Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Baalon ki hifazat?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Baalon ki hifazat?

    Aap sab apney baalon ki hifazat kis tarhan kertey ho ...merey baal aaj kal itney gir rahey hein :(
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Baalon ki hifazat?

    Mere balon ka color bachpan mei se black tha, aisa wesa bhi nahi Pure black , magar yeh mulk kuch desert areas mei hai, enviorments bhi kushq aur garm hoti hai, jab school jati thi to mere balon ke color mei farq aaney laga, kuch brown honey lagey, tab mujhe mama se buhut dant perti thi, oil jo nahi lagati thi:D :D . Tab mama every friday Dahi (yougurt) mei sarso ka tail (mustard oil) mile ker mere balon per lagati thi, pehley to mei buhut jaan churati thi is se , then I realised k it really works. Bal buhut achey jo jatey hain is se.

    Laikin ab mei jo conditioner use kerti hoon, wo mei is tara banati hoon.
    1 Egg (contains protein, jo humare balo ke liyeh buhut zaroori hai)
    1 Tbspn Yougurt
    1 Tbspn Olive Oil

    In sab ko achey se beat ker ke balon mei lagaiyeh aur 1 - 1 1/2 ghantey baad balon ko dho lijiyeh, Baal buhut ahey ho jatey hain, aur mujhe yaqin hai is se bal girna bhi kam hon gai. I do this every weekend. Laikin balon ke liyeh Olive oil best hai, her roz raat ko olive oil se balo mei massage kijiyeh aur subah baal dho lijiyeh Inshallah buhut farq parey ga.
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Baalon ki hifazat?

      Shukriya Shaheen,:)
      mey olive to use kerti hun ...leykin her din nahi week mey koi 2 sey 3 baar
      leykin ab inshAllah ye conditioner jo aap ney bataya hai wo try kerti hun
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: Baalon ki hifazat?

        meray balo'n khuskhi buhat ziyada hai aur is qadar ziyada hai jis ki koi had nahin is ki mujhay buhat tension hai :(
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment

        • #5
          Re: Baalon ki hifazat?

          humarey lye to tind is best :D :D
          Allah

          Comment

          • #6
            Re: Baalon ki hifazat?

            Originally posted by Saima Shaheen
            Mere balon ka color bachpan mei se black tha, aisa wesa bhi nahi Pure black , magar yeh mulk kuch desert areas mei hai, enviorments bhi kushq aur garm hoti hai, jab school jati thi to mere balon ke color mei farq aaney laga, kuch brown honey lagey, tab mujhe mama se buhut dant perti thi, oil jo nahi lagati thi:D :D . Tab mama every friday Dahi (yougurt) mei sarso ka tail (mustard oil) mile ker mere balon per lagati thi, pehley to mei buhut jaan churati thi is se , then I realised k it really works. Bal buhut achey jo jatey hain is se.

            Laikin ab mei jo conditioner use kerti hoon, wo mei is tara banati hoon.
            1 Egg (contains protein, jo humare balo ke liyeh buhut zaroori hai)
            1 Tbspn Yougurt
            1 Tbspn Olive Oil

            In sab ko achey se beat ker ke balon mei lagaiyeh aur 1 - 1 1/2 ghantey baad balon ko dho lijiyeh, Baal buhut ahey ho jatey hain, aur mujhe yaqin hai is se bal girna bhi kam hon gai. I do this every weekend. Laikin balon ke liyeh Olive oil best hai, her roz raat ko olive oil se balo mei massage kijiyeh aur subah baal dho lijiyeh Inshallah buhut farq parey ga.
            Nice Information Saima, thanx for sharing

            Leking yeh batayen ke ye formula balon ko girne se rokne ke liye hai, ya conditioning k liye.

            Yoghurt + Mustard Oil
            Yoghurt + Olive Oil

            which one is best...?

            Mera ek cousin ne sarson ka tel ka massage kiya unke baal ghane ho gaye, dusre ne Olive oil use kiya koi farq nahin para balke aur baal kam ho gaye, kyon ke olive oil garam hota hai.

            mere bhi baal kam ho rahe hain, baalon ko ghana karne ka koi formula ho to please share here.
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment

            • #7
              Re: Baalon ki hifazat?

              aap aisa karien ke lassi se baal dhoya karein baal bohat black hon ge aur girain ge bhi nahi.aur missagar karwaya karein sarsoN ke tel ka.....:) daily kabhi baal gir gaye to kehna
              Allah

              Comment

              • #8
                Re: Baalon ki hifazat?

                Originally posted by YAARAM
                aap aisa karien ke lassi se baal dhoya karein baal bohat black hon ge aur girain ge bhi nahi.aur missagar karwaya karein sarsoN ke tel ka.....:) daily kabhi baal gir gaye to kehna
                thanx Adnan bhai
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment

                • #9
                  Re: Baalon ki hifazat?

                  Aur kahin Anupam Kher ki tarah ho gaya to...
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment

                  • #10
                    Re: Baalon ki hifazat?

                    Originally posted by Spy009
                    Nice Information Saima, thanx for sharing

                    Leking yeh batayen ke ye formula balon ko girne se rokne ke liye hai, ya conditioning k liye.

                    Yoghurt + Mustard Oil
                    Yoghurt + Olive Oil

                    which one is best...?

                    Mera ek cousin ne sarson ka tel ka massage kiya unke baal ghane ho gaye, dusre ne Olive oil use kiya koi farq nahin para balke aur baal kam ho gaye, kyon ke olive oil garam hota hai.

                    mere bhi baal kam ho rahe hain, baalon ko ghana karne ka koi formula ho to please share here.

                    Ghaney balo'n ke liyeh to defenately Mustard Oil se behter koi chiz nahi... Mei bachpan se wahi use kerti thi...magar in between school college ke time mei I statred losing hair (Tab oil use kerna chor jo diya tha ...Jel spary ka craze tha :D ) ...I was very worried about it. Magar phir mei ne Olive oil use kerna shuroo kiya .. Haftey mei kam az kam 2 -3 times massage kerti hoon is se, aur weeeknd per wo conditioner, wo sirf conditioner nahi its the best nutrishion for you r hair as well. And I dont having hair falling problem any more.

                    Aap ne yeh baat sahi kahi Olive Oil garam hot ahai , meri mama bhi yahi kehti hain, magar mei ne Hadees mei parha hai Jis mei Khudh Hazor-e-Akram Hazrat Mohammed (S.A.W.W) ne fermaya hai "Balon mei zaiton ka tail istemal kerna aur jism (skin) per is ka istemal behad mufeed hai) to is se aagey kya kehna :)

                    Magar Mustard Oil ki ahmiyat apni jaga hai... My dad has been using Mustard Oil since his chilhood , he's about to reach his retirement age magar kabhi baal nahi girey ..... most of his hair are grown gray but not a single white :)
                    sigpic

                    Comment

                    • #11

                      Thanks for providing information, waise main Dabur Vatika coconut use karta hoon,

                      Massage wala formula thik hai, weekend mein main bhi use karoonga.

                      And last I'll forward this mail to Salman Khan, bechara Sallu ka bhi baal kam ho raha hai
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment

                      • #12
                        Re: Baalon ki hifazat?

                        Shukriya Shaheen,
                        Olive oil garm zaroor hota hai magar is ko isteymaal kerney sey naye baalon ki growth bhi hoti hai,

                        doosra ye key baal white itney jaldi nahi hotey ....ye mey ney apney barhon sey suna hai leykin aik mazzey ki baat meyri aik aunty hein and she says key jab wo deykhein un key baalon mey aik baal sufaid honey laga hai to wo foran olive oil laga leyti hein aur un ka wo baal phir sey black ho jata hai ... lol
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #13
                          Re: Baalon ki hifazat?

                          Originally posted by Spy009
                          Thanks for providing information, waise main Dabur Vatika coconut use karta hoon,

                          Massage wala formula thik hai, weekend mein main bhi use karoonga.

                          U'r always welcome ... :)

                          Originally posted by Spy009
                          And last I'll forward this mail to Salman Khan, bechara Sallu ka bhi baal kam ho raha hai

                          :lol Right
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: Baalon ki hifazat?

                            Originally posted by barg.e.gul
                            Shukriya Shaheen,
                            Olive oil garm zaroor hota hai magar is ko isteymaal kerney sey naye baalon ki growth bhi hoti hai,
                            Right :maan:

                            Originally posted by barg.e.gul
                            doosra ye key baal white itney jaldi nahi hotey ....ye mey ney apney barhon sey suna hai leykin aik mazzey ki baat meyri aik aunty hein and she says key jab wo deykhein un key baalon mey aik baal sufaid honey laga hai to wo foran olive oil laga leyti hein aur un ka wo baal phir sey black ho jata hai ... lol
                            Woww...... thnx for telling yeh mujhe nahi pata tha .......jab school mei they I had 2 white hair ...I kept wondering k ab wo kaha gayeh hain :D
                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: Baalon ki hifazat?

                              Oh ho phir to Zaitoon aur Sarson ke bich confusion paida ho rahi hai,
                              koun sa oil achha huwa yeh bateyn...
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment

                              Working...
                              X