Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*Shoppppping............*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*Shoppppping............*~

    Assalaam-0-Alaikom:rose
    kaisi hain aaap sab ....umeed hai sab hongi.....
    jaisay keh topic say hi andaza ho gaya hoga ap sab sisters ko ...keh yeh thread shopping kay hawalay say hai....
    hhmm tu mujhay pochna hai keh
    shopping ka kis kis ko shouq hai....
    aur kis kis ko shoping karni aati hai......

    yeh donoon alag alag batain hain....jaisay shopping ka shouq tu ho sakta hai lekin shopping karni nahin aati hogi....
    main apnay baray mein batati hoon....mujhay shopping karna ka shouq is liye nahin hai keh mujhay shopping karni aati hi nahin...:lpop:
    main choice ki baat nahin kar rahi ....choice mairi buht achi hai......

    lakin kapray, fruits, vegtables khridtay waqt kuch khaas points ko madd-e-nazar rakhna chahiye......in cheezoon kay achay honay ki pehchan honi chahiye....agar kuch kharab khrid lo...tu ammi say dant perti hai:blush:...is kapray ka print tu acha hai lakin kapra acha nahin....aur khrida bhi mehenga hai....:tauba
    kia aap kay sath aisa hota hai......ya aap ko pehchan hai achi cheezon ki....agar hai tu sohni kuriyoon jaldi say aa kar humain bhi batao...:ghug:.....sath yeh bhi keh shopping karna mushkil lagta hai ya aasan.....:)

    aik tip tu main batati hoon......:salam:
    shopping kay liye hamesha khana kha kar jana chahiyee...takay bhok lagnay per jaldi mein koi fozool cheez na utha kar lai aaien.....balkay aaram say achi achi shopping karin...:wk
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: ~*Shoppppping............*~

    :khi: very nice topic Rida
    is sey zaroor humari PG members kuch sekhain gii or gher waloo ka nuqsan kum karain gii :khi:

    Mujhey shopping ka shouq tu bauht kum hi kabhi charhta hai pr main monthly shopping zraoor krti hoo not for my self for my family being aresponsible member yeh meri zimdariyoo main shamil hia:)
    Start main tu thora nuqsan kyaa now handle kr leti hooo.
    Bauht sari tips hoti haii like ager app grocery kharedney jarehy hoo tu app ko market rates ka andaza hona chahyea k aaj kal atey dal k kya bhaoo hain.
    Gosht k fixed price hotey hainn or hamesha try karain k main market sey soda lain kunk wahan chezain rolling main hoti hainn means k mal poorana nahi hota kunk bauht zayda loog kharedari krtey hian daily un k pass fresh maal ata hai ! 2nd app ko barnds ka andaza hoo koi bhi new or sasat try krney sey pehely sooch lain dekh kr kunk aksar new or sastey k chakar main app nuqsan kr letey hoo or wiasey bhi khaney main koi compromise nahi kunk yeh sehat ka mamla hai :eye:

    Is ka elawa bhi hr cheez ki shopping k alg usool hotey hain merey pass tu box bhara howa haii in tips sey pr abhi kaam hia thora thora krk share krti rahoongii :blush: and I hope k humari is discussion sey kuch app jaisiyoo ko sekhney ko miley gaa:comfort: just kidding :wk

    Comment


    • #3
      Re: ~*Shoppppping............*~

      thanks Aqauri reply karnay kay liye bhi aur topic pasand karnay kay liye bhi....
      thanks.... aap ki tipss say maira bhi aur mairi jaisi aur PG siters ka bhi bhala hoga
      waja yeh hai keh yeh baat bhi important hai larkiun kay liyee...unhain aana chahiye sab......
      mairi aani shadi say pehlay market nahin jati thien... shadi kay bad jab akelay jana parta hai tu unhain samajh hi nahin aata kia kharidain kaisay kharidain....

      aik aur tip :salam:....hamesha kharidnay wali tamam cheezoon ki list bana kar
      market jana chahiyee..is say time ki bachat hoti hai.....


      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: ~*Shoppppping............*~

        aha nice jee:clap:

        ok :thmbup:
        mujhe shopping ka shouq bhi bohat hai aur shopping karni bhi aati hai
        bohat martaba aisa hota hai ke
        shopping karney jao item koi bhi hai agar quality wise achi nahi hai aur aap shopkeeper ko batatey bhi hai tou wo kabhi iss baat ko accept nahi karta hai ussi item ki 99 khubiya count karwa dey ga jabkey wo uss mein nahi hoti hai.:tauba
        wohi cheez aap ney kahi aur se purchase ki hogi tou uss mein bohat se defect nikaal dey ga.
        kuch shopkeeper liicher type ke hote hai jab tak aap cheez kharid nahi leti hai jaan hi nahi chortey hai.
        iss ke liye ye raye hai ke jab tak app 100% satisfied nahi ho jaati hai dil aur dimagh se purchase na karey.

        item quality wise achi hai ya nahi dekhtey saath hi patta chal jaata hai.
        abhi aur kuch yaad nahi aa raha hai :blush:
        kya samjhi?:mm:
        :rose Refreshing_breeze :rose

        Comment


        • #5
          Re: ~*Shoppppping............*~

          Rb thanko :phool:
          aisa hota hai shopkeeper peechay hi par jatay hain...:khi:

          theek hai jaisay jaisay aap ko yaad ata rahay share karti rehiye gaa.:phool:.aqauri aap bhi...:rose
          agar koi show piece aap dekhhain...tu us ki finishing dekhni hoti hai.....woh waqai foran samajh ahata hai...lakin sach mein kaprooN kay mamlay mein bilkul samajh nahin ata......tukka lag jai tu achi cheez aajati hai....warna tu ammi say batai sunni parti hain :blush:
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #6
            Re: ~*Shoppppping............*~

            wow doston kia topic hai aur aap ki baatein aur tips kia kehenein
            ab apni taraf ate hein..ji mujhe shopping ka koi khas shauq nahi ..kabhi kabhi agar mausam acha ho aur saath mein koi ho to phir theek hai..waise usuaully meri shopping meri dado karti thein...kyon ke ami jaan ko bahir jana acha nahi lagta..aur meri tabeat bhi kuch aise he hai..bazar ke naam se he dar lagta hai:khi: ..haan ji to baat ho rahi thi shopping ki..to mujhe koi khas pasand nahi..us ke aik bari wajh aik aur bhi hai..market mein mujhe koi cheez pasand nahi ati:tauba ..aur meri pasand dosron ko pasand nahi ati:embarasse ...kitni na-insafi..meri khala jani jo ke meri best freind bhi hein:) ..un ke choice zabardast hai..to mein to un se he karwa leti thi.ab Canada mein to koi khas shopoing nahi karti groccery ami au abo jani karte hein..aur mein apne liye kuch khas buy nahi karti
            waise jab Pakistan jaon gi yeh jo tips hein zaroor kam mein laon gi..great tips hein..hum jaison ke liye

            sab hamesha khush rahiye aur muskrate rahiye:phool:

            Comment


            • #7
              Re: ~*Shoppppping............*~

              reply ka shukriyaa princess.......:phool:
              yeh thread open hi is liye kia gyaa hai keh aap aur hum aur humari jaisi aur PG sisters yahan say kuch seekh lain...aur ammi say kam dant khaien.....
              main nay aik aam baat suni thi keh larkiun ko shopping ka buht shouq hota hai ..lakin yahan tu hisab ulta nazar aaraha hai......:)
              aap bhi khush rahian hamesha ..:hug:


              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: ~*Shoppppping............*~

                waah rida bohot he useful topic start kea hai aur tips bhi bohot achi share ke hai.............
                Mughe shopping karnay ka bohot shoq hai....chahay wo dressing, shoes makeup ya grocery tak kay khareedna ho bohot shoq say karti hoo ........Shopping kartay waqt dress khareednay mai tension hoti hai.....print tu acha lagta hai bt mughe meterial ka pata nahi chalta , bass itna he dekhti ho kay soft kapra hai tu acha he ho ga....:khi:warna akser ammi say he poochti hoo.....shopping ka shoq hai bt ab mai itna karti nahi bass jab zaroorat ho...kyu kay itna khareed kar rakhnay ka faida nahi...yahan itnay funtions per jana nahi hota tu itnay dress ya jewellry lenay ka faida nahi.....mai akser shopping mai rings purse aur shoes khareedti hoo....:)
                greocery kay lea bhi akser ammi aur sis ya phir akeelay jaati hoo khareednay.....tip ye day sakti ho kay diary product jaisay yoghurt, milk in ke date zaroor dekh leni chaheye....fresh juices ke bhi.....aur jaisay kay rida nah kaha list banana bohot he best hai...aur akser 2 weeks ya pher one month ke shopping karay..kuch loog ziada ziada cheezein lag jatay hai kay next month kaam aa jaein ge...tu ye na kea karay kyu kay rakhnay ka maslaa ho jata hai.....:eye:
                aquari tumhari aur tips ka wait rahay ga....
                :lpop:
                sigpic


                Comment


                • #9
                  Re: ~*Shoppppping............*~

                  Me back again woith some more tips:blush:
                  waisey Wafa or Rida tum logg plz mujhey daddi amma na samjhoo k jaisey mujhey bauht tips ati ahi yeh tu bus yeh zalim waqt ney sekhaa dya haii

                  chaloo aaj wohi tips deti hoo jis ki shopping krney aaj jaongii :khi:
                  yani Gosht kii :D

                  Ager ghaliti sey app ko gosht ki shopping k lya jana par jaye jo k khasa mushkil or bara bardsaht kun marhala hotaa haii tu always yeh baat mind main rakhoo k kis dish k lya leney jarhey hoo either kisi specific k lyaa ya just app monthly leney jarhey hooo tu andaza ho apney gher waloo kaa
                  Like merey gher main koi chiknaii wala meat nahi pasand krta ek dumn saaf sii boti honi chahyea mager khaney ki ronaq or taste k lya woh bhi zaroori hai tu ager app baghair hadii ka gosht leney ka sooch rahey hoo tu zaroor loo us ki shiknai sub saaf krwa loo or alg sey sath main thora sa hadi wala gosht ley loo like ager 2kg app baghiar hadi ka ley rahey hoo tu us main 1/2kg ya 250gms woh bhi dalwa loo kunk app ager us ko khaney main daloogeytu woh utnaa maza nahi deyy ga ek dum phooka sa feel hoga app ko soo as a tip app 1-2hadi walii booti zaroor daloo,ager app nihari k lya gosht purchase krrahey hoo tu bong ka gosht loo,ager biryani k lyaa tu gardan ya raan ka gosht loo health wise choota gosht best hai us main bhi ager chanpain ya pulaoo banana hai tu senney ka gosht loo nahi tu gardan ka gosht hr trha ki dish main chal jata haii.
                  Ager app ko normal apney gher k daily khanoo main use krna haii tu dastii ya gardan ka gosht banisbat behter hota hai baqi gher waloo ki pasand pr bhi depend krta haii.
                  Ager app qeema ley rahey hoo tu ager histoo pakana haii tu haath ka qeema loo or ager kofta hai tu bareek machine ka or ager waisey khana like qeema alloo pakana hoo tuu motti machine ka banwa lain is main bhi app k gher waloo k taste pr depened krta haii kunk aksar barey loog haath ka qeema pasand krtey hian.

                  I think kafi hogaii :eye: baqi thori dair main krti hoon :wk
                  Last edited by aquari; 5 July 2007, 07:55.

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*Shoppppping............*~

                    bohth khoob.

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*Shoppppping............*~

                      Originally posted by aquari View Post
                      Me back again woith some more tips:blush:
                      waisey Wafa or Rida tum logg plz mujhey daddi amma na samjhoo k jaisey mujhey bauht tips ati ahi yeh tu bus yeh zalim waqt ney sekhaa dya haii

                      chaloo aaj wohi tips deti hoo jis ki shopping krney aaj jaongii :khi:
                      yani Gosht kii :D

                      Ager ghaliti sey app ko gosht ki shopping k lya jana par jaye jo k khasa mushkil or bara bardsaht kun marhala hotaa haii tu always yeh baat mind main rakhoo k kis dish k lya leney jarhey hoo either kisi specific k lyaa ya just app monthly leney jarhey hooo tu andaza ho apney gher waloo kaa
                      Like merey gher main koi chiknaii wala meat nahi pasand krta ek dumn saaf sii boti honi chahyea mager khaney ki ronaq or taste k lya woh bhi zaroori hai tu ager app baghair hadii ka gosht leney ka sooch rahey hoo tu zaroor loo us ki shiknai sub saaf krwa loo or alg sey sath main thora sa hadi wala gosht ley loo like ager 2kg app baghiar hadi ka ley rahey hoo tu us main 1/2kg ya 250gms woh bhi dalwa loo kunk app ager us ko khaney main daloogeytu woh utnaa maza nahi deyy ga ek dum phooka sa feel hoga app ko soo as a tip app 1-2hadi walii booti zaroor daloo,ager app nihari k lya gosht purchase krrahey hoo tu bong ka gosht loo,ager biryani k lyaa tu gardan ya raan ka gosht loo health wise choota gosht best hai us main bhi ager chanpain ya pulaoo banana hai tu senney ka gosht loo nahi tu gardan ka gosht hr trha ki dish main chal jata haii.
                      Ager app ko normal apney gher k daily khanoo main use krna haii tu dastii ya gardan ka gosht banisbat behter hota hai baqi gher waloo ki pasand pr bhi depend krta haii.
                      Ager app qeema ley rahey hoo tu ager histoo pakana haii tu haath ka qeema loo or ager kofta hai tu bareek machine ka or ager waisey khana like qeema alloo pakana hoo tuu motti machine ka banwa lain is main bhi app k gher waloo k taste pr depened krta haii kunk aksar barey loog haath ka qeema pasand krtey hian.

                      I think kafi hogaii :eye: baqi thori dair main krti hoon :wk
                      Nahi aquari ham aap ko dadi amma kyu samjhay gay,ye tu aap hamari help kar rahi hoo....:wk aur sahi kaha waqt sekha deta hai kisi ko jaldi aur kisi ko deer say....:lpop:
                      waise tumhari tip tu bohot he achi hai .......mai nay tu kabhi meat ke khareedari ke nahi, bt kabhi ke tu dehaan rakho ge.......:eye:
                      sigpic


                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*Shoppppping............*~

                        Originally posted by Wafa View Post
                        Nahi aquari ham aap ko dadi amma kyu samjhay gay,ye tu aap hamari help kar rahi hoo....:wk aur sahi kaha waqt sekha deta hai kisi ko jaldi aur kisi ko deer say....:lpop:
                        waise tumhari tip tu bohot he achi hai .......mai nay tu kabhi meat ke khareedari ke nahi, bt kabhi ke tu dehaan rakho ge.......:eye:
                        haa samjhna bhi nahii :na: main masoom tu help kr rahi hoo tum logo kii :D

                        koi baat nahi dear bura waqt keh kr nahi ata bus tum in ko note kr loo :comfort:

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*Shoppppping............*~

                          me kal detail say reply karon gi..INSHALLAH.
                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*Shoppppping............*~

                            Originally posted by Aabgina View Post
                            me kal detail say reply karon gi..INSHALLAH.
                            apni summer shopping ki? :d


                            @ topic

                            Sab sey mushkil kaam shopping kerna lagta hai.....aik zamaaney mey sis kerti theiN aur meyrey mazzey hotey they yani koi gham fikar hi nahi her cheez ready made mil jati thi

                            ab khud kerni perhti hai, m not expert magar ker leyti hun .....aur ye acha khasa time consuming kaam bhi hai
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~*Shoppppping............*~

                              hmmmmmmmmmm topic is toooo good wel ye jo sub ko tip derahi hain MAM AQUARI yani my dear sis me inke bare me hi kuch share kerna chahungi ap logo se....:D: inhone bhi bht kuch kia hua hai:khi: acha me btarahi hu sis dont mind ok:phool: tm ye phool rukho n han jub tuk LOLLY POP bhi khao ye lo:lpop: han to hua ye tha k EID thi n hum dono gae TARIQ ROAD shopping pe RAMDAN the to hmara roza bhi tha lehaza shopping bhi kerni thi n iftar k lye restaurent bhi dekhna tha to kiya hua k sis sahiba ne shoes pasand kiye GILDEN COLOUR ke bht zabar10 matching n unhe pasand bhi bht ae ye islea kaha ke inko kam hi chizen pasand ati hain wel price wagera bhi thek thi to unho ne leliye phir humne iftari k lye restaurent dekha mil bhi gaya n hum iftari ker ke ghar chale gae bus phir kya btau:tauba mut pucho sathiyon maza hi agaya tha samjho humne jub AMMMI ko dikhane ke lye shoes ka dubba khola toooooooooo usme 2no shoes RIGHT FOOTED nikle me bta nahi sakti kya mazedar scene tha agle hi din chand rat thi n meri pyari SIS ne ye karnama saranjam dedia tha phle to AMMI bhi bht gussa huen phir unhe bhi hasi agae kya kartien sis ko tasalli di :comfort: phir kya tha jub hum agle din PAPA ke sath xchange karwane gae to shopkeeper bhi hans raha tha bechara qk uska bhi 1tarha se nuksan hi tha wel phir kya sandles xchange hogaen n MY SWEET SIS LIVE HAPPILY EVER AFTER WITH HER SHOES:wk :khi:
                              :eye:

                              Comment

                              Working...
                              X