Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kis say inspire hain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: kis say inspire hain

    Originally posted by azeem-ahmed View Post
    aaj kal aap khandan se kin se inspiration letay hain?? aap ki nani ki batein sun kar khushi hoi... halankay hamari society mein aurat ziyada biradari kay jhagron mein bahut kam parti hain warna biradari kay maslay masaail male hazrat kartay hain.... yeh eik pehlu jo aik aurat ki nisbat batai vo achi lagi kay hamari khawateen bhi chotay motay maslay masaail ko hal karti thein...

    apni nani say hi inpire hoon...
    chotay motay ka kia matlab... Afghan US jang ka hal deingi .,, tabhi aap bara masla manain gay ...:rew:
    kisi ka ghar tabah honay say bachana .... " aaj kia pakana hai " jaisa masla nahin hotaa.... :D: .. waisay bhi kehtay hain ksi kay daant ka drd us kay liye somaliya kay qehet say zyada sangeen masla hota hai ...:
    itnay dosray buzurgoon ki mojoudgi mein bhi sirf mairi nani hi aisi shakhsiyat thien... aur baat basha'oor aur ba salahiyat aur mukhlis honay ki hoti hai ....jahan dosray jalti per tail charaktay mairi nani mamlay ko thanda karnay ki koshish kartien....
    mairi nani ki age 30yrs thi .....jab mairay nana ki death hoi...unhoon nay jaisay apnay bahoon ki tarbiyat ki hai naa ... aaj jab bhai bhai ka gala katnay ko tayar hai .. mairay meternal relatives aap ko ksi aur jaga ki makhlooq lagain gay ... naik olad sadqa jariya kiun kehlati hai...unhain dekh kar andaza ho jata hai....
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment

    • #17
      Re: kis say inspire hain

      Mein inspire hun "Booti Naaaai" sey..............pata nahi wo kasey 5 mint mein achey khasy barey baloo ko tind mein badal deta hai
      I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

      Comment

      • #18
        Re: kis say inspire hain

        Originally posted by *Rida* View Post

        sub se mushkal kaaam family kay larai jhagray khatam karna hai... yeh kaam afghan-russia jhagray se bhi mushkil hota hai... :lol: wese aap ki naani jub faut hoi thi aap kitnay saal ki thein aur ab uss ki wafaat ko kitnay saal hogaye hain..... ?
        sigpic

        Comment

        • #19
          Re: kis say inspire hain

          Originally posted by Tanha Hassan View Post
          Mein inspire hun "Booti Naaaai" sey..............pata nahi wo kasey 5 mint mein achey khasy barey baloo ko tind mein badal deta hai
          politicians hamesha achay leader se inspire hotay hain.... philosopher bhi kisi achay philosopher se inspire hota hai... eik teacher bhi eik achay teacher se inspire hota hai.... kisi doctor se inspiration poocho gay tu vo kisi doctor se hee inspired hoga... matlab her shaks apnay shu'abay walay se yaaa shoq va zok jo rakhta hoga uss se inspire hota hai yeh fitri baat hai.... :lol
          sigpic

          Comment

          • #20
            Re: kis say inspire hain

            Originally posted by azeem-ahmed View Post
            sub se mushkal kaaam family kay larai jhagray khatam karna hai... yeh kaam afghan-russia jhagray se bhi mushkil hota hai... :lol: wese aap ki naani jub faut hoi thi aap kitnay saal ki thein aur ab uss ki wafaat ko kitnay saal hogaye hain..... ?
            kia bahanay bahanay say umar ka andaza laga rahay hain ..... :lol
            Mairi Nani ki death ko is ZILHAJ mein 5 saal ho jaien gay ........ mairi nani ki salahiyatain God gifted thein ,,,buht perhi likhi na hotay hoye bhi woh zamanay kay mizaj ko samajhti thien .....mairi ammi mein aur mujh mein commuunication gap hai lakin nani tu me ki frnd thien :hug:
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment

            • #21
              Re: kis say inspire hain

              Originally posted by azeem-ahmed View Post
              politicians hamesha achay leader se inspire hotay hain.... philosopher bhi kisi achay philosopher se inspire hota hai... eik teacher bhi eik achay teacher se inspire hota hai.... kisi doctor se inspiration poocho gay tu vo kisi doctor se hee inspired hoga... matlab her shaks apnay shu'abay walay se yaaa shoq va zok jo rakhta hoga uss se inspire hota hai yeh fitri baat hai.... :lol
              :rew:
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment

              • #22

                aap ghahri batein karti hain tu mein age ka andaza lagana chahta tha.... :lol wese kuch log aisay hotay hain vo aqal ki baatein issliye kartay hain vo zindgi ko qareeb se dekha hota hai kuch log aisay hotay hain jo paidaishi intelligent hotay hain... vo thora seekhtay hain aur bahut kuch khud bakhud jaan jatay hain.... :lol

                aur yeh bhi kahtay hain waqt kay saath inspiration badalti rahti hain... vo bahut kam log hotay hain jo eik shaksiat se poori age mein uss se hee inspire hotay rahe hoon... inspire honay ka maqsad yeh hota hai kay vo jis leader yaa personality ko dekhta hai vo uss tarah ka hona chahta hai.... aap nay kitnay feesad aap aadtain naani ki apnai hain??
                sigpic

                Comment

                • #23

                  yeh bas aap ka siyaasi biyaan ho sakta hai....................
                  I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                  Comment

                  • #24
                    Re: kis say inspire hain

                    Originally posted by azeem-ahmed View Post
                    aap ghahri batein karti hain tu mein age ka andaza lagana chahta tha.... :lol wese kuch log aisay hotay hain vo aqal ki baatein issliye kartay hain vo zindgi ko qareeb se dekha hota hai kuch log aisay hotay hain jo paidaishi intelligent hotay hain... vo thora seekhtay hain aur bahut kuch khud bakhud jaan jatay hain.... :lol

                    aur yeh bhi kahtay hain waqt kay saath inspiration badalti rahti hain... vo bahut kam log hotay hain jo eik shaksiat se poori age mein uss se hee inspire hotay rahe hoon... inspire honay ka maqsad yeh hota hai kay vo jis leader yaa personality ko dekhta hai vo uss tarah ka hona chahta hai.... aap nay kitnay feesad aap aadtain naani ki apnai hain??
                    main Ummid kay hi age group say belong karti hoon...main hamesha amma kay paron mein chup kar rehi hoon.....lakin kuch na kuch loag dekh kar andaza laga hi laitay hain naaaa... jaisay aap apnay andazay paish kartay hain....
                    inspiration badal sakti hai ,,,,yeh tu main nay kabhi socha hi nahin jo kal pasand tha apni adaat aur nature ki waja say woh aaj bhi pasand hai ....pata nahin phir isay inpsiration kehain gay ya nahin ...:lol....waisay is mein muhabbat bhi tu add ho jati hai naaa..... main nay kaha naa buht kuch God gifted hota hai .... tu bus mujh mein aisi koi khaas khobiyaan aa nahin sakien nani ki....woh ghar kay kamoon mein bhi buht saleeqa mand thein ... un kay haath mein buht zaiqa tha ... bus itna hi kar pai hoon mein ab tak...samajhdari ALLAH ka diya howa inaam hai ... aur kia kahon .. samajh tu aap gaye hongay ....:lol.....mairi nani bahimmat bhi thien aur sabir o shakir bhi....kabhi na kisi banday say shikayat na ALLAH say...mairay father mujhay kehtay hain hamari baiti buht sabir o shakir hai ....bus main ALLAH kay liye buht kuch chor daiti hoon....lakin main ALLAH say buht kuch kehti rehti hoon......sach kahon tu un kay jaisa banna asaan kaam nahin hai....haan achaai kay liyee koshish kartay rehnay mein harj nahin ..
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment

                    • #25

                      wese apas ki baat hai mein bhi takreeban ummid kay hee age group se taluk rakhta hoon.... :lol

                      meinay kisi jaga parha tha insaan 40 years se pehlay uss ki nature badalti rahti hain jub 40 ko cross karta hai vo uss ki permanent aadat ban jati hai phir vo uss se jaan nahi chhurasakta... :lol
                      meinay parha hai kay 61% insaan ki aadtein, nature, zahanat, ability, leadership qualities, technical expertise heredity yaa family genes mein hoti hai baaki 39% insaan education, trainings, mahol se seekhta hai....

                      wese mein bhi aap ki tarah her cheez Allah ki zaat per chor deta hoon aur vohi tu sub kuch karnay wala hai jisay chahe ezat day jisay chahe zillat day jisay chahe kushada rizq day js ka chahe tang kar day... jisay chahe ussay zindgi guzarnay ka saleeka day day jisay chahe decision power dayday... jisay chahe uss kay under mohabbat bhar day... vohi tu Allah hai agar chahe tu vo aap kay under merayliey muhabbat paida kar day agar vo chahe tu meray under aap kaylie muhabat paida kar day chahe tu nafrat paida kar day... vohi maalik hai vohi khaliq hai vohi raziq hai aur vo beyniaz hai...
                      Last edited by azeem-ahmed; 3 June 2012, 03:27.
                      sigpic

                      Comment

                      • #26

                        waisay tu yeh facts n figures generally bataye jatay hain aur amoman sahih hotay hain.... lakin aadat ki jahan tak baat hai tu mind scinces kay hawalay say aik baat hai.... agar banda 28- 30 days koi kaam constantly/ consistency kay saath kar lay tu woh us ki aadat ban jai ga... koi achaai kaam bhi aur buraa bhi ...body cells mein aahista aahista woh aadat develop hoti jati hai.....lakin yeh her aik say nahin hotaaa... baz loag buht dheet hotay hain ...:kr:....
                        bay shak ALLAH , Qadir hay , bay niyaaz hai.....:)
                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment

                        Working...
                        X