aati hain aur yeh samajhti hain ke yehi taaleem yaaftaa hoonien ki nishaani hai, main yeh nahin kehtaa ke aurat taaleem haasil naa karein balke yeh to musarrat ki baat hai ke puraanien zamaanien ki banisbat maujoodeh daur mien taaleem niswaan ko bahoot ehmiyat di jaa rahi hai, aur islaam nein bhi auratoon ko taaleem hansil kernien ki ijaazat di hai, lekin isskaa ghalat faayedaa naa uthaayien, main khwaateen se mukhatib hun kyaa hazrat aayesha rz nien taaleem haansil nahin ki thi?? Kyaa fatima rz nien taaleem haansil nahin ki thi ?? ager kisi masle mien shaq o shubhaa hootaa to sahaabaa karaam hazrat ayesha rz ki khidmat mien haazir ho ker deryaaft kerte aur phir hazrat aayesha rz uss masle kaa hull bataati thin,

    Akser muslim samaaj ki khwaateen ko islaami masle ke mutalliq kuch nahin maaloom hootaa lekin isske bar khilaaf muslim samaj mien yeh hootaa huaa nazer aataa hai ke maan baap khushi se phoole nahin samaate ki humaari larki ek college mien perhti hai yaa humaari larki falaan university mien zer e taaleem hai , aur perde kaa ehtimaam kiye baghair apni larkiyoon ko ghar se baahir nikalnien ki aazaadi de detey hain iss ke ilaawaah muslim mazheb se talluq rekhnien wali auratien bari shaan se her tareh ke kaam kerti huee nazer ati hain,

    Aaj muslim muashre ki auratien baghal mien matching bag , matching chappal, haath mien mobile liye huve bari shaan se chalti hain , ager unse poochaa jaaye to akser khwaateen kehti hain ke kyaa karein majboori hai kyaa hazrat fatima rz ko majbooriyaan na thin ?? kyaa unke gharelu haalaat khastaa na they?? Lekin iske baawajood unhoonien kabhi bhi perdeh daari se munh nahin moora ghar mien chakki peeste peeste unke haathoon mien gatte per jaate they kunve se paani khiench khiench ker laanien mien haath wa kamar dard ke maare phatey jaatey they lekin kabhi bhi maujudaa duar ki muslim khwaateen ki tareh be perdagi ikhtiyaar na ki , meri maanoon aur behnoon hazrat fatima rz kaa qaul sun ker dars haansil kijiye ke dam rukhsati yeh vasiyat fermaati hai ke "mere janaaze ko raat ke waqt nikaaalnaa taa ke kisi ghair mehrim ki nazer mere janaaze per naa pare " meri tamaam islaami maan behnoon se guzarish hai ke who apnien islaaf ki zindagi ko namoonien ke taur per saamnien rakhien aur apnien aapko iss mien dhaalien ki kooshish karien, afsoos isske barr aqs aaj muslim samaaj se talluq rekhnien waali larkiyaan to apnien aapko "KASHISH"ke roop mien dhaalti hain aur her maan yehi chaahti hai ke meri bahu "TULSI"ke jaisi ho, kitni sharm ki baat hai ke ek muslim mazheb se talluq rakhte huve bhi hum ghairoon ki sohbat ikhtiyaar kernien se zarrah baraber bhi nahin katraate aap nien bhi kabhi soochaa hai ke ghair muslim bhi kabhi humaaraa(musalmaanoon kaa)tareeqaa kaar apnaate hain?? Kyaa kabhi who who humari tareh naqaab kaa ihtemaam kerti hain? Lekin ek muslamaan hai jo maghribi tehzeeb apnaanien mien fakhr mehsoos kertaa hai perde ke talluq se islaam mien se waeedien wa azab bhi muqarrir kiye gaye hain, ager hum iss per poori tareh amal peraa hotey hain to humaari duniyaan aur aakherat sanwar jaayegi aur Inshaah Allaah her jageh humien qaamyaabi se humkinaar kiyaa jaayegaa

    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

  • #2
    Re: Wo perdaah kahaan gayaa???

    Khurram Sahab

    Asslam Alaikum

    article achha hai...lekin main iss baat ko accept nahin karta ke aaj ke zamane mein aurton/larkiyon mein pardah nahin hai.

    Aapne Fatimah r.a. aur Ayesha r.a. ka example diya ke kya wo sahabiyan taalim haasil nahin kiye...
    yaqinan kiye Khurram sahab...lekin wo zamana kuchh aur tha aaj ka zamana kuchh aur hai...agar ham zamane ke saath nahin chalenge to phir yaqinan hum ussi zamane mein pahunch jayenge...jahan log yeh nahin samajh payega ke email, phone, mobile, satellite kya hota hai.

    Naqab lagana hi pardah nahin hota...larkiyon ya aurton ka jo libas hota hai uss mein bhi pardah hota hai, yeh to depend karta hai koun kaisa malboos iKhtiyar kar raha hai.

    haan yeh baat manta hoon ke kuchh larkiya/aurten apne aapko kam libas mein malboos karti hai taaki uski jism ka kuchh hissa uryaN rahe...aur mardon ki nazar paRe, wahan Islam mein mardon ko bhi to mamaniyat hai "paraye dhan paraye naar pe nazar matt dalo..."

    jahan tak mera Khyal hai...muslim mahol mein aaj bhi pardah hai.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #3
      Re: Wo perdaah kahaan gayaa???

      topic acha hai or is pay kehnay ko kafi kuch hai ....
      pehli baat to yeh kay parday hai kia cheez aap ki nazar main ???? kia sirf burqaa pehnnay ko naqab dalnay ko parda kehtay hain ?
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: Wo perdaah kahaan gayaa???

        Salam

        apne bohat acha topic sharoo kya hai .
        mai simai yeh kehna chahti hoon..kai aap yeh dehkain kai aik larki ager aapne aap ko acha dikhaana chahti hai,, wo thik hai..her kisi ka haq hai kai apne aap ko acha dikhaey...lekin jo larkia doosrou ki naurou ko matwaja kerne ki khaatir apne aap sunwaarti hain...wo ghalat hai.
        iss per tafseel mai inpage se likhti hoon inshallah :)

        Comment


        • #5
          woh pardah kahan gaya? by Khurram Shaikh

          Attached Files
          Last edited by WOH LARKI; 18 May 2005, 19:06.

          Comment


          • #6
            Re: woh pardah kahan gaya? by Khurram Shaikh

            BOhat acchi tehrer share ki hay :rose :rose
            http://www.genericviagra2015shop.com/

            Comment


            • #7
              Re: woh pardah kahan gaya? by Khurram Shaikh

              Originally posted by Muskan

              Assalaam o alekum,



              Muskan main aapkaa behud shukrguzaar hun ke aapnien meri iss adna si kooshish ko jo ke mainien roman urdu mien post ki thi yehaan usse inpage mien likh ker post kiyaa ek baar phir bahoot bahoot shukriyaa khush rahien :)
              :tang: RISK IS MY BUSINESS

              DANGER IS MY GAME

              DONT PLAY WITH ME
              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

              Comment


              • #8
                Re: woh pardah kahan gaya? by Khurram Shaikh

                u r welcome Khurram,:rose

                Comment


                • #9
                  Re: Wo perdaah kahaan gayaa???

                  Khurram bhai bohat he acha topic start kera hai aap nay ..aur likhaa bhe bohaat acha hai:)
                  mai bhe kuch kehna chahon ge..
                  Allah hum sab ko is per amal kerny ki toufeeq ata ferma'ay
                  Attached Files

                  Comment


                  • #10
                    Re: Wo perdaah kahaan gayaa???

                    ji han aik larki kafi khawateen yehi kehti hain keh humari nighah saf hai dil pak hai chahe hum parda keren ya na keren.......parda tu humhen na mehram ki nazron se bachata hai ab ye kis ko pata hai keh us ki nazer mein ya dil mein kiya hai ...parda aurat ka hathiyar hai jis ke zarye woh apni asmat ki hifazat ker sakti hai...

                    Comment


                    • #11
                      Re: Wo perdaah kahaan gayaa???

                      parda koi boori cheez nahi hai ...islam main aurtoun ko hukam dia gia hai kay woh apnay jisam ki nomaish na karain libas ka khayaal reakhian .....or is say kisi ko inkaar hona bhi nahi chaye ....
                      laiken parda sirf libaas hi ka kayoun ??? insaan main sharm-o-haya ka bhi paarda hona chaye ..ankhoun ka parda hona koi ghalat cheez na deekhaye insaan, kanaoun ka parda hona chaye koi ghalat baat na sunaye ...etc ect
                      agar sirf libaas ka parda kar kay bhi insaan ultay seedhay kamoun mainlaga raha to aisay parday ka faida ????

                      aik or baat parday ki yeh kehna chahti houn kay mostly girls parda ko acha nahi samjhti kayoukay parday ka naam kaar kay unhaye ghar say bahir niklanay hi nahi dia jata kahi jana chaian kuch karna chaian to yeh keh dia jata hai na karo vohan ghair muharaam hotay hain ....ab ghair muharram kahan nahi hotay ? ab parday main reh kar aap koi bahir kay kaam kartay hoo to is main kisi ko bora nahi manana chaye ....
                      males pardaay ki arr main female pay kuch zaida hi pabandiyan laga daytay hain
                      males ko bhi chaye zara apni aaknhoun pay bhi sharm-e-haya ka parda reakahian ...
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #12
                        Re: Wo perdaah kahaan gayaa???

                        Hamarey muashrey mein in baton per bohat behas ki jaati hai keh aurat ko pardey mein rehna chahiye aur agar woh pardey mein rahey gi to us tarha bohat si sharmindegiyon sey bach jaey gi. Drust hai balkey haq-bajanib! Magharbiyyat ney hamarey zehno ko bohat buri tarha mutasir kar diya hai. Main ney aik tehreer mein likha tha keh hamarey muashrey per maghrabiyyat ka bohat gehraa asar hai, aisa asar jissey ham apney liye STATUS samajhtey hain lekin jo darhaqeeqat badkari ka aik gehra aur andhaa khunwaan hai jo hamari rahi sahee aabru bhi tar tar kar raha hai aur ham khamoshi sey but baney tamasha dekh rahey hain.

                        Ham log TAQLEEDI waqey huwey hain. Doosron ki naqal karna hamein achha lagta hai. Yeh hamarey liye STATUS ka maslaa hota hai. Magar taqleed khudi ki maut hoti hai. Hamari ragon mein zehar ghola jaa raha hai aur aurat key zehan ko mutasir kiya jaa raha hai. Magar is mein mard ka bohat bada haath hai.

                        West mein aurat ko uryaani ka symbol bnaney wala mard hai, aaj woh kaam ham mashraq mein kar rahey hain.

                        Zaroorat is amer ki hai hai keh agar ham aurat ko pardey mein rakhna chahtey hain to us zehan ki bhi tarbiyyat honi chahiye jo pardey mein rehney wali aurat ko bhi pamaal karney sey baaz nahin aata. Aurat ko pardey peechhey chhupa deney sey faeedah nahin, jab tak us soch ki tarbiyyat nahin ki jaey gi jo issey pardey mein bhi uryaan karna chahta hai.

                        Aik afsosnaak amar yeh bhi dekhney mein aaya hai keh khud aurat apney taqaddus ko pamaal karti hai. Yun hijaab leney waliyon ki halaat bhi soch sey balatar hai.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        Working...
                        X