Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

balo ki tips

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: balo ki tips

    Originally posted by Mr. Sialkoty View Post


    :lol tum desi ghee ki baat kerti ho, tum yakeen maano mein ne aisay loog bhi dekhay hein jo lassi se sir dhootay hein :lol dekho her koi apne aap ko satisfy kerna chahta he chahay us ka ilm kum he kyoon na ho, wo kuch na kuch effective zaroor kerna chahta he chahay end product zero he kyoon na ho. Baalon ki external application se kahin ziada zaroori he ke aap apni diet behtar karein. Tum ne dekha ho ga ke gaoon ki larkiyaan jo ke her tarah ke desi tootkay istamaal kerti hein, un ke baal kabi bhi shine nahi pakertay. Is ke bar'aks tum kisi posh area ke shopping mall mein chali jaoo to wahan per tum her doosri larki ke shinny baal dekho gi :lol So it means ke yeh diet pe kafi depend kerta he ke aap ke baal kese hoon ge.

    Mujay tum is baat ka jawaab do ke elite class ki larkiyoon ke baal itnay achay kyoon hotay hein aur gaoon ke tootkay istamaal kerne wali larkiyoon ke baal jo desi nuskhay istamaal kerti hein wo itnay aala kyoon nahi hotay? Baat majority ki ho rahi he exception ki nahi. Waiting.

    dekho abhi b tumhara knowledge limited hai baat gaoon ya shehar ki larrkiyon ki nae krni chahiye mere khyal me ,elite class ki larrkiyon k pas barray options hain janab salons are here n there wo proper treatment leti hain obviously non desi treatment,aur wo external hi hota hai
    aur me kayi females ko janti hoon
    ji sirf desi totkay use krti hain aur blv me unkay baal lambay ghnay shiny etc etc sab kuch hi hain aur specuially ek larrki
    jo k middle class se belong krti hai jahan diet ka b itna khyal nae rakha jata
    wo apnay bachpan se honey mixed wih egg n blah blah laga rahi hai n she has loveliest hair.

    one more thing ,sab kuch sab k liye nae hota matlab jo me use kr rahi hoon zaroori nae wo tumein b suit kry ya jo tum use kr rahay ho wo kisi aur ko suit kry,imp point ye b hai k aap khud ko janain aap k liye kya suitable hai apni skin apni body etc etc aapko maloom hona chahiye ek baar aapko maloom hojaye tou aap ko trah trah k desi totkay use krnay ki zaroorat nahi parrti

    chal hun araam kar :manicure:
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment


    • #17
      Re: balo ki tips

      Originally posted by Aanchal View Post
      Hamari aik teacher Makhan use karti the un k baal bhi lambay they : d

      mayonese bhi lagtay hain loog
      میونیز۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ہائے میں مر جاواں :rew:
      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment


      • #18
        Re: balo ki tips

        Originally posted by Aanchal View Post
        Hamari aik teacher Makhan use karti the un k baal bhi lambay they : d

        mayonese bhi lagtay hain loog

        Ager tum baalon ko baajra aur makai ke tukray daalo to tumharay baal ziada khushi se lambay ho jaein 372-haha
        :thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: balo ki tips

          Originally posted by Aanchal View Post
          saloon say balo ki cutting or straight or diff kisem k hair styles banye hotay hian ,..chemical wali cheezian use ki hoti hain ....yeh choor daian phir dekhna un k baal

          It means ke yeh desi cheezein work nahi kertein. Yeh dil ko samjanay k liye he. Chahay tum desi ghee lagao chahay dahi, chahay lassi aur chahay basin.

          Aur tum cosmetics ko chemical se kyoon relate ker rahi ho. Cosmetics manufacturers ko kia kitni bhi basics ka nahi pata hota ke hazardous chemical baalon k liye nuksaan de hotay hein?
          :thmbup:

          Comment


          • #20
            Re: balo ki tips

            Originally posted by Aanchal View Post
            kabhi sabon ki jaga surf rakha ho to :lol:

            mujay nahi lagta ke is ke baalon mein shampoo ke bagair kangi hoti ho gi, aur ager ho jati he to bari gul aye
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: balo ki tips

              Originally posted by saraah View Post

              میونیز۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ہائے میں مر جاواں :rew:
              anda or chiknaai jo hoti hai us main : d
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #22
                Re: balo ki tips

                Originally posted by Mr. Sialkoty View Post



                It means ke yeh desi cheezein work nahi kertein. Yeh dil ko samjanay k liye he. Chahay tum desi ghee lagao chahay dahi, chahay lassi aur chahay basin.

                Aur tum cosmetics ko chemical se kyoon relate ker rahi ho. Cosmetics manufacturers ko kia kitni bhi basics ka nahi pata hota ke hazardous chemical baalon k liye nuksaan de hotay hein?
                desi chezo say faida na ho to nuqsaan bhi nahi hota
                or chemical sahi nahi hotay companies ko khud bhi pata hai ..unhay behcna hoti hian cheezian

                ciggi sehat k leye muzar hai ...yeh suna ho ga aap nay
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #23
                  Re: balo ki tips

                  Originally posted by saraah View Post



                  dekho abhi b tumhara knowledge limited hai baat gaoon ya shehar ki larrkiyon ki nae krni chahiye mere khyal me ,elite class ki larrkiyon k pas barray options hain janab salons are here n there wo proper treatment leti hain obviously non desi treatment,aur wo external hi hota hai
                  aur me kayi females ko janti hoon
                  ji sirf desi totkay use krti hain aur blv me unkay baal lambay ghnay shiny etc etc sab kuch hi hain aur specuially ek larrki
                  jo k middle class se belong krti hai jahan diet ka b itna khyal nae rakha jata
                  wo apnay bachpan se honey mixed wih egg n blah blah laga rahi hai n she has loveliest hair.

                  one more thing ,sab kuch sab k liye nae hota matlab jo me use kr rahi hoon zaroori nae wo tumein b suit kry ya jo tum use kr rahay ho wo kisi aur ko suit kry,imp point ye b hai k aap khud ko janain aap k liye kya suitable hai apni skin apni body etc etc aapko maloom hona chahiye ek baar aapko maloom hojaye tou aap ko trah trah k desi totkay use krnay ki zaroorat nahi parrti

                  chal hun araam kar :manicure:
                  Aaram karan, mein paidal likh reya waan.

                  Yahi to mein samjana chah raha hoon ke yeh raw material baalon k liye us tarah effective nahi hota jis sooch ke tehat aap loog isay use kerte ho. Hair treatment se larkiyaan baal achay kerwa leti hein it means k aap ke baalon ko specific chemical he ziada shine aur glow de saktay hein. Cosmetics companies bani he is liye hein un ki research hoti he in cheezon per aur wo baalon ko us nazar se nahi dekhtay jis nazar se aap dekhti hein. Meri aik sis ke naturally baal extra ordinary lambay hein, aur mujay nahi pata ke meri wo sis kabi hair treatment k liye kabi kahin gai bhi ho gi. Kudrati he aisay hein. Baki desi cheezon ki baalon mein effectiveness nahi he. Baki aap baalon mein dahi lagaein, mayonaise, tomato ketchup, chilly sauce jo merzi lagaein mujay is se kuch nahi.
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: balo ki tips

                    Originally posted by saraah View Post

                    میونیز۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ہائے میں مر جاواں :rew:
                    Ub khud andaza laga lo ke wo baalon k liye kitni jhaali hui he ke wo khanay peenay ki jo bhi cheez bachti he baalon ko laga leti he
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: balo ki tips

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      desi chezo say faida na ho to nuqsaan bhi nahi hota
                      or chemical sahi nahi hotay companies ko khud bhi pata hai ..unhay behcna hoti hian cheezian

                      ciggi sehat k leye muzar hai ...yeh suna ho ga aap nay
                      Lekin yahan baat to nuksaan ki ho nahi rahi. Yahan baat aap ke input aur output ki ho rahi he. Aap ke input ka koi output he na ho to kia faida us input ka?

                      Bari aala kism ki companies hein, tum loreal ke cosmetics use kia karo. Faida na ho to paisay wapis :p
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: balo ki tips

                        Originally posted by Mr. Sialkoty View Post


                        Lekin yahan baat to nuksaan ki ho nahi rahi. Yahan baat aap ke input aur output ki ho rahi he. Aap ke input ka koi output he na ho to kia faida us input ka?

                        Bari aala kism ki companies hein, tum loreal ke cosmetics use kia karo. Faida na ho to paisay wapis :p
                        ji baat faiday ki ho rahi hai k jub oper oper say faida ho andar say nuqsaan to banda aisi chemical wali cheezian use hi kio karye ..
                        n 2nd baat k gaoo ki jub baat ho rahi hai to gaoun k logoo k ki khoorak achi hoti hai ..sehatmand khorak ..to matlab yeh k diet ka faraq nahi parta baloo say sirf oper oper say banda chemical thopta rehaye
                        or 3rd baat me ko baat hi nahi karni
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #27
                          Re: balo ki tips

                          @sara
                          yep dahi n anday say faraq parta hai ...
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #28
                            Re: balo ki tips

                            Originally posted by Mr. Sialkoty View Post


                            Yaar koilay se daant kaalay ho jatay hoon ge na, phir chalk se saaf kerne perte hoon ge :lol
                            بڑے مزاقیہ ہو آپ
                            ایسی بات نہیں کوئلہ میں جراثیم مارنے اور ٹار ٹار صاف کرنے کی قدرتی صلاحیت ہوتی ہے اس کے علاوہ منہ کی بو اور مسوڈھوں کے لئے بھی محرب ہے
                            اگر آپ کے ریفریحٹر میں چیزوں کی بو مکس یا ناگوار بو پیدا ہو تو تب بھی کوئلہ اس کو ختم کردیتا ہے
                            کوئلہ کا رنب کچا ہوتا ہے پانی سے دھل جاتا ہے
                            اب عظیم کے لئے تو ایسا قدرتی سہل اور آزمودہ نسخہ ہی ڈھونڈنا تھا تاکہ یہ ہمارے آباؤ اجداد کے نقش قدم پر چلیں اور انہیں خوش رکھیں
                            ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                            سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                            Comment


                            • #29
                              Re: balo ki tips

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              kabhi sabon ki jaga surf rakha ho to :lol:
                              meinay kaafi dafa kapray dhonay walay sabun se bhi nahaya hai..... :lol meray balon ko kuch nahi hota meinay kabhi apnay balon ko sensitive banaya bhi nahi hai..... :lol
                              sigpic

                              Comment


                              • #30
                                Re: balo ki tips

                                Originally posted by Mr. Sialkoty View Post


                                kia baat he tumhari. Boss ke room mein janay se pehlay baalon mein kangi, purani indian movies ke hero lag rahay ho :lol

                                Ager sabun sir pe laga lo to baalon mein kangi ho jati he kia :lol

                                Mein to shampoo, conditioner, hair creams, hair gels sub kuch rakhta hoon. In ke bagair baal rakhna to mujay justified he nahi lagta :lol
                                :lol
                                wese jitna aap balon ko bazari cheezein lagain gay itna aap khud kayliye problem create kartay jain gay.... meray wese bhi baaal reshmi type kay hain... sirf nahanay se bhi khul jatay hain.... wese soap tu lagana parta hai... meinay yeh baat ki kay agar soap na bhi ho tu koi farak nahi parta... wese aaj kal mein jo soap use karta hoon uss ka naam Dove hai....
                                Last edited by azeem-ahmed; 7 June 2012, 02:13.
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X