Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In the Spotlight*~*Khalil*~*

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

    Originally posted by Sweet & Sour
    :lol :lol well PG ke jitney bhi lerkay mujhe ab tak jantey hain wo samajh gayeh ho gai meri nature kaisi hai mei her kisi se frdly zaror hoon magar pataney wataney ke chakron se koson doooor .....to U ke hath koi behcara nahi aayeh ga :khi:
    Dekho...me mashoom munda hoon...apni mashoomiyat ko ishtaamaal kertay huay mein bohat se mundoon ko phasanay ki berpoor salahiyat rakhta hoon :embarasse me 2, 4 dinon mein hi dheer saaray mundoon ko phasa loon ga...un ko aik hotel mein bulwaoon ga...aur plan ke mutabik un per ubalta paani daal ke :bhago:
    :thmbup:

    Comment

    • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

      Originally posted by munda_sialkoty

      :lol acha ager u ko apni salahiyatein azmaney ak itna hi shok hai to ek nay id bana lo kisi lerki ke naamse aur apna shok poora ker lo, mere naam se behcaron ko oubaltey pani mei daal ker khudh bhag jao gai aur woh mujh masoom ko bad'uwayein detey rahein gai :tauba
      sigpic

        Me ke paas ub inna time nai ke me mundon ko hi phasanay ke liye new id banata phiron :lpop:
        :thmbup:

        Comment

        • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

          Originally posted by munda_sialkoty
          Me ke paas ub inna time nai ke me mundon ko hi phasanay ke liye new id banata phiron :lpop:

          to phir apni id se kurion ko phansa lo :tauba
          sigpic

          Comment

          • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

            Originally posted by Sweet & Sour
            to phir apni id se kurion ko phansa lo :tauba
            Mei ne aik baar aik kuri ko machine mein phansa diya tha...us ke baal machine mein aa gaye thay...phir mujay bohat dukh hua
            :thmbup:

            Comment

            • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

              Originally posted by munda_sialkoty
              Mei ne aik baar aik kuri ko machine mein phansa diya tha...us ke baal machine mein aa gaye thay...phir mujay bohat dukh hua

              bas dukh huwa .............. marr nahi pari kisi se :khi:
              sigpic

              Comment

              • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                Originally posted by Sweet & Sour
                bas dukh huwa .............. marr nahi pari kisi se :khi:
                may be maar pari ho ....kisi ko :lpop:
                :thmbup:

                Comment

                • Assalamo allaikum Khalil

                  main bhi chand aik questions liyey hazir hoon:

                  Q) Aap key nazdeek Allah Tala ki sab sey badi nemat kya hai?
                  Q) Aap key nazdeek kaamyabi kya hoti hai?
                  Q) Insaan ki pedaish ki zaroorat kyun pesh aai? jab keh agar Allah Tala ko siraf ibadat hi manzoor hoti to farishtey pedah kar letey.
                  Q) Tasawwuf kya hai?
                  Q) Kya insaan insaan ka waseela hai?
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                    Originally posted by munda_sialkoty
                    Khalil se qustion:

                    aap ko kabi kis larki ne I LOVE YOU kaha???
                    Nahii es kee Nobat hee nahi aati:wk

                    Comment

                    • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                      Q) Aap key nazdeek Allah Tala ki sab sey badi nemat kya hai?
                      ALLAH tala kee hum per sab sy barri Nehamat Hazrat Muhammad SAW ka aana hay...aur main samjta hun k hamara Eman ALLAH tala per Buhat bari nehmat hay hum sab k liy
                      Q) Aap key nazdeek kaamyabi kya hoti hai?
                      Jab aap ko kisi b kaam main Dil ka skoon mil jay to wo kamyabi hay
                      Q) Insaan ki pedaish ki zaroorat kyun pesh aai? jab keh agar Allah Tala ko siraf ibadat hi manzoor hoti to farishtey pedah kar letey.
                      ALLAH ko insaan paida kerna..ALLAH k han koi aisee bari baat nahi hay..wo apna aap her tarah sy manwa sakta hay..os k nazdeek dunia hee misaal aik MACHER kee see hay.....Lakin jehan tak mera zatee elam hay aur meri dili kaifiat hay k ALLAH ny APny NABI SAW kee khatar yeh dunia banai hay...aur khuda ny apna aap Un kee zareiee hee hum ko dekhana tha..lakin mujy b aik baat kee samaj nahi Quraan main likha hay k ALLAH fermaty hain k Main aik chupa huwa khizana tha main ny chaha k apna aap zaher keron to insaan ko paida kia.
                      aur aik jaga hay k insaan ko drd e dil k liy paida kia gia....aik jaga hay insaan Ashra ful mekhlooqat hay..aik jaga hay k insaan hakeer o kamzoor hay apni paidaish per ghoor kery...Yeh mujy b aaj tak samaj nahi aai..k why we are created.???
                      Q) Tasawwuf kya hai?
                      Bhai mery khiyal main insaan key ander kee safai ka name hay tasawaf...insaan apny bary main sochy aur apna muhasba kery..k ALLAH ny usy achy aur bury kee tameez sikha di hay to wo kia un main tameez kerta hay...es tarah sy apny under k insaan yahnee k ROOh kee safai kery..

                      Q) Kya insaan insaan ka waseela hai
                      Beyshak..........ager her insaan apny mohn zoor hu..to dunia khatam hu jay....her insaan k dil main dosery kee Muhabbat huti hay fitratii toor per.wo her aik ko khush dekhna chahta hay ..jab tak burai(shetaan) na ajay beech aur koi apna zatee mufad na ajay...to
                      main to hamisha yehi kehta hun ...Dunia main ALLAH kee her nahmat hay mager aik achy insaan kee Rafakat aik buhat bari khushi hay...aur kamyabi hay..
                      take care Bhai.....ALLAH aap ko khush rakhy....waisy main es kabil nahi hun k aap k swalat ka tasalee bakhash jawab daita...

                      Comment

                      • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                        Originally posted by Khalil

                        ALLAH ko insaan paida kerna..ALLAH k han koi aisee bari baat nahi hay..wo apna aap her tarah sy manwa sakta hay..os k nazdeek dunia hee misaal aik MACHER kee see hay.....Lakin jehan tak mera zatee elam hay aur meri dili kaifiat hay k ALLAH ny APny NABI SAW kee khatar yeh dunia banai hay...aur khuda ny apna aap Un kee zareiee hee hum ko dekhana tha..lakin mujy b aik baat kee samaj nahi Quraan main likha hay k ALLAH fermaty hain k Main aik chupa huwa khizana tha main ny chaha k apna aap zaher keron to insaan ko paida kia.
                        aur aik jaga hay k insaan ko drd e dil k liy paida kia gia....aik jaga hay insaan Ashra ful mekhlooqat hay..aik jaga hay k insaan hakeer o kamzoor hay apni paidaish per ghoor kery...Yeh mujy b aaj tak samaj nahi aai..k why we are created.???
                        [/center]
                        Very well said :)

                        Merey khiyaal key mutabiq farishtey aur insaan mein yehi aik farq hai keh insaan ashraful-makhlooqat hai aur yehi jabhi mumkin hai keh insaan apni aqal aur samajh key mutabiq us wahida-hu-lashareek ko pehchaney aur ussey apnea mabood bnaa ker uski pooja karey - warna poojney key liye to farishtey kaafi hai jinhin jo hukm diya jaey us sey aik ratti braber kuchh nahin karney ka haq rakhtey. Aik tarha lakeer key faqeer. Jab keh insaan ko apni raboobiyat mein rakhtey huwey kaamil aazadi di hai keh woh apni bsaat key mutabiq haq aur batil ko pehchaney aur ussey apnaa ley. Yehi maqsad hai rab-ul-aalmin ka insaan pedah karney ka keh tmaam arwaah per sabit karey keh jo sachaee hai woh har haal main sach hai aur ussey qabool karna har zee-rooh ka kaam hai.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                          Originally posted by munda_sialkoty
                          Dekho fari...yeh mere khaloos per shak ker raha he, us khaloos per jo sirf tumharay liye he :blush:
                          app ka khaloos ka shukriya:phool:
                          rahi baat shak ki tu mujhay tu iss shak per bhi shak ha:lpop:

                          Comment

                          • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                            Originally posted by Khalil
                            waisy aamer tumhari es baat per aik shair yaad aya hay....

                            Jehan b milo gy paoon gy humain pur khaloos
                            Her chand k Ekhlas ka dawa nahi kerty
                            :cc: :cc: :cc: isss shiar ma shayer kehta hai....jahaN bhi hum se miloge...humaiN tum purkhuloos paao ge.....magar hum ikhlaas yani curtesy ka dawa nahiN kerte...hum dawaydaar nahiN hain....magar tum har jaga humara khuloss he paaoge...may be shayer ye kehna chahta hai k khuloos uski nature hai!!!!

                            SIr je meri tashreeh theek ha na................!!!!:lpop:

                            Comment

                            • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                              Originally posted by munda_sialkoty
                              waah waah :tasali:

                              ub aik shair mera bhi sun

                              Ounchay saaru pe beth ke bulbul ne di sada
                              Garam Aandayyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy :lpop:
                              :clap: :clap: :clap:
                              wah wah kiya shiar arz kiya ha!!:khi:

                              Comment

                              • Re: In the Spotlight*~*Khalil*~*

                                Originally posted by fari
                                app ka khaloos ka shukriya:phool:
                                rahi baat shak ki tu mujhay tu iss shak per bhi shak ha:lpop:
                                Bilkul sahi kaha fari :blush:
                                tum kitni achi ho
                                aur mein bhi
                                hum doono ke khyaalaat kitnay miltay jultay hein :blush:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X