Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

دوست

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • دوست


    اسلام و علیکم

    عموماَ انسان اپنی فطرت سے قریب لوگوں سے دوستی کرتا ہے۔
    چاہے کوئی بزنس مین ہو یا چا ہے بھکاری، چاہے دیندار ہو یا نفس کا مارا، چاہے معاشرے کے اعلیٰ طبقے سے تعلق رکھتا ہو یا نچلے طبقے سے ہر کسی کو اس کے رجحان کے مطابق دوست مل جاتے ھیں
    آدمی اپنے دوست کے دین پر ہوتا ہے، لہٰذا ہر آدمی کو یہ دیکھنا چاہئے کہ وہ کسے اپنا دوست بنا رہا ہے ۔۔۔۔۔۔ابوداؤد،ترمذی
    اس حدیث کی روشنی میں آپ کی دنیا اور آخرت کا انحصار آپ کے انتخاب پر ہے ، آپ کی عقل پر ھے
    ایک اور حدیث ھے
    اچھے اور برے دوست کی مثال مشک بیچنے والے اور بھٹی دھونکنے والے کی طرح ہے۔ مشک بیچنے والے کی صحبت سے تم کو کچھ فائدہ ضرور ملے گا یا تو مشک خریدو گے یا مشک کی خوشبو پاو گے۔ لیکن لوہار کی بھٹی تمہارا کپڑا جلائے گی یا اس کی بدبو کو پاو گے۔بخاری و مسلم
    ھم اپنے دوستوں کی اچھائی اور برائی سے متاثر ھوتے ھیں ایک اچھا دوست اچھائی کے راستے پر خود بھی چلتا ھے اور اپنے دوست کے لیے بھی ایسا ہی پسند کرتا ھے اور برے دوست کے معاملے میں اس بات کو الٹ سمجھ لیں نہ وہ خود بھلائی حاصل کرتا ھے نہ اپنے دوست کو کرنے دیتا ھے
    آپ کیا سمجھتے ھیں ایک اچھے دوست میں کیا کیا خوبیاں ھونی چاھئیں یا آپ میں ایسی کون سی خوبیاں ھیں جن کی بنا پر آپ کو ایک اچھا دوست کہا جا سکتا ھے۔
    اور برے دوست کی کیا پہچان ھے آپ کی نظر میں ۔۔۔۔
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: دوست

    acha dost wo jo achay or boray dono waqtoo main aap ka sath day : ) bora wo jo badal jaye ..
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: دوست

      Wa alaikum aslam

      Light aati he to batata hon

      Comment


      • #4
        Re: دوست

        Originally posted by Aanchal View Post
        acha dost wo jo achay or boray dono waqtoo main aap ka sath day : ) bora wo jo badal jaye ..
        itni simple definition..:)

        Originally posted by Mr. Sialkoti View Post
        Wa alaikum aslam

        Light aati he to batata hon
        waiting....
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • #5
          Re: دوست

          Kaha jata he a man is known by his friends. Yeh bhi kaha jata he "The birds of a feather flock together". Lekin yeh to aik rawayati andaaz hua insaan ki general habit ko deal kerta he.

          Doost wo mehsoos loog hotay hein jo akser aap ke rishtay daar nahi hotay lekin aap ke blood relations se berh ker be'loos hotay hein, aap ki care kerte hein, kadar kerte hein, in mein keena parwari nahi hoti, bugaz nahi hota and they are always there in your thick and thin. Aik perfect doost aik lambi race ka ghoora hota he jo aap ke saath bohat lamba chalta he bulke zindagi bhar chalta he. Yeh bektakaluf creature hoti he aap ka lehaz bhi nahi kerti aur aap ka behud ehsaas bhi kerti he. Jo short term aap ki life mein aatay hein and then get disappear from the scene wo hakeekat mein doost nahi hotay bus kuch waqt k liye aap ki life mein chill pill kerte hein aur gaib ho jatay hein, aap ko kuch sabak de jatay hein, jinhein seekh ker aap apni zindagi mein aagay berhtay hein aur apni priorities set kerte hein.

          Acquaintance aur friendship mein kafi faraq hota he, hum aksar aukaat isay merge ker jatay hein. Generalize karein to hamaray doost akhbaab to bohat hotay hein lekin in particular doost bohat kum hotay hein. Aur aik baar phir yahi kahon ga ke acha doost lambi race ka ghoora hota he aur wo hameesha aap k saath chalta he.
          :thmbup:

          Comment


          • #6
            Re: دوست

            Rida ji mein aap ko inshallah shaam ko comments doon ga abhi mein offie ki tayyari karni hai... agar likhnay ko beth gaya tu office late hojaon ga....
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: دوست

              acha dost wo hai jo mobile mein zarorat pareny per load kerwa daey
              I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

              Comment


              • #8
                Re: دوست

                @ topic

                bauaht accha topic hai : )

                Comment


                • #9
                  Re: دوست

                  iss ko meray liye philsifiyana tareeqay se describe karna mushkil hai... bus eik choti si misaal pesh karon ga kay:

                  meri office mein kuch aisay dost hain jin kay saath ghoomna phirna bethna uthna batein karna acha lagta hai... kuch aisay bhi colleagues hain jo ziyada time un kay saath guzarta hai lakin un kay saath vo maza nahi ata boriyat se hoti hai.... kuchh maah pehlay muje eik collleague kay saath muje Sargodha jana para mein itna bore hua kay kiya bataon halankay vo acha insaan hai naik nimazi hai lakin meri nafsiyat ya jo meri fitarat hai uss kay mutabiq vo nahi tha... mera yeh tour poora bore guzra.... yeh wakai sahi hai her shaks apni fitrat kay mutabik hee dost banata hai ya dost bantay hain.... jo log us ki nature kay mutabiq nahi hotay vo bore hota hai uljhan aur irritation feel karta hai....
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: دوست

                    khoobiyan kiyan honi chahien yeh such poocho tu muje pata nahi... mein kabhi kisi ko dost bananay kaylie khoobiyan dekh kar nahi banata bus ban jatay hain achi adtain hoon yaa burri mein guzara kar leta hoon... meray aksar friends smoking kartay hain lakin mein nahi karta... mein adtain dekh kar dosti nahi karta na khoobi dekh kar ...
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: دوست

                      Walikum Salam...

                      thread acha hy per thread ki first line (with sorry)bilkul ghalt hy...
                      neachy ap sohbat ki bat kar re or oper ap fitrat ki... relations are not based on FITRAT or SOHBAT .....

                      jahn tak achay dost ki khobi hy tu buray ka bura dost b acha hy or achay ka acha dost b bura hy.... : ))
                      میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                      Comment


                      • #12
                        Re: دوست

                        Originally posted by Tanha Hassan View Post
                        acha dost wo hai jo mobile mein zarorat pareny per load kerwa daey
                        Aur agar koi doost tum ko peshawar k truck pe load krwa de uska kia
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #13
                          Re: دوست

                          Originally posted by crystal_thinking View Post
                          Walikum Salam...

                          thread acha hy per thread ki first line (with sorry)bilkul ghalt hy...
                          neachy ap sohbat ki bat kar re or oper ap fitrat ki... relations are not based on FITRAT or SOHBAT .....

                          jahn tak achay dost ki khobi hy tu buray ka bura dost b acha hy or achay ka acha dost b bura hy.... : ))
                          yeh baat samajh nahi aaei.... thori wazahat karein gi....
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: دوست

                            Originally posted by Mr. Sialkoty View Post
                            Kaha jata he a man is known by his friends. Yeh bhi kaha jata he "The birds of a feather flock together". Lekin yeh to aik rawayati andaaz hua insaan ki general habit ko deal kerta he.

                            Doost wo mehsoos loog hotay hein jo akser aap ke rishtay daar nahi hotay lekin aap ke blood relations se berh ker be'loos hotay hein, aap ki care kerte hein, kadar kerte hein, in mein keena parwari nahi hoti, bugaz nahi hota and they are always there in your thick and thin. Aik perfect doost aik lambi race ka ghoora hota he jo aap ke saath bohat lamba chalta he bulke zindagi bhar chalta he. Yeh bektakaluf creature hoti he aap ka lehaz bhi nahi kerti aur aap ka behud ehsaas bhi kerti he. Jo short term aap ki life mein aatay hein and then get disappear from the scene wo hakeekat mein doost nahi hotay bus kuch waqt k liye aap ki life mein chill pill kerte hein aur gaib ho jatay hein, aap ko kuch sabak de jatay hein, jinhein seekh ker aap apni zindagi mein aagay berhtay hein aur apni priorities set kerte hein.

                            Acquaintance aur friendship mein kafi faraq hota he, hum aksar aukaat isay merge ker jatay hein. Generalize karein to hamaray doost akhbaab to bohat hotay hein lekin in particular doost bohat kum hotay hein. Aur aik baar phir yahi kahon ga ke acha doost lambi race ka ghoora hota he aur wo hameesha aap k saath chalta he.
                            :thmbup:
                            liked your post...:em:
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • #15
                              Re: دوست

                              Originally posted by *Rida* View Post


                              :thmbup:
                              liked your post...:em:
                              :shyy:
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X