Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

    Originally posted by Nadia khan View Post
    nahi dear tum tu apni ho parai nahi esa feel na karna
    welcome dear :hug:
    tu phir aj k baad no sorries....:taali:
    .......................!!!!!

    Comment


    • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

      Originally posted by bhataktii rooh View Post
      1. A'fra

      2. hmmm bhut saarey hain...but aik jo filhaal yaad araha hai...wo yeh k aik baar hamarii class ki larrkiyoon ne cold drinks ki cans main paanii bhar k rakh diya tha..k jo bhi pehley aye ga us par daalein gey...jaisey hi darwaza khula sub ne paanii phainka kisi kisi ne tu poorii cans hii phaink dein...laikin jub thorra hungama khamosh howa tu daikha wo tu humarey Physics k teacher they...:lol

      3. Rotii bhut hoon..

      4. bhut saarey they..ab chunkey aik hi bhai hai tu nic bhi aik hi hai...katty..

      5. strong tu yeh k kisi se kabhi zyada expect nai kartii...n weak point yeh hai k main apnoo ka dard bardasht nai kar saktii..

      6. jin main diplomacy na ho...
      diplomacy tu ek achi cheez hoti hey..... aap yakeena hypocrate loogon ki baat ki taraf ishara hey......:shyy:

      ab tu mein bhi apni choooooooooooooti si behan ko katty kah kar pukaron gi......... :khi:
      sigpic

      Comment


      • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

        katty mera aap se ek sawaal hey me ko yeh batain aap akhari baar kab roe thein?? aur kis baat per roe thein??
        sigpic

        Comment


        • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

          Originally posted by safia View Post
          diplomacy tu ek achi cheez hoti hey..... aap yakeena hypocrate loogon ki baat ki taraf ishara hey......:shyy:
          kahiin ap bhi tu.....372-shock

          Originally posted by safia View Post
          ab tu mein bhi apni choooooooooooooti si behan ko katty kah kar pukaron gi......... :khi:
          Katty sirf friends n bhai pukartey hain...u tu dushman ho na...
          .......................!!!!!

          Comment


          • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

            Originally posted by safia View Post
            katty mera aap se ek sawaal hey me ko yeh batain aap akhari baar kab roe thein?? aur kis baat per roe thein??
            akhrii baar abhi thorri dair pehley royii thii....tabiyat bhut kharaab hai....or me bilkul akelii hoon....
            .......................!!!!!

            Comment


            • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

              Originally posted by bhataktii rooh View Post
              akhrii baar abhi thorri dair pehley royii thii....tabiyat bhut kharaab hai....or me bilkul akelii hoon....
              array kabhi khud ko akela feel mat kia kar..... books parha karo, namaz parha karo, net surf kia karo.... enjoy yaaar....

              meinay tu ek apnay under mein ek poori duniya basa rakhi hey jab bhi tanhai feel hoti hey buss uss dunia mein chali jaati hoon...... :lpop:
              sigpic

              Comment


              • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                Originally posted by safia View Post
                array kabhi khud ko akela feel mat kia kar..... books parha karo, namaz parha karo, net surf kia karo.... enjoy yaaar....

                meinay tu ek apnay under mein ek poori duniya basa rakhi hey jab bhi tanhai feel hoti hey buss uss dunia mein chali jaati hoon...... :lpop:
                its easy to say ..but....
                .......................!!!!!

                Comment


                • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                  Me ko yad agaya me ne sawal karne thay

                  1. U ne Chemical Engineering hi kyun karni he koi aur kyun nahi....???
                  2. Chemical Engineering k baad kia karne ka plan he...???
                  3. Aur kabhi aesa laga k jo kam app nahi kar rahe is waja se k wo ghalat/bura he - wo asul me app is lie nahi kar rahe kyun k app wo kar hi nahi sakte, app me taqat hi nahi he.....???

                  bus itne se hi sawal he...

                  Comment


                  • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                    Q.No.30...Ishq or Muhabbat main kiya Farq hai??

                    Ans..Jis sey insaan ko ishq ho us k ehsaas se hi dil ki dharkan taiz hojatii hai..
                    jub k jis sey muhabbat ho us k qurb k ehsaas se khushi hoti hai..

                    jis sey ishq ho us k saath sardii ka mousam bhi bahaar ka sa lagta hai

                    jis sey muhabbat ho us k saath sardii ka mousam bhi khoobsoorat lagta hai..

                    jis sey ishq ho us ki aankhoon main daikhtey hi gaaloon par laali ajatii hai..

                    jis se muhaabat ho us ki ankhoon main daikh kar hoontoo par muskurahat ati hai

                    jis sey ishq ho us sey wo kuch nai keh saktey jo ap k dil main hai..

                    jis sey muhabat ho ap us sey keh saktey hain..

                    jis sey ishq ho us ki ankhoon main insaan directly daikh nai sakta..

                    jis sey muhabbat ho us ki ankhoon mai daikh kar smile zaroor dey sakta hai..

                    jis sey ishq ho agar wo roye tu ap ko saath rona parrta hai..

                    jis sey muhabbat ho agar wo roye tu ap us k aansoo poonch saktey hain..

                    muhabbat k ehsaas ko mitaney k liye agar ap apni ankein bund kar lein wo aansoo bun kar beh tu jaye ga magar humesha ap k dil main rahey ga..

                    jub k ishq humesha rooh ki gehrayion main ap k wajood main ap main humesha zinda rahey ga..
                    Last edited by BhaTaktii RooH; 27 March 2010, 13:32.
                    .......................!!!!!

                    Comment


                    • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                      Q.No.33...

                      Yeh taqreebun do saal pehley ki baat hai..main apnii aik dost sey milney k liye hospital gayii thii..jub main us sey mil kar baahir ayi tu main ne dekha k aik larrkii jo k lagbhag 22/23 saal ki lag rahi thii (shayad koi filasteenii thii)..chair par bilkul behis baithii hai..aaspaas ka koi ehsaas nahiin usey..mujhe bhut ajeeb si lagi us ki yeh halat..main us k paas gayii ..jaisey hi main us k paas wali chair par baithii us ne merii taraf dekha..or muskura dii ..us ki ankhoon main aansoo magar phir bhi muskurahat main bhut itmenaan tha..kuch dair k liye main kuch na keh payii phir himmat kar k main ne us se poocha k kya howa..tu kehtii hai "Alhamdulillah...Alhamdulillah..Alhamdulillah..mam a ka akhrii kalaam kalma tha" mujhe itna andaaza howa k us ki ammi fout hogayein..magar itnii himmat pehlii baar main ne dekhii thii...or shayad is mai main itnii kho gayii thii k Inna lillah bhi na keh payii..us ne phir meri taraf dekha or kaha "Tum kalma parrho" main hairaan tu bhut howii magar phir main ne kalma parrh liya..or us ne merey peechey peechey aik aik lafz dohraya or chair par taik laga kar aik hichkii li..or chup chaap baithii rahii..soon i realized k wo bhi haq dey chukii...

                      Main usey kabhi bhool nai saktii..never..
                      Last edited by BhaTaktii RooH; 27 March 2010, 13:46.
                      .......................!!!!!

                      Comment


                      • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                        Originally posted by MSA View Post
                        Me ko yad agaya me ne sawal karne thay

                        1. U ne Chemical Engineering hi kyun karni he koi aur kyun nahi....???
                        2. Chemical Engineering k baad kia karne ka plan he...???
                        3. Aur kabhi aesa laga k jo kam app nahi kar rahe is waja se k wo ghalat/bura he - wo asul me app is lie nahi kar rahe kyun k app wo kar hi nahi sakte, app me taqat hi nahi he.....???

                        bus itne se hi sawal he...
                        1. kyunkii mujhey chemicals k saath khailna bhut acha lagta hai...

                        2. Main agey ki planning koi khaas nai kartii...bus jo hota hai wo honey detii hoon...

                        3. mera nature aisa lagta nahii laikin challenges mujhey bhut passand hain..jo kaam karna ho wo kar k rehtii hoon.. or jo nai karna tu bus phir us sey munh phair letii hoon..
                        han yeh hai k jo sahee hai us kliye i can face death or jo ghalat hai..Allah karney ki himmat hi na dey..
                        .......................!!!!!

                        Comment


                        • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                          Originally posted by Raniya View Post
                          jo ghalat hai..Allah karney ki himmat hi na dey..
                          :think:... gud he...:thmbup:

                          Comment


                          • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                            Originally posted by MSA View Post
                            :think:... gud he...:thmbup:
                            oohkay g...:garmi:
                            .......................!!!!!

                            Comment


                            • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                              Originally posted by Raniya View Post
                              oohkay g...:garmi:
                              :donno:...

                              Comment


                              • Re: In The Spot Light ~*Dear Bhataktii Rooh*~

                                Originally posted by MSA View Post
                                :donno:...
                                uncle dimagh par zyada zor na daalo..u such much Dexter nahii ho..:lol
                                .......................!!!!!

                                Comment

                                Working...
                                X