Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

    Attached Files

  • #2
    Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

    in Short main tu Hun hee Basant k Khilaf Hun

    Comment


    • #3
      Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

      Assalaam-0-Alaikom:rose

      Basant itni si bhi zarori nahin hai

      yeh jaani aur maali donoon tareeqoon say insaaan kay liye nuqsaan deh hai....

      Basant mananay walay "choti choti khushiyoon ko enjoy karna chahiye" keh kar apnay liye raatsa banatay hain... lakin yeh bhool jatay hain keh un ki yeh choti choti khushiyaan kabhi kabhar dosroon kay liyee kitnay baray baray gham ban jati hain ......
      Last edited by *Rida*; 27 February 2006, 10:57.
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

        apun ko nahen parhnaa.... apun ki to watt lagatey hein basant pe khaney banwa banwa ker.... apun ko basant achi lagti hai... khooni khel :cry
        shanu ki ... :D get together kero... khaney banao... thorri si guddyaan urrao... dher sa ooonchi oonchi music chalao... aur..... aayee bo.... :D
        ke na'arey lagao...
        bas inni achi lagti hai... urrti huii kite ko pakrro... pecha lag jaye to bhaii ko wapis pakrrao... :lol
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment


        • #5
          Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

          Shy aap ko yaad ho ga main ney kisi aur jaggah per Basant per aik mazmoon likha tha. Khair...

          Basant mein qasoor kisi aik ka nahin. Yeh aik muasharti masla hai. Is mein agar hakoomat pabandi lagaey to awam ki nafrat mazeed barh jati hai, awam key nazdeek yeh entertainment ka bohat bada zariya hai. Yeh baat hamarey eeman key nakis honey key liye kaafi hain keh ham issey apney liye entertainment ka zariya samajhtey hain jo hamarey mazhab sey bilkul bhi ta'aluq nahin rakhtin. Hinduana rasmo ney hamari sochon ko sadiyon sey muqillad bna rakha hai aur ab to yeh sab mazeed tez ho ga...

          Rahi baat insani jano key qeemati honey ki? to dost jis muashrey mein insan ko gali ka deewana kutta jaan kar qatal kar diya jaey wahan per qeemat nahin jani jati.....
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

            DEAR sister ye na pouchiye k basant kitni zaroori hy balk ye pouchiye k ye lanat kis qadar mohlak har aytabar se chahay mzhabi ho ya moasharti ya moashi sab kiliye ye aik mohlak tareen lanat hy....ALLAH kary hamari qoom ko ye baat samjh aajay.
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment


            • #7
              Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

              basant mainey kabhi nahi manaye

              aur urdu mujhey parhni nahi aati
              :alhamd:

              Comment


              • #8
                Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                Basant kuffar ka tehwaar hai ????:mm:


                Basanat bahaar to aik khoubsurat mousam hai ..tehwaar ki shakal ekteyaar kar gia hai yeh bhi koi boori baat nahi ...han bas jo patangoo wali baat hai jo teez dhaar wali doori istamal ki jati hai woh ghalat cheez hai .......in par poori pabandi honi chaye ...
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                  Originally posted by ~Khalil~
                  in Short main tu Hun hee Basant k Khilaf Hun
                  achi baat he:)

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                    Originally posted by Jhumroo
                    saare tewhaar jinkaa islaam emN koii jawaaz nahiiN vo sab bid'a haiN aur:

                    har naii cheez kaa iftiraa~ bid'a hai aur har bid'a zalaalat hai...yeh sav bakwaasiiyaat haiN :mm:
                    g bilkul sahi kaha:thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                      Originally posted by Rida
                      Assalaam-0-Alaikom:rose

                      Basant itni si bhi zarori nahin hai

                      yeh jaani aur maali donoon tareeqoon say insaaan kay liye nuqsaan deh hai....

                      Basant mananay walay "choti choti khushiyoon ko enjoy karna chahiye" keh kar apnay liye raatsa banatay hain... lakin yeh bhool jatay hain keh un ki yeh choti choti khushiyaan kabhi kabhar dosroon kay liyee kitnay baray baray gham ban jati hain ......
                      bilkul theek kaha Rida ke ye choti choti khushi keh kar mnane wale us dukh ko nahi dekhte jo kisi insan ki jaan jane se us ki family ko uthana parta he.

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                        Originally posted by Aania
                        apun ko nahen parhnaa.... apun ki to watt lagatey hein basant pe khaney banwa banwa ker.... apun ko basant achi lagti hai... khooni khel :cry
                        shanu ki ... :D get together kero... khaney banao... thorri si guddyaan urrao... dher sa ooonchi oonchi music chalao... aur..... aayee bo.... :D
                        ke na'arey lagao...
                        bas inni achi lagti hai... urrti huii kite ko pakrro... pecha lag jaye to bhaii ko wapis pakrrao... :lol
                        in 10 days me jab se pabadni hati he Aania aik 3 years ki cute si bachi,aik 10 saal bacha or aik 20 saal ka larka,shah rag cut jane se halak ho gaeyor ye dor next kis ke gale par tez dhaar churi ki tarah phirti he koi nahi janta.or govt ne sab kuch kar ke dekh lia lekin dhati dor,chemical wali dor sab kuch usi tarah ho raha he

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                          nahi mananaa chahii ....... :)
                          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                          :pr:

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                            Asslam-o_Alikum WR WB

                            Meri nazar main ya sirf aur sirf Jhailo ka khail hay aur kuch nahi ..

                            FeaamnAllah
                            Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                            Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                            Comment


                            • #15
                              Re: ~*~Basant Kitni Zaruri He??~*~

                              Adaab!!
                              basant maal aur waqt ka esa zyaan hain...jis mein sab se zyada reisk per insaan jaan hoty hai....Haan bahaar k mausam ko khus amdeed kehnay k lieey bharppor enjoy karnay k liey aur bhi tareeqay hain choti moti gatherings rakh li jaaen aur ...enjoy kiysa jaey ...lekin ye sarasar ghalat hai aur behaad nuksaan deh bhi ...is k lieey govrt ko proper law bana dena chahieey taakay log isey mananay se baaz reh sakein aur saal insani jaan ka nuqsaan na ho......Bay jaa asraaf to jitna barha lo ...kabhi nahin ruk sakta ..jab k tak k koi proper way na ho usey roknay k lieey ...
                              Bas Allah sab ko hidayat de ...aur kuch palon ki khushi k lieey log insaani jaan se khelna band kar sakein...
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X