Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Welcome to Aanchal's Kitchen

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Welcome to Aanchal's Kitchen

    Originally posted by Aanchal View Post
    Rooti kay laduu

    rooti kay laduu baray mazaye kay bantay hian ..:eye:
    is key leye aaik rooti banian ....paratha bhi bana saktay hian ....
    pher us kay chotay chotay tukray kar laian ..
    pher usay grainder main daal kay mazeed chota kar laian ....woh choran jesa hoo jaye ga..

    ab aik pan laian ..us main yeh tukray dalian ...thora sa oil dalian ...oil itna hoo bas kay is main achi tarha mix hoo jaye ....
    aanch halki rekhian ...
    ilachi dalian
    pasand kay mutabaq sugar dalian..
    chamach chalti rehian ...jab sab kuch achi tarha mix hoo jaye or sugar bhi melt hoo jaye to chula band kar daian ...

    isay zara sa thanda honay daian ..pher is kay gool gool laduu bana laian hath say ....yakeen karian buhat mazay kay laduu banian gay .. or hai bhi buhat asan recipe 5 min main sab ready hoo jaye ga :D:
    wow kia recipe hai......bohot he yummy lag rahi hai.....jald he banao gi..........rose

    sigpic


    Comment


    • #62
      Re: Welcome to Aanchal's Kitchen

      Originally posted by Aanchal View Post
      rooti pehlay mujhay bhi sahi nahi ati the ab behtar bana laiti houn :D

      sab say pehlay to yeh kay Ata acha gondha howa hona chaye ....ata goondh kay foran rooti nahi paktay kuch dair rekh doo ....balkay main to kahoun gee kay kamazkam adha ghanta bad hi rooti banai jaye .....rooti gool bananay kay leye peerra sahi taraha say gool banana chaye ....or atay ka peera teerha veerha hoo ga to rooti bhi seedhi nahi banye gee :D:....

      wesay rooti naram karnay kay leye rooti kay andar oil ya ghee bhi lagtay hian ....us kay leye youn kartay hian kay 2 rooti ka peera banaoo ..usay beel kay gool bana loo ...pher us kay andar oil/ghee daloo......or usay roll kar doo....roll karnay kay bad beech main say toor kar 2 parts kar loo......2 parts kay 2 peeray bana loo.....pher rooti bana loo..is say rooti andar say soft banti hai ..
      rooti beeltay waqat zaida kushak ata nahi use karna chaye ..jab rooti tawaay pay daltay hian to yeh kushka brown hoo jata hai or sara rooti pay lag jata hai ...belan say rooti beel kay na to end main hath say rooti kay agay peechay kar kay kushka utaar deytay hian ...

      rooti kay leye tawwa bhi acha tarha sau garam hona chaye ..tawwa poori tarha say garam na hoo to rooti sookh jati hai paktay paktay ...Tawwa jo mota or seedha hota hai woh best hota hai ..woh garam dair say hota hai zara lekan jab garam hoo jaye to rootian jaldi banti hian or achi pakti hian :thmbup:
      aray yaar buht sari batain tu mujhay bhi pata hain.....:p
      mujhay aaTa buht acha gondna aata hai....
      mairay say zyada tar rooti seiknay mein ghalti hoti hai........

      aur khushki ka mujhay maloom hai na sirf brown ho kar rooti per lagti hai...balkayrooti kay kinaroon per bhi kafi lag jati hai........aur isi say rooti sakht bhi hoti hai......

      main nay buht koshish ki keh kam khushki laga kar rooti bailon...aisa karnay mein rooti chipaknay lagti hai....main zyada khushki nahin lagati tab bhi rooti narm nahin hoti hai....aur jharti bhi hoon...pata nahin kab perfect rooti banana aaigi me ko

      me hi aik tip batati hoon ...kahinperhi thi..aazmai nahin hai ......rotti bannay say pehlay bailan thori dair freezer mein rakh dain tu rooti achi baili jati hai....
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #63
        Re: Welcome to Aanchal's Kitchen

        haa.. kash mera be koi kitchen hota... :P
        @ buht kuch sekni ko milti hi apki kitchen mein... With REP :)
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment


        • #64
          Re: Welcome to Aanchal's Kitchen

          :khi:awww humari PG ki chief ho u tu :phool:
          nice recipes aur tips bhi:lpop:me ko bhi paka kar khielain

          Comment


          • #65
            Re: Welcome to Aanchal's Kitchen

            Originally posted by *Rida* View Post

            main nay buht koshish ki keh kam khushki laga kar rooti bailon...aisa karnay mein rooti chipaknay lagti hai....main zyada khushki nahin lagati tab bhi rooti narm nahin hoti hai....aur jharti bhi hoon...pata nahin kab perfect rooti banana aaigi me ko

            me hi aik tip batati hoon ...kahinperhi thi..aazmai nahin hai ......rotti bannay say pehlay bailan thori dair freezer mein rakh dain tu rooti achi baili jati hai....
            achi tip batai hai.........:D:

            waisay aata goondhnay waqt oil daal do tu rotiyaan naram banti hein aur bailan ko chipakti bhi nahi ziada..............mai pora nahi bailti roti bailan say, end mai hath per bara karti ho..tu jo extra khush aata laga ho tu wo nikal jata hai.........:D:
            sigpic


            Comment


            • #66
              Re: Welcome to Aanchal's Kitchen

              Originally posted by Wafa View Post
              achi tip batai hai.........:D:

              waisay aata goondhnay waqt oil daal do tu rotiyaan naram banti hein aur bailan ko chipakti bhi nahi ziada..............mai pora nahi bailti roti bailan say, end mai hath per bara karti ho..tu jo extra khush aata laga ho tu wo nikal jata hai.........:D:

              main nay haath say barhati hoon rooti...
              aur oil kay bajaye milk ka bhi suna hai main nay jis say rooti nrm hoti hai aur zaaiqa bhi acha hota hai...lakin yaar yeh aik tarah say masnooi tareeqa hai naa...baat tu tabhai keh sirf paani hi use karain aur rooti buht achi banay....jaisay kai loag banatay hain...
              roooti sianknay ka tareeqa bataoo plzzz..
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment

              Working...
              X