Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Muskan *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

    Originally posted by Arooj
    koi Ahsi baat muskan jo aap dosroon tak pohanchana chain:)

    Ji arroj amooman mein kaha kerti hoon k insan ki qader kijiye,insaniyat ko ruswa nah kijiye, aur mojoodah halaat mein to humein Allah Ta'ala ne mouqa diya hey k hum apnay insan honay ka saboot dein aur apnay behn bhaiyon ki maded karein jo zalzalay jaisi naghani aafat se dochaar huye hein.

    Comment


    • #92
      Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

      Muskan bohat der ho gaee hai, sorry for being late :)
      Attached Files
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #93
        Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

        Muskan mere sawal yeh rahey...:rose :rose

        1.) Agar aap ko aisa mauqa mile aur Free mein aap ko ticket diya jaye to aap kisey tarjeeh dengi
        a.)Crickety match
        b.)Football match
        c.)Film in theatre

        2.) Aata gundhney ka shoq hai to batayen ke
        Roti senkney per kyon phulta hai
        OR
        Puri talney pe kyon phulta hai

        3.) 2 saal ka ek cute bachha aur ek bachhi, dono mein se kisi ek


        4.)

        5.)
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #94
          Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

          Asalam alaikum Muskan,

          "Road to success is always under construction" .... exactly aeysa hi hota hai :)

          mujhey aap key sarey key sarey jawabaat bohot achey lagey.... including pegham key members key liye Pegham

          meyri Allah sey du'a hai key aik itna payyara kaam jo aap shuru kerna chahti hein us mey aap key liye asaani paida ho Ameen.

          aur baki in sab logon ney abhi tak aap ko yahan khara kiya hua hai :P
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #95
            Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

            Ji masood saahb har masroof aadmi yehi kehta hey k sorry mein late ho gaya!:) .......aap dair se aaye per aaye to sahiiii!

            aap k swalon k jwab liye hazir hoon.

            1. shayed insaan, insaan se ukta gaya hey iss liye aisa kernay per mujboor hey? Prindon ko ghar ki zeenat har gizz nhi banana chahiye yeh sara ser zulm hey unn ki bezubani aur be bassi per.......

            2. Dard e dil ki wajoohat maaloom ki jayein phir yad e ilahi ko iss ka ilaj bnaya jaye to inshaAllah AAP ko afaqa ho ga. :)

            3. Dil ko chaut lagay to ASHK bahanay k liye aur jub insan be bass aur lachar ho jaye to yeh peenay k hi kam aatay hein k insan k gham ka alaao uss k apnay ansoun se hi thunda ho sakta hey kisi ki tasalli ya dilasay se nhi.

            4. hnmm jo zamanay ko bura kehtay hein wo yeh bhool jatay hein k wo bhi zamanay ki aik akaai hein........ager khud ko sanwaar liya jaye to zamana bhi bura nhi rahay ga.

            Comment


            • #96
              Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

              Originally posted by Spy009
              Muskan mere sawal yeh rahey...:rose :rose

              1.) Agar aap ko aisa mauqa mile aur Free mein aap ko ticket diya jaye to aap kisey tarjeeh dengi
              a.)Crickety match
              b.)Football match
              c.)Film in theatre

              2.) Aata gundhney ka shoq hai to batayen ke
              Roti senkney per kyon phulta hai
              OR
              Puri talney pe kyon phulta hai

              3.) 2 saal ka ek cute bachha aur ek bachhi, dono mein se kisi ek


              4.)

              5.)
              Spy Bhai meray jwab yeh rahay :)

              1. mujhey kai bar free tickets milay even for live shows, mugar mein khud jana pasand nhi kerti iss liye family ya doston ko de deti hoon. Aap ne poocha to shayed 1 ghantay k liye cricket dekhnay chali jaoon iss se zayada nhi.

              2. spy mujhey aata goondhnay se sakht chirr hey,phir aap ne aisa swal kiun poocha?:hathora waisay roti bhaap bher janay ki wajah se phoolti hey aur poori k aattay m butter hota hy iss liye phoolti hey.

              3. mein BACHIIIII loon gi.:)

              4. meray bhai kon se jadeed alaat ki bat ker rahay hein aap? hum pakistan mein rehtay hein jo aik taraqqi pazeer mulk hey. han agar itnay wasayel muyassar hotay to mojooda hukmran bhi zaroor un ka istemal kertay. aur mein bhi yehi kerti k jahan jahan mumkin hota zaroor aur jald imdad pohnchati.


              5. 8 October se pehlay dekha jaye to yehi nazar ata tha k humari qaum mein ittehad nam ki koi cheez nhi hey mugar iss sanehay k bahd haqeeqat samnay aai hey k humari qaum mein mashaAllah kis qadar ittefaq hey,log kis trah se apnay museebat zadah behn bhaiyon k liye imdad ikathi ker k pohncha rahay hein.
              agar mein yeh kahoon k humari qaum mein itthad hey mugar mukhtalif aqayed rakhnay walay mazhabi ya siyasi rehnuma hein jo nafaq ka bahes hein to ghalat nhi ho ga.
              Aap ne karachi mein muhajreen ki bat ki to meray khyal mein aisa kuch bhi nhi hey shayed chand shar pasand log hon gay jo aisa kertay hon, mein ne boht se saal karachi mein guzaray hein, han aik bat hey k soobai lehaz se logon ko jana jata tha jaisay humein punjabi kaha jata, sindhi logon ki sindh se wabastagi ki bina per sindhi hona pehchan thi, aur aaj bhi aisa hi hey lekin jahan tak aap ne discrimination ki bat ki hey to meray khyal se aisa kuch bhi nhi hey. again yeh bat kehna chahoon gi k humaray rehnuma in firqa bandiyon k zimedar hein, misal k taur per aap Altaf hussain ko le lijiye unhon ne MUHAJIR QAUMI MOVEMENT bnai......kiyun? agar wo chahtay to sub ko aik hi muqam denay k liye, mutahid kernay k liye koi aur nam bhi rakh saktay thay lekin unhon ne apni danisst mein to meray urdu bolnay walay behn bhaiyon k sath humdardi jtanay k liye party bna dali mugar unn logon k dilon mein yeh beej bhi bo dala k hUm Muhajir hein.........to spy yeh sub siyasat ka khail hey, har koi apni kursi bachanay k liye doosray ko bura aur mukhalif samjhta hey aur yeh kaha jata hey k ji kuch awam ko discriminate kiya jata hey.meray khyal se to wo log jinhon ne azaadi k liye apna ghar bar chorra, apnay aziz o aqarab ki qurbaniyan deen wo hi iss mulk k zayada haqdar hein,unhein pakistani kehlanay ka zayada haq hey.

              masajid mein humlon ka aap ne zikr kiya to again yeh sub ooper walon k kam hein, public ka 1 aadmi yeh himmat nhi ker sakta k wo Allah k ghar mein sajda raiz logon per goliyan chalaye. yeh sub inteshar humaray ulma aur siyasi rehnumaon ka phailaya hua hey.
              hnmm spy bhai kisi bhi mulk ki taraqqi ka dar o madaar uss ki economy per hota hey, khasoosan wo mumalik jo doosron k maqrooz hein. sunday ko as a weekend nhi manaya jata balkeh iss ki barri wajah aalmi tijarati market ka close hona hey, warna friday ko schools colleges aur businesses jummay ki namaz se pehlay hi band ker diye jatay hein. hona to yehi chahiye k friday ko poora din chutti honi chahiye mugar again yeh sub hakoomat mein bethay logon k faislay hein.
              mujhey umeed hey k aap meri baton ko samjh gaye hon gay.:)

              Comment


              • #97
                Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                Originally posted by barg.e.gul
                Asalam alaikum Muskan,

                "Road to success is always under construction" .... exactly aeysa hi hota hai :)

                mujhey aap key sarey key sarey jawabaat bohot achey lagey.... including pegham key members key liye Pegham

                meyri Allah sey du'a hai key aik itna payyara kaam jo aap shuru kerna chahti hein us mey aap key liye asaani paida ho Ameen.

                aur baki in sab logon ney abhi tak aap ko yahan khara kiya hua hai :P
                wallaikum asslaam Gul,

                aap ka boht shukriya.:rose :khi:
                Aap ki har dua per mein ne ameen kaha.:)

                Aur in logon ne mujhey nhi balkeh mein ne inn ko intezar mein kharra kiya hua tha,:lpop:

                Comment


                • #98
                  Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                  ^ lol sis

                  n v nice answers, waisey ye roti aur poori wali baat to mey ney kabhi nahi sochi... spy aap key zeyhan mey khayal kyon ker aur kaisey aya??
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #99
                    Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                    Originally posted by Muskan
                    Spy Bhai meray jwab yeh rahay

                    Shukriya Muskan Bahan:rose :rose :)



                    Originally posted by Muskan
                    2. spy mujhey aata goondhnay se sakht chirr hey,phir aap ne aisa swal kiun poocha?:hathora waisay roti bhaap bher janay ki wajah se phoolti hey aur poori k aattay m butter hota hy iss liye phoolti hey.


                    Iss jawab se muttmayein nahin hoon, koi scientific reason batatein to achha tha...


                    3. mein BACHIIIII loon gi.:)

                    Nice me too love female baby




                    Aap ne karachi mein muhajreen ki bat ki to meray khyal mein aisa kuch bhi nhi hey shayed chand shar pasand log hon gay jo aisa kertay hon, mein ne boht se saal karachi mein guzaray hein, han aik bat hey k soobai lehaz se logon ko jana jata tha jaisay humein punjabi kaha jata, sindhi logon ki sindh se wabastagi ki bina per sindhi hona pehchan thi, aur aaj bhi aisa hi hey lekin jahan tak aap ne discrimination ki bat ki hey to meray khyal se aisa kuch bhi nhi hey. again yeh bat kehna chahoon gi k humaray rehnuma in firqa bandiyon k zimedar hein, misal k taur per aap Altaf hussain ko le lijiye unhon ne MUHAJIR QAUMI MOVEMENT bnai......kiyun?
                    Kisi tahreeki party ka wajood tabhi hota hai jab uske qaum ke fundamental rights deprive kiya jaata ho, shayad MQM ka wajood ke peechhey yehi baat ho, Altaf Hussain 4-5 saal pehle ka byan tha ke Pakistani Karachi mein rah rahey Muajreen ko neglect kartey hain, unke saath unka rawaiyya accha nahin hai aur kayi jagahon mein to khoon kharaba bhi huwa...khair...Politics ke aad mein issey Politics ka hi matter samajhtey hain

                    Baaqi ke jawabat achhey hain sister,
                    teen sawal aap ke personality se tha,
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                      Originally posted by barg.e.gul
                      ^ lol sis

                      n v nice answers, waisey ye roti aur poori wali baat to mey ney kabhi nahi sochi... spy aap key zeyhan mey khayal kyon ker aur kaisey aya??
                      Life mein 2 baar poori banaya, jab usse tel mein daala to wo phoola nahin, tabhi ja kar zehan mein yeh Q. aaya ke yeh poori aur roti kyon phoolta hai.

                      Waise ye 6 class ke syllabus mein hai, 2-3 martaba 6-7 classes ke liye Question bhi set kiya tha.
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                        Originally posted by Spy009
                        Life mein 2 baar poori banaya, jab usse tel mein daala to wo phoola nahin, tabhi ja kar zehan mein yeh Q. aaya ke yeh poori aur roti kyon phoolta hai.

                        Waise ye 6 class ke syllabus mein hai, 2-3 martaba 6-7 classes ke liye Question bhi set kiya tha.


                        Humaray syllabus mein nhi tha na:( ........ Scientific lehaaz se mein ne boht socha mugar nhi samjh mein aaya k roti aur poori k phoolnay ki kia wajah ho skti hey, ab aap khud hi itnay interesting swal ka jwab de dijiye na SPY BHAI?

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                          Originally posted by Muskan
                          Humaray syllabus mein nhi tha na:( ........ Scientific lehaaz se mein ne boht socha mugar nhi samjh mein aaya k roti aur poori k phoolnay ki kia wajah ho skti hey, ab aap khud hi itnay interesting swal ka jwab de dijiye na SPY BHAI?
                          Iss sawal ka jawab roti bananey walon ko hona chahiye BAHNA...
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                            Originally posted by Spy009
                            Iss sawal ka jawab roti bananey walon ko hona chahiye BAHNA...
                            Bhai Roti bnanay walon ko jo pata tha wo bta diya aur aap oss jwab se mutmaeen hi nhi hein, ab kisi Scientist se poochna parray ga?:)

                            Aap btayein please coz be sabri se jwab ka intezar ker rhi hoon.

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                              Originally posted by Muskan
                              Bhai Roti bnanay walon ko jo pata tha wo bta diya aur aap oss jwab se mutmaeen hi nhi hein, ab kisi Scientist se poochna parray ga?:)

                              Aap btayein please coz be sabri se jwab ka intezar ker rhi hoon.
                              Bahna main iska jawab kisi roz Genral Education corner pe doonga.

                              shukriya
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~* Muskan *~

                                AOA,

                                Aap k nazdeek zindagi ki talkh haqeeqat kia hai:)


                                Sohail Abbasi.
                                Apna haq ada karo.

                                Comment

                                Working...
                                X