Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

    Originally posted by fari View Post
    :tasali: hosla rakhiya :wk Mai hoon na nahi bhi pas hoi tu ma pass karwadon gi:D

    pehlay tu meray sawalat ka jawab dain:khi:
    • un 40 sawalat ma se kon say sawal sab se acha laga? jes ka jawab dainay ma ap ko muskil paish aiy:D ? kon se sawal ka jawab dainay ma maza aya?
    • Ap jab khush hoti hain tu kiya karti hain chikhay marti hain , ya friends se share karti hian?
    • Apna pasandeeda shair sunaiya?
    • app pegham per designing kiun nahi karti:donno: ?

    bohat shukriya mujhe pass karwaney ki baat karney ke liye .
    waise apni mehnaat se pass hone mein apna hi ek mazza hai.

    mujhe woh sab sawalaat bohat pasand aye jin mein aap ki shararat ka anser ziyada numaya tha :tomato:
    jaise ke
    1) aap ko raat der tak jaagne ki bimaari tou nahi ?
    2) aap waqt ki kitni paband hai ?

    mushkil mujhe aap ke woh mohabbat wale sawalaat par hui , samajh nahi aa rahi thi ke jo baat mein kehna chahti hoo usse explain kaise karoo iss liye theek tarha se explain hue bhi nahi . iss kissam ke questions pehle kabhi kissi ney kiye hi nahi.

    meine aap ke sab hi sawalaat ko bohat enjoy kiya .
    waise woh jo aap ka sharmindagi wala sawaal tha usse likhne mein mujhe bohat mazza aya . mujhe bakaida sharminda hone ki acting karni pari thi . because sharminda mein last time kab hui thi yaad nahi :wk

    fari mein har haal mein normal hi rehti hoo. apne khushi aur gham ke lamhaat ko mein bohat kamm kisi se share karti hoo . lekin jab bhi karu tou uss mein of course mere family members aur friends hi hoti hai.

    dekho shairi pasand tou bohat hai lekin masslah yeh hai ke mujhe shair yaad nahi rehte hai .
    aap ko nahi lagta apna pasandeeda shair hume kisi aur ko sunana chahiye ? :mm:

    jaani mein apni life mein bohat ziyada busy rehti hoo. designing ke liye fresh mind aur time chahiye jo filhaal mere paas nahi hai . lekin kabhi bhi dil kiya aur time mila tou zaroor karu gi . waise mujhe designing se ziyada animation ka craze hai. chalo dekhte hai kya hota hai . Allah acha hi karey.

    mere khayal mein sab jawabat mil gaye hai
    abhi ijazaat hai
    Allah Hafiz
    :rose Refreshing_breeze :rose

    Comment

    • #62
      Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

      Aap ke answer perhay, acha laga aap ke baray jaan ke...now comming to some questions from ma side...r u ready? ok...

      1. Aap ke family members kitnay hein aur un mein sub se ziada kareeb kis ke hein? in sense ke aap jis se sub kuch share kar sakein.

      2. Aik maheenay mein ghar mein kitni baar larai hoti he :hehe: aur ziada tar kis se hoti he, mostly outcome kia hota he?

      3. Ager aap ko 2 din chaye na milay to us ka alternative kia ho ga aap ke paas? kese guzara karein gi :p

      4. Love with opposite gender, yeh kitna zaroori he aur aap ka is baray mein kia nazriya he, ke pyaar ho jata he...is it fair to carry on before marriage? ya jo bhi aap soochti hein, tafeel se beyaan kejiye.

      5. Aap ki koi aisi shadeed khawahish jo abi puri hona baki he? ager aap munasib samjein to bata dijiye.

      aap ke answers ka intzaar rahay ga :)
      :thmbup:

      Comment

      • #63
        Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

        Originally posted by munda_sialkoty View Post

        1)
        jee hum total 5 family members hai.
        mama , papa , my self, younger sister , younger brother.
        sab se ziyada kareeb mein apni mother ke hoo, bohat ziyada friendly hai, lekin un se bhi mein apni pareshaniyo ko share nahi karti hoo ke mujhe woh apni wajah se kabhi bhi udass nazar nahi aani chahiye. apni problems mein apney tak hi mehdud rakhti hoo.

        2)
        mein bohat aman pasand insaan hoo.
        iss liye larai nahi hoti hai . waqti behass hoti hai kabhi kabhi woh bhi aman ki surat mein . behass kissi bhi members se ho sakti hai. koi khass nahi hai.

        3)
        dekho zindagi mein meine kissi bhi cheez ko apni majbori nahi banai hai. ziyada din bhi tea na mile tou guzara kar loo gi , thora sar dard ho ga , talab bhi ho gi , lekin koi baat nahi . waise aisa mere saath ho chuka hai. Allah ne bohat sabbar de kar bheja hai iss zameen pe .
        aap ney yeh sawaal kyu pucha hai kahii woh gtg wali baat tou nahi zehan mein ayi aap ke . woh mere sar dard ki wajah sirf tea nahi thi kuch aur bhi tha anyways , aap ko tou apna jawaab mil gaya na.

        4)
        love before marriage ke mein shuru se haq mein nahi hoo , lekin agar ho jata hai tou hooni ko koun taal sakta hai . insaan limits mein rahe tou masail khare nahi hote hai.
        love with opposite gender ke baare mein kuch khaas keh nahi sakti ke zaroori hai ke nahi .
        lekin ek baat hai ke insaan ne iss duniya mein sirf ek baar hi aana hota hai aur mein yeh zaroor chahu gi ke insaan kissi rishte ko tarasta hua iss duniya se na jaye.

        5)
        insaan tou har nayi saans ke saath ek nayi khawahish paal leta hai, meri bhi kuch khawahishaat hai lekin woh mere apno ke hawale se hai.

        mujhe bohat ummid hai ke jawabaat aap ki khwahish ke ain mutabiq diye gaye hai.
        Last edited by refreshing_breeze; 27 March 2007, 07:37.
        :rose Refreshing_breeze :rose

        Comment

        • #64
          Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

          Originally posted by refreshing_breeze View Post

          goodie good...weldone...good to have ur replies...nice to know abt u :thmbup:
          :thmbup:

          Comment

          • #65
            Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

            mera sawal yeh kay hai agar aap job na karti to aap ki zindagi kasi hoti ?:)

            pakistan say bahir kisi mulk main rehna paray to koon sa mulk pasand karaian gee ?

            bas abhi yehi sawal hain zehan main :D:
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment

            • #66
              Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

              Originally posted by Aanchal View Post
              mera sawal yeh kay hai agar aap job na karti to aap ki zindagi kasi hoti ?:)

              pakistan say bahir kisi mulk main rehna paray to koon sa mulk pasand karaian gee ?

              bas abhi yehi sawal hain zehan main :D:
              aanchal jaani :rose

              har ghari badal rahi hai roop zindagi
              chaoo hai kabhi kabhi hai dhoop zindagi.

              agar mein job na karti tou meri life kaisi hoti?

              bilkul waisi hoti jaise job se pehle thi shaid.
              aap ki tarha apney ghar ki rani hoti.
              gharwalo aur apni zaat ke liye ziyada time nikalti
              jo mere chand ek shouq hai unhe pura karti
              mazeed short courses ya phir study karti.
              mere paas karney ke liye bohat kuch hai sirf time nahi hai filhaal.
              waise mein farigh nahi reh sakti kuch na kuch kar hi rehi hoti.

              aanchal apney zindagi ke bohat saare saal tou pehle hi pakistan se bahir guzaar chuki hoo. bahir ki life kya hoti hai kaisi hoti hai sab dekha hua hai.
              mere liye shaid country itna meaning nahi rakhta jitna saath rakhta hai.
              saath khubsoorat ho aur kuch nahi chahiye.

              theek jawaab diye hai na. :mm:
              :rose Refreshing_breeze :rose

              Comment

              • #67
                Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

                Originally posted by refreshing_breeze View Post

                theek jawaab diye hai na. :mm:
                :D:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #68
                  Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

                  Asalam o Alikum :rose

                  phely tu buht mazraat ki saat ....mein app ko apki itni achi itnerview mein welcome karni ki liyee buht late hoo:embarasse ...... pher app ko welcome kehti hooo :phool:

                  haa!! zabardast sawalaat or osi be zabardast jawabat dia hai app ni......great.. .........har sawal or jawab pherni ki baad.........dosraa jawab pher kar achaa laga.... over all great interview.:clap:... or kafi haad taak app ki bari mein pata chalaa:D:..... MASHALLAH app kaa naam hai cool hai isy hai ... seerat be cool hai ...... ALLAH apko issy hai cool or khush rakien....

                  be happy :phool:

                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment

                  • #69
                    Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~
                    1. aap ko akeela kaam kerna acha lagta hay ya team work.?
                    2. kia aap mood aap kee personality per efect kerta hay?
                    3. kia aap faisla kerty wakat sochty hian ya bus aisy hee?
                    4. kisi ajnabi per ahsaani sy trust ker laiti hain ya nahi?
                    5. kia aap samjti hian k loag aap per trust ker sakty hain?
                    6. ager koi preshani hu jay to kia kerty hian...preshan rehti hian ya koi medicine use kerti hain ya os preshani ka cause talash kerti hain?
                    7. ager kisi ko koi mshwara daina hu to osy personaly laiti hian ya bus aam sey(mean k aap apna relative samaj ker mashwara daiti hain)?
                    8. kia aap hamisha sach bolti hain chayee wo kitna hee Karrwa kiun na hu?
                    9. kia aap ko paani main jany sy dar lagta hay?
                    10. kia aap kisi buland jaga per asaani sy jaa sakti hian?
                    11. kia aap ko andhaira main darr lagta hay?
                    12. kia koi kaam kerny sy pehly sochti hian k loag kia kehen gy?
                    13. kia aap k ger wali aap kee baat asaani sy maan jaty hian?
                    14. ager koi aap kee baat na maany to kia kerty hian?
                    15. ===============
                    16. kia aap kisi kee baat asaani sy maan jati hain ya koi dalil k sath?
                    17. kia aap kisi personalty sy mutaser hayn..Os jaisa banany kee koshash kerti hian?
                    18. aap koi kaam planing ker k kerti hain ya k bus jhat patt?
                    19. kia aap ko psand hay k aap kuch loagon per hukmarani karian?
                    20. kia kabi apny aap sy bee batian kerti hain?
                    21. tanhai kaisi lagti hay?
                    22. aap k sath koi mazak kary to kaisy laiti hain?
                    23. kia aap natural pasand kerti hain ya k hand made?
                    24. kia idolism ker belive hay?
                    25. kia aap maghroor hain aur kis had tak hain?
                    26. kia aap main ana parasti(egoo) hay...kis had tak apni baat manwana chahti hain?
                    27. ..........bakee pher.

                    Comment

                    • #70
                      Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

                      [quote=*Hala*;386143]Asalam o Alikum :rose

                      phely tu buht mazraat ki saat ....mein app ko apki itni achi itnerview mein welcome karni ki liyee buht late hoo:embarasse ...... pher app ko welcome kehti hooo :phool:

                      thank u very much
                      mazraat ki zaroorat nahi hai haala jaani.
                      its ok.
                      aap jab aa gayi tab hi sahi.

                      haa!! zabardast sawalaat or osi be zabardast jawabat dia hai app ni......great.. .........har sawal or jawab pherni ki baad.........dosraa jawab pher kar achaa laga.... over all great interview.:clap:...

                      thank you very much for liking the interview

                      or kafi haad taak app ki bari mein pata chalaa:D:.....
                      ummid hai jo patta chala hai acha hi chala hai.

                      MASHALLAH app kaa naam hai cool hai isy hai ... seerat be cool hai ...... ALLAH apko issy hai cool or khush rakien....
                      Ameen :dua
                      be happy :phool:
                      u too. :khi:
                      :rose Refreshing_breeze :rose

                      Comment

                      • #71
                        Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

                        Originally posted by Khalil View Post
                        1. kia aap natural pasand kerti hain ya k hand made?
                        2. kia idolism ker belive hay?
                        3. kia aap maghroor hain aur kis had tak hain?
                        4. kia aap main ana parasti(egoo) hay...kis had tak apni baat manwana chahti hain?
                        5. ..........bakee pher.
                        mujhay pakka yaqiin hay...Saba idolism per hergiz yaqeen nahin rakhtieN..:p

                        acha howa baqi phir keh diya

                        @ Saba/ Sabiha.....kia main nay aap ko bataya keh aap kay answers dainay kay foran bad hi main nay tamam inpage files perh li thien aur mujhy aap ka interview ...aap ki batain....aur aap ka naam aur nick name donooN bayhad pasand aaye...ya main yahan pehlay reply karna bhol gai......:(

                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment

                        • #72
                          Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

                          Originally posted by Khalil View Post
                          1. aap ko akeela kaam kerna acha lagta hay ya team work.?
                          2. kia aap mood aap kee personality per efect kerta hay?
                          3. kia aap faisla kerty wakat sochty hian ya bus aisy hee?
                          4. kisi ajnabi per ahsaani sy trust ker laiti hain ya nahi?
                          5. kia aap samjti hian k loag aap per trust ker sakty hain?
                          6. ager koi preshani hu jay to kia kerty hian...preshan rehti hian ya koi medicine use kerti hain ya os preshani ka cause talash kerti hain?
                          7. ager kisi ko koi mshwara daina hu to osy personaly laiti hian ya bus aam sey(mean k aap apna relative samaj ker mashwara daiti hain)?
                          8. kia aap hamisha sach bolti hain chayee wo kitna hee Karrwa kiun na hu?
                          9. kia aap ko paani main jany sy dar lagta hay?
                          10. kia aap kisi buland jaga per asaani sy jaa sakti hian?
                          11. kia aap ko andhaira main darr lagta hay?
                          12. kia koi kaam kerny sy pehly sochti hian k loag kia kehen gy?
                          13. kia aap k ger wali aap kee baat asaani sy maan jaty hian?
                          14. ager koi aap kee baat na maany to kia kerty hian?
                          15. ===============
                          16. kia aap kisi kee baat asaani sy maan jati hain ya koi dalil k sath?
                          17. kia aap kisi personalty sy mutaser hayn..Os jaisa banany kee koshash kerti hian?
                          18. aap koi kaam planing ker k kerti hain ya k bus jhat patt?
                          19. kia aap ko psand hay k aap kuch loagon per hukmarani karian?
                          20. kia kabi apny aap sy bee batian kerti hain?
                          21. tanhai kaisi lagti hay?
                          22. aap k sath koi mazak kary to kaisy laiti hain?
                          23. kia aap natural pasand kerti hain ya k hand made?
                          24. kia idolism ker belive hay?
                          25. kia aap maghroor hain aur kis had tak hain?
                          26. kia aap main ana parasti(egoo) hay...kis had tak apni baat manwana chahti hain?
                          27. ..........bakee pher.
                          aap ko akeela kaam kerna acha lagta hay ya team work.?
                          depend karta hai ke kaam kis type ka hai.
                          waise bohat saarey kaam akele bhi kiye hai aur woh successful bhi bohat rahey hai. akeley kaam karney mein koi pareshaani nahi hai, zaroorat parney pe thora bohat mashwara ley leti hoo.
                          kia aap mood aap kee personality per efect kerta hay?
                          mere khayal mein 97% nahi karta hai.

                          kia aap faisla kerty wakat sochty hian ya bus aisy hee?
                          soch samajh kar karti hoo aur sometimes mashwara bhi ley leti hoo.

                          kisi ajnabi per ahsaani sy trust ker laiti hain ya nahi?
                          trust nahi karti hoo. aaj kal tou apney hi trust ko aisa torr rahey hai ke ajnabi par kaha trust kiya jaa sakta hai.

                          kia aap samjti hian k loag aap per trust ker sakty hain?
                          jee bilkul kar saktey hai.

                          ager koi preshani hu jay to kia kerty hian...preshan rehti hian ya koi medicine use kerti hain ya os preshani ka cause talash kerti hain?
                          karna kya hai sort out karney ki koshish karti hoo apni taraf se , lekin agar opposite co-operate na karey tou aur baat hai. aisi surat mein pareshaan ho jaati hoo. lekin uss pareshaani se meri baki zimmedariyo pe koi effect nahi hota hai, woh mostly meri apni zaat tak hi mehdood rehti hai , aur agar bohat ziyada pareshaan ho jaoo tou kissi apney se share kar leti hoo.
                          agar pareshaani meri apni zaat ki hai tou deffinately uss ka reason mujhe maloom ho ga lekin agar kissi aur ki hai aur woh mujh par assar andaaz ho rahi hai tou request hi hai agar opposite bata dey, zabardasti tou nahi kar sakti kissi ke saath.
                          aur waise bhi kounsa zamana hai ke insaan kissi ka maan rakh ley. yaha tou har kissi ko apni apni parri hui hai.

                          aur agar mein bimaar par jaoo tou doctor ke paas tab jaati hoo jab yaqeen ho jata hai ke uss ke beghair ab guzara nahi hai. tabiyat thori bhi sambhal jaye tou baki ki dose bhi nahi leti.

                          ager kisi ko koi mshwara daina hu to osy personaly laiti hian ya bus aam sey(mean k aap apna relative samaj ker mashwara daiti hain)?
                          mein har aerey ghairey ko mashwara nahi deney beth jaati hoo.
                          sirf woh loog jo mere bohat close hai unhey mashwara deti hoo.
                          mashwara deney mein sab se ziyada asaani tab hoti hai jab mujhe baat ke background ke baarey mein ilm hota hai.
                          dusrey ki problem ko apni samajh kar help ya mashwara deti hoo.

                          kia aap hamisha sach bolti hain chayee wo kitna hee Karrwa kiun na hu?
                          sach bolna hi pasand karti hoo
                          ek jhoot ko chupaney ke liye 1000 jhoot aur bolney partey hai aur iss cheez ki main aadi nahi hoo.

                          kia aap ko paani main jany sy dar lagta hay?
                          thora bohat lagta hai.

                          kia aap kisi buland jaga per asaani sy jaa sakti hian?
                          agar jaana majboori hai tou dil ko bohat barra kar ke chali jaao gi.

                          kia aap ko andhaira main darr lagta hay?
                          nahi lagta hai.

                          kia koi kaam kerny sy pehly sochti hian k loag kia kehen gy?
                          loogo ka kya hai hanstey hue kissi ko dekh nahi saktey aur rootey hue ko chup nahi kara saktey.
                          meine jab jo kaam karna hota hai woh karti hoo
                          parwah sirf apni mama ki hoti hai agar woh keh dey ke kar lo koi tension nahi hai tou baki loogo ko mein kuch nahi samajhti hoo.
                          phir jo jaisa kahey ga sunn ley ga aur dobara kehney ki jurrat nahi karey ga.
                          meri private life mein koi interfer karey mujhe bilkul pasand nahi hai.

                          kia aap k ger wali aap kee baat asaani sy maan jaty hian?
                          sirf ghar waley hi nahi bahir waley bhi maan jaatey hain because baat hamesha jaiz hi karti hoo.

                          ager koi aap kee baat na maany to kia kerty hian?
                          bohat depend karta hai baat kya hai aur person koun hai.
                          mein kabhi bhi kissi ko mushkil mein daalney wali baat nahi kehti hoo.
                          waise mein koi bhi baat baar baar kehney ki aadi nahi hoo , yeh minnat samajat mujh se nahi hoti hai.
                          agar kabhi karni par jaye tou woh person samajh ley ke woh mere liye bohat ahmiyat rakhta hai.
                          baki agar koi baat nahi maanta hai tou uss ki marzi hai.
                          ek baat aur agar baat na manney se dusrey person ke nuksaan honey ka andesha hai tou zabardasti bhi kar leti hoo (agar koi apna ho tou.)

                          kia aap kisi kee baat asaani sy maan jati hain ya koi dalil k sath?
                          baat jaiz hai tou dalil ki zaroorat nahi hai.

                          kia aap kisi personalty sy mutaser hayn..Os jaisa banany kee koshash kerti hian?
                          nahi mein jo hoo jaisi hoo aisi hi khush hoo.

                          aap koi kaam planing ker k kerti hain ya k bus jhat patt?
                          kaam ki type pe depend karta hai
                          kuch kaam hotey hai jo planing se kiye jaye tou successful hotey hai
                          waise kabhi bhi lambi chori planing nahi karti hoo.
                          bohat saarey kaam jhat patt hi karney partey hai.

                          kia aap ko psand hay k aap kuch loagon per hukmarani karian?
                          nahi bilkul bhi nahi
                          mein pyaar ki kail hoo
                          jo kaam pyaar se ho jaye wohi acha hai.

                          kia kabi apny aap sy bee batian kerti hain?
                          baatein nahi karti hoo bas sochti hoo apney aap mein gum ho ke.

                          tanhai kaisi lagti hay?
                          sometimes bohat achi lagti hai.

                          aap k sath koi mazak kary to kaisy laiti hain?
                          jab tak uss mazak se dil azaari na ho theek hai.
                          har kissi se mazak na karti hoo aur na hi dusrey ko intna frank karti hoo ke woh aisa karey.

                          kia aap natural pasand kerti hain ya k hand made?
                          kuch cheeze hoti hai jo natural ho tou hi achi lagti hai
                          waise hand made mein koi burai nahi hai.
                          meine kabhi iss baarey mein itna socha nahi hai iss liye hatmi tor pe kuch nahi keh sakti.

                          kia idolism ker belive hay?
                          na jee.

                          kia aap maghroor hain aur kis had tak hain?
                          maghroor nahi hoo bilkul bhi
                          bas apney kaam se kaam rakhna pasand karti hoo.

                          kia aap main ana parasti(egoo) hay...kis had tak apni baat manwana chahti hain?
                          thori bohat ana parasti tou har insaan mein hi hoti hai.
                          baat waha manwai jaati hai jaha par yakeen ho ke aap ka maan rakha jaye ga.
                          :rose Refreshing_breeze :rose

                          Comment

                          • #73
                            Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

                            [quote=Rida;396692]
                            mujhay pakka yaqiin hay...Saba idolism per hergiz yaqeen nahin rakhtieN..:p
                            aap ney mujh par yakeen kiya hai so thank u very much.
                            shaid mere interview ko read karney ke baad aap iss natijey par pohnchi hai.
                            jaani ek baat kahu itna yakeen acha nahi hota hai jab totta hai na tou bohat takleef hoti hai

                            acha howa baqi phir keh diya
                            haye Allah ab baaki kya reh gaya hai
                            chal rehn vi dey.

                            @ Saba/ Sabiha.....kia main nay aap ko bataya keh aap kay answers dainay kay foran bad hi main nay tamam inpage files perh li thien
                            nahi aap ney mujhe nahi bataya

                            aur mujhy aap ka interview ...aap ki batain....aur aap ka naam aur nick name donooN bayhad pasand aaye...
                            uss ke liye hum teh dil se aap ke behadd shukar guzar hai.

                            ya main yahan pehlay reply karna bhol gai......:(
                            koi baat nahi rida jaani
                            bhool gayi thi tou kya hua ab tou reply kar diya na.
                            kush rahiye. :rose
                            Last edited by refreshing_breeze; 14 April 2007, 13:19.
                            :rose Refreshing_breeze :rose

                            Comment

                            • #74
                              Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

                              Originally posted by refreshing_breeze View Post
                              aap ko akeela kaam kerna acha lagta hay ya team work.?
                              depend karta hai ke kaam kis type ka hai.
                              waise bohat saarey kaam akele bhi kiye hai aur woh successful bhi bohat rahey hai. akeley kaam karney mein koi pareshaani nahi hai, zaroorat parney pe thora bohat mashwara ley leti hoo.
                              kia aap mood aap kee personality per efect kerta hay?
                              mere khayal mein 97% nahi karta hai.

                              kia aap faisla kerty wakat sochty hian ya bus aisy hee?
                              soch samajh kar karti hoo aur sometimes mashwara bhi ley leti hoo.

                              kisi ajnabi per ahsaani sy trust ker laiti hain ya nahi?
                              trust nahi karti hoo. aaj kal tou apney hi trust ko aisa torr rahey hai ke ajnabi par kaha trust kiya jaa sakta hai.

                              kia aap samjti hian k loag aap per trust ker sakty hain?
                              jee bilkul kar saktey hai.

                              ager koi preshani hu jay to kia kerty hian...preshan rehti hian ya koi medicine use kerti hain ya os preshani ka cause talash kerti hain?
                              karna kya hai sort out karney ki koshish karti hoo apni taraf se , lekin agar opposite co-operate na karey tou aur baat hai. aisi surat mein pareshaan ho jaati hoo. lekin uss pareshaani se meri baki zimmedariyo pe koi effect nahi hota hai, woh mostly meri apni zaat tak hi mehdood rehti hai , aur agar bohat ziyada pareshaan ho jaoo tou kissi apney se share kar leti hoo.
                              agar pareshaani meri apni zaat ki hai tou deffinately uss ka reason mujhe maloom ho ga lekin agar kissi aur ki hai aur woh mujh par assar andaaz ho rahi hai tou request hi hai agar opposite bata dey, zabardasti tou nahi kar sakti kissi ke saath.
                              aur waise bhi kounsa zamana hai ke insaan kissi ka maan rakh ley. yaha tou har kissi ko apni apni parri hui hai.

                              aur agar mein bimaar par jaoo tou doctor ke paas tab jaati hoo jab yaqeen ho jata hai ke uss ke beghair ab guzara nahi hai. tabiyat thori bhi sambhal jaye tou baki ki dose bhi nahi leti.

                              ager kisi ko koi mshwara daina hu to osy personaly laiti hian ya bus aam sey(mean k aap apna relative samaj ker mashwara daiti hain)?
                              mein har aerey ghairey ko mashwara nahi deney beth jaati hoo.
                              sirf woh loog jo mere bohat close hai unhey mashwara deti hoo.
                              mashwara deney mein sab se ziyada asaani tab hoti hai jab mujhe baat ke background ke baarey mein ilm hota hai.
                              dusrey ki problem ko apni samajh kar help ya mashwara deti hoo.

                              kia aap hamisha sach bolti hain chayee wo kitna hee Karrwa kiun na hu?
                              sach bolna hi pasand karti hoo
                              ek jhoot ko chupaney ke liye 1000 jhoot aur bolney partey hai aur iss cheez ki main aadi nahi hoo.

                              kia aap ko paani main jany sy dar lagta hay?
                              thora bohat lagta hai.

                              kia aap kisi buland jaga per asaani sy jaa sakti hian?
                              agar jaana majboori hai tou dil ko bohat barra kar ke chali jaao gi.

                              kia aap ko andhaira main darr lagta hay?
                              nahi lagta hai.

                              kia koi kaam kerny sy pehly sochti hian k loag kia kehen gy?
                              loogo ka kya hai hanstey hue kissi ko dekh nahi saktey aur rootey hue ko chup nahi kara saktey.
                              meine jab jo kaam karna hota hai woh karti hoo
                              parwah sirf apni mama ki hoti hai agar woh keh dey ke kar lo koi tension nahi hai tou baki loogo ko mein kuch nahi samajhti hoo.
                              phir jo jaisa kahey ga sunn ley ga aur dobara kehney ki jurrat nahi karey ga.
                              meri private life mein koi interfer karey mujhe bilkul pasand nahi hai.

                              kia aap k ger wali aap kee baat asaani sy maan jaty hian?
                              sirf ghar waley hi nahi bahir waley bhi maan jaatey hain because baat hamesha jaiz hi karti hoo.

                              ager koi aap kee baat na maany to kia kerty hian?
                              bohat depend karta hai baat kya hai aur person koun hai.
                              mein kabhi bhi kissi ko mushkil mein daalney wali baat nahi kehti hoo.
                              waise mein koi bhi baat baar baar kehney ki aadi nahi hoo , yeh minnat samajat mujh se nahi hoti hai.
                              agar kabhi karni par jaye tou woh person samajh ley ke woh mere liye bohat ahmiyat rakhta hai.
                              baki agar koi baat nahi maanta hai tou uss ki marzi hai.
                              ek baat aur agar baat na manney se dusrey person ke nuksaan honey ka andesha hai tou zabardasti bhi kar leti hoo (agar koi apna ho tou.)

                              kia aap kisi kee baat asaani sy maan jati hain ya koi dalil k sath?
                              baat jaiz hai tou dalil ki zaroorat nahi hai.

                              kia aap kisi personalty sy mutaser hayn..Os jaisa banany kee koshash kerti hian?
                              nahi mein jo hoo jaisi hoo aisi hi khush hoo.

                              aap koi kaam planing ker k kerti hain ya k bus jhat patt?
                              kaam ki type pe depend karta hai
                              kuch kaam hotey hai jo planing se kiye jaye tou successful hotey hai
                              waise kabhi bhi lambi chori planing nahi karti hoo.
                              bohat saarey kaam jhat patt hi karney partey hai.

                              kia aap ko psand hay k aap kuch loagon per hukmarani karian?
                              nahi bilkul bhi nahi
                              mein pyaar ki kail hoo
                              jo kaam pyaar se ho jaye wohi acha hai.

                              kia kabi apny aap sy bee batian kerti hain?
                              baatein nahi karti hoo bas sochti hoo apney aap mein gum ho ke.

                              tanhai kaisi lagti hay?
                              sometimes bohat achi lagti hai.

                              aap k sath koi mazak kary to kaisy laiti hain?
                              jab tak uss mazak se dil azaari na ho theek hai.
                              har kissi se mazak na karti hoo aur na hi dusrey ko intna frank karti hoo ke woh aisa karey.

                              kia aap natural pasand kerti hain ya k hand made?
                              kuch cheeze hoti hai jo natural ho tou hi achi lagti hai
                              waise hand made mein koi burai nahi hai.
                              meine kabhi iss baarey mein itna socha nahi hai iss liye hatmi tor pe kuch nahi keh sakti.

                              kia idolism ker belive hay?
                              na jee.

                              kia aap maghroor hain aur kis had tak hain?
                              maghroor nahi hoo bilkul bhi
                              bas apney kaam se kaam rakhna pasand karti hoo.

                              kia aap main ana parasti(egoo) hay...kis had tak apni baat manwana chahti hain?
                              thori bohat ana parasti tou har insaan mein hi hoti hai.
                              baat waha manwai jaati hai jaha par yakeen ho ke aap ka maan rakha jaye ga.
                              :phool: bakee pher sawal karonga ager time mila to

                              Comment

                              • #75
                                Re: *~*In the Spotlight*~*~Refreshing Breeze~*~

                                Originally posted by refreshing_breeze View Post

                                aap ney mujh par yakeen kiya hai so thank u very much.
                                shaid mere interview ko read karney ke baad aap iss natijey par pohnchi hai.
                                jaani ek baat kahu itna yakeen acha nahi hota hai jab totta hai na tou bohat takleef hoti hai

                                abhi Khalil ko diye gaye replies perhay .....aap ki isi baat nay mujhay sab say zyada mutawaje kia hai.....is lihaaz say aap bari aqalmand hain....yeh aitbar yaqeen aur maan rakhnay kay mamlay bhi baray ajeeb hotay hain..........................aap buht saara khush rehiye aisay hi cooooooooooollll:phool:
                                For New Designers
                                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                                Comment

                                Working...
                                X