Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

IN the Spotlight !~rATSS ji~!

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

    Originally posted by Qabil-e-Nafrat View Post
    : Mera pasandeeda rang Green ha ..or clothing waghera main Black color ko hamesha pasand kia ha ..mujay khusboo

    Answer Q#21: her wo dish meri pasandeeda dish ha jis main kukarrrr ho ....i mean chicken ki inclusion ho to kia hi baat ha ....
    iss kay ilawa sirf ammi kay haath ka banna hua Saag..wo bhi lasssi walaa.....jo log dehaati hain unhian hi pata ha kay saag
    ka kia zaaiqa ha or kia lazzat ha ....jee main mujay roti banaana aati ha ...anda wagehra bana layta hoon .or daal paka layta hoon
    ...bas ammi nay itna hi sikhayaa ha abhi .

    hmmm...green.....:ANYWORD7...ok :D:
    saag n lassi...wowwwwwwwwwww ...yummyyyy.......
    abi bas itna hi pakana aata hai tumain......372-shock
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment


    • #47
      re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

      Originally posted by *Hala* View Post
      haa!! nice.... :eye:
      buht khushi hoi apsy mil kar....
      :salam:

      Comment


      • #48
        re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

        Originally posted by aabi2cool View Post
        یار عبدالرحمٰن تم تو واقعی میں شیر علی سے چوہے بن کر اب قابل نفرت ہوگئے ہو 372-haha ۔ ۔ ۔ ۔۔ خیر سوری میں لیٹ ہوگیا ویکم آن ہاٹ سیٹ

        :phool:
        :khi:......koi bataan nahi ...yahi bari bari baat kay aap jasi qabile qader hasti na time nikala or mujay yaha aa ker welcome kia :hug:...love you :blush:

        Comment


        • #49
          re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

          Originally posted by *Hala* View Post
          Wow!! thtz grt app ko roti banana ati hai....
          kabi apni roti banani ki recipe be share kari.....
          :khi:..Hala... zaroor ....me aik din aap sab logo ki dawat keroon ga inshaAllah ...with all yummy menu ...teddy

          Comment


          • #50
            re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

            Originally posted by ummid View Post
            hey Ali welcome.. and aap ke baare emin parh ker accha laga.. I am not a regular visitor of interview thread... isi liye dair hogai... khair... khush raho... and good luck for evrything you do...:rose
            372-haha...asay keh rahi ho jasay me ko iss say pehly jaanti bhi nhi thi ..:p........i know you are ery busy nowadays .......phr bhiiii thankssss.....me ko welcome shelcome ky liayy ...:phool:

            Comment


            • #51
              re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

              Originally posted by saraah View Post
              hmmm...green.....:ANYWORD7...ok :D:
              saag n lassi...wowwwwwwwwwww ...yummyyyy.......
              abi bas itna hi pakana aata hai tumain......372-shock
              372-scare....mera to aor bih dil kerta ha ky mazeed cooking seekhoon

              Comment


              • #52
                re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                Answer Q #22: Lol...main nay hamesha ideal
                iss liay nahi banaayee kay wo mujay mil jaain
                ya main unhain paa loon ...main nay abhi tak
                hamesha ideals ko follow kerna seekha ha ..or
                meray ideal hergiz ko romantic ideals nahi hotay
                jin ka pana mai apnay ooper lazim ker loon...
                mai nay ideals hamesha apnay character ki completion
                kay liay banaayee ....or mukhtalif shobae zindagi
                say meray mukhtalif ideal hain ...like Lawrence of
                Arabia is one of my best ideals...abdul-sattar edhi sahaab
                jin say mai aik sabak seekhnay ki koshish kerta hoon
                kay her haal hain insaaniaat ki khidmat kasay ki jayee
                ...iss kay ilawa ..asal main mera idealism ka concept
                zara sa mukhtalif ha ...kiu kay na to main unique idealism
                per belief kerta hooon kiu kay aap agar kuch pana
                chahtay hain to dunya main her shobay main mukhtalif
                logo nay mukhtalif kaarnaamay serinjaam diaay aor main
                hamesha mukhtalif say mukhtalif ki talaash main
                raha hoon...or yay talaash inshAllah mernay tak jaari
                rahay gi .


                Answer Q#23: yeah ..yeah definitely ...agar to main wo shaks
                hoon jo kissi ko first impression day raha hoon to i strongly
                believe that first impression is last ...lakin aagr main wo hoon
                jo kissi ka first impression check ker raha hoon to mai first impression
                ko kabhi bhi importance nahi dayta ..kiu kay all life is based upon
                chances..and we dont have any right to impose our thoughts in first impression...


                Answer Q#24: Lol....pehli mulakaat main aglay banday ki shaklo soorat ko itnay ghor
                say daikhta hoon kay yaad rhaay ..or ..bas baat kernay ka ishtyle note kerta hoon..


                Answer Q#25: hmmm...mujy her uss terha ki gathering pasand ha jis me kisi interesting
                say topic per batain ho rahi hon ..like sports ..movies ..politics ...social work and all of this kind..
                Answer Q#26: well mujay aik personality nahi pasand balkay kai personalities pasand hain jin ka main ooper
                ideal walay question mainzikar ker chka hoon..qudratullah shahaab ..mumtaz mufti ....jasi ajeeb o ghareeb
                shaksiaat nay hamesha mujay mutasir kia aor inn ka jaado
                ser cher ker bolta ha muj per .....iss kay ilawa bhi buhat pasand hain..


                Answer Q#27: :lol....aap ka shukriaa kay aap nay tareef ki kay main acha likhtaa hoon...well
                main likhta buhat hi kam hoon aor hamesha koshish ki kay constructive likhoon
                aor likh raha hoon 4th class say .wohi say aadat peri ...or jab kuch likhnay ko dil kerta ha
                kalam khud ba khud uth hi jata ha.


                Answer Q#28:..Lol...well poetry perhna acha lagta ha per yaad rekhna intehaai mushkil ...
                lakin apni aik debate say aik shair mujay 5 saal say yaad ha...
                arz kia ha ..:
                "Payee ILm choon Shamaan bayed Gudaakht ..Kay Bay ILm natwaa khudaraa shanaas"
                yay aik farsi shair ha jis ka matlab Hala aap sab ko bataain gi ..


                Answer Q#29: jee jee guzishta 4 saal say buht dilchaspi ha or hum kuch friends
                mil ker root level per awareness ky liay campaigns bhi chala rahay hain.

                Answer Q #30: well ...daikhain jee ....kisi bhi mulk ki khudmukhtaari ki apni
                aik ahmiat hoti ha ...or mulk ka her haal main khud mukhtaar hona intehaai
                zaroori ha ...asa kay koi doosra mulk aapkay muamlaat main dakhal andaazi
                na ker skay...or khudmukhtaar honay kay liay aap kay pass aik bashaaoor
                or khudmukhtaar govt hona buhat zroori ha ...pak kay halaat ka assal zimaadar
                wo log hain jinho nay takseem say lay ker aaj tak
                mulk ki khud mukhtaari kay soday kiay hain ...and bud is raised to the tree..sab issay
                mehsoos ker saktay hain ..
                Last edited by Capt.Abdur Rehman; 19 March 2009, 17:09.

                Comment


                • #53
                  re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                  Tamam Sawalat kay mukammil Jawabat:phool:
                  Answer Q #1: Mera Poora Naam Abdur Rehman ha aor Is ka matlab "Rehman" (Allah ) ka banda .

                  Answer Q #2:Meri Jayee Paidaaish ha jee Village Choora ( a Village by the side of Chakwaal Road)...Meri Date of Birth ha
                  1st July 1987.aor iss aitbaar sa y meray ishtaar Cancer banta ha
                  .

                  Answr Q#3: Meri Family main meray amaan abaa or meray behan bhaai shamil hian aor ham log 4 behnain or 2 bhai hain. mera
                  4th number ha from the top ..or mera doosra bhai muj say chota ha so ...bhaioon main..main sab say bara hoon..


                  Answer Q#4: ghar main wasay to sab kay hi buhat kareeb hoon or sab ka ladlaa honay ki waja say sab kay buhat hi kareeb hoon
                  lakin ammi say jis terha ki qurbat ha wasi kissi say nahiteddy ...meri amaaan hi meri ham raaz hain ...koi bhi baat ho ...kuch bhi
                  ho jayee ..main sirf aor sab say pehlay ammaan ko hi bataata hoon...or jab bhi koi aham kaam kerna hota ha to ammaam say hi
                  sab say pehlay poochta hooon or jasay un ki raiyee hoti ha wasa hi kerta hoon.:embarasse

                  Answer Q #5: Meri saari schooling Islamabad say hi ha or college and university education bhi Islamabad say hi hai.:cwm:

                  Answer Q #6: heheheehe ...buhat hi mazzay ka sawaal ha ...Well jin teen rishtoon ko aap nay biyaan kia ha ...teeno ki apni jaga
                  ha aor her aik apnay aitbaar say ahmiat ka hamil ha .. Family to Family hoti ha jin kay saath insaan ka khoon ka rishta hota ha
                  or chahay jasay bhi halaat ho jaain insaan yay khoon ka rishta torh nahi saktaa or iss ka pyaar ...khaloss or sachaai kabhi maili nahi
                  hoti .....jahan tak friends ki baat ha to friends meray nazdeek aapki social diet hoti hotay ha ...hehehee...habb yay koi na
                  samjhay kay main apnay friends ko kha jata hoon ....actually jab aap socially interact kertay hain mukhtalif kism kay logo say
                  to aap kay social circle main kuch asay log hotay hain jin say aapka zehan aor adaat ham aahang hoti hain or jin kay baghair aap
                  apni collective identification nahi day sakti ...so friends apni jagah per utnay hi aham hain jitnay kay family ...lakin
                  iss shert per kay wo aap kay saath true aor sincere hon ...abb Love shove ki rahi baat to uss ki bhi apni alag say ahmiat ha
                  aap jis say pyaar kertay hain wo aapki some special Instincts and problems ka hal hota ha jis ka taaluk direct aapkay dil say hota
                  ha ...so mujay teenoo rishtay hi pur khaloos lagtay hain ....aor aagar aap chahain to family main frinedly environment or ture
                  love and respect for realtions say bhi in teeno ko combine kar kay daikhain to sab hi aapko pur khaloos lagain gay ,
                  Answer Q#7: hehehee..me kia kerti hoon ...Lol....meri studies ko khatam huay thora hi arsa hua ha or me aaj kal job kering...
                  or soota bhi khoob hoon jab kuch or kaam kernay ko na ho ....

                  Answer Q # 8: kia sawaal pooch liaa aap nay ...kuch mashoor or baray logo ki terha mera bhi apnay baaray main bhi yahi khyaal ha kay
                  mujay bachpan say jahaazoo say dilchaspi thi or intehaa ki hadd tak ..flying say itna khaas nahi iterest tha ..per aircrafts
                  say buhat dil lagaya hua thaa.teddy..bachpan say lay ker matric tak nanaa jana mujay PAF bases per lay ker jaatay thay or kaafi saaray
                  aircrafts ko kareeb say daikhnay ka bhi sherf hasil ha like C-130...and Transportation Helicopters.thora sa jab mutaliaa kia to
                  MM Alam aor sarfraz rafiquee jasay pilots kay kaarnamay karoor baar perhay ...65 ki jang main PAF kay character say buhat mutaasir huaa
                  tha...

                  Fsc kay baad baray shok say
                  apply kia thaa GDP kay liay PAF main ...i was almost done and was put in the final merit list ...and i was kept in waiting list ...so wo
                  waiting list phr waiting hi rahi aor mera khawb hi rahi or hasrat poori na hosaki ...phr wohi hui huaa jo maray parents chahtay thay
                  kay main aik engineer banoo .....phr bhi main nay action activities nahi chori aor interests ko thora change ker kay part
                  time asi activities ki jiss say Pakistan ko aaj mujh per bila shuba fakhar ha .

                  Answer Q#9: Jee Haan Bilkul ...meri zindagi kia balkay kissi ki bih zindagi muhababt kay baghair mumkin nahi .

                  Answer Q#10: technically itna gala sawaal..:p...hehehe:khi:Lol....dosti main jab tak muhabbat nahi hogi to dosti ..dosti kasay
                  lagay gi ......meray khyaal main dono cheezain aik doosray kay liay lazimo malzoom hain .


                  Answer Q#11: hehehe....Lol....thora sa sochain to shohrat to Allah nay buhat saaray logo ko day rekhi ha or wo kehtay ai kay
                  issi shohrat kay bal botay per hammain izzat bhi mili ha ...Halaankay baz daffa logo ki shohrat ka mayaar kuch mukhtalif hota
                  ha .....main apnay liay hamesha izzat ko pehlay number per or dolat ko doosrray or achi aor naik naam shohrat ko teesray number per
                  pasand keroon ga ...
                  :dance2:

                  Answer Q # 12: Main zindagi ko apni nazar say Allah ki aik naimat kay tor per daikhtaa hon ...aor sochtaa hoon kay kitnay
                  muwaakay aor kitna kuch kernay ko milta ha naa ...kasay kasay anokhay aor dilchasp kaam kerta ha insaan sirf is zindagi
                  ki badolat ...ap log khud hi aik scenario sochain kay Allah nay hamari zindagi asi na banaai hoti balkay hammain kisi sophisticated
                  environment main paida kia hota ..like khilaa makhlook wagera ki terha ..aor hummain buhat kam ahsaasaat diay hotay ....kitna kuch
                  mukhtalif lagta naa....issi liay yay jo zindagi hummain Allah pak nay di ha wo aik tohfa ha ...or agar aap ko defined definition
                  sunna chahtay ho to " Zindagi aik tohfa or moka ha hummray liay Allah kay samnay apnay aapko ashraful makhlookat sabit kernay ka".


                  Answer Q#13: Well Zindagi aik poora set of instructions ha ...jo kay kuch protocols ko her haal main follow kerti ha ...bahasiat
                  insan ham kabhi kabhi yay soch laytay hain kay yay hummaray saath hi kiu her baar azmaaish ki jaati ha ..ya ham hi kiu
                  tekleef ka shikaar hotay hain...asal main meray mutaabik asi baat nahi ,...system ko balance kernay kay liay ...iss jahana main
                  kabhi kisi ki azmaaizh ki baari aati ha ..kabhi kisssi ki azmaaish ki ....

                  Answer Q#14: nahi jee Allah ka shuakr ha asa kama nahi kiaa aaj tak kay jiss say pachtaway ka ahsaas ho ...Alhamdolillah.


                  Answer Q#15: well baatain ha jihain aap asool keh sakty hain jin ka main buhat buhat khyaal rekhta hoon...jasa kay kahin bhi
                  galat baat or kaam ho raha ho to main ussay berdaasht nahi ker saktaa ...or on the spot roknay ki bhi koshish kerta hoon ..is
                  kay ilawa kaafi had tak koshish kerta hoon kay sach bolon...wasay sach bolna intehai mushkil kaam ha dunyaa ka ..:p


                  Answer Q#16: hmmm...mujay mera bachpan buhat yaad aata ha ...jab gaaon main hawaili main khailna koodnaa....saraa saraa din ghr waaloon kay
                  pyar or muhabbat ko wasool kernaa......bas kabhi kabhi dil kerta ha kay bachpan hi lot aaye waapis...



                  Answer Q#17: well ....Lol...jazbaat to kai terhaa kay hotay hain naa..kabhi gussa bheraa hota ha jezbaat main kabhi appreciation
                  ka element hota ha jazbaat main..kabhi pyaar ka unsar gaalibh hota ha .so i react to different emotions according to the situation.


                  Answer Q#18: hehehehe...meri koi aik bayzzari waali aadat hoto bataon naa jis say ghr waalay bayzaar nahi ...me raat ko sota
                  buhat late hoon ,,or jaagtaa us say bhi zyaada late ......khanay peenay ka koi time nahi ha mera ....apni merzi ka maalik...
                  hmmma ....achi aadat ......heheheh .sochni paray gi....hmmmm...haan ghr walaay jo bhi kaam wagera kehtay hia wo main ussi time ker
                  daytaa hoon ..aksaar kabhi kabhi raat ko 2..ya 3 bajay gaaon jana paray to me kabhi bhi inkaar nahi kertaa ..chup chaap uthta hoon
                  or chala jaata hoon..bas kia keroon inaa fermaan bardaar bachaa hoon naa


                  Answer Q #19: Mera pasandeeda rang Green ha ..or clothing waghera main Black color ko hamesha pasand kia ha ..mujay khusboo
                  lagaanay ka bayintehaa shok ha ..or jo milti ha wohi laga layta hoon ..koi khaas fav khusboo nahi nahi ....lakin baghair khusboo kay
                  ghr main bhi nahi baith'ta.

                  Answer Q # 20: well ..hehehe...logo kay mutaabik kay main jo bhi pehnoo wo mujay suit kerta ha ...or issi liay shalwaar kameez
                  or Jeanz...baray shok say pehnta hoon ....zyaada jeanz pehn'na hi pasand ha ....


                  Answer Q#21: her wo dish meri pasandeeda dish ha jis main kukarrrr ho ....i mean chicken ki inclusion ho to kia hi baat ha ....
                  iss kay ilawa sirf ammi kay haath ka banna hua Saag..wo bhi lasssi walaa.....jo log dehaati hain unhian hi pata ha kay saag
                  ka kia zaaiqa ha or kia lazzat ha ....jee main mujay roti banaana aati ha ...anda wagehra bana layta hoon .or daal paka layta hoon
                  ...bas ammi nay itna hi sikhayaa ha abhi .

                  Answer Q #22: Lol...main nay hamesha ideal
                  iss liay nahi banaayee kay wo mujay mil jaain
                  ya main unhain paa loon ...main nay abhi tak
                  hamesha ideals ko follow kerna seekha ha ..or
                  meray ideal hergiz ko romantic ideals nahi hotay
                  jin ka pana mai apnay ooper lazim ker loon...
                  mai nay ideals hamesha apnay character ki completion
                  kay liay banaayee ....or mukhtalif shobae zindagi
                  say meray mukhtalif ideal hain ...like Lawrence of
                  Arabia is one of my best ideals...abdul-sattar edhi sahaab
                  jin say mai aik sabak seekhnay ki koshish kerta hoon
                  kay her haal hain insaaniaat ki khidmat kasay ki jayee
                  ...iss kay ilawa ..asal main mera idealism ka concept
                  zara sa mukhtalif ha ...kiu kay na to main unique idealism
                  per belief kerta hooon kiu kay aap agar kuch pana
                  chahtay hain to dunya main her shobay main mukhtalif
                  logo nay mukhtalif kaarnaamay serinjaam diaay aor main
                  hamesha mukhtalif say mukhtalif ki talaash main
                  raha hoon...or yay talaash inshAllah mernay tak jaari
                  rahay gi .


                  Answer Q#23: yeah ..yeah definitely ...agar to main wo shaks
                  hoon jo kissi ko first impression day raha hoon to i strongly
                  believe that first impression is last ...lakin aagr main wo hoon
                  jo kissi ka first impression check ker raha hoon to mai first impression
                  ko kabhi bhi importance nahi dayta ..kiu kay all life is based upon
                  chances..and we dont have any right to impose our thoughts in first impression...


                  Answer Q#24: Lol....pehli mulakaat main aglay banday ki shaklo soorat ko itnay ghor
                  say daikhta hoon kay yaad rhaay ..or ..bas baat kernay ka ishtyle note kerta hoon..


                  Answer Q#25: hmmm...mujy her uss terha ki gathering pasand ha jis me kisi interesting
                  say topic per batain ho rahi hon ..like sports ..movies ..politics ...social work and all of this kind..
                  Answer Q#26: well mujay aik personality nahi pasand balkay kai personalities pasand hain jin ka main ooper
                  ideal walay question mainzikar ker chka hoon..qudratullah shahaab ..mumtaz mufti ....jasi ajeeb o ghareeb
                  shaksiaat nay hamesha mujay mutasir kia aor inn ka jaado
                  ser cher ker bolta ha muj per .....iss kay ilawa bhi buhat pasand hain..


                  Answer Q#27: :lol....aap ka shukriaa kay aap nay tareef ki kay main acha likhtaa hoon...well
                  main likhta buhat hi kam hoon aor hamesha koshish ki kay constructive likhoon
                  aor likh raha hoon 4th class say .wohi say aadat peri ...or jab kuch likhnay ko dil kerta ha
                  kalam khud ba khud uth hi jata ha.


                  Answer Q#28:..Lol...well poetry perhna acha lagta ha per yaad rekhna intehaai mushkil ...
                  lakin apni aik debate say aik shair mujay 5 saal say yaad ha...
                  arz kia ha ..:
                  "Payee ILm choon Shamaan bayed Gudaakht ..Kay Bay ILm natwaa khudaraa shanaas"
                  yay aik farsi shair ha jis ka matlab Hala aap sab ko bataain gi ..


                  Answer Q#29: jee jee guzishta 4 saal say buht dilchaspi ha or hum kuch friends
                  mil ker root level per awareness ky liay campaigns bhi chala rahay hain.

                  Answer Q #30: well ...daikhain jee ....kisi bhi mulk ki khudmukhtaari ki apni
                  aik ahmiat hoti ha ...or mulk ka her haal main khud mukhtaar hona intehaai
                  zaroori ha ...asa kay koi doosra mulk aapkay muamlaat main dakhal andaazi
                  na ker skay...or khudmukhtaar honay kay liay aap kay pass aik bashaaoor
                  or khudmukhtaar govt hona buhat zroori ha ...pak kay halaat ka assal zimaadar
                  wo log hain jinho nay takseem say lay ker aaj tak
                  mulk ki khud mukhtaari kay soday kiay hain ...and bud is raised to the tree..sab issay
                  mehsoos ker saktay hain ..




                  Answer Q #31:
                  Corruption ya crime ko roknay ka aik hi tareeka ha kay
                  ham sab apnay muamlat main apnay aap ko theek ker lain ..choti choti
                  baaton ka dhyaan rekhain aor chotay say level per bhi koi galat kaam na kerain..
                  meray khyaal main yay nazriaa kay choti buraai kernay say kuch nahi hota ,hamesha
                  bari buraaioon ko janam dayta ha ..issi liay hummain chiaayee kay choti buriaaon ko hi
                  jarh say phainknay ki koshish kerain .


                  Answer Q#32: hehe ..LOl....pakistan jis mehkmay main poori dunya say maar kha raha ha
                  wo ha safarat kaari ....me aik maheenay main pakistan ka safarat kaari ka mehkmaa drust kernay ki
                  poori koshish keroon ga .


                  Answer Q#33:...well ..Lol.....dobara zindagi mili to tab bhi yahi kuch keroon ga jo abhi kering .

                  Answer Q#34: zyada ter khaawb hi meri zindagi megerdishain kertay hain ...lakin zinda rehny ky liay hakeekton ka
                  samna kerna perta ha ..!!


                  Answer Q#35: Lol.....Zahiri khoobsoorti ma mujy bholay bhaaly log buht pasand hain ...or asay log jin ki shaklain aiik
                  afsaana hon ....aor batin ki khoobsoorti to phr insaan ka androon bataati ha ky insaan ander say kitna saaf ha
                  .
                  Answer Q #36:....parents ki judaai say der lagta ha...Allah amman or abba ko sehat or tandrusti aor umre daraaz ata fermayee ameen.

                  Answer Q#37: by the way hit say muraad kia aapki..??Lol
                  agar iss ka matlab yahan kisi ko physical hit kerna ha to ..me uss banday ko hit kerny ki koshish kerta hoon jo
                  meray saamny bura kaam kerraha ho or meray kehny perwo kaam na rokay

                  Answer Q#38: Lol...muhabbat main fatah ya shikast ka koi wajood nhi .....muhabbat to ik lateef jazbaa ha
                  ik asa ahsaas ha jo sirf app ky pass hamesha ky liay mehfooz rehta ha ...jo log muhabbat kertay hain unhain
                  sirf uss ahsas say lagaao hota ha jiss say wo apony mehboob ki her wakt pehchaan or
                  shanaakht rekhtay hain .

                  Answer Q#39:nhi jee Alhamdolilla koi telk tajurba nhi .
                  Answer Q#40:Lol...jee kiu nai ...meri aadat ha aainay ky saamny kharay ho ker mukhtalif pose maarny ki or
                  phr khud per hi hansny ki ....funny face expressions bana ker hansnaa aadat ha .


                  Answer Q#41: hmmmmmm...zindagi ky saaray hi lamhaat wasay to khushgawar hain ..lakin university life
                  ka apna hi maza ha jo abhi abhi khatam hui ha ....zabardasti ki treats laynaa .....saari saari raat games khailtay
                  rehnaa ...uss ky ilawa ma apny gaaon ma hamesha khush hota hoon ...or wahan jaa ker khoobemjoy bhi kerta hoon .
                  .

                  Answer Q#42:..hmm..agr pass koi jootay ki shop hui to new ly loon ga werna nangy paaon hi chlta rahoon ga

                  Answer Q#43:hmmm...hmmmm....bazaari khaano ma her terha ka chicken oriented food pasand ha mujy or wo bhi desi ...dont like chinese ..andblah blah
                  Answer:Q#44:Lol...me asi zid nhi kertaa ky khaana merzi ka na pakka ho to irritate ho jaaon...bus khaalyta hoon....koi nakhraa nhi k ertaa
                  Answer Q#45:lol....meri wasay bhi aadat ha late timings ma kabristaan jaanay ki or wo bhi bachpan say ..issi liay khushi chala jaaon ga....pg per kuch members
                  ko meri asi ajeeb aadton sat khhob wakfiat ha
                  ...
                  Answer Q#46:Pegham per searching ky hrough ana hua..
                  Answer Q#47:hmm..Pegham per ..her sections main buhat achy posters mojood hain ..issi liay takreeban sab log hi mashaAllah super dooper posters hain.
                  Answer Q#48: Well.....lol...dosti to buhat say logo say hain ...munda sialkoty....Hala..ummid..musaddq...Khushi...itfrea k...mSa...Saraah ...Jia....Gul....champion pakistani....Asad....or bhi buhat log ...yay sab meray
                  paalay paalay shy dosht hain ..or saaray hi fav hain ....

                  Answer Q#49:Lol...tough question.....meray jitny dost hain pg per sab say hi milna pasand keron ga
                  Answer Q #50: Pegham ...aik acha forum ha or mazeed acha tb hi hosakta ha jb administrative issues ko achay tareeky say hal ker lia jayee

                  Comment


                  • #54
                    re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                    welcome :rose
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #55
                      re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      welcome :rose
                      thanks:rose

                      Comment


                      • #56
                        re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                        Originally posted by Qabil-e-Nafrat View Post
                        :khi:......koi bataan nahi ...yahi bari bari baat kay aap jasi qabile qader hasti na time nikala or mujay yaha aa ker welcome kia :hug:...love you :blush:
                        i love u to yaar per yaar mery baray main aapnay bayja mubaligha kardiya . .. kahir ab choro is per tum kaheen aur mubaliga na karnay logo is liye sawal karta hon k kaya kabhi zindgi main koi aysa lamha aya k tum nay khud ko kisi dorahay per khara paya ho? aur agar aysa hua to phir aysi surtehal main khud ko kis qadar mazboot paya?
                        Last edited by aabi2cool; 20 March 2009, 19:20.
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #57
                          re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                          zabardast jawabat Rehman ji.... buht sara khush rahein..
                          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                          :pr:

                          Comment


                          • #58
                            re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                            ab meri questionz....
                            1.agar kabhi aladin ka chiragh mil jay tu kon c 4 wishes karogi app. :hhh:
                            2. app computer pe rozana kitna time spend karti ho. or gamez kyon khelti ho :hhh:
                            3. Apna koi aise tareef jo hamesha yaad rah hoo :hhh:
                            4. agar koi appko cheat kari to app kia karogi :hhh:
                            5. koi be faisla karti waqat demagh ka sochti ho ya dil ka? :hhh:
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment


                            • #59
                              re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                              Originally posted by aabi2cool View Post
                              i love u to yaar per yaar mery baray main aapnay bayja mubaligha kardiya . .. kahir ab choro is per tum kaheen aur mubaliga na karnay logo is liye sawal karta hon k kaya kabhi zindgi main koi aysa lamha aya k tum nay khud ko kisi dorahay per khara paya ho? aur agar aysa hua to phir aysi surtehal main khud ko kis qadar mazboot paya?
                              Allah ka shukar ha kay main nay hamesha apni cheezain well planned ki hain or hamesha alternatives ko ready rekha ha ...yaani her kaam aik khaas hikmate amli kay tehat kerta hon issi liay kabhi bhi asa mehsoos nahi hua kay main kisi endpoint per puhanch gaya hoon jaha aagay andhera jangal ha ...mera iss baat per hamesha yakeen ha kay aap agar apnay kaamoo main mazboot hikmate amli apnaain to bila shuba Allah ki madad say aap her kaam ker saktay ha dunya ka wo bh 100% kaamyaabi say .

                              Comment


                              • #60
                                re: IN the Spotlight !~rATSS ji~!

                                Originally posted by *Hala* View Post
                                zabardast jawabat Rehman ji.... buht sara khush rahein..
                                :phool:...dheraa manaana hala jee

                                Comment

                                Working...
                                X