Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In the Spotlight*~*Khalil*~*

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

    1)Yay bataye ky ager aap choor hoty to kiya chez chore kerty ?:p

    2)Farz keray aap chanp per ga'ay aise he ghoomny phir waha jo burhya hote hai na us ny ap ko wahe rouk liya to kya keray gay?:khi:

    3)Aap na jungle ma ga'ay waha apko jungle queen kahay k us ko aap pasaand aa gay hain so u should stay here to aap kiya keray gay:D

    4)Ager aap ko holly wood ma movies ma kam kerny ki offer ho to kis k sath kaam kerna pasand keray gay?:lpop:

    5)Ager aap ky baar girny lagay itny zada itny zada ky aap almost ganjo hony lagay to phir kiya keray gay ap?:D :D

    6)Ager ap k pas urny wala qaleen hota to kaha jana pasand kerrty?:eye:

    7)Ager aap koe horror movie dekh rahy hon aur us ma sy ghost nikal
    ker aap k samny aa jayay to kiya hoga??

    8)Aap ka fav cartoon kon sa hai?& fav cartoon character bhe?:)

    9)Apko bohat he limited time diya ja'ay aur kaha ja'ay k kuch bhe mazy ki dish bana ker layay to aap kiya paka'ay gay??:D:

    Comment

    • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

      1)Yay bataye ky ager aap choor hoty to kiya chez chore kerty ?:p
      Oho main hun hee choar...bara maher choar hun...jo koi mujy tang kerta hay main os kee koi khas chez chori ker laita hun.

      aur main to etna maher hugia hun mujy to yeh b aab pata chal jata hay k kia chori hune wala hay..

      2)Farz keray aap chand per ga'ay aise he ghoomny phir waha jo burhya hote hai na us ny ap ko wahe rouk liya to kya keray gay?:khi:
      ager os ny mujy roak lia hy to theek hay main wohan ruk jaoonga...aur ager hu saka..to osy keh donga k plz aap chali jain ...""dunia main Aik -larki borri hugi hay osy yehan per aany dain wo aaker charkha kaaaaaaaaty""

      bakee k jawab kal inshaALLAH abi jana per gia hay jaldi

      Comment

      • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

        ]Oho main hun hee choar...bara maher choar hun...jo koi mujy tang kerta hay main os kee koi khas chez chori ker laita hun.
        aur main to etna maher hugia hun mujy to yeh b aab pata chal jata hay k kia chori hune wala hay..
        Apny moo miya mitho ban rahy hain aap:zuban:
        Asle k choor hain aap to phir:D Acha bataye zara kiya choore hony wala hai .. ???:mm:

        ager os ny mujy roak lia hy to theek hay main wohan ruk jaoonga...aur ager hu saka..to osy keh donga k plz aap chali jain ...""dunia main Aik -larki borri hugi hay osy yehan per aany dain wo aaker charkha kaaaaaaaaty""

        bakee k jawab kal inshaALLAH abi jana per gia hay jaldi
        Wo chand ki burhya zammen per kis khushe ma ay ge ..:hathora
        Aik_lerki borhe kesy ho sakte hai :p lerki to lerki hote ha borhe to nahe:D
        us ky sath he rehay ga aap aur charga kaayay ga mazy sy

        Comment

        • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

          Originally posted by aik_lerki
          3)Aap na jungle ma ga'ay waha apko jungle queen kahay k us ko aap pasaand aa gay hain so u should stay here to aap kiya keray gay

          Originally posted by aik_lerki
          4)Ager aap ko holly wood ma movies ma kam kerny ki offer ho to kis k sath kaam kerna pasand keray gay?

          Originally posted by aik_lerki
          5)Ager aap ky baar girny lagay itny zada itny zada ky aap almost ganjo hony lagay to phir kiya keray gay ap?

          Originally posted by aik_lerki
          6)Ager ap k pas urny wala qaleen hota to kaha jana pasand kerrty?

          Originally posted by aik_lerki
          7)Ager aap koe horror movie dekh rahy hon aur us ma sy ghost nikal
          Originally posted by aik_lerki
          ker aap k samny aa jayay to kiya hoga??

          Originally posted by aik_lerki
          8)Aap ka fav cartoon kon sa hai?& fav cartoon character bhe?

          Just Pink panther

          Originally posted by aik_lerki
          9)Apko bohat he limited time diya ja'ay aur kaha ja'ay k kuch bhe mazy ki dish bana ker layay to aap kiya paka'ay gay??

          Last edited by ; 25 May 2006, 06:44.

          Comment

          • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

            Originally posted by aik_lerki
            Apny moo miya mitho ban rahy hain aap:zuban:
            Originally posted by aik_lerki
            Asle k choor hain aap to phir:D Acha bataye zara kiya choore hony wala hai .. ???:mm:
            Yehan pegham per kisi ka dil chori hugia hay..aur kisi ka abi huny hee wala hay....
            Originally posted by aik_lerki

            Wo chand ki burhya zammen per kis khushe ma ay ge ..:hathora
            Aik_lerki borhe kesy ho sakte hai :p lerki to lerki hote ha borhe to nahe:D
            us ky sath he rehay ga aap aur charga kaayay ga mazy sy
            jaisy chand kee borian hazaroon sal sy abi tak borii hee hain aisay aap b wohan ja ker bori hu jain gee...aur mery liy wohan ja ker charkha katy gii taka kuch lehaf waighara bana saky kiun k mujy serdi buhat lagti hay

            Comment

            • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

              Salam janab!!

              app na jab 'describe the above person' wali post ma iss thread ka link diya tu maina parha .........parh kar thori c sharmindgi hoi !!!kah hum sab ka liya app ka ya interview kiya ja raha ha aur hum hi sawal nhi pouch rahay!!
              app ka khud se kiyay howay sawal aur unkay jawab kafi achay hain:khi:

              khair meray app se sawal !!!!!!!!!!!!!

              pehla app ka sar per seengh haiin ya nahi ?kiun kah uamoomn bakroo ka sar per seengh nikal atay hain:lpop: ???

              dosra app na likha tha app moderator, administrator rah chukay hain aur hain bhi aur agay bhi app ko kamiyabi milay.......app ko kiya lagta ha app ki position yani kesi bhi site ka moderater ya admin banay ka liya kiya aik khasiyat honi chaiya???kiya app bore nahi hotay iss kam se????:donno:

              tesra kahtay hain mard nhi rotay!!!!! woh mard jo roya kartay hain namard hotay hain...................asa pehlay log kaha kartay thay ....ronay ko aurat ki khasiyat kaha jata raha ha..
              So, appp ko kiya lagta ha ya baat kahan tak sahi ha..........:lpop:

              4th one dill aur dimag ka tazad per app kes ko ahmiyat zayda dain gay dil ki baat ko ya dimag ko????

              5th wala agar app ko TRUTH OR DARE mai se aik select karnay ko kaha jay tu what would u choose???:lpop:

              6th one agar app ko dare diya jay kah app ko 3 din bhoka rahana ha ???tu app bhooka rah lai gay???ya quit kar dain ga?

              bas baqi sawal souch kar bataoon ge........abhi begar souchay pouchayin hain koi sawal galat lagay tu khud hi sahi kar lijiya ga:D
              Last edited by fari; 25 May 2006, 17:42.

              Comment

              • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                Salam janab!!

                app na jab 'describe the above person' wali post ma iss thread ka link diya tu maina parha .........parh kar thori c sharmindgi hoi !!!kah hum sab ka liya app ka ya interview kiya ja raha ha aur hum hi sawal nhi pouch rahay!!
                app ka khud se kiyay howay sawal aur unkay jawab kafi achay hain:khi:

                khair meray app se sawal !!!!!!!!!!!!!

                Wel come here:salam:
                pehla app ka sar per seengh haiin ya nahi ?kiun kah uamoomn bakroo ka sar per seengh nikal atay hain:lpop: ???
                Gee mery sir per 6 adad seeng hain....:hathora

                dosra app na likha tha app moderator, administrator rah chukay hain aur hain bhi aur agay bhi app ko kamiyabi milay.......app ko kiya lagta ha app ki position yani kesi bhi site ka moderater ya admin banay ka liya kiya aik khasiyat honi chaiya???kiya app bore nahi hotay iss kam se????:donno:

                yeh aik buhat hee khushi aur ehzaz kee baat huti hay kisi b aisi site ka MOD banana..jo k islamic aur aur urdu related hu..aur khas ker mujy help kerna acha lagta hay ...aur MOD k liy sab sy bari yeh khaseiat huni chayee k wo caring hu helper aur intellegent hum muhamly ko achi tarah samj saky aur apni site k liy ziyada sy ziyada member akhty kerian with quality aur jis web per wo hu wohan kee advertisement kery jehan tak hu saky....aur jo b kaam kery purkhaloos huker kery ..aur ghair janibdar hu kre aur fourms main kisi b kisam kee group bandi na huny dy...
                sab sy bari baat k Admin es ka bhai hu..jaisa k masood bhai..:wk

                tesra kahtay hain mard nhi rotay!!!!! woh mard jo roya kartay hain namard hotay hain...................asa pehlay log kaha kartay thay ....ronay ko aurat ki khasiyat kaha jata raha ha..
                So, appp ko kiya lagta ha ya baat kahan tak sahi ha..........:lpop:
                Belive me mery sath yeh buhat dafa huwa hay k mujy rona nahi aata main chahoon b to runa nai aata...mery freinds aur family waly mujy kehty hain k teri ankhain pather kee bani hui hain...
                koi b kisi kisam ka hadsa hu jay(ALLAH na kery) aur jitnee b ziyada khushi kee khaber hu main tass sy mass nahi huta...
                Han rona aata hy siraf 2 makam per ..jab b main kabi......Taif ka wakia sunata hun jab Nabi Akram Hazrat Muhammad saw tableegh k liy gay thy to woan ky logon ny aap ko Lahoo Lohan ker dia......
                aur dosra jab main Hazrat Imam Hussain...ko yadd kerta hun ...bus es liy elawa kabi meri ankhon main ansoo nahi aaty

                4th one dill aur dimag ka tazad per app kes ko ahmiyat zayda dain gay dil ki baat ko ya dimag ko????
                main hamisha dil ko hee daita hun...kiun eshak main bandy aisy kaam ker jata jo damagh aur akal sochty hee rehty haiN

                5th wala agar app ko TRUTH OR DARE mai se aik select karnay ko kaha jay tu what would u choose???
                :lpop: I alway do truth...dare main kisi ka dil nahi dukhana chahta...janty huy b:na:

                6th one agar app ko dare diya jay kah app ko 3 din bhoka rahana ha ???tu app bhooka rah lai gay???ya quit kar dain ga?
                Main bhoka nahi reh sakta main din main 4 mertaba khana khata hun..coz k main bodybuliding kerta hun es liy bhoka rehny ka to sawal hee nahi paida huta...:comfort:

                bas baqi sawal souch kar bataoon ge........abhi begar souchay pouchayin hain koi sawal galat lagay tu khud hi sahi kar lijiya ga:D
                Jaldi sochain...kiun k mujy buhat jaldi huti hay jawab dainy kee

                Comment

                • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                  Originally posted by Khalil
                  Wel come here:salam:
                  Gee mery sir per 6 adad seeng hain....:hathora

                  bas 6adad seengh kam nahi hain app bhuray honay ko arahay hain aur seengh bas 6 .............:donno:

                  Originally posted by Khalil

                  yeh aik buhat hee khushi aur ehzaz kee baat huti hay kisi b aisi site ka MOD banana..jo k islamic aur aur urdu related hu..aur khas ker mujy help kerna acha lagta hay ...aur MOD k liy sab sy bari yeh khaseiat huni chayee k wo caring hu helper aur intellegent hum muhamly ko achi tarah samj saky aur apni site k liy ziyada sy ziyada member akhty kerian with quality aur jis web per wo hu wohan kee advertisement kery jehan tak hu saky....aur jo b kaam kery purkhaloos huker kery ..aur ghair janibdar hu kre aur fourms main kisi b kisam kee group bandi na huny dy...
                  sab sy bari baat k Admin es ka bhai hu..jaisa k masood bhai..:wk
                  :salam:
                  hmmmmmmmmm gooood ...iss se app ki achi shaksiyat
                  ka baray ma pata chalta ha!!!
                  Originally posted by Khalil
                  Originally posted by Khalil
                  main hamisha dil ko hee daita hun...kiun eshak main bandy aisy kaam ker jata jo damagh aur akal sochty hee rehty haiN
                  aur khabi khabi dimag paya bhi nahi jata logo mai:khi: :khi: tu dill ka istamal hi karna parta ha:salam:

                  Originally posted by Khalil
                  Originally posted by Khalil
                  :lpop: I alway do truth...dare main kisi ka dil nahi dukhana chahta...janty huy b:na:

                  Main bhoka nahi reh sakta main din main 4 mertaba khana khata hun..coz k main bodybuliding kerta hun es liy bhoka rehny ka to sawal hee nahi paida huta...:comfort:

                  Jaldi sochain...kiun k mujy buhat jaldi huti hay jawab dainy kee
                  4 martaba khana :mm:iss tarhana tu khanay ki kami paida ho sakti ha app ka liya kuch ahtaiyati tadaberain karni parein gi hakumat ko:lpop:

                  hmmmm agar truth liya ho ap nay aur koi bohat hi muskil ya personal sawal kar lay tu kiya app uss ko jawab day dain gay .........yani mera sawal ya ha kah kiya app har kesi ko apni personal life mai asaani se shamil honay datay hain ya phir uss se moen phir latay hain:lpop:ya ignore kar datay hain ??:lpop:

                  sawalat hazir hain janab!!!:lpop:
                  1st one!!
                  Ajj kal aik insaan dosray insaan se zayda computer ko ahmiyat data ha???maslan woh ghar per ya apnay doston se jo uss ka samnay moujod hain unsse baat karna zayda pasand nhi karta jitna woh net per chat ka through ya sites ka thorugh dosro se baat karna pasand kartay hain................app is baat ko manaty hain aur agar mantay hain tu kiya app ko nhi lagta ya chiz insaan ko insaan se dor kar rhi ha??

                  2nd one!!
                  Ajj kal insaan un logon se chupta phirta ha ha jo ussay jantay hain aur uss tarf jana chahta ha jahana ussay koi nahi janta ho!!! ya baaat kahana tak theek ha:lpop:

                  3rd one!!
                  Har insaan apni zindagi ka kesi na kesi mor per mayoussi ka shikar ho jata ha ....kiya App khabi aik pal ka liya bhi apni zindagi ma mayoos howay hain??? agar haan tu uss mayossi ko khatam karna ka liya app nay kiya kia??kes tarhana aik insaan apni mayossi ko khatam kar saktay hain??:lpop:
                  Last edited by fari; 26 May 2006, 12:55.

                  Comment

                  • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                    bas 6adad seengh kam nahi hain app bhuray honay ko arahay hain aur seengh bas 6 .............:donno:
                    abi aur b barr rahy hain ..fiker Not

                    :salam:
                    hmmmmmmmmm gooood ...iss se app ki achi shaksiyat
                    ka baray ma pata chalta ha!!!
                    THnksssss:salam:

                    aur khabi khabi dimag paya bhi nahi jata logo mai:khi: :khi: tu dill ka istamal hi karna parta ha:salam:
                    Kabi Kabi......chaloo fair khair hay

                    4 martaba khana :mm:iss tarhana tu khanay ki kami paida ho sakti ha app ka liya kuch ahtaiyati tadaberain karni parein gi hakumat ko:lpop:
                    Main utna hee khata hun jitna teen time loag khaty hain

                    hmmmm agar truth liya ho ap nay aur koi bohat hi muskil ya personal sawal kar lay tu kiya app uss ko jawab day dain gay .........yani mera sawal ya ha kah kiya app har kesi ko apni personal life mai asaani se shamil honay datay hain ya phir uss se moen phir latay hain:lpop:ya ignore kar datay hain ??:lpop:
                    G meri personal life main buhat sy loag aay lakin wo mujy hee Ignore ker k chal diy:comfort:

                    sawalat hazir hain janab!!!:lpop:
                    Changi gal ay fair ty

                    1st one!!
                    Ajj kal aik insaan dosray insaan se zayda computer ko ahmiyat data ha???maslan woh ghar per ya apnay doston se jo uss ka samnay moujod hain unsse baat karna zayda pasand nhi karta jitna woh net per chat ka through ya sites ka thorugh dosro se baat karna pasand kartay hain................app is baat ko manaty hain aur agar mantay hain tu kiya app ko nhi lagta ya chiz insaan ko insaan se dor kar rhi ha??
                    Kisi had theek theek kaha hay aap ny..Kiun k mery pass aur jab main apny friend aabi2cool aur asad k pass huta hun to aisa hee huta hay jaisa aap ny kaaha hay...mager pher hum akhty hu jaty hain...lakin es ka aik faida yeh b hy k aap jaisi educated person sy baat ka moka mil jata hay aur knowledge share hu jata hay...:dua
                    2nd one!!
                    Ajj kal insaan un logon se chupta phirta ha ha jo ussay jantay hain aur uss tarf jana chahta ha jahana ussay koi nahi janta ho!!! ya baaat kahana tak theek ha:lpop:
                    You know time is too short....loag new kee talash main rehty hain...hy khoob sy hy khoob ter....kee talash....

                    3rd one!!
                    Har insaan apni zindagi ka kesi na kesi mor per mayoussi ka shikar ho jata ha ....kiya App khabi aik pal ka liya bhi apni zindagi ma mayoos howay hain??? agar haan tu uss mayossi ko khatam karna ka liya app nay kiya kia??kes tarhana aik insaan apni mayossi ko khatam kar saktay hain??:lpop:
                    G main kabi mayos nahi huwa kerta tha...lakin jab main fighter pilot select hu gia PAF main aur pher GVT chang hu gai aur nikal dia gia without reson to main mayous hugia...
                    aur aab main pakistan kee halat k liy mayous hun....
                    Koi aisa edara nahi jo crupt na hu...ALLAH reham kery mery watan per

                    Comment

                    • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                      Originally posted by Khalil
                      You know time is too short....loag new kee talash main rehty hain...hy khoob sy hy khoob ter....kee talash....
                      khoob se khoob tar ki talash tu sab ko hoti ha per insaan apno se chupta phirta kiun ha balkay kuch log tu khud se bhi bhagtay hain .........apni buraiyon se apni suchai se:donno:

                      Originally posted by Khalil
                      G main kabi mayos nahi huwa kerta tha...lakin jab main fighter pilot select hu gia PAF main aur pher GVT chang hu gai aur nikal dia gia without reson to main mayous hugia...
                      aur aab main pakistan kee halat k liy mayous hun....
                      Koi aisa edara nahi jo crupt na hu...ALLAH reham kery mery watan per
                      App ki iss baat se aik kisssa yaad aya jo humaray teacher na humay sunaiya tha .A real story mujhay zayda ilm nahi ha exactly per jitna ma bata sakti hon mai likh rhi hon
                      Aur Woh chali gai

                      Pakistan ki aik Shafqat nami scientist ka sath kuch asa hi howa tha jasa app ka sath howa ha........... unho na foreign countries se apni Phd ki jes per unhay tamam baray mumalik ki tarf se bohat achi offers aiyn per unho na woh sab offers chor kar apnay pyary watan Pakistan ma rah kar search karnay ka irada kiya ........unho nay Nayab agriculture search labortries mai kam kiya aur woh wahan ki incharge bana de gai ....unki search SEEm thor wali zamin per thi ( yani woh zamin jes mai minerals zayada ho jaien asi zamin per khati bari nhi ki ja sakti) Pakistan mai mostly zamin seem thor ka shikar ho kar zaya ho jati hain. Woh unko kablay isstamal lanay ka liya Gandum ka seeds mai asa character dalna chahti thi jes se gandam seem thor wali zamin per bhi ugai ja sakay ....
                      10 saal ki musalsal kosishon ka baad woh apnay maqsad ma kamyab ho gai...unko noble prize bhi mila aur woh bohat khush thi apnay iss karnamy se....iss ka liya unho na din raat mehnat ki apni hasti ko khatam kar ka apnay maqsad ko pora kiya .........abb jab unho na apna goal hasil kar liya tu apnay baray ma souchay kah wohh kitni bhuri aur kamzor ho chuki hain unho na apni sari zindagi iss kam ka liya waqf kar dii ..........noble prize milnay per unhay bahir ka mumalik se bohat offers aiyn per unho na refuse kar deen .....
                      unhi dino government change hogai aur Itni Azim shaksiyat itni bari Scientist jin ki pori dunia mai bohat demand ha .........unko Nayab search labortries se nikal diya giya aur sifarish ki badulat kesi na-ahal shaks ko incharge bana diya ...
                      unki labortries ma maujood tamam chizoono ko phank diya giya unki ankho kah samnay tamam experiment trays tor de gaien..........woh ya sadma bardast na kar saki aur pagal hogai ....1/2 year mai unho na recover kiya aur hamesha ka liya Pakistan chor kar chali gai.................
                      Jes mulk mai aik scientist ka sath asa kiya jay uss ki taraqii kasa ho sakti ha

                      Comment

                      • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                        :comfort:
                        Originally posted by fari

                        ALLAM malik hay..............:comfort:

                        Comment

                        • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                          Acha dostooo ab mery janay ka time hugia hay..
                          sab apna apna khiyal rakhna aur sath main mera b kaheein main GUm na hu jaoo
                          sab k liy duwagoo Khalil

                          Comment

                          Working...
                          X