Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*Shoppppping............*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*Shoppppping............*~

    Hmmmmmmm to apne sekh hi lia hoga is dastaan se k jo bhi shopping karen hmesha check karen shop per bhi n ghar aney se pehle 1bar phir se check karen ke apne kya kya saman kharida hai n wo pura hai bhi ya kisi shop pe shoot gaya hai apse galti sey...... may be apke sath bhi ye hosakta hai jo AQUARI k sath hua q??????????THINK ABOUT IT N HAN BE CARE FULL meri duaen apke sath hain:dua CHAO
    :eye:

    Comment


    • #17
      Re: ~*Shoppppping............*~

      nice topic Aabgina:thmbup:
      well hamien aaj say kuchh saal pehlay shopping say boht chirr thi ....mama shoping k liay zabardasti lay kar jaatien aur hum is dooraan ik baar roootay zaroor thay aur khoob daant khaanay k baad hee mama k saath jaanay k liay tayaar hotay.....khayr yeh too mamool ki baat thi:blush:

      magar yahan aanay k baad hum bakhushi shopping k liay jaany lagay aur tab hamien pata chala k humien shopping say nhi balkay us bazaar say chir thi jahan itna zyada rush hota tha...aur sab loog aysay ghoor rahay hoty thay.

      hamien jewellary khareednay ka boht shooq hay...jab bhi store mien jaaty hien ghar waaloon ko khabar bhi nhi hooti aur hum un k paas say gayab ho jaaty hien ... aur thoori dayr mien ghar waalay hamien dhoondty huay jewelry waalay portion mien pohnch jaaty hien:D

      shuru mien jewelry khareedty huay hamien boht nuqsaan hua...jo bhi achhi lagti uthaa layty sasti mehngi daykhay bagayr...aur sasti cheez kaysi hooti hay yeh to sab hee jaanty hien..

      so hamaari aaj ki tip...
      jewelary khareedty huay....price check karien boht sasti cheez kabhi nah khareedien.....aur agar aap cheezoon say boht jald ukta jaaty hien to phir boht mehngi cheez bhi nah khareedien...jewelary khareedty huay zara bareek been ho jaien uskay tamaam par purzay check kar lien..magar dhayaan say..kahin check karty karty uska kabaara hee nah kar dien:D

      aur sab say khaas baat...pakistan mien 2000 ki cheez 6000 mien mil rahi hooti hay...so b carefull layty huay zara hichkichahat ka muzahira karien to woh qeemat kam karna shuru kar dien gay aaur kam hootay hootay aapka kaafi faida ho jaay ga...waysay ander ki baat...hamien khud price kam karwaanay waala kaam nhi aata:D

      Comment


      • #18
        Re: ~*Shoppppping............*~

        @ Aquari

        kya tips hien madam.....kya baat hay aapki:thmbup:

        aur gosht waali baat ka to mujhay siray saay pata hee nhi tha...aap nay bataya to hum hayraan reh gay.....baray master hoo gi.....khush rahoo aur achhi achhi tips dayti rahoo:)

        Comment


        • #19
          Re: ~*Shoppppping............*~

          Originally posted by Wafa View Post
          waah rida bohot he useful topic start kea hai aur tips bhi bohot achi share ke hai.............
          Mughe shopping karnay ka bohot shoq hai....chahay wo dressing, shoes makeup ya grocery tak kay khareedna ho bohot shoq say karti hoo ........Shopping kartay waqt dress khareednay mai tension hoti hai.....print tu acha lagta hai bt mughe meterial ka pata nahi chalta , bass itna he dekhti ho kay soft kapra hai tu acha he ho ga....:khi:warna akser ammi say he poochti hoo.....shopping ka shoq hai bt ab mai itna karti nahi bass jab zaroorat ho...kyu kay itna khareed kar rakhnay ka faida nahi...yahan itnay funtions per jana nahi hota tu itnay dress ya jewellry lenay ka faida nahi.....mai akser shopping mai rings purse aur shoes khareedti hoo....:)
          greocery kay lea bhi akser ammi aur sis ya phir akeelay jaati hoo khareednay.....tip ye day sakti ho kay diary product jaisay yoghurt, milk in ke date zaroor dekh leni chaheye....fresh juices ke bhi.....aur jaisay kay rida nah kaha list banana bohot he best hai...aur akser 2 weeks ya pher one month ke shopping karay..kuch loog ziada ziada cheezein lag jatay hai kay next month kaam aa jaein ge...tu ye na kea karay kyu kay rakhnay ka maslaa ho jata hai.....:eye:
          aquari tumhari aur tips ka wait rahay ga....
          :lpop:

          thanks Wafa:D:

          ahan .....aap ko shaouq hai shoping ka tu .. thori buht aati bhi hai naa......kapray ki pehchan main bhi aissay hi karti hooon......:D
          Wafa aap ki tip bhi achi hai....
          hum loag bhi week kay lihaaz say laitay hain ya days kay...monthly lainay say waqai cheezain kharab ho sakti hain....:thmbup:
          aur yeh dairy products kay liye tu yeh kahon gi...keh hum pakistan mein rehtay hain naa......tu kam kam hi use kartay hain packed products.......
          lakin aur cheezain jaisay ketchup ka jelly aur aisi hi cheezain ...un kay liye yeh khayal rakhna zurrori hai:phool:
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #20
            Re: ~*Shoppppping............*~

            Originally posted by aquari View Post
            Me back again woith some more tips:blush:
            waisey Wafa or Rida tum logg plz mujhey daddi amma na samjhoo k jaisey mujhey bauht tips ati ahi yeh tu bus yeh zalim waqt ney sekhaa dya haii

            chaloo aaj wohi tips deti hoo jis ki shopping krney aaj jaongii :khi:
            yani Gosht kii :D

            Ager ghaliti sey app ko gosht ki shopping k lya jana par jaye jo k khasa mushkil or bara bardsaht kun marhala hotaa haii tu always yeh baat mind main rakhoo k kis dish k lya leney jarhey hoo either kisi specific k lyaa ya just app monthly leney jarhey hooo tu andaza ho apney gher waloo kaa
            Like merey gher main koi chiknaii wala meat nahi pasand krta ek dumn saaf sii boti honi chahyea mager khaney ki ronaq or taste k lya woh bhi zaroori hai tu ager app baghair hadii ka gosht leney ka sooch rahey hoo tu zaroor loo us ki shiknai sub saaf krwa loo or alg sey sath main thora sa hadi wala gosht ley loo like ager 2kg app baghiar hadi ka ley rahey hoo tu us main 1/2kg ya 250gms woh bhi dalwa loo kunk app ager us ko khaney main daloogeytu woh utnaa maza nahi deyy ga ek dum phooka sa feel hoga app ko soo as a tip app 1-2hadi walii booti zaroor daloo,ager app nihari k lya gosht purchase krrahey hoo tu bong ka gosht loo,ager biryani k lyaa tu gardan ya raan ka gosht loo health wise choota gosht best hai us main bhi ager chanpain ya pulaoo banana hai tu senney ka gosht loo nahi tu gardan ka gosht hr trha ki dish main chal jata haii.
            Ager app ko normal apney gher k daily khanoo main use krna haii tu dastii ya gardan ka gosht banisbat behter hota hai baqi gher waloo ki pasand pr bhi depend krta haii.
            Ager app qeema ley rahey hoo tu ager histoo pakana haii tu haath ka qeema loo or ager kofta hai tu bareek machine ka or ager waisey khana like qeema alloo pakana hoo tuu motti machine ka banwa lain is main bhi app k gher waloo k taste pr depened krta haii kunk aksar barey loog haath ka qeema pasand krtey hian.

            I think kafi hogaii :eye: baqi thori dair main krti hoon :wk

            oho sweet ......nahin naa ..hum aap ko dadi aama nahin samajh arahay :khi:
            hum tu aap ko apni sis samajh rahay hain:phool:
            wow..,.......buht zabardast........aik baat ka is mein pata thaa jaisay nihari kay liye bong ka gosht laitay hain.....baqi ka u nay bataya hai :hug:

            abhi tak gosht kay liye main kabhi ammi kay sath bhi nahin gai ....dekhtay hain kab aisa hota hai:eye:
            lakin aik baat samajh nahin aai.....woh joaap nay kaha hai ....haddi wala alag say lain .....woh samajh nahin aaya keh kiun alag say laina sahih hai...?
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #21
              Re: ~*Shoppppping............*~

              Originally posted by aquari View Post
              haa samjhna bhi nahii :na: main masoom tu help kr rahi hoo tum logo kii :D

              koi baat nahi dear bura waqt keh kr nahi ata bus tum in ko note kr loo :comfort:


              :hehe:
              aqauri kia gosht ki kharidaari karna aisa hi bura waqt hota hai...:hehe:
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #22
                Re: ~*Shoppppping............*~

                Originally posted by yellowsky View Post
                apni summer shopping ki? :d


                @ topic

                Sab sey mushkil kaam shopping kerna lagta hai.....aik zamaaney mey sis kerti theiN aur meyrey mazzey hotey they yani koi gham fikar hi nahi her cheez ready made mil jati thi

                ab khud kerni perhti hai, m not expert magar ker leyti hun .....aur ye acha khasa time consuming kaam bhi hai

                pehlay sab hi kay mazay hotay hain......jab sir per parti hain tabhi koi kaam karna aata hai.........:khi:...yeh ammiyaaN aur bajiyaaN humain aaram talab bana daiti hain...:hehe:
                yeh sahih kaha time consuming bhi....aur jab kahin fozool mein hi kharab cheez kay zyada paisay dai doon tu mujhay buht afsoos hota hai....:tauba

                apni summer shopping ka kiaa bataon....us waqt neend aarahi thi tu main chali gai thi.....:blush:
                buht hi mushkil say ki hai shopping thursday ko......samajh nahin aata.....itna kharab fabric bhi itna mehengaa.....baray aaram say 500 ropay keh daitay hain shopkeer......jab keh fabric ki quality itni kharab....
                aaj kal yahan karhaai kay three piece chal rahay hain ....buht khobsurat bhi hain......aur mehengay bhi ....woh main nay aik kharida hai shadi mein pehennay kay liye:lpop::lpop::lpop:
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #23
                  Re: ~*Shoppppping............*~

                  Originally posted by noora View Post
                  hmmmmmmmmmm topic is toooo good wel ye jo sub ko tip derahi hain MAM AQUARI yani my dear sis me inke bare me hi kuch share kerna chahungi ap logo se....:D: inhone bhi bht kuch kia hua hai:khi: acha me btarahi hu sis dont mind ok:phool: tm ye phool rukho n han jub tuk LOLLY POP bhi khao ye lo:lpop: han to hua ye tha k EID thi n hum dono gae TARIQ ROAD shopping pe RAMDAN the to hmara roza bhi tha lehaza shopping bhi kerni thi n iftar k lye restaurent bhi dekhna tha to kiya hua k sis sahiba ne shoes pasand kiye GILDEN COLOUR ke bht zabar10 matching n unhe pasand bhi bht ae ye islea kaha ke inko kam hi chizen pasand ati hain wel price wagera bhi thek thi to unho ne leliye phir humne iftari k lye restaurent dekha mil bhi gaya n hum iftari ker ke ghar chale gae bus phir kya btau:tauba mut pucho sathiyon maza hi agaya tha samjho humne jub AMMMI ko dikhane ke lye shoes ka dubba khola toooooooooo usme 2no shoes RIGHT FOOTED nikle me bta nahi sakti kya mazedar scene tha agle hi din chand rat thi n meri pyari SIS ne ye karnama saranjam dedia tha phle to AMMI bhi bht gussa huen phir unhe bhi hasi agae kya kartien sis ko tasalli di :comfort: phir kya tha jub hum agle din PAPA ke sath xchange karwane gae to shopkeeper bhi hans raha tha bechara qk uska bhi 1tarha se nuksan hi tha wel phir kya sandles xchange hogaen n MY SWEET SIS LIVE HAPPILY EVER AFTER WITH HER SHOES:wk :khi:

                  thanks for replying noora.....
                  humaray saath aisa honay laga thaa keh aik shoe 7 size ka aur aik 6 ka ....donoon barabar nahin thay....shop say nikal kar aisay hi hum nay dekha keh rakh liye ya nahin....thora shak howaa tu wapas shop gaye aur match kar kay sahih size lia....:lpop:
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~*Shoppppping............*~

                    Originally posted by noora View Post
                    Hmmmmmmm to apne sekh hi lia hoga is dastaan se k jo bhi shopping karen hmesha check karen shop per bhi n ghar aney se pehle 1bar phir se check karen ke apne kya kya saman kharida hai n wo pura hai bhi ya kisi shop pe shoot gaya hai apse galti sey...... may be apke sath bhi ye hosakta hai jo AQUARI k sath hua q??????????THINK ABOUT IT N HAN BE CARE FULL meri duaen apke sath hain:dua CHAO

                    jee kafi kuch seekha hai:)......sometimes aisa bhi hota hai keh hum paisay zyada dai kar aajatay hian.....
                    ya phir shopkeeper hi bayimaan hotay hain ...paisay rakh laitay hain aur humara buqsan ho jata hai....
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~*Shoppppping............*~

                      Originally posted by *Duaa* View Post
                      nice topic Aabgina:thmbup:
                      well hamien aaj say kuchh saal pehlay shopping say boht chirr thi ....mama shoping k liay zabardasti lay kar jaatien aur hum is dooraan ik baar roootay zaroor thay aur khoob daant khaanay k baad hee mama k saath jaanay k liay tayaar hotay.....khayr yeh too mamool ki baat thi:blush:

                      magar yahan aanay k baad hum bakhushi shopping k liay jaany lagay aur tab hamien pata chala k humien shopping say nhi balkay us bazaar say chir thi jahan itna zyada rush hota tha...aur sab loog aysay ghoor rahay hoty thay.

                      hamien jewellary khareednay ka boht shooq hay...jab bhi store mien jaaty hien ghar waaloon ko khabar bhi nhi hooti aur hum un k paas say gayab ho jaaty hien ... aur thoori dayr mien ghar waalay hamien dhoondty huay jewelry waalay portion mien pohnch jaaty hien:D

                      shuru mien jewelry khareedty huay hamien boht nuqsaan hua...jo bhi achhi lagti uthaa layty sasti mehngi daykhay bagayr...aur sasti cheez kaysi hooti hay yeh to sab hee jaanty hien..

                      so hamaari aaj ki tip...
                      jewelary khareedty huay....price check karien boht sasti cheez kabhi nah khareedien.....aur agar aap cheezoon say boht jald ukta jaaty hien to phir boht mehngi cheez bhi nah khareedien...jewelary khareedty huay zara bareek been ho jaien uskay tamaam par purzay check kar lien..magar dhayaan say..kahin check karty karty uska kabaara hee nah kar dien:D

                      aur sab say khaas baat...pakistan mien 2000 ki cheez 6000 mien mil rahi hooti hay...so b carefull layty huay zara hichkichahat ka muzahira karien to woh qeemat kam karna shuru kar dien gay aaur kam hootay hootay aapka kaafi faida ho jaay ga...waysay ander ki baat...hamien khud price kam karwaanay waala kaam nhi aata:D
                      yeh achi baat hai keh aap ko pata chal gaya aap ko shopping nahin shoping walijaga say chir thi....kia kar saktay hain is mahoul kaa...:tauba

                      tip aap nay buht achi dihai.....woh kehtay hain naa mehenga roye aik baar sasta roye bar bar .......sasti cheezain isi liye mujhay bhi nahin pasand.....
                      kuch cheezain hoti hain jo sasti honay per bhi achi lagti hain ...tu un ka kuch waqt ka sath bhi acha lagta hai .....choti si sajawat ki hi cheez kiun na ho....
                      yeh bhi seekhna hai keh paisay kaisay kamkarwaye jatay hian....bilkul pathaanoon wala haal hai yahan....2500 bataty hain price aram say 200, 250 mein dai kar chalay jatay hain....:D
                      lakin shopkeepers kay nakhray hi buht hotay hain...:budhu:
                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~*Shoppppping............*~

                        Originally posted by Aabgina View Post
                        [/color]

                        :hehe:
                        aqauri kia gosht ki kharidaari karna aisa hi bura waqt hota hai...:hehe:
                        :khi: ..dear tum krk dekhoo phr bataana k woh waqt acha hota hai k buraa:lpop:

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~*Shoppppping............*~

                          Rida achi achi tips jama kr rahi ho...yeh batao kuch shopping bhi ki k nahi :D

                          ok aaj ki shopping ki baatkrtey hain ..yeh usually logo aksar TV channels pr recipes dekh kr un k different qism k ingrediants shooq main leney poohnch jatey hain or kunk kuch patatu hota nahi tu aksar shopkeepers inhain janboojh kr brand aisa detey hain jo mehnga hoo or in ko cheez bhi sahi nahi detey ,yeh meri frnd k sath recently howa hia!
                          App ko ager newrecipes try krna ka shouq hia tu un k different ingrediants joo k common na hoo koshish karain k un ka substitute mil jaye ap ko phr bhi bauht zaroori hoo tu try karain k koi aisa mil jaye jissey in cheezoo ka idea hoo,ager koi avaialble nahi hai tu ya tu kisi posh area k store main jayea ager woh bhi poosblity na hoo tu kabhi bhi 1 shop sey na loo ..i mean to say k ap 3-4jaghoo sey check karoo ager kisi barey departmental store pr cahley jaoo tu bauht hi acha hai kunk wahan 2-3brands hotey hain app price pr quality compare kr sakety hoo .or aksar is qism ki recipes k ingredaints main aapp ka thek thak kharcha hojata hai soo try karain k ya tu kisi aisey sey advise ley jis ko is barey main maloomat hoo :)

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~*Shoppppping............*~

                            Originally posted by aquari View Post
                            haa samjhna bhi nahii :na: main masoom tu help kr rahi hoo tum logo kii :D

                            koi baat nahi dear bura waqt keh kr nahi ata bus tum in ko note kr loo :comfort:
                            ham tu aap ko apni sis he samaghtay hai :phool:....aap ke tips waqae mai kaafi useful hai......:thmbup:
                            haa ji note kar lea.....agar kabhi lena parh gaya tu aap ko yaad karo ge......:eye:
                            sigpic


                            Comment


                            • #29
                              Re: ~*Shoppppping............*~

                              Originally posted by noora View Post
                              Hmmmmmmm to apne sekh hi lia hoga is dastaan se k jo bhi shopping karen hmesha check karen shop per bhi n ghar aney se pehle 1bar phir se check karen ke apne kya kya saman kharida hai n wo pura hai bhi ya kisi shop pe shoot gaya hai apse galti sey...... may be apke sath bhi ye hosakta hai jo AQUARI k sath hua q??????????THINK ABOUT IT N HAN BE CARE FULL meri duaen apke sath hain:dua CHAO
                              hmmmmmmmm achi tip de hai .....mai akser aik he shoes check kar kay dekti ho agar sahi lagay tu pack karwa laiti hoo :embarasse.....dosra shoes nahi check karti......:tauba waise aaj tak sukar hai aquari wala masla nahi hoa....:D
                              sigpic


                              Comment

                              Working...
                              X