Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

    Originally posted by Masood
    Shy aap ko yaad ho ga main ney kisi aur jaggah per Basant per aik mazmoon likha tha. Khair...

    Basant mein qasoor kisi aik ka nahin. Yeh aik muasharti masla hai. Is mein agar hakoomat pabandi lagaey to awam ki nafrat mazeed barh jati hai, awam key nazdeek yeh entertainment ka bohat bada zariya hai. Yeh baat hamarey eeman key nakis honey key liye kaafi hain keh ham issey apney liye entertainment ka zariya samajhtey hain jo hamarey mazhab sey bilkul bhi ta'aluq nahin rakhtin. Hinduana rasmo ney hamari sochon ko sadiyon sey muqillad bna rakha hai aur ab to yeh sab mazeed tez ho ga...

    Rahi baat insani jano key qeemati honey ki? to dost jis muashrey mein insan ko gali ka deewana kutta jaan kar qatal kar diya jaey wahan per qeemat nahin jani jati.....
    g sahi kaha:(

    Comment


    • #17
      Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

      Originally posted by aabi2cool
      DEAR sister ye na pouchiye k basant kitni zaroori hy balk ye pouchiye k ye lanat kis qadar mohlak har aytabar se chahay mzhabi ho ya moasharti ya moashi sab kiliye ye aik mohlak tareen lanat hy....ALLAH kary hamari qoom ko ye baat samjh aajay.
      ameen

      Comment


      • #18
        Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

        Originally posted by jaazba
        basant mainey kabhi nahi manaye

        aur urdu mujhey parhni nahi aati
        bohat acha kia ke kabhi basant nahi mnai:thmbup:

        Comment


        • #19
          Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

          Originally posted by Aanchal
          Basant kuffar ka tehwaar hai ????:mm:


          Basanat bahaar to aik khoubsurat mousam hai ..tehwaar ki shakal ekteyaar kar gia hai yeh bhi koi boori baat nahi ...han bas jo patangoo wali baat hai jo teez dhaar wali doori istamal ki jati hai woh ghalat cheez hai .......in par poori pabandi honi chaye ...
          basant asel me hindus ka tehwar he or bahar ki amad par or bhi kuch ache kaam keay ja sakte hen,plants n flowers competition ho sakte hen.or jahan tak tez dhar ki dor ki baat he wo sab ko pata he k ghalat he or is par qanoon bhi ban chuka he par phir bhi ye har saal kitne insanon ke gale kaat dalti he,behter nahi ke is fazool ki game par mukamal pabandi laga di ajey

          Comment


          • #20
            Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

            Originally posted by Hala
            nahi mananaa chahii ....... :)
            thanxx:thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

              Originally posted by Bheegi-Palkain
              Asslam-o_Alikum WR WB

              Meri nazar main ya sirf aur sirf Jhailo ka khail hay aur kuch nahi ..

              FeaamnAllah
              g darust farmaya aap ne.reply ka shukria:)

              Comment


              • #22
                Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                Originally posted by Eshaa_wellwisher
                Adaab!!
                basant maal aur waqt ka esa zyaan hain...jis mein sab se zyada reisk per insaan jaan hoty hai....Haan bahaar k mausam ko khus amdeed kehnay k lieey bharppor enjoy karnay k liey aur bhi tareeqay hain choti moti gatherings rakh li jaaen aur ...enjoy kiysa jaey ...lekin ye sarasar ghalat hai aur behaad nuksaan deh bhi ...is k lieey govrt ko proper law bana dena chahieey taakay log isey mananay se baaz reh sakein aur saal insani jaan ka nuqsaan na ho......Bay jaa asraaf to jitna barha lo ...kabhi nahin ruk sakta ..jab k tak k koi proper way na ho usey roknay k lieey ...
                Bas Allah sab ko hidayat de ...aur kuch palon ki khushi k lieey log insaani jaan se khelna band kar sakein...
                bilkul sahi kaha ap ne k mosam-e-bahar ki amad par or tareeke bhi ho sakte hen is mosam ko khushamded kehne ko.wese is tehwar ko zeada zor-o-shor se hukmaranon ki sheh par hi mnaya jane laga he.pehle khud hi logon ko is raah par lagate hen phir baad me kanoon bnate hen

                Comment


                • #23
                  Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                  Originally posted by shy
                  in 10 days me jab se pabadni hati he Aania aik 3 years ki cute si bachi,aik 10 saal bacha or aik 20 saal ka larka,shah rag cut jane se halak ho gaeyor ye dor next kis ke gale par tez dhaar churi ki tarah phirti he koi nahi janta.or govt ne sab kuch kar ke dekh lia lekin dhati dor,chemical wali dor sab kuch usi tarah ho raha he
                  to gali mohallon main urraney ko kon kehta hai naa??

                  Basant mela itney parks main lagtta hai.. pichley kuch salon se to koi chaar saal pehley apun ne rac-course main manayee thee... abrar ul haq ka concert bhi enjoy kia aur raj ke guddiyaan katwayeen :D
                  abey fun ke liye kuch karna hai to

                  use the best terms naa...
                  yehan bhi to kiting hoti hai... saahil e samnder pe.. kion?
                  its fun.. lekin logon ko insanon ko takleef denaa to definately crime hai... un logon ko pakarr ke band ker dena chahye.. with restriction ke jo gharon ki chaton pe urratey hein.. unhen 6month with ne sifarish /bail... jail main sarrney diya jaye... takeh inhen aqal aaye.. ke apni khud ki khushi doosron ki takleef ka ba'is kabhi na baney....
                  :tauba apun ko thakawat ho reli hai.. lecture de ke... apun ko rest karney janey ka... :lpop:

                  per apun ka msg yad rakhney ka ...
                  boley to apney dil ki khushi ke liye kabhi kisi ko takleef na do...
                  basant manao lekin parks main ja ker... commercial place or residency pe basant nahen manao... khush raho... :ghug:phool:

                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                    aaj aik or 4 years ka bacha gale par dor phir jane ki waja se apni jaan se hath dho betha or khofnak baat ye ke us ki gardan sari kat gai or us ka sir alag ho kar us ke father ke bazuon me aa gya.kash lahore walon ko sharam aa jaey or Allah ka khof to ese azeyat nak manzer dekhne ko na milen:fuming:

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                      first of all very nice topic shy :thmbup:

                      mein yeh kehna chahoon ga ke koi cheez bazat-e-apne aap mein buri nahi hoti, is ka ghalat istamaal usay bura banata he, koi bhi kaam limit mein reh ker kiya jaye to us ke mumkina nuksaanat se bacha ja sakta he.

                      To tell you truth, mein basant hameesha manata aaya hoon, lekin tameez ke dairay mein. It provides you an opportunity to get to gether and make some fun.

                      Kul Sialkot mein basant thi, dooston ne kafi insist kia ke ke mein un ke ghar per aaon aur basant manaon, subhu to wo mujay lene aaye ghar se, lekin mein nahi ja saka, kuch kaam wagaira thay...khair baad dopehar mein farig hua aur dooston ki taraf chal diya, bike pe jaatay huay meri 2 teen baar aisa hua ke mere bike ke saath aur mere saath door lagi aur aik baar to door mere maathay pe phirti phirti bachi. Khair mein careful ho gaya aur bike ziada slow chalanay laga...

                      dooston ki taraf pohancha to 4 story building ke roof-top pe intzaam tha...doorein aur patangein idher udher pari hui thein, aur is ke saath aik adad DECK kaan phaar dene wali aawaz mein lagaya hua tha. sub se pehlay to Audio ki aawaz slow ki, aur dooston se mila, aur phir audio ki aawaz ounchi nahi honay di, lekin aik neya sayapa :tauba wo yeh ke Deck bund kerwa liya lekin kaan ke perday phaarnay ka silsila ub ziada zoor se shuru hua, yani ke hawai firing ka silsila start kia gaya, sabi ne apni apni pockets mein bullets daali hui thein jese kisi mahaz per ja rahay hein...is ke ilawa kuch aur larkay bhi aaye, jo ke mere kareebi doost nahi thay lekin mere dooston ke mohalay daar thay...asleha ki numaish, hawai firing, bear wagaira ka bool bala tha...khair mein ne dooston se maazrat ki aur kaha ke bhaiya mein aisi mehfiloon mein nahi ruk sakta, khair kuch dooston ne bhi sharam khai aur hum koi 6, 7 loogon ne wo mehfil choori di.

                      wahan se niklay to pata chala ke aik larka jan-bahak ho gya he firiing se, patang ura raha tha ke kisi ki gooli aa lagi...aaj subhu sialkot ke civil hospital se report mili he ke, 6, 7 cases aisay aaye hein jin mein door se sheh rug kut janay ke waqeyaat huay hein...anyway....kul se mein ne decide kia he ke next time basant nahi manaon ga
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                        sab masloon ka aik he hal hai.... apni aankhain band karlain...!!
                        bura na maan mery harf zehr zehr sahee....
                        main kia karooN kay yeh'he zaiqa zubaan ka hai...
                        That's Enough...!!

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                          sab masloon ka aik he hal hai.... apni aankhain band karlain...!!
                          bura na maan mery harf zehr zehr sahee....
                          main kia karooN kay yeh'he zaiqa zubaan ka hai...
                          :clap: hamaray mulk mein kambakhti yahi he ke yahan per har maslay ka hal aankhein bund ker ke kia jata he, ager is pak zameen ke hukmaran aankhein khool ke hukmarani kerte to aaj shayad hum bohat se bud'nazmiyoon se buch jaatay...what we need now is to mature in our thinking :phool:
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                            aaj siyalkot me bhi minni basant par 2 insan qurban ho gaey:fuming: govt,adalat sab so rahe hen ghaflat ki neend or ye basant aik seriel killer ki tarah roz insano ki jaan le rahi he par koi nahi jo is par mukamal pabandi lagaey:pagal:

                            Comment

                            Working...
                            X