Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Iftar Time--Competition--

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Iftar Time--Competition--

    Its ok Naz bachi, aisi bato'n ka notice lene ka time nahi hota me ka pass :tang:
    sigpic

    Comment


    • #17
      Re: Iftar Time--Competition--

      Ramzan main khajoorein to buhut istemal hoti hain aur yeh mufeed bhi hoti hain, main issi hawaley se aap sab ke liyeh ek aur mazey ki chiz layi hoon, main khudh try ker chuki hoon, buhut zabardast banti hai. Aap sab bhi zaror try kijiyeh ga.

      Khajoor aur Akhrot ki Barfi

      Ingredients:

      1 - 1 1/2 Chooped dates (dayrh cup chop ki huwi kahjoorein)
      2 - 2 tbsp golden syrup (chashni)
      3 - 1/2 cup coconut ( bareek pissa huwa coconut jo normally pkts main milta hai na ho to fresh coconute grind ker ke use ker lain)
      4 - 1/2 cup walnuts (akhrot)
      5 - 2-3 cups biscuit crumbs ( biscuits ko hathon se masal ker chora sa ker lain)
      6 - 50 grm dark chocoalte ( 1/4 cup )
      7 - 2 tbsp butter
      8 - 1/2 can x 397g sweetened condensed milk. ( ager aap ke pass can milk avaiable na ho to aap issey ghar per bana sakti hain, tareeqa sirf yeh hai ke ek cup milk main 3 tbsp suger daal ker ousey itna boil karein ke milk garha ho jayeh aur 1 glass ki bajayeh 1/2 glass reh jayeh .............. haan boil kertey waqt dhayean rahey ke ousey continuesly hilatey rahein takey wo paindey se lag ker jaley nahi)

      Preparation: -

      1 - Ek normal se saucepan main dates (khajoorein) , butter, condensed milk (yaan ap ka banaya huwa milk), golden syrup mix ker lain.

      2 - Ab dheemi si aanch per in ko halka sa pakyein, aur ccontinuesly hilayein takey wo paindey se na chipkey aur kam se kam 5 min tak jab tak khajoorein soft ho jayehin. To chooley se outar lain.

      3 - Ab is main coconut, walnut (akhrot) aur biscuitc crumbs daal ke mix karein, itna ke yeh barfi ki tarah thora sakht ho jayeh.

      4 - Ab is mixture ko kisi aisi tray main daalein jis main aap rakhna chahein aur jis ke kinarey 2-3 inch tak hoon.

      5 - Ab chocolate ko ek sauce pan main halk asa heat ekr kai melt karein aur is main thora pani mix karein takey chocolate kuch liquid sa ban jayeh, aur issey khajoorin waley mixture per lines ki soorta main yaan jesa aap garnish kerna caho daal do.

      6 - Issey fridge main rakh dijiye aur thanda kerne ke baad barfi ki tarah 20-24 pieces kaat lijiyeh. Aur enjoy kijiyeh.



      Attached Files
      Last edited by 'SamRazi'; 9 October 2005, 09:18.
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: Iftar Time--Competition--

        Umm sooperb Reciepe Saima ..:thmbup:
        Aaap ki share kare hoe dono reciepes he zabardast hain..
        Chicken Fingers try keroo ge main aaj phir batao ge apko k kesy banay ..:eye:

        Comment


        • #19
          Re: Iftar Time--Competition--

          yay pakory bohaaaaaaaaaaaaaat asaaan aur bohat mazy k hoty hain.Bana ker dekhyay ga aap sab ..:D:

          Paneer ky pakory

          paneer -------- 1 packet
          meda --------- 1 cup
          corn floor ---- 1/2 cup
          namak -------- hanb - e- zaiqa
          Kali mirch ---- 1 t sp
          Oil ------------- fry kerny k liay

          Method :
          1)paneer ky choty choty round shape main tukry kat lain
          2)medy main corn floor , namak , kali mirch , aur pani mila ker phant lain
          3)paneer ko is main dip ker ky fry kre lain ..
          aur mazy say kachap k sath kha'ain :D:

          Comment


          • #20
            Re: Iftar Time--Competition--

            Originally posted by aik_lerki
            Umm sooperb Reciepe Saima ..:thmbup:
            Aaap ki share kare hoe dono reciepes he zabardast hain..
            Chicken Fingers try keroo ge main aaj phir batao ge apko k kesy banay ..:eye:

            Thnx dear :ff:

            Barfi bhi try kerna buhut mazey ki banti hai :D:
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: Iftar Time--Competition--

              umm oaky ...i will ..balky mamma sy kaho ge k aap try keray unko reciepe bata donge :)

              Comment


              • #22
                Re: Iftar Time--Competition--
                DABAL ROTI KY DAHI BARY

                Ajza :
                dabal roti ---------- 2 piece
                dahi --------------- 3 pao
                namak ------------- hasb - e - zaiqa
                Tail ---------------- fry kerny k liay

                Chatni kay liay :

                Imli --------------- 1 packet
                Chini -------------- 1 1/2 cup
                Sufaid Zera ------- 1 tb sp
                Lal mirch ---------- 1 tb sp
                Pani --------------- 1 1/2 cup
                chat masala -------- 1 packet

                Terkeeb:
                1)Dabal roti ky slices ky kinaray is tarah katay ky slice gol shape main reh ja'ain
                2)Ab inko oil main deep fry ker lain
                3)Jab ye golden brown ho ja'ain tou nikaal ker pani main dal dain.
                4)Jab narm ho ja'ain tou hathale per rakh ker nichor lain aur plate main rakhte ja'ain

                5)Dahi main thora sa namak aur pani daaaal ker phant lain (zada patle na ho)
                6)Phir dabal rote ko dahe main is tarah dalay ky dabal roti nazar na aa'ay
                chatni :
                1)Imle ko pani main bhigo ker ghutliya nikal lain
                2)Is ko thore dair blender main blend keray
                3)Phir choly per rakh dain
                4)Ab is main chini , namak , laaal mirch , sufaid zeera daal ker paka'ain
                5)Chatni garhe hony lagay to utaar lain

                Ab dahe baron k uper yay chatni daal ker uper sy chat masala daal ker paish keray

                Comment


                • #23
                  Re: Iftar Time--Competition--

                  Originally posted by aik_lerki
                  DABAL ROTI KY DAHI BARY

                  Ajza :
                  dabal roti ---------- 2 piece
                  dahi --------------- 3 pao
                  namak ------------- hasb - e - zaiqa
                  Tail ---------------- fry kerny k liay

                  Chatni kay liay :

                  Imli --------------- 1 packet
                  Chini -------------- 1 1/2 cup
                  Sufaid Zera ------- 1 tb sp
                  Lal mirch ---------- 1 tb sp
                  Pani --------------- 1 1/2 cup
                  chat masala -------- 1 packet

                  Terkeeb:
                  1)Dabal roti ky slices ky kinaray is tarah katay ky slice gol shape main reh ja'ain
                  2)Ab inko oil main deep fry ker lain
                  3)Jab ye golden brown ho ja'ain tou nikaal ker pani main dal dain.
                  4)Jab narm ho ja'ain tou hathale per rakh ker nichor lain aur plate main rakhte ja'ain

                  5)Dahi main thora sa namak aur pani daaaal ker phant lain (zada patle na ho)
                  6)Phir dabal rote ko dahe main is tarah dalay ky dabal roti nazar na aa'ay
                  chatni :
                  1)Imle ko pani main bhigo ker ghutliya nikal lain
                  2)Is ko thore dair blender main blend keray
                  3)Phir choly per rakh dain
                  4)Ab is main chini , namak , laaal mirch , sufaid zeera daal ker paka'ain
                  5)Chatni garhe hony lagay to utaar lain

                  Ab dahe baron k uper yay chatni daal ker uper sy chat masala daal ker paish keray

                  Zabardast :thmbup: , me try kero gi inshallah
                  sigpic

                  Comment


                  • #24
                    Re: Iftar Time--Competition--

                    Umm zaroor try kernaa .. :rose
                    U nay bread ky halwa ki reciepe batae the na to mai ny socha mai bread k dahe baron ki reciepe share ker lete hon ;)

                    Comment


                    • #25
                      Re: Iftar Time--Competition--

                      sub try ker gay jub bana laye to chakny kay liye may aa jayo gi kuy kay me say ya kaam nahi hota:(

                      Comment


                      • #26
                        Re: Iftar Time--Competition--

                        jIii nahee.. Aaap bhe jaldi sy reciepe lay ker aao ..hum intazar ker rahy hain ..:D: chalo shabash... ;)

                        Comment


                        • #27
                          Re: Iftar Time--Competition--

                          Comment


                          • #28
                            Re: Iftar Time--Competition--

                            2 hi post karni hain na to aik namkeen or aiksweet dish ki batati houn ...:eye:

                            namkeen dish main babati houn Allo ki tikyan

                            Allo......3-4
                            namak......hasb-e-zaika
                            lal mirch..........jitni chaian :D aik choota chamach bhi kafi hai ...or is say kam bhi daal saktay hain
                            haldi...........thori si ...chutki bhar
                            sookha dhania...........aik chamach
                            imli ka paste ya imli ki chuttni .......3-4 chamach...imli na dalna chaye to lemon juice daal daian ...
                            hara dhania or hari mirchian......aap ki pasand pay hai jitni chaye bareek kaat kay daal daian .....
                            anda.....1
                            ghee.....talnay key leye .



                            tarkeeb...
                            sab say pehlay alloun ko ubaal laian ...
                            allo ko koot laian aisay jesay paste ban jaye ........aap chopper main mat daal dejey ga woh ajeeb say ban jatay hain ....hath say mach kejeye .....
                            pher us main sara masala dalye.....namak, mirch, dhania, haldi, imli ka paste, harad hania or mirchian ....(in masaloun key elawa bhi koi or apni pasand ka masla add karna chaye to kar saktay hain or in main say koi pasand nahito usay nikal bhi saktay hain :) ).
                            sab cheezoun ko mix kar kay tikoun ki shape daian day ..
                            pher anday main diboo kar double rooti ka choora laga kar fry kar laian ....or tomato ketchup kay sath kahaye :D:



                            sweet dish main batati houn custard ki recipe
                            pani-----2 glass
                            khushak powder ....6 chamach
                            sugar.....4 chamach
                            custard.....2 chamach
                            illachi .....2,3
                            badam , pistay bareek katay hovey thoray say

                            tarkeeb..
                            deeghci main pani dalaian ..pher doodh , cheeni or custard mila kay achi taraha mix karain ....pher ilachi dalain or in ko pakaian ....chamach chalati rehaian warna deegchi pay chipak jaye ga .....bas obbal aye to chooula band kar daian ......yeh buhat jald ban jati hai ...

                            ab isay decorate kejey aap ki marzi hai cake dalaian , fruits dalaian , jelly dalain jo bhi app ki pasand hoo daal daian oper say badam pisaty bareek katay hovey daal dejey ....
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #29
                              Re: Iftar Time--Competition--

                              zabardast :thmbup: Anchal & Sheem
                              baki sab bhe jaldi jaldi share keray reciepe..
                              20 ramzan tak ka time hai aap sabo k pas :rose

                              Comment


                              • #30
                                Re: Iftar Time--Competition--

                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X