Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Muskan *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

    spy general knowledge key sath sath us ka link idher bhi daal dijiye ga ....inshALlah....(Y)
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

      Originally posted by khan
      AOA,

      Aap k nazdeek zindagi ki talkh haqeeqat kia hai:)


      Sohail Abbasi.


      Sohail Bhai dekha jaye to zindagi bazat e khud aik talakh haqeeqat hey jis ka samna har insan kerta hey.
      Baqi zindagi milnay k bahd insan jin rishton se wabusta ho jata hey wo rishtay kisi nah kisi gaam per zaroor badal jatay hein........sath chorr jatay hein...unn ki ahmiyat kum ho jati hey.....aik doosray k liye waqtnhi rehta. kehnay ka maqsad yeh hey k insan tunha hi aata hey, beshumar saharon k darmyan bhi tunha hi jeeta hey aur tunha hi mar jata hey.
      bass sans ruki nhi k insan mayyat aur lash ban jata hey.............iss se zayada talakhi ki bat aur kia ho gi!

      Comment


      • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

        Originally posted by YAARAM
        aur kuch nai bass Yaaram aik achi si ghzal ki farmayish karta hay .....jis ko parh ke mood acha ho jaye.....u know my taste...


        Yaaram aap ki farmayesh per............pasand nah aaye to phir bhi bardasht ker lijiye ga.:thmbup:?
        Attached Files

        Comment


        • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

          Originally posted by Muskan
          Sohail Bhai dekha jaye to zindagi bazat e khud aik talakh haqeeqat hey jis ka samna har insan kerta hey.
          Baqi zindagi milnay k bahd insan jin rishton se wabusta ho jata hey wo rishtay kisi nah kisi gaam per zaroor badal jatay hein........sath chorr jatay hein...unn ki ahmiyat kum ho jati hey.....aik doosray k liye waqtnhi rehta. kehnay ka maqsad yeh hey k insan tunha hi aata hey, beshumar saharon k darmyan bhi tunha hi jeeta hey aur tunha hi mar jata hey.
          bass sans ruki nhi k insan mayyat aur lash ban jata hey.............iss se zayada talakhi ki bat aur kia ho gi!

          AOA,

          Sis Jo baat aap nain ki wo haqbjanab hai bilkol itfaaq hai aap ki baat se.


          Sohail Abbasi.
          Apna haq ada karo.

          Comment


          • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

            gul kay sawalat or aap kay jawabat donoo buhat pasand aye hain :ghug:


            mera yeh sawal hai kay jesa kaay aap nay kaha kay aap job karti hain ...to yeh batey aap ki shadi shuda zindagi main is ka kia asar para ??? job kitni zarori hoti hai ?
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

              Muskan sister...aap ki koi bhi takhleeq aaj tak padha nahin, lekin yeh jo padha waqayi dil ko chhoo gaya...

              Abr muhabbat hi naa barsa mere shahar mein warna
              Veeraney yeh ban jaatey gulsitaan mere

              Tujhey paa kar kho diya yeh zabt nahin mera
              Aur kya kya loge tum imtehaan mere

              Chiraagh lahoo se ghar mein roshni kar loon
              Aao kisi shab ban ke mehmaan mere

              bahut achhey

              khush rahiye
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                chalein kisi aur ney bhi agar koi q kerna hai to ker ley aap sab key paas do din aur hein phir inshAllah Muskan ko araam kerney deytey hein ;)
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                  Originally posted by Aanchal
                  gul kay sawalat or aap kay jawabat donoo buhat pasand aye hain :ghug:


                  mera yeh sawal hai kay jesa kaay aap nay kaha kay aap job karti hain ...to yeh batey aap ki shadi shuda zindagi main is ka kia asar para ??? job kitni zarori hoti hai ?

                  :) .......ji Aanchal! job kerti hoon mugar part time......iss se meri ghareloo zindagi bilkul bhi mutasir nhi hui kiyun k meri job ki timing aisi hey k mein apnay ghar ko bhi poori tawajo deti hoon.......agar aap ghar aur baher k moamlat mein aik tawazun barqraar rakhein to iss se aap ki zindagi per koi aser nhi parrta.

                  Job kitni zaroori hoti hey??? acha swal poocha hey aap ne..........har aik ki zarooriyat ki alag noeeat hoti hey.............kuch khwateen mehz waqt guzari k liye job kerti hein, kuch apnay maali halaat se mujboor ho ker job kerti hein...........lekin meri zaroorat iss se zara see mukhtalif hey..........mein samjhti hoon k agar kisi insan mein salahiyatein hein to unhein barooye kaar lana chahiye, zaroori nhi k paisa kamana hi aap ka maqsad ho.......aagay barhnay ki justaju, halaat se muqabla kerna aur zehn ko logon ki fazool baton se door rakhnay k liye agar koi aurat job kerti hey to mera khyal hey k wo apnay waqt ka sahi tasarruf kerti hey.

                  Comment


                  • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                    Originally posted by Spy009
                    Muskan sister...aap ki koi bhi takhleeq aaj tak padha nahin, lekin yeh jo padha waqayi dil ko chhoo gaya...

                    Abr muhabbat hi naa barsa mere shahar mein warna
                    Veeraney yeh ban jaatey gulsitaan mere

                    Tujhey paa kar kho diya yeh zabt nahin mera
                    Aur kya kya loge tum imtehaan mere

                    Chiraagh lahoo se ghar mein roshni kar loon
                    Aao kisi shab ban ke mehmaan mere

                    bahut achhey

                    khush rahiye
                    Spy Bhai.aap ka bhi shukriya k aap ne itna saraaha...aur duayein bhi deen........Allah Ta'ala aap ko bhi humesha khush rakhay, ameen

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                      Originally posted by barg.e.gul
                      chalein kisi aur ney bhi agar koi q kerna hai to ker ley aap sab key paas do din aur hein phir inshAllah Muskan ko araam kerney deytey hein ;)

                      :) Gul aap kitni achi hein! mera kitna khyal rakhti hein, thanx alot.

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                        ^you welcome sis,

                        mujhey behnein bohot achi lagti hein, :)


                        Aaap ka bohot ziada shukrya itna ziada time hamein deyney ka, Allah sey du'a hai key jo kaam aap kerna chahti hein un mey Wo aap madad farmayé Ameen,

                        Acha laga aap ka interview ley ker,
                        Khush rahien inshAllah :rose
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~


                          Meri itni zayada behnain hein k gintti mein hi nhi ateen, .......aur mujhey be hadd khushi hoti hey:D: jub koi izzat se mujhey behn kehta hey.........:dua Allah meri inn sub behnon ko khush rakhay aur salamat rakhay, ameen.......Aanchal k siwa sub meri behnain hein yehan.....wo tooo sub ki naaaaniiiii hein :D naa!.naani k liye:rose :rose :rose :rose :rose :rose :khi: .

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                            Assalaam o alekum,


                            muskan aapke saare jawaabaat perhe aur saare hi jawaabaat qaabil e taaref hain bahoot hi sooch samajh ker jawaab diye hain aap chand ek jawaabaat perh ker behud khushi hai aapki sooch aur aapke dil mien qaum ke liye jo jazba hai use dekh ker achchaa lagaa :) bass ek baat se ittefaaq nahin hai wo yeh ke aurat ka job kernien aapnien kahaa ke insaan mien salaahiyet hai usse nikhaarnaa chaahiye to meri samajh se aurat ki salaahiyat ko parakhne ke liye zaroori nahin ke wo ghar se baahir jaa ker hi salahiyat kaa pataa nahin chaltaa mere khayaal se aurat ki salaahiyat usske ghar se pehchani jaati hai ke wo apnien ghar ko kaise smabhaal ti hai apni aulaad ki perwarish kaise kerti hai etc dont mind it its any perosnal wth any one
                            :tang: RISK IS MY BUSINESS

                            DANGER IS MY GAME

                            DONT PLAY WITH ME
                            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                              Originally posted by khurram_shaikh
                              Assalaam o alekum,


                              muskan aapke saare jawaabaat perhe aur saare hi jawaabaat qaabil e taaref hain bahoot hi sooch samajh ker jawaab diye hain aap chand ek jawaabaat perh ker behud khushi hai aapki sooch aur aapke dil mien qaum ke liye jo jazba hai use dekh ker achchaa lagaa :) bass ek baat se ittefaaq nahin hai wo yeh ke aurat ka job kernien aapnien kahaa ke insaan mien salaahiyet hai usse nikhaarnaa chaahiye to meri samajh se aurat ki salaahiyat ko parakhne ke liye zaroori nahin ke wo ghar se baahir jaa ker hi salahiyat kaa pataa nahin chaltaa mere khayaal se aurat ki salaahiyat usske ghar se pehchani jaati hai ke wo apnien ghar ko kaise smabhaal ti hai apni aulaad ki perwarish kaise kerti hai etc dont mind it its any perosnal wth any one
                              Khurram Bhaiiiiiiiiiii yeh kia? apni bat bhi keh di aap ne aur sath yeh bhi keh rhay hein k Dont Mind..........Mein ne jo jwab diya hey na job k baray mein, aap plz ussay bar bar parhein to aap ko apni bat ka jwab khud bakhud mil jaye ga.:) ......... ager nhi to Gul ne GS mein aik thread "21ween saddi ki aurat" start kiya tha wahan mera reply parh lijiye, to shayed aap ittefaq ker hi lein. nah bhi karein to koi bat nhi har aik ki apni apni raaye hoti hey. aap ki raaye ka mein 100% ahtram kerti hoon.:)

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                                Originally posted by Muskan
                                Yaaram aap ki farmayesh per............pasand nah aaye to phir bhi bardasht ker lijiye ga.:thmbup:?
                                Bohat umdah ghazal likhi hai Muskan..bohat pasand aayi kamal ki hay thank u so much
                                Allah

                                Comment

                                Working...
                                X